Sumit, in the shoot rehearsing alone, when Soumy comes.
Sumit : kahaan reh gaya tha?
Soumy : ermm….bas….wo kuch kaam tha.
Sumit : theek hai chal, tujhe dresses differentiate karni hain.
Soumy : okk…chalo.
When shoot is over,
Soumy : yaar subah se kuch nahi khaaya hai, meri maid chutti pe gayi hui hai… 😆 😆
Sumit : to aa jaata saath mein lunch kar lete…..par tu mujhe mila hi nahi.
Soumy : haan wo kuch kaam kar raha tha, waise Mary bata rahi thi ki wo jo nayi ladki aayi hai wo khana bada achcha bana leti hai? 😉 😆
Sumit (without any expression) : pata nahi, mujhe koi fark nahi laga. 🤢
Soumy (thinks) : arey yaar yeh Sumit bhi naa…….baat kaise badhaon? 😆 😉 (speaks out) achcha tujhe pata nahi chala to koi baat nahi….main pata laga lunga…chal…aaj tere ghar pe hi khana kha lete hain. 😆 😆 😆
Sumit : theek hai.
Sumit calls home and Kumkum picks up.
Kumkum : Hello.
On listening Kumkum's voice he feels something 😳 😳 but he snaps out of it and speaks,
Su : Main Sumit, aaj Soumy ghar aa raha hai, to batana tha…..khaane ke liye. 😛
Kk : jee, theek hai.
Kumkum keeps the phone and turns. Mary was standing with crossed arms.
Kk : wo…..Sir ka phone tha…aaj Soumy Sir bhi aa rahe hain…..to wahi batane ke liye… 😆
Mary : par tum to khaana pehle hi bana chuki ho.
Kk : jee…..main aur bana ….
Mary : Tumne aaj zyaada khaana kyun banaya?
Kk : jee….dh…..dhoke se ban gaya…….par achcha hai ab phir se nahi….. 😆 😆
Mary : Main jaanti hun tum kya karne waali ho….
Kumkum is quiet now.
Mary : Why?.....Kya zarurat hai iski?...You know iske baad…wo tumhe naukri se nikaal denge. 😕 😕
Kk : Main bas unke dil ki kadvaahat nikaal chahti hun..warna wo kabhi khush nahi reh paayenge. 😊
Mary keenly luks at her, but Kumkum changes the topic…
Kk : Aunty, aap chinta mat karo.
Mary sighs and goes from there.
Kumkum : Darr to mujhe bhi lag raha hai Sumit se dur jaane ka par main Sumit ko is tarah pareshaan bhi to nahi dekh sakti, aise to main uske paas rehkar bhi kabhi khush nahi reh paongi. 😭
Then the doorbell rings and they come, Soumy goes near Kumkum and whispers,
So : Phir se soch lo.
Kk : Soch liya.
And she goes inside kitchen. Sumit and Soumy have food. Then Soumy says,
Soumy : Koi sweet dish hai kya?
Kumkum comes and opens a bowl having, "gajar ka halwa", Sumit sees it , but he couldn't react, as Soumy was there, Sumit felt uneasy but couldn't even go from there. 😉
Soumy : Tu bhi le naa…..Sumit.
Sumit : Nahi….mera mann nahi hai. 😡
Then Soumy leaves after it, Kumkum closes the door and starts going inside,
Sumit : ruko.
Kumkum stops. Sumit goes to her and stands beside her.
Su : halwa tumne banaya hai? 😡
Kk (luks at him with confidence and firmness) : jee, wo Soumy Sir aane waale the naa.
Su : maine us din jo Mary se kaha tha tumne suna nahi tha kya? 😡 😡
Kk (still luking at him) : Suna tha par samajh nahi aaya tha. 😳 😳
Su : kya???.....Kya samajh nahi aaya tha? Yeh ki main nahi chahta ki… 😡
Kk (cuts him off) : ki gajar ka halwa is ghar mein bane…..hai naa…yehi to samajh nahi aaya…..ki kyun? 😕
Su : main wajah bata chukka hun ( saying this he turns around). 😡
Kk : kya …..yeh ki aapki dadi ke na rehne ke baad halwa nahi banega kyunki wo dadi banati thi….isliye?
Su ( turns towards her ) : Listen you…
Kk (again interrupting) : to phir ek kaam kariye khaana bhi mat khaaya kariye kyunki wo khaana khati bhi to thi naa? 😡 Aur hasna, wo to aap pehle hi chod chuke hain to kaam karma bhi chod dijiye, aur to aur is ghar ko bhi chod dijiye kyunki wo yahin rehti thi naa… 😡 😡 .balki main to kehti hun ki aap jeena bhi chod dijiye kyunki aapki dadi …..jee bhi nahi rahi naa….
She says the last words very softly. Sumit did not know what to say. He got disturbed. 😕
Sumit ( shouts ) : Dekho tum apni had paar kar rahi ho…. 😡 😡
Kk : Chillane se sach nahi dab jaayega. ( Softly ) Kyun kar rahe hain aap apne saath yeh? 😕 (Pauses) Sir, agar aapko apni dadi se sach mein pyaar hai to aapko unki tarah banna hoga. Aap hi bataiye, agar aapke mummy-papa ke jaane ke baad aapki dadi bhi apne bete-bahu ke khone ke gham mein jeena chod deti to aap ka kya hota? 😳
Sumit lukd at her, not angrily, but with pain.
Kk : aap bataiye ki aap ko aise dekhkar kya aapki dadi ko khushi milti…???? Nahi naa….. arey balki jo cheez unhe pasand thi use na sirf aapko istemaal karma chahiye balki logon ko bhi dena chahiye….kyunki yeh unka aashirwaad hua naa? 😳 Aapki khushi se aapki dadi ki atma ko shaanti milegi, kyunki unki khushi to aapse hi thi naa? 😳 😳
Both are quiet , after a long pause Sumit speaks,
Sumit (with his back towards Kumkum ) : Mujhe thodi der ke liye akela chod do. 😕
Kumkum : Sir..
Sumit (turns angrily) : Leave. 😡
************************************************************ ************************************************
Kumkum goes away, a little afraid. She goes outside, the wind was cold and hard, in the same way as it was on that day when she met Sumit , i.e. she came infront of Sumit's car. 😕 😕
Kumkum ( thinks while walking towards her quarter) : Wahi mausam, us raat ne meri zindagi badal di thi, aur aaj bhi kuch aisa hi hoga. Shaayad mera aur Sumit ka saath itna hi tha, magar main khush hun ki main Sumit ko khushiyaan dekar jaongi, bas wo apne dard se baahar aa jaayen.