THREAD FOR ACP KABIR'S DIALOGUES! - Page 7

Created

Last reply

Replies

75

Views

11.3k

Users

23

Likes

210

Frequent Posters

Minionite thumbnail
Posted: 10 years ago
#61
21st August

Kabir: Shaadi kar lo. Shaadi.
Abhay: Kyun sir?
Kabir: Pehli baat toh yeh ke mere ghar pe itni subah subah aana chor doge. Aur doosra yeh jo muskarate rehte ho naa, yeh aadat biwi churwa degi.
Abhay: Sir issi darr se toh shaadi nahi kar raha hoon. (Bacha hosiyar hai. 😆) TV ke kya dekh rahe the sir?
Kabir: Jo chal raha tha wohi dekh raha tha.

Abhay: Bachpan main main bhi bahut kabadi khelta tha.
Kabir: Ek saans main kitni kabadi bol sakte ho?
Abhay: Aise kabhi gina nahi sir.
Kabir: Attention. Bolo.
Abhay: Aise kaise bol doon sir? Aapne attention keh diya.
Kabir: At ease. Ab bolo.
Abhay: Kabadi x (I don't know how many.)
Kabir: Sirf 26 seconds. Yahan pe har player do se dhai minute tak kabadi kehta hai. Toh phir se maat kehna ke isme kya hai. I think pehli baar Shivam sahi keh raha hai. It's really fascinating.
Minionite thumbnail
Posted: 10 years ago
#62
22nd August

Today there were no sarcastic dialogues but the scenes between him and Amrita and the scene when he was in bed and woke up from a nightmare are a must watch.
Edited by KhotaSikaShreya - 10 years ago
Minionite thumbnail
Posted: 10 years ago
#63
25th August

Kabir to Commissioner: Sir aap aisa ki jiye woh ilzaam mujhpe dal diye je.

Kabir to Varsha: Jammu se Srinigar jaane wale band hain, tamatar phir se 100 rupee kilo ho gaye, aur Bharat aur England ke beech ke cricket match main Bharati balbazon ka paradarshan bilkul ghatiya tha, kya kar rahi ho?
Varsha: Kitna huya?
Kabir: Yeh toh mujhe poochna chahiye naa? Billing toh tumhari hoti hai.
Varsha: Tum news paper ki taran news suna rahe ho toh socha free main kyun suno. So newspaper 5 rupee ke aata hai toh uss hisaab se 5...nahi Kabir Rana is expensive. Toh 10 rupee.
Kabir: Tumhi ne kaha tha kuch bolo.
Varsha: So? Okay.

Kabir to Varsha: Main tumhare ghar ke liye tamatar bhi nahi kharede ke laane wala.
Varsha: Kabhi mangwaye nahi hai aur naa hi kabhi mangwaongi.
nirmila thumbnail
Posted: 10 years ago
#64
Kabirs sarcastic dialogues and the way he delivers them is one of the strengths of this show
Minionite thumbnail
Posted: 10 years ago
#65
26th August


Kabir to Kushaan and Amrita: Dekhiye yahan sadak pe khade hokar tamasha karne se acha hai ke aap sab mere office chaliye.
Minionite thumbnail
Posted: 10 years ago
#66
27th August


Kabir to DCP: Agar yeh tarif hai toh thank you sir. Aur agar yeh tana toh sorry sir.

Kabir to Neha: Regarding our Indian satellite launch ke wajah se hamare climate aur environment pe kya asaar parne wala hai.

Kabir to Neha: Actually aisa ek case yaad aa gaya. Wahan ek secretary ne aapne boyfriend ke saath aapne boss ke bete ko uthwa diya. Haan. Aisa hi kuch tha.

Kabir to Neha: Wohi keh raha hoon jo aap sun rahe hain. Beech main change kyun kar rahe ho?

Kabir to Neha: Aap bahut khoobsurat lagte hain lekin yeh jo criminals hote hain yeh aapne jaise hi lagte hain. Unke saar pe koi seeng nahi hote hain. Jab neeyat kharab ho jaaye naa toh ache shakal ke log bhi bura kam karte hain.

Kabir to Neha: Aur Nehaji aap toh jaante hain ke aaj kal naari shakta ka mauhal chahya huya hai. Woman empowerment.
Minionite thumbnail
Posted: 10 years ago
#67
28th August

Kabir: Abhay mujhe jeene nahi dega.
Varsha: Eyehole se mujhe dekhna band karo Kabir. Darwaza kholo. Main jaanti hoon ke tum undar ho.
Kabir: Maine kab kaha ke main undar nahi hoon. Woh problem yeh hai ke maine kapade nahi pehne hain.
Varsha: So? Big deal. Pehn lo.
Kabir: Kapade dhobi ke paas hain aur jo baki kapde the woh chori ho gaye.
Varsha: Seedhe seedhe darwaza kholo warna tumhare neighbours ko keh doongi ke main tumhare bache ki maa bane wali hoon. Aur tum jaante ho ke main yeh kar sakti hoon.
*Kabir opens the door.*
Varsha: Bina kapdon ke bahut ache lag rahe ho.
Kabir: Ek policewale ko dhamki dekar uske ghar main ghus rahi ho tum.
Varsha: Haan toh tum bhi toh ek policewale ho kar mujhse darr rahe ho. Kya huya? Mere calls kyun nahi le rahe ho. Mere phone naa uthane ka faisla liya hai yah kal raat ko bahut achi neend aayi?
Kabir: Agar main galat nahi hoon toh isn't it unethical ke ek therapist iss taran, iss waqt aapne patient ke ghar aaye?
Varsha: Yeah right. As if tum aapne profession main har cheez ek dum ethics ke saath karte ho.
Minionite thumbnail
Posted: 10 years ago
#68
29th August


Kabir to Pratik: Bomb. Letter bomb. Bomb in a letter. Dekhiye.

Kabir to Pratik: Boomh. Aur kahin chalna hai yah iss bomb ko yahani diffuse karen?

Kabir to Pratik: Mr. Pratik Swaika. Main yeh moralities main bahut believe nahi karta. Isli mujhe thoda bhi farak nahi parta hai ke aapka rishta kisse tha, hai yah rahega. Main un bataon main interest rakhta hoon jo mujhe mere case ko aage bhadne main madat karta hai. Isli nothing personal. I mean don't take it to your heart. Everything is purely professional.

Kabir to Pratik: Dekhiye main aapki biwi nahi hoon jo mujhe aapko explain karne ki zaroorat paare ke aap Nehaji ko aapne bahaon main lekar samjh rahe the ke break-up hai. Agar aaj aap break-up karte toh acha nahi karte toh mujhe farak nahi parta aapke family ko parta.
mirab thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 10 years ago
#69
Wht happened to kabir dialogues thread?????
Minionite thumbnail
Posted: 10 years ago
#70
^ Sorry but there has been nothing really interesting in the past 2 days and I've really started to feel that the show has lost its original charm. Now it feels like the story is being stretched too much.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".