Nidhi and Ashutosh in Hotel.
Nidhi's phone rang.
Nidhi: Ha baba,main bus ghar hi aa rahi hu.
Col Verma:Ashutosh ko phone de
Nidhi:jee Baba.
Aur usne Ashutosh ko phone diya.
Ashutosh was confused.
Ashutosh:Ji Baba kahinye.
Col Verma:Ashutosh raat bahut ho chuki hai aaj raat ko tu yahi ruk ja beta.Nidhi ke saath tu bhi ghar wapis aaja.
Ashutosh:Lekin baba
Col Verma:are bahi Armaan ne hi kahaa ki tum yahaa ruk sakte ho.Ab ghar aa jao tum dono
Ashutosh:Theek hai Baba.Hum thodi der me nikalte hai.
Ashutosh to Nidhi:Hum dono ko ghar jana hai.Baba ne kahaa ki aaj ki raat main wahaa ruk jaoo.Aap kya kaheti hai doc?
Nidhi:Main kya kahoo jee?waise agar sach me meri suno toh muze toh abhi se aaphi ke pas rahena hai.Kaash woh din jaldi aaye.
Ashutosh: woh din jaldi aayega Nidhi.Bahut jald.
Ashutosh took Nidhi's hand and told,"Nidhi,main is pyaar ke naam se kaise mehroom raha itne din?tum kahaa thi Nidhi?ek mulaqat ne hume kya se kya bana diya."
Nidhi ne apna sur Ashutosh ke shoulder par rakha,"Jee aapne toh meri zindgi bana di.Maine jitna socha tha us se kahi jyada achhe hai aap.Itne achhe ki mere pyaar din b din badhata raha hai.Itna ki dil chahata hai ki abhi bhi agar aankhe band ho toh aapka hi chehera dekhti rahu.
Ashutosh put his hand on her mouth."Aisee bate nahi karte Nidhi.Sochke bhi dar lagta hai."
Nidhi:Aage se nahi karoongi.Waise ghar chale?
Ashutosh took Nidhi in his arms,"Are aaram se!chalte hai thodi der ke baad.
And he gave tight hug to Nidhi and gave her a beautiful nose pin.
Nidhi:Are yeh kya?fir se gift?
Ashutosh:Gift nahi hai yeh mera pyaar hai Nidhi.
Nidhi:lekin abhi toh diya tha.
Ashutosh:Nidhi,tum kaisee ladki ho?jo kabhi demand hi nahi karti.Tumhara toh brain test hona chahiye.Warna ladkiya toh aaye din tohfa mangke apne pati ki jeb aur dimag dono dheela kar deti hai.
Nidhi:main aisee ladki nahi hu.
Ashutosh:Min toh yeh chahta hoo ki tum muzse roj gift mango.Kyonki main toh tumpe pyaar ki barish karna chahta hoo.I want to pamper you every time.Main toh chahata hoo ki main tumhe roj tohfe deta rahu aur tum mere samne woh paheno aur main khush ho jaoo.Bus itna sa khwab hai.
Nidhi:Aap aisa kyon chahte hai?
Ashutosh:Nidhi,tum ladki ho.Har ladki apne Honewale pati se ya pati se yahi chahti hai ki uska pati uska dhyaan rakhe.Usko pyaar kare.Badle me Biwi bhi uski har jarurioyat puri kare.Tabhi toh gaddi chalti hai aaram se.Bina zagade ke.Aur main bhi toh yahi chahta hoo ki tum mera dhyan rakho aur main tumhara.
Tabhi toh hum tum aur main se HUM honge.
Nidhi was overwelmed by his words.
Nidhi ne Ashutosh ke dil par haath rakha aur boli,"aapke paas bahut hi khubsurat dil hai."
Ashutosh:Aur mera pyaar bhi bahut khubsurat hai.
In Mathur Niwas.
Nidhi aur Ashutosh ghar par aaye toh dekha ki Deepak wedding card lekar aaya tha aur woh baba ke saath baitha tha.
Ashutosh use dekhkar chauk gaya.
Ashutosh:Abe tu yahaa?aur yahi tha toh phone kyon kiya?sidha milne aata?
Deepak:Muze thodi pata tha ki tu bhi muze yahi milega?muze toh Armaan ne bataya ki Baba Lucknow me hai aur main yahaa aaya hua tha toh socha ki unhe bhi card de du.Lekin tune bhi toh nahi bataya ki tune bhi apni sasural yahi dhund li hai.
Ashutosh ko yaad aaya ki Nidhi aur Deepak ka intro nahi hua hai.
Ashutosh:Sorry,Nidhi yeh mera dost hai Deepak Zala.Aur Zalle yeh Nidhi hai.Col vermaji ki beti dr Nidhi Verma.
Deepak:HI Nidhi,waise koi aur bhi intro ho sakta tha lekin tu toh heartstone hai na?kabhi sidhi rit se baat hi nahi karega.Nice to meet you Nidhi.
Nidhi:Nice to meet you.
Sare bate karne lage.Mahol ekdum ghar jaisa ho gaya.
Deepak jane ke liye khada ho gaya.
Deepak: Main chalta hu uncle.Shadi me aap sabko aana hai.Verma uncle aapko bhi aana hai apne pure parivaar ke saath.
Verma:Main toh nahi aa sakta lekin Armaan aur Ashutosh agar aayenge toh Nidhi aur Mallika bhi aa jayengi unke saath.You all enjoy aur col Mathur bhi toh jayenge.
Col Mathur:BHai main toh apne dost ko chhodkar kahi nahi jaoonga.Bache log,tum chale jao hum budhe picnic pe chale jayenge do din.
Ashutosh:Matlab Baba aap Kanpur wapis nahi aayenge?
Col Mathur:tum dono toh duty pe chale jate ho.main ab akela reheke ub gaya hu toh yog ke saath business me help karoonga aur jab tak shadi nahi ho jati yahi apni betiyo se sewa karwate rahoonga.
Tabhi Mallika chai lekar aayi.
Mallika:lekin baba ek suggession hai.Agar aapko pasand aaye toh.
Col Mathur:Ha bol beta
Mallika:Kyon na shadi me jane se pahele Ashutosh aur Nidhi ki engegment kar le toh?
Col Mathur:Brilliant idea.
Ashutosh was kept quite.
Mallika:Nidhi tu kya keheti hai?sagai sadagi se ya dhum dhadake se.
Nidhi sharma ke wahaa se chali gai
Mallika:Baba main janati hu meri Nidhi ko.Use sadagi wala engegment pasand aayega.simple ho ya shorsharabe se lekin usko Yeh sagai jaldi karni hai.Kyon Ashutosh?Abhi karni hai ki do char mahine baad?
Ashutosh:Are nahi bhabhi itna wait kyon karna?
Aur woh khud se apne aap pe chauk pada.
Col Verma:toh fir tum hi batao Alok?inki engegment kab kare?
Col Mathur:Kal Shivmandir me engegment aur sham ko ghar par chhota sa get-to-gether.Shadi dono ki saath me karenge.
Col Verma:Waah mathur tune toh mere muh ki baat chhin li.Toh Armaan se keh do woh subah aa jaye.
Nidhi apne kamare me
Ashutosh dabe pairo se Nidhi ke kamareme enter ho gaya.Woh palang par leti leti Ashutosh ki tasveer se bate kar rahi thi.
Nidhi:Aap itne achhe kyon hai jee?Kis din banoongi mein is raja ki rani?
Ashutosh:Abhi,yahi?
Nidhi ne turant photo ko pillow ke neeche daal diya
Ashutosh:Nidhi,tumhe yu bekaraar dekhta hu toh main bhi bechain ho jata hoo.Khud pe yakeen nahi aata ki main tum se aur tum muzse kitna pyaar karte hai?
Nidhi:Sachi.
Ashutosh:Woh sab jane do.Ek Breaking news suno.
Nidhi:Hum shadi me ja rahe hai na Mahabaleshwar?
Ashutosh:Jaan meri woh toh basi khabar hai.Tajaa khabar yeh hai ki humari kal engegment hai.
Nidhi got excited.And jumped from bed.
Ashutosh:Yes darling.You will be mine after engegment.
Nidhi:sachi Ashutosh?
Ashutosh:waise main tumse ek aur baat bata doo
Nidhi:Ab kya?
Ashutosh:sagai sadgi se ho rahi hai.Subah engegment aur sham ko get to gether.Chalega?
Nidhi came to Ashutosh,"Aap meri zindagi me aate hai yahi bahot hai mere liye.Sadagi ho ya dhum main toh aapki dulhan banana chahti hoo apne naam ke aage aapka naam lagana chahti hoo.Aapike hatho se sindur lagana chahti hoo.Aur aap hi ke haath se mangalsutra bhi pahenna chahti hoo.
Ashutosh:Bus bus Nidhi.Tum jaisa chahogi waisa hi hoga.Bus meri Barbie doll.Kal meri chumar wali saree pahenna.
Nidhi:Kal main wohi pahenungi jo aapne muze diya hai.Puri aapki banakr hi aaoongi main.Intejaar karna mera.
Ashutosh:lekin main agar ek aur cheej tumhe dena chahu toh?kya woh bhi pahenkar aaogi?
Nidhi:JI jaroor.lekin kya?
And Ashu took her in his strong arms and gave a passionate kiss.They both stand like that for long time.Nidhi was too shy and Ashtuosh don't want to let her go from his arms.He want to give Nidhi every beautiful moments which she dreamed and every second he want Nidhi in his life.
Thodi der tak khade rahene ke baad Ashutosh ne kahaa,"Nidhi,ab tum aaraam karo.Kal bahut bada aur khubsurat din hai hum dono ke liye."
Nidhi:Ji Good night
Ashutosh:Good Night.
Next day
Dusre din sare log subah taiyaar hokar Shivmandir pahuche.
DB bahut khush thi aur Shyama bhi
Shyama:Buaji meri bahut ichha thi ki humare do parivaar me kisi ki toh sagai is mandir me ho.Yahaa Shankar ji aur parvati mata ne shadi ki thi.Unki jodi toh atoot mani jati hai.Aur aaj yahaa meri beti Nidhi aur Ashutosh ki sagai hogi.Matlab kitna anokha hai inka pyaar aur sacha bhi.
DB:ha Shyama tu theek keheti hai.Humari dono betiya badi lucky hai.
Tabhi panditji ne sabko wahaa bulaya aur mandir me hi Nidhi aur Ashutosh ne ek dusre ko angoothi pahenai.
Sab bahoot khush the.
Nidhi ne dheere se Ashutosh se puchha,"Yeh angoothi aap kahaa se laye?matlab kharidi kab?aapko meri finger ki size kaise pata?
Ashutosh:Nidhi main military man hoo.Kab kya aur kaun si cheej ki jaroorat hoti hai janata hoo.Ton maine toh yeh ring pahele se hi lekar rakhi thi.Dekho us par blue diamond se Tumhara aur mera naam milakar ASHNI likhawaya hai.Meri ring me bhi hai.
And Nidhi saw that letters ASHNI
Nidhi aur Ashutosh ne apni apni ring ko kiss kiya
Mallika aur Armaan Nidhi aur Ashutohs ke pas aaye aur bole,"Congratulation love birds.Ab chalo Mahabaleshwar jane ki taiyaari."
Ashutosh aur Nidhi:Ha ek aur suhane safar ki shuruat.
Next update within two days.
Till enjoy this update.
Hope you will like it
Valentine day in Panchgini
Edited by parmarA - 11 years ago