
In barisho me tere pyaar ki chhaya mil jaye
Na koi tammanna rahe ,na koi afsos rahe
Har dum tere zulfo ki ghata rahe
Chahe mera dil rahe na rahe
Aapko roshan karti hai yeh chand ki roshani
Hume toh suraj ke tapish se bhi dar nahi lagta
Subah ki paheli kiran Nidhi ke badan par giri aur usi suraj ki roshni me Nidhi ne paheli angadai li.
Ashutosh dur se angadai leti Nidhi ko nihaar raha tha
Nidhi chauk gai.Usko pata chala ki Woh khud bed par thi aur Ashutosh Sofe par.Bahar Balcony me barish ki boonde gir rahi thi.Bahut hi halki dheemi barish ho rahi thi.Andar bhi uske chheete aur hawaye aa rahi thi.
Nidhi kuchh kahena chahti thi lekin Ashutosh ki woh haseen nigahe use rok rahi thi.Woh bhi Ashutosh ki nigahome kho gai.Wohi pyaar bhari nigahe Nidhi ko Ashutosh ki taraf khich gai.Woh Ashutosh ke pas jakar khadi ho gai.
Ashutosh wahaa se ek inch bhi nahi hila.Usne sirf apni najare ghumayee.Nidhi uske pas aayi aur usne dekha Ashutosh hil bhi nahi raha hai toh woh uske sirhane khadi ho gai aur Ashutohs ko uthneka ishara kiya.Ashutohs ne questioning look se puchha,"KYa?"
Nidhi:Muze yahaa baithna hai.
Ashutosh :Jagah kahaa hai?
Toh Nidhi ne zatke se uske sur ke neeche ka takiya uthaya aur khud wahaa baith gai aur Ashutosh ne halke se apna sur usgi god me rakha.
Nidhi:Apne sofe par ek seat nahi de sakte,muze zindagi me kaise jagah denge aap?
Ashutosh:Nidhi ji,maine toh apna sur aapki godi me rakh diya aur kahaa jagah chahiye aapko?
Nidhi ne Ashutosh ki aankhe chumi aur Ashutosh ne lete hi use apni majboot bahome le liya,"Doll!bus yahi mera sapna tha joh aapne sach kar diya.Meri aisee hi subah ki maine kaamna ki thi.Tum meri zindagi me bilkul angel bankar aayee ho.Mai yuhi tumhe Doll nahi kaheta.Meri zindagi ke sare sapne tumhi se hai.
Aur Nidhi ne uske hotho pe apne hoth rakh diye.Tabhi Ashutosh ka cell phone baja.
Armaan:Hello Ashu,so raha tha kya?Nidhi ke roo me jakar use utha dena.Muze pata hai tuze yeh bhi nahi pata hoga ki Nidhi ko raat ko andhere se dar lagta hai.Tuze uske pas hona chahiye tha ashu.Kab samazega tu?tere usoolo se badhkar Nidhi ki feelings hai yaar.
Ashutosh:Sorry bhaiya.Main aage se dhyan rakhunga.Nidhi ko bhi sorry bolta hoo.
Aur Nidhi yeh sab sunkar apni hansi control kanrki koshish kar rahi thi.
Ashutosh ne dekha ki Nidhi se uski hansi control nahi ho rahi hai toh usne apna haath Nidhi ke muhpar rakha.
Nidhi ko bhi shararat suzi.Woh Ashutosh ke haath pe muh se gudgudi karne lagi.Ab toh usko bhi hansi aa rahi thi.
Armaan:Achha Ashutosh,tum log kitne baje nikal rahe ho?
Ashutosh:Kyon Bhai?wahaa mausam achha nahi hai kya?
Armaan:Mausam toh suhana hai aur storm bhi ruk gaya hai.Lekin kal shadi attend karni hai aur tum humari tarah fans gaye toh?
Ashutosh:[Mun me] main toh chahta hoo ki hum fanse.teen char din yuhi mausam kharab rahe.
Armaan:Ashutosh sun raha hai na tu?
Ashutosh:Toh hum nahi aate wahaa bhai.
Armaan:are nahi aa jana lekin main bhi yahaa rukta hoo.Hum saath me ghumenge.If you don't mind?
Ashutosh:main kyon mind karoonga bhai?chalo toh yeh waqt saath me bitayenge?
Armaan:Theek hai hum yahi intejaar karte hai tumhara.
Ashutosh:sure bhai.
Ashutosh ne Nidhi se kahaa,"Hey doll ! chalo bhai aur bhabhi bhi humare saath honge wahaa.Jaldi ready ho jao.Aur no saree please.Anarkali pahen lo.Confortable rahega tumhe.
Nidhi:Lekin kaunsi pahenu?
Ashutosh:Muze pata hai ki tum chahti ho ki main tumhe suggest karoo.But love,apni marji toh rakho.
Nidhi ne apni dono bahe Ashutosh ke gale me dali,"Major sahab,Aapki marji aur meri marji alag thode hi hai?dekhiye meri aankhome jaise aap ho.Aapki aankhome bhi toh main hoo na?
Ashutosh ne yeh sunkar Nidhi ko apni bahome utha liya aur kahaa,"chalo ab batao meri aankhome kaun hai?"
Nidhi:main hu aur kaun hai?
Ashutosh ne Nidhi ko uthaye do chakkar lagaye.
Nidhi:Chaliye muze neeche utariye.Hume late ho raha hai.Aap bhi jakar fresh ho jaiye.Waise agar aapko mere saath fresh hone hai toh [apne dono haath uthakar] muze koi objection nahi hai.
Ashutosh:You will have to pay for this.main tumhe dekh loonga.Sab vasool karoonga.
Aur Ashutosh apne room me chala gaya.
Nidhi washroom me fresh ho rahi thi ki uska cellphone baja.
Nidhi ne hadbadi me Gown pahena aur bahar aa gai.
Ashutosh ka naam display hota dekhkar Nidhi ne phone liya aur fir se washroom me aa gai.
Nidhi:Ab kya hai?
Ashutosh:Tumne toh muze bataya nahi ki main kya pahenu?waie tum kya kar rahi ho?
Nidhi:washroom me hoo.Puri bheeg gai hoo.Please aap baad me call kijiye na?
Ashutosh:Ek click bhejo na?
Nidhi:aap pagal ho gaye hai
Ashutosh:ab jo hu pagal hoo,hesrtstone hu aapka hoo.
Nidhi:muze yeh pagal aur heartstone apni jaan se bhi jyada pyaara hai.waise ek baat kahoo?aap pe har rang khubsurat lagta hai toh aap apni dress khud decide kijiye aur main phone rakh rahi hoo.
Ashutosh:Toh shart lagate hai ki kaun sabse pahele taiyaar hoga?
Nidhi:Aap toh nahaye nahi hai.Main hi sabse pahele taiyaar ho jaoongi dekh lena.
Ashutosh:challenge?
Nidhi:challenge.Kya shart hogi?
Ashutosh:jo jitega uski fav destination pe honeymoon hoga.
Nidhi:Manjoor hai.Waise muze toh aapke saath kahi bhi bheje.Woh meri fav jagah hogi.
Ashutosh:toh meri barbie doll ! darwaja kholiye main darwaje pe hoo.
Nidhi:Hey! aap ready ho gaye?
Ashutosh:main toh baat karte karte bhi ready ho sakta hoo.Aap hi do kaam ek saath nahi kar sakti.
Nidhi ne anarkali pahen li aur bahar aayee darwaja kholne.
Ashutosh ne Nidhi ko gaur se dekha.
Nidhi ne balose pani tapak raha tha.Wohi pani ki bunde uske chahere par bhi aayi thi.Woh itni khubsurat lag rahi thi ki Ashutosh apne hosh kho baitha.
Nidhi dressing table ki taraf mudi.
Ashutosh:Nidhi main apna vollet bhul gaya hoo main lekar aata hoo.
Woh jaise hi muda Nidhi ne uski kalai pakad li.
Nidhi: Major,ab aap muzse apni bechainee chhupa nahi sakte.Ab muze lagta hai ki aap muze apne dil ki feeling khulke keh sakte hai.Major,pyaar me koi bandhish nahi hoti,na hi pyaar ka koi kanoon hota hai. Pyaar toh har bandhan todne ka naam hai. Pyaar toh tutkar kiya jana chahiye.Jaise main karti hoo aapse bahut jyada bahoot hi jyada.Jiska aapko andaaja bhi nahhi hai.Kabhi kabhi main apne hosh kho deti hoo kyonki meri nigahe aapke liye tarasti hai aur aap samne aa jate hai toh registaan ke ret pe jamkar barish ho jaye aisee meri halat ho jati hai.I love you,I love you.
Ashtuosh ne yeh suna aur usne Nidhi ko apne bahome bhar liya,"Nidhi,doll ! tumse main bhi bahut pyaar karta hoo.Lekin utna muze dar bhi lagta hai.Ab toh lagta hai hume jaldi shadi kar leni chahiye taki yeh dar khatam ho jaye aur main tumhe woh barish de sakoo jisme hum bhigna chahte hai.
Nidhi:ab toh main Mrs Ashutosh Mathur banane ka intejaar kar rahi hoo.
Ashutosh: My sweet heart Nidhi Ashutosh Mathur.
Aur dono ki nigahe ekdusre se takarakar wapis aa rahi thi.
Ashutosh aur Nidhi car ki taraf mude.Aur Ashutosh ne Nidhi ke liye darwaja khola.
Ashutosh car drive kar raha tha.Nidhi uski next seat pe baithi thi.
Nidhi:Major car dheere chalaiye ha!Muze bahut dar lagta hai in vadiyo se.
Ashutosh :Main hu na Nidhi?mere sath bhi tumhe dar lagta hai?
Nidhi: Muze yahaa thand lag rahi hai.Bus isiliye.
Ashutosh:Doll ! yahaa toh aisa hi mausam hota hai.Ha agar tum chaho toh mera jacket pahen lo.
Aur Nidhi ne Ashutosh ka jacket pahen liya.
Nidhi:Muze yeh jacket pasand hai kyonki isme aapke badan ki mahek hai.
Aur Nidhi thodi der Ashutosh ke lap par so gai.
Ek haseen safar ke baad Ashutosh aur Nidhi Panchgini pahuche.
Mallika aur Armaan unhe pick up karne aaye the.
Mallika ko dekhkar Nidhi daud padi aur Mallika se lipatkar rone lagi.
Ashutosh aur Armaan hairaan ho gaye.
Armaan Ashutosh ke pas aaya aur usne Ashutosh ka kaan maroda,"Nidhi kyon rone lagi?maine kahaa tha na ki uska dhyan rakhana.Aiuse dhyaan rakha uska?
Mallika:Kya Armaan kuchh bhi? Nidhi toh rotadu hai.Muzse ek din dur raheti hai toh milne ke baad yahi karti hai.Ashutosh ka koi kasoor nahi hai.Pagal hai yeh Nidhi.
Nidhi:[Dheere se] Sorry Jiju.Sorry Jee.
Aur sare hans pade.
Ashutosh ne Nidhi ki aur dekha toh usne apne dono kaan pakad liye.
Armaan:Chalo ab hum chaandal chaukdi milkar Panchgini me dhamal machate hai.
Charo saath me," Hurrey ! Hurrey ! Panchgini here we comes.
Aur Armaan aur Ashutosh ne apni apni jaan ke gale me bahe dali aur nikal pade suhane safar par.
Hope you will like and enjoy it
Edited by parmarA - 11 years ago