Baji- ravi bhau sambhalo apne aap ko. Agar aap aise rahoge to chahi ko kaun sambhalega.
Ravi- tum thik kehte ho mujhe khud ko sambhalna hoga. Maa ke liye. Abhi to unhone bus ye suna hai ki ye humara aadi nahi hai jab hose me aayengi to mujhe unhe samjhana hoga ki humara aadi humare saath nahi raha. Humse door ja chuka hai.
Mili- ye aap kya keh rahe hai ravi bhai. Ye humara aadi hai koi dutta waua nahi.
Ravi-mili sambhalo apne aap ko ye dutta hai inka dutta humara aadi nahi.
Mili- ravi bhai aapko galatfehmi hui hai ye aadi hai mera aadi.
Mili dutta ke paas jakar uske gale lag jaati hai.
Mili-aadi batao na in sabko ki tum aadi ho mere aadi koi dutta nahi. Haa batao na.
Ravi -choro use. Mili wo tumhara aadi nahi hai.
Mili- nahi wo mera aadi hai aapko kuch pata nahi.
Dutta-mili suno meri baat to suno. Dekho mili main janta hoo tumhare liye ye samajhna bahut mushkil hai per yahi such hai main aadi nahi hoo main dutta hoo nakusha ka dutta.
Mili-nahi tum mere ho sirf mere kisi nakusha wakusha ke nahi.
Dutta- mili samajhne ki kosis karo main dutta hoo. Naku meri patni hai. Mujhpe uska haque hai.
Mili-thik hai maan liya maan liya ki tum dutta ho lekin ab kya haa. Nakku ke liye tum maar chuke ho uski shaadi to ravi bhai se ho rahi thi na to uski shaadi unse hone dete hai or tum mujhse shaadi kar lo.
Dutta-dimag kharab ho gaya hai tera. Kaha na main naku ka pati hoo.
Mili-tum uske pati the ab mere ho. Sirf mere. Tumhe saari zindagi mera aadi banke gujarni hogi.