Theek somewhere in the year 2011, Oct ka mahina tha aur ek Mahan show ka janm hua. Thoda hatke tha, matbal ee ki hum jinhe uncle kehna chahiye tha unhise pyaar hogaya.
Aur pyaar bhi koi aisa vaisa nahi ki pehli nazar ka. Ab yeh bhi kya poochhne ki baat hain? Saaiyaan ko Naino ki BHasha padhni hi nahi aati. Arre bhai, neurosurgeon hain. Koi Bharat Natyam ke dancer nahi...
Anyway, this post is my tang khichayee of each and every character of KTLK, starting from Nidhi.
Dr Nidhi Verma:
Also Known as Ms Titli. Pehli baar inhone prathrana ki fail hone ki. How stupid. Fail hi hona tha to aur kitne tareeke hain, Usme Bajrangbali ko involve kyoun kar rahi ho? Phir yaad aaya: yeh serial, isme log thoda hatke hain.
Yeh to show ka main character hain. Inki car ne kissi car ko takkar maari aur yeh lo. Kya hogaya. Waise India ke kai shehro main din main teen chaar baar aisi takkar hona aam baat hain. Log mudkar bhi nahi dekhte. Ab harr takkar se pyaar bhi hone laga to? Hey bhagwan! Meri Raksha Karo Ji. Shayad isiliye mere Pappa mujhe two wheeler nahi dilwarahe.
Ab inki chulbuli nature ka kya kahe. Doctor saab ke saare paise hathiya liye aur dakaar bhi na li. Baad main pyaar, taqraar, roothna-Manana, bichhadna-milna...aur shaadi to hogayi.
Shaadi ke pehle aur shaadi ke baad...pehenaave main itna farq? Shaadi ke pehle, yeh titli thi. Bade mast kurti aur leggings pehenti thi. Shaadi ke baad: sarees aur Anarkali. Is that an effort to hide shaadi ke bad ka the inevitable weight gain? Shaadi ke pehle inko koi cooking nahi aati thi. Shaadi ke baad, apart from the first cooking disaster, master cook ban gayi. Itni ki miya ne bhi tareef kar hi dali. Kaunsa cooking class join kiya ji?
Shaadi ke pehle: daktari se nafrat thi Aur bachcho se pyaar. Shaadi ke baad: Mujhe abhi bachha nahi karna, abhi daktari.
Jewellery: shaadi ke pehle: light eardrops. Shaadi ke baad...OMG! AIsa laga ek baar ki inki earlobes main tear aa jayega. Aur haath main chudiya...HM pe yeh gaana hona chahiye tha...jhumka gira re..uss jungle ki machan pe...ya phir mere haathon main...Magar kya sunayi diya? Chup tum raho, chup hum rahe...Aur hum chup hi rahe. Aur baaki junky-funky necklaces bahut pehenti hain. Wo jo jewellery gift main mili usko kiss din ke liye rakha hai ji?
Baal: inhone sirf do ya teen baar apne baal bandhe honge. OPeration theatre ko chhod kar, Priyanka ki shaadi main, Shehanshah ke episode ke baad, apni shaadi aur goli lagane ke baad. Inke baal uljhate kyoun nahi, yeh ab tak samajh main nahi aaya. Shayad Ashu Miya kanghi karte honge ya phir yeh ek wig hoga. Kitni bhi pareshani ho, apne baalon ko yeh kaan ke peechhe dalna nahi bhoolti. Shayad apne ear-rings dikhana chahti hogi...hume kya pata?
Joote: baat mat karo. HM ki packing dekhkar aisa laga ki saari umr bhar joote khareedne nahi padenge inhe.Ashu Miya to aise daar gaye ki ekaadh inhone mujhe maara to meri raksha koi nahi kar payega.Waise yeh high heels pahanti kyoun hain? Ashu Miya itne lambe haina. To akhir fisalkar saiyaan ki baahon main hi to pahunchna hai. We dont mind. But we recommend a ladder next time.
Makeup: Sirf Kajal, aur wo bhi waterproof. Yeh glycerine ke aansu kitna bhi roye, kajal kahin nahi jane wala. Lipstick aur rouge hamne shaadi main dekhi thi. Chalo theek hain. Magar nakhoon to cut karna chahiye na. Itne bade bade ki baat mat poochho. OT main gloves utariye aur apne nails se kaam chalayiye. Nail biting climax hojayega. Waise bhi surgery ki expert hain, aapke pati ne bhi to certificate de dala: kitchen main operation nashta aur operation theatre main breakfast?
Inki saarees: thoda yahan se, thoda wahan se. Kapda udhar liya, stich kar liya aur hogayi saari. Blouse to common hain. Waise bhi uski ore koun dekhta hain? Waise that light blue saree is too good, you flicked it nicely from Suhasini, who had flicked it from Mallika.
[FONT=Verdana][/FONT]
Uncles and Aunties: let me know if you like this, I will continue...<font size="3">[/SIZE][SIZE=4]</font>