Nandini explaining Tulsi about savita: yeh nahee keh meine sab problems ko suljaney ki koshish nahee ki, leikin jab bhi mein suljaney ki koshish karti dadi mujhe tok deyti thi
Gautan explaining to Mihir: im really sorry aap ke lotney keh baad aap ko yeh samna karna para hai, leikin mein kia karoon mein majboor hoon, leikin mujhe apna paisa chayee bas
Gayatri saying to Tusli in the family room alone with Damini, Ganga, and Savita: soch liya hai tulsi aur faisla kar lia bas bahut lehas kar liya hai rishtoo ka ager rishteoo ko tuth jana hai to tuth janey do
Sahil and gautam has arived and listening to the conversation, and everyone is shocked to hear this.
Episode Starts:
Shoba is dropping the some kind of miiti into the river and is very depressed and crying. Abhishek is looking over the divorce papers and they both are remembering old memories. Abhishek remember where shoba slap him when abhishek grabs her hand in the public and when shoba leaves him along with the house. Also when shoba says here the divorce papers and abhishek is very depressed to loose shoba. Shoba is remembering when vishal died and abhishek consoled her and married her and took 7 pheras. Then Abhishek opens his closet and from the closet shoba's suit drops and abhishek miss her very much
Here the song starts while both are remembering the past and crying as well.
ohh dil keh damin mein palte hain, dil keh damin mein palte hainnn. waqt keh saath mein yeh chaltey hain.(abhishek is remembering how much he was happy with shoba when they newly got married and use to hug and love) Kabhi bicherty kabhi hain miltey hai yeh waqt keh rishtey. (abhishek is having his rice and some food and he is about to eat but he miss how shoba use to feed him with love and affection and abhishek is crying) tujh bin yeh kiyu suna lagta hai, yadoon ka bhiga sawan kehta hai. kabhi baraste kabhi taraste yeh waqt badaltey rishtey, badaletyyyyy rishteyy.
Mihir is at the house and sitting on the sofa. Sahil comes with Karan. Karan's hand is around Sahil as Karan cannot walk by himself. Mihir is very shock to see Karan's condition.
Sahil: Aram sey karan, aram seyy
Mihir asking to karan: Karan beta, kia hua yeh?
Sahil: aab, aao.
Karan: Kuch nahee papa woh, factory gaya thy mera pair(foot slip) phisal gaya tha. zara cee choot (zakhm) hai
Mihir: zara cee jhoot hai? chaloo bhaitoo bhaitoo, kia kartey ho karan?sambhalna chayee tha na, kitni chot aa gaye hai na
Karan: oh, abhi theek hoon papa
Mihir: arey tum dono seh baatein karni thi, yatra per janey seh pehle, keh tum teeno bharosa dilaya tha keh tum log business ko sambhaloo gey leikin wapis aa ker dekh raha ho baat bahut biger chuki hai
.Sahil: arey papa, pata nahee gautam ko kiya ho gaya hai. woh kisi ki koi baat suney ko tiyar henahee sirf humarey khilaaf janey keh liye har khilaf faisla leh leita hai.
Mihir: business mein apna hisa leh kehr alag ho jana chata hai.
Sahil: Chalo theek hai, hum us ki kam seh kam aik baat to maan he saktey hain na, waisey bhi usey humarey kam karney ka tareeka acha nahee lagta. to behter yeh he hoga keh hum apne rastey alag kar lein.
Mihir: Sahil!!! ab tum bhi gautam jaisi bewaqoofo ki tarah baatein kar rahey ho. (Mihir saying to karan)tum to samajhdar ho, samjhao apneh bhai ko
Karan: Maaf karna papa, jaahan tak seperation ka sawal hai mein bhi sahil keh saath hoon. papa kehne mein acha to nahe lag raha leikin in halaath keh samney meri samajdari har gay aur jab gautam neh khud baat chalayi hai to papa isi maney mein humari bhilayi hai.
Mohini is listening to the conversation and talking to herself with hapiness: atlast batwara aik mudat keh baad mere sapna poora ho ga, harsh ko us ka hissa miley ga,aur mujhe dhair sari daulat.
Mohini goes to Harsh with happiness, while hursh is standing and upset because of the brothers have these batwara talks.
Mohini:arey harsh kia hua, tum itney tension mei kiyu ho, yahaan seh to khush hona chaye, kia baat hai hursh..... tension?
Hursh: Mohini, yeh jo bhaioo keh beeach roz roz jhagrey ho rahey hai batwarey ki baatein, yeh sab kuch mujhe acha nahee lag raha, jo kuch ho raha yeh sab theek nahee ho raha.
Mohini is making weird faces as always while hursh is trying make mohini understand that family should be one and batwara is not the solution.
woh sab to theek hai leikin socho na roz roz keh jhagrey seh acha hai aik baar faisla ho jaye,woh kia kehtay hai hursh, bhagwan jo karta hai achey keh liye he karta hai. aur socho batware ka matlab tum apni marzi sen mun chaha businesskar saktey ho yaahan keh boss ho gey tum. arey paisa bahut mainey rakhta hai hursh
Hursh:Rishtey bhi zindagi mein maiyney rakhtey hain mohini. tumehe woh wali kahani yaad hai na bundle with sticks wali, bahut sari kantiya aik saath bandi jaye usey koi nahee tor sakta, leikin jab wohi kantiyaa alag alag ho jati hain to asani seh tooth jati hain. iss parewar ki aik jut humari taket thi mohini.
Mohini: leikin hursh aysi in jut ka kia faida jab insaan hoot kar reh, socho acha mujhe aik baat batao tum business mein apni marzi seh kuch karna chatey ho to kuch kar patey ho nahee na, apneh balboodey seh kuch karney seh kia problem hai. khud ka nahee to kam seh kamapni biwi ka sochoo, kal bachey ho gey un keh barey mein soochey, yeh golden chance miss na karoo pleaseee.
Hursh: tumhari baat to shaee hai mohini, mager leikin pata nahee.
Mohini is smiling and saying to herself: bas aik bar tum apni daulat leh ker alag ho ja phir mein tumahri daulat leh ker proper chaker ho jaoo gee.
Mihir and Tulsi are standing next to the window in their bedroom.
Mihir: Tulsi woh...
Tulsi: mein bhi kuch kehna chatii tum seh. samaj mei nahee aa raha tha kahoo ya na kahoo, jab rishtoo mein darar aa jaye to chup bhi nahee rah jata
Mihir:tulsi, jab baatein ayse achanak ati hai to sadma sa lagta hai. meine to kabhi socha bhi nahe tha keh aysa kuch ho sakta hai. zara socho, waha hum apni apsi uljhaney mita rahey thy. zindagi keh saath matlab seekhney ka soch rahey aur yahan aur yahan humarey bachoo keh dil mein darar par rahee thi.
Tulsi: bahu mein apis mei lar rahe hai, dooriyan itni sama gaye hai man keh, alag honey ki baat seh koi hickichata bhi nahee hain. kaisey ho gaya yeh sab.
Mihir:pata nahee tulsi leikin alkaf ki bhagna to jaagi hai, mein to sochta tha keh parewar ki bahu gahr ki shakti hoti hain, leikin humari parewar ki bahu to humare ghar ki neem tulwaney peh tuli hui hain.
Tulsi: hum is naiytra peh na he jatey to acha tha. Ager hum yahan hotey to apne parewar ko iss tarah bikherny nahee deyte
Mihir:jo ho gaya so ho gaya tulsi. humein kia pata tha keh humarey bachey jo aik dooosrey peh jaan chiraktey hain, woh iss tarah aik doosrey keh dushman ban jaye gey. bapu jee aur babu jee neh jo yeh ghar banaya tha, jo mamta khuli thi rishtoon mein,wishwas ki jo bunyad rakhi thi woh, woh tooth jayege, aur ager woh tooth jaye gee to mein bhi tooth jaoo ga.
Tusli:aysa kuch nahee ho ga, hum apneh parewar ko tootney nahee deh gey.
Mihir:darr lag raha hai mujhe, kahe bahut dair to nahee ho gaye, yeh ghar tootna shuru ho gaya hai, yeh ghar tootna shuru ho gaya hai.
Karan goes to Shoba room
Shoba: karan yeh sari chootain yeh sab takleefain sab meri waja seh hain, ager tum abhishek keh khilaaf mujhe support nahee kartey to yeh sab nahee hota. im very sorry karan, very sorry.
Karan: Shoba yeh to bahut choti cee keemat chukai hai meine. tumhain apneh behan ki roop keh paney ki,tumse apneh haath peh rakhni pehnany ki, in khushiyaan keh agey yeh mamooli keemat hai.tumahra aur mera rishta bahut anmol hai mere liye, is keh liye mein to apni zindagi bhi deh sakta hoon. yeh sab kuch kia hai mere liye kuch bhi nahee.
Shoba:mein bahut khushqismat hoon karan, keh mujhe tum jaisa bhai mila himmat hoo tum meri. aur usi himmat keh saath mein apney basqismatii keh daagh mitaney ja rahee hoon.
Karan: Kia matlab?
Shoba: Karan meine abhishek seh divorce keh papers peh signs karwa liye hain.
Karan is shocked: kia? shoba yeh..tum.. shoba yeh meri waja seh hua hai
Shoba:karan is mein tumhara koi kasoor nahe. abhishek ki ghatiyaan harkatein responible hai mere iss faisley ki. abhishek keh naam ka sindoor bahut mushkil ho gaya tha..mein kia kartii...mein kia kirtii....(then shoba cries and abhishek hugs her)
Karan say to himself: mujhe maaf kar daina shoba, leikin jo kuch hua hai, is mein kahe na kahe mein zimedaar hoon.
Damini and Ganga are in the kitchen and bringing the food to the dining table with the family. It also involves Tusli, Savita, Gayatri and Mohini.
Gayatri: Ganga aa ja bhaith
Tusli: Arey wahh!! aaj to bahut achi khushbu aa rahe hai. kuch special bana hai kia?Mohini: haan haan dono neh special banaya hai leikin alag alag. Daal dhokri hai aaj tu.
Savita: ary, daal dhokrii mein to...
Mohini: Ganga neh banaya hai ( Savita is surprised, everyone is looking at savita and savita leave the dish and ask damini what did you cook? Damini hands over her made dish to savita.)
Savita: Aloo mater, ary aloo mater tu itney achey banati hai na.
Tulsi looks and not happy with it.
Mohini saying to Gaytri: Dadi, aap khaye gee Aloo mater dadi?
Gayatri: nahee mohini,daal dhokri keh samney aloo mater kia cheez.
Savita: haan woh bhi theek hai, bander(monkey) kia janey adrak ka sawad. (everyone is shocked to hear this from savita) waisey aloo mater bahut achey baney hain.
Gayatri: arey wah, ganga aik baat to teh hai. tere haath mei jo sawad hai na woh kisi haath mein hai nahe. aur waisey bhi mein insaan ho bander(monkey) to nahee. koi shak ( savita and everyone is shocked to hear this from gayatri)
Mohini says to herself wah wah kia taney marey ja rahey hain, aloo mater aur daal dhokri ki larai to pehle baar dekh rahee hoon mein ab tanooh peh rukh na ja plate utha keh phainkoo, kuch toothey, kuch phootey tab mazey aye na saber ker mohini, saber ker thori dair mein yehi honey wala hai.haaaaaaaaaan!
Mohini:aa sassu maa! aap ko kia acha laga?
Tulsi:mujhe to dono pasand hai mohini. I mean daal dhokli aur aloo mater. Waisey meri bahu's neh khana banana meujh seh he to seekha hai. ager tum aaj keh khaney bananey mein kisi ko credit deyna chati ho to tumhain maa aur chachi ko daina pareh ga, kiyu keh meine in seh khana banana seekha hai. haina ganda, damini? (savita and gayatri is surprise to hear this from Tulsi. Damini and Ganga smiles and mohini lost her hopes that there is no more fights and says to herself ary ary yeh kia kar rahee hai tulsi maii, yeh to in ka mood theek kar rahee hai.)kal ganesh, to kal ganpati ji ki stapna ho gee ghar mein.
Mohini: haan, ganpati ki stampna ghar mein?kinta taam jhaam ho ga ghar mein, dadi(mohini says with a sad face)
Tulsi: bhagwan keh kaam ko tum taam jhaam kheti ho mohini?? aur waisey bhi itni sari bahuiyeen hain betey hain kar leh gey sab mil jhul ker kaam. (everyone is not so happy with tulsi decision about helping together. Then tulsi hands over the aloo mater to ganga and daal dhokra to damini)Damini aik kaam karo beta, yeh zara apni dadi ko dena aur ganga yeh chachi ko.(savita and gayatri are not happy to eat it.
Savita:tulsi meine kaha na, mujhe nahee chayee.
Tulsi: ary kha keh to dekhye, itna sawad hai keh baki sab bhool jaye gee. Mohini!
Mohini: haan(with surprised)
Tulsi: tum bhi khao
Mohini: haan kha rahee hoon, dono, bahut achey hain( mohini angry at tulsi and says to herself: acha khasa tamasha hotey hotey reh gaya,yeh tulsi mayaya neh kar dia neh mere khel ka kabara, sara maza he kirkara ho gaya)
Tulsi is smiling very happy at the table everyone is eating peacefully, but savita and gayatri are eating but not with happiness.
Ba: Tulsi Beta!
Tulsi: jee Ba
Ba: tujh seh aik baat karni hai beta.
Tulsi:boliye.
Ba: Beta, Ganesh jee ko ghar mein lah ker, un ko yeh larai jaghry batana zaroori hai kia? pehle jab woh ghar mein atey thy to kinty pyar seh un ka swagat kartey thy, leikin ab ilkawal, mitmitaoo, yeh larai jhagrey, yeh kich kich, nahee tulsi nahee, kiya yeh batana acha lagey unhe. arry jab rishtoon mein dirarrein par gaye hain, to hum un ka swagat kaisey kar saktey hain?
Tusli: Ba, bhagwan seh aj tak kahee kabhi bhi kuch chupa hai? Ganesh ji iss parewar ka haal achi tarah jantey hain, aney dijiye unhe, dekhney dijiye iss parwar ko sangat mein, dukharta kehtay hai na ganesh ji ko? aap dekhiye ga, un keh aney seh gahr parewar kaisey phir se aik ho jaye ga.
Ba with happy face: yeh to meine socha he nahee tha betay
Tusli: aap ko kiya laga? mein itni jaldi, itni asaani seh haar maan jaoo gee? aaj bhi iss ghar keh betoo mein bahuoo mein, sab pyar hai baa. bas yeh apna pan bahir laney ki zaroorat hai, aur hum Ganesh ji keh saath mil ker poori koshish karey gey, phir dekhiya kaisey iss ghar mein khushiyaan cha jaye gee. mein waida karti hoon aap seh, iss ghar mein jitni bhi dooriyan hai mein sab mitta doon gee
Ba wishes tusli, ba and tulsi smile with big smile and happiness.
Preview:
Karan, Gautam, Sahil and Mihri are siting in the sofa room and discussing matter about the business.
Mihir: Public dealers ready kharey hai humara business leiney keh liye. kaisey samjhaoo tum teeno ko.
Sahil: Haan barey papa, leikin aaj yeh situation khari hui hai to is mein humara kia qasoor
Karan: papa meine bahut samjhaya tha gautam ko, keh rehtay he wholesales tak humara maal poonch jana chayee.
Gautam: acha, to yeh mere kasoor hai? ager faisla mera hota to yeh sab nahee na hota.
Sahil: decision leyne mein ager tum neh kam samye liya hota, to yeh sab na hota.
Gautam: Shut up Sahil!!!!Everyone is shocked to hear this from gautam.
My opinion: Tulsi was great as always. I think karan and sahil should try to make gautam understand. karan should know that the family is important especaily for tulsi, mihir and ba.
Sorry guys, if i wrote bad hindi. it is that it was very hard for me to write in hindi. I thought how about just give a try so everyone in the IF will enjoy it reading. If this was hard for you guy to read. then let me know I can give a another update in english but let me know. I hope you will enjoy reading. and sorry for posting so late. It was that i was rewinding alot that if i have miss any lines. Enjoy 😃 😃