Ye raat badi bhayanak hai. Aur kurukshetra mein teeron ki shaiyya par laite Bheeshm ke siva, koi chain se nahi hai. Aisa bistar toh aaj tak kisi yoddha ko mila hee nahi tha, aur kadachit milega bhi nahi. Kyun ki aise mahaan purush baar baar janam nahi lete. Hay Bharatvarsh, tu dhanya hai, ke tere sapooton mein Bheeshm jaise mahaan purush ka bhi naam aata hai. Inki mahaanta ke saamne toh swayam mahaan shabd bhi chhota dikhaai deta hai. Main bhi inke sparsh se dhanya ho gaya. Ye teer nahi hain, padak hain, sammaan padak hain. Aur inki aati-jati har saans, vidhata ki taraf se diya gaya sammaan padak hai. Yadi koi vyakti aisi ek saans bhi le le, toh amar ho jaye.