Originally posted by: mahek-e-gulab
yes true each n every dialogue of rajveer is special n worth an applause me shortlisted some......
first three same as neha n others said they r d beshhhhttt ๐
others....
1. "jo zindigi me aage badte hai wahi toh bhatakte hai to ek hi jagah khade rehte hai woh kya chalenge aur kya bhatkenge"
2. "maut se ladte hue lekin zindgi se ek kadam door aur jab faasla ek kadam ka hota hai to use paar karna bahut aasan ho jata hai"
3. "naina ki mujhe vapas laane ki koshish ne mujhe majboor kardiya ki main ladu aur vapas aa jau n here i am"
4. "galtiyan insaan se hi hoti hai aur insaan bhi wahi hai jise samay par apni galti ka ehsaas ho jaye"
5. "insaan fail dil se nahi dimag se hota hai"
6. "bhargav jaise log us sarhad paar sipahi ki tarah hai jo na to kabhi imandari se jung ladte hai aur na to kabhi apni chal ko repeat karte hai"
7. "jo pehle bolta hai wahi sach hota hai"
8. "jo dikh jaye woh desh bhakti aur jo na dikhe woh gadari a very thin line aur jisne paar kar di woh gadar karar diya jaata hai"
9. "agar dushman ki band bajani ho to apni band chalu rahkhni chahiye"
n the 10th one is my most fav......
10. "aur agar kabhi sar katane ki naubat aayi toh aap sabke pehle aap sabke aage main hoon na"
๐
kuch aur ho jaye.....๐
11. "naina singh tum na sirf ek sipahi banogi par ek awal darje ki sipahi banogi aisa mera tumpar vishwas hai, zindgi me har jung aatmavishvas ke bal par ladi aur jeeti bhi jati hai so just believe in ur self bcoz i believe in cadet naina 'ah singh"
12. "farz na sahi hota hai na galat farz sirf farz hota hai"
13. "andaaze kai baar zindgi me naiya paar kara dete hai"
14. "tum naujavano me se koi bhi aakar bapu aur subashchandra bose ke bare me bashan dene lag jaate hai sirf ek kitab padkar ya phir kisi ki intelectual batein sunkar"
15. "jisne apne failure ke saamne gutne tek diye woh haar gaya aur jisne apne failure ko challenge kar diya woh jeet gaya"
16. "jung chahe kitni mushkil kyun na ho bahadur sipahi kabhi apne peeth nahi dikhata balki bahaduri se uska saamna karta hai"
17. "offence is the best way of defence"
18. jung me sirf haar, jeet ya sirf maut hoti hai kyunki dushman kabhi doosra mauka nahi deta"
๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ๐๐ผ