teri zulfon ki lehrati angdaiyaan
nahi bhoolunga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan ❤️
tera saayon se rukh modna
tera palat ke phir na dekhna
nahin maaf karunga main,
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..❤️
baat baat pe bewajah tere roothne se,
chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se,
mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..❤️
tere jalte sulagte khwabon se,
teri beraham duaon se,
nafrat karunga main,
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..❤️