Happy Holi!
Holi, sabko shayad acchi lagti kyonki ye tyovhar hi aisa hai. Kain rang aur un rango me lipte huve hum. Kitna khoobsurat samaa hota hai in rango se, hamari zindagi ke rang shayad us din hamari zindagi se bahar aakar sare jahan me bikhar jaate hai aur isliye hum holi manate hai mgar Holi manane ke pichhe ek bahot badi wajah hai jo shayd kain logo ko maloom nahi hogi aur who ye ki uske pichhe ek kahani hai jo kuch is tarah hai,
Aaj se shayad teen-char hazar saal se pehle ek Raja huva karta tha jiska naam Hirnyakashipu tha, uski behen thi uska naam Holika tha aur raja ke bete ka naam Prahlaad tha. Hindu shastra mutabik Hinduo ke teen mukhya Devta hai Jisme sabse pehle Vishnu dev aate hai aur yahan Hirnyakashipu bahot hi zalim aur kharab aadmi tha aur who ek danav tha means bahot zyada bura insane aur job hi uske rajy me bhagvaan yani ke Vishnu dev ki pooja karta usse who maar dalta, doosri or uska beta Vishnu dev ka bahot accha bhakt tha, har samay Vishnubhakti me apna samay guzarta isliye Raja ne apne bete ko marvane ki koshishe ki magar bhagvaan ki kripa ke karan prahlad bach jaata, phir Holika ke paas ek aisa kapda tha agar who leke who chale to who nahi jal sakti isliye raja ne apni behen ki god me Prahlad ko bithaya, Holika ne who kapda pehna taki who bach jaaye aur Prahlad agni se mar jaaye magar bhagvaan ki kripa se Holika jalkar khak ho gayi aur Prahlad bach gaya isliye doosre din sabne is tyovhar ko rango se manaya jisse dhooleti kehte hai. Har saal Falgun maas ki Poornima ke din Holi hoti hai, hamare yahan Holi ke din sham ko lakdiya, kites un dono ko milakar Holi jalai jaati hai aur sab log uske darshan karte hai aur pooja karke pradkshina karte hai, doosre din sab rango se holi khelte hai.
Adharm par dharm ki jeet hui,
Jali Holika Prahlad ki mukti hui,
Har taraf Rango ki bochhar chhayi
Kyonki dhoom dham se Holi aayi!
Lal rang se pyar badhe,
Aaye hare se hariyali.
Kesariya se badhe shaurya
Aur Aasmani se faile har taraf khushi!
Maro pichkari khelo holi,
Zindagi me rango ke sath faile khushhali!
Rango se badhe pyar,
Bado se mile aashirvaad.
Mubark ho Holi ki saugat,
Aur aap rahe hardum khushhaal!
From: Janki Trivedi. (Janu)