Guzra Hua Kal-Updated ch-7 pg 7 - Page 5

Created

Last reply

Replies

65

Views

9.7k

Users

15

Likes

125

Frequent Posters

debaparna77 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#41
Rabzyyy...huggsss 🤗..this is one of ur finest writing ...uske liye jitna bhi bolun kam hai!!😳

Mai iss Nidhi ko janti hoon..samajhti b hu ...and I sincerely hope ke uski saari dukh saari pareshaniyan jaldi dur ho jaaye !! ❤️

baaki, mast likhha hai tumne...ending ka romance to hayee..kya kehna !! ⭐️

jaldi next update doo❤️
Edited by debaparna77 - 12 years ago
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#42

Originally posted by: debaparna77

<font size="2">Rabzyyy...huggsss 🤗..this is one of ur finest writing ...uske liye jitna bhi bolun kam hai!!😳</font>


<font size="2">Mai iss Nidhi ko janti hoon..samajhti b hu ...and I sincerely hope ke uski saari dukh saari pareshaniyan jaldi dur ho jaaye !! ❤️</font>

<font size="2">baaki, mast likhha hai tumne...ending ka romance to hayee..kya kehna !!⭐️</font>

< font size="2">jaldi next update doo❤️</font>

😃 thankoo Deba so sweet of u...for appreciating n understanding .. 🤗
-rhythm- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#43

Nidhi ko laga kitne din kitne mahine kitne saal beet gaye usse ye sune...ki wo thik hai ya nahi...wo kisi ko poochne hi nahi deti ye sawaal...is sawal ka koi jawaab hai hi nahi uske paas...Sawal Bahut saral hai..par uttar utna hi katin...Kyu aise sawal karte hai log..jinka jawaab dena itna mushkil hota hai... 👏 very nice rabzy..

in whole OS , aap ne nidhi ki manosthithi bahot acchi tarah varnan ki hai..very well..
beautiful writing..excellent update rabzy.. agree with deba..👍🏼 one of the finest writing of yours..
aap ki ye kahani badi intresting padav le rahi hai.. Aturta se raah dekhenge..for next update..thanks..
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#44

Originally posted by: rrdsu

Nidhi ko laga kitne din kitne mahine kitne saal beet gaye usse ye sune...ki wo thik hai ya nahi...wo kisi ko poochne hi nahi deti ye sawaal...is sawal ka koi jawaab hai hi nahi uske paas...Sawal Bahut saral hai..par uttar utna hi katin...Kyu aise sawal karte hai log..jinka jawaab dena itna mushkil hota hai... 👏 very nice rabzy..

in whole OS , aap ne nidhi ki manosthithi bahot acchi tarah varnan ki hai..very well..
beautiful writing..excellent update rabzy.. agree with deba..👍🏼 one of the finest writing of yours..
aap ki ye kahani badi intresting padav le rahi hai.. Aturta se raah dekhenge..for next update..thanks..


thankoo heena..yup i m enjoying writing it too..🤗
Cookermaichane thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Expressionist (January 2021) Thumbnail + 9
Posted: 12 years ago
#45
rabzy have to read all in one go...will comment once i finished reading all ok 😊
meenu0527 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 12 years ago
#46
Excellent piece of writing..! itni shudh aur sunder Hindi bahut arse baad padhne mili. Apki kahani dil ko chhoo leti hain. Bahut bahut pasand ayi.kripya likhna jari rakhiye..
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#47

Originally posted by: nidhirohan

rabzy have to read all in one go...will comment once i finished reading all ok 😊


thanks NR..😳
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#48

Originally posted by: Amu_05

Excellent piece of writing..! itni shudh aur sunder Hindi bahut arse baad padhne mili. Apki kahani dil ko chhoo leti hain. Bahut bahut pasand ayi.kripya likhna jari rakhiye..


thanks Amu...achcha laga jaan ke aapko pasand aayi..😃
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#49
Ch-7

Nidhi Dr Ashutosh ki di Diary pakde apne kamre mein bethi thi...Piyush ki Diary yaad aa gayi thi...

Dr Ashutosh ki madad karne ke liye usne Diary ka pehla panna dekha...

Ashutosh ke liye...

Panne ko palta ..pehla shabd dhundhla sa dikha ..Piyush ki yaad ne aankhein bhiga di thi..Diary ko usne bandh kar ke mej par rakh diya...andar se phir se kuch bhikhara sa laga..abhi Dr Ashutosh ne usme Aaatm-viswas jagane ki anthak koshish ki thi..unke jaate hi kaale badlon ne uske antarman ko gher liya...

Andheri Gali hai Gehri aur lambii sirf mere liye...Gali mein chikhoon ya rooun kon sunega?? Dard ki vibhinn prakar ki tasweerein hai mere paas..unko bech doon ...parantu Grahak kaun hoga??..kuch ajeeb sa ghat gaya abhi ...mujhme kisi ne viswas dikhaya aur mujhe swayam par kshanik der hetu bharosa hua bhi..kis bhram mein thi main??...toota hua Bandh Nadi ke jalpravah ko kya rokega??

Saans ki gati bahut dheemi ho gayi hai..Mrityu mujhe apne aalingan mein le le jaldi..ohhh mai itni kamzor ho gayi hoon apni mrityu ki kaamna kar rahi hoon..Baba aur Piyush ko pata chala to kitni pida hogi dono ko...

Khidki khol deti hoon...iss thand mein bhi pasine ki kuch boondein mere maathe par atak gayi hain...ye barfili thandi hawa mujhe sihran de rahin hai..haath paon ka kaanpna mujhe aabhas dila raha hai..main zinda hoon..Man til til kar mar raha ho..tan kintu praman de deta hai jeevit hone ka...

Prabal ichcha ho rahi hai Baba ke gale lag jaaoon...kas kar bhinch kar unhe jakad loon...Dard pighal jayega..Bachpan ki Nidhi chehak uthegi ..jo jeewant thi..Baba sneh se kesh sehlayenge ..sare Darr ..sari asuraksha dhumil ho kar issi Andheri lambi gehri gali mein kho jayengi..uske baad mein..haan usi ke baad mein..aatm viswas se bhari huyi..Dr Aashutosh ki sahayata kar paungi...

Piyush ..ko apne seene se laga pati tab...tab main Khusi ko apne hriday mein samhal nahi pati...nirjhar(jharna) sapat komal zameen se behta..pathrile raaste khud hi aujhal(gayab) ho jate..par ye asambhav hai..Piyush door bahut door jaa chuka hai..uska ek naya sansaar hai..jahan Nidhi aamantrit nahi hai..Piyush ki subah Ria se shuru hai ab..Raat Ria par khatm..Mujhe koi afsos nahi hai...Meri wajah se aaj Piyush aur Ria ek hain...main yahi chahti thi..yahi sahi hai...unke liye jo sahi hai...mere liye wo Galat kyu hai??..Sahi kar ke bhi main Galat kyu hoon??..Piyush ka saamna karne ki himmat mujhme nahi hai..Prashno,khed,gusse,aakrosh se bhari nazar se Piyush mujhe dekhta toh mai uske samaksh chali jaati...main janti hoon wo mujhe sirf sahanubhuti,prem,tadap,yaachna bhari nazron se dekhega jisse saamna karne ki sehanshakti mujhme nahi hai..Piyush tum sadharan purusho jaise kyu nahi ho??..Tum meri zindagi ke abhinn ang ho ye soch kar hi mujhe garv hota hai..Ria ko kaisa lagta hoga??..kaash mai usse jaan paati...sach ye hai ki mai jaanti hoon usse kaisa mehsoos hota hai..jab hamari pichli baar baat huyi thi..usne apne saari bhawnayein mujhse baanti thi...

Ek baat ki santushti hai mujhe Piyush ko Ria bahut bahut pyar karti hai...kya mujhse bhi jyada??.apni hi soch par glani ho rahi hai mujhe..Pyar sneh dard khushi ki kya koi tulna ho sakti hai??..aisi tuchh baat main soch bhi kyu rahin hoon...

Swayam se baat karne ki mujhe lat lag gayi hai...sukoondayan hai..koi upeksha apeksha nahi hai...kisi ko pida pahunchane ka bhay nahi..kisi roothe ko manane ka dabaw nahi..bas main sirf mai..akeli mai..tanha mai...
Nidhi ki aankho se ab awiral dhara beh rahi thi..apni soch se usne khud ko dard de diya tha aur bhi jyada...Diary ke panne mej par pade pade udd rahe they..khidki khuli thi tez hawa andar aa rahi thi..

Nidhi ki aankhein udti huyi panno par gayin...panne kahin phat na jaayein..wo paperweight diary par rakhne gayi...shabdon par nighah atak gayi

"Aabhas hua wo Maa hai"

Nidhi thitak gayi...jigyasa jagne lagi ..Diary ko haath mein utha liya usne..Dr Aashutosh ke barso se ghumshuda jeewan ka satya...ek diary me chupa hua tha...Diary Nidhi ke paas thi..Nidhi mein kuch hulchul huyi...Diary ko usne kas ke jakad liya..ek uttardawitya bodh hua usse..Dr Aashutosh ke prati man komal hua ...

Dr Aashutosh ne ek zimmedari saunpi hai mujhe...ek koshish,ek aasha rahegi unki sahayata karne ki..Piyush awashya hi mujhe protsahit karta unki sahayata ke liye...Ek hi Manodasha se mujhe bahar nikalne mein ye kaam sahayak hoga...kaisa rahashya hai inn chand panno mein??..kitna vivash kar diya inn panno ne DrAashutosh ko yahan iss chote se kasbe mein aane ke liye...Guzre huye kal ko aane wale kal mein dhundhne ke liye??...Jeevan seedhe saral raaste mein ...gaddhe chipaye huye rehta hai...insaan chalte chalte achanak uss gaddhe mein gir jaata hai...phir aarambh hoti hai gaddhe se bahar nikalne ki koshishein...insaan kabhi safal hota hai kabhi asafaal...Dr Aashutosh ke jeevan ka gaddha bahut gehra hai..usse bahar nikalne mein wo safal honge kya??..unka gaddha kya uski gehri lambi andheri gali se bhi gehra hai??..ohh mujhme phir se tulnatmak baat aa gayi...sab ke jeevan mein bhinn bhinn tarah ki andheri galiyan..gehre gaddhe hote hai..har insaan inse apne tarah se jhujhta hai...prakritik satya yahi hai..koi bhi manushya inse bach nahi sakta...gehri saans li hai maine..lag raha hai ek naya jeewan siddhant paa liya...

Nidhi ne Diary ko padhne ka nirnay le liya...Raat bahut ho gayi thi..usse bahut thand lagne lagi..aage badh ke usne khidki ko bandh kiya..palang par baith kar Diary ke panne ko dekti rahi...shabdo se bhare diary ko..jo Dr Aashutosh ke liye kisi ne likha tha...

Usne phir se Diary ka pratham panna khola...

Aashutosh ke liye...

Prem sahit

Tumhara Kaka

Kashinath ...

Bina ruke phir Nidhi padhti gayi..

15 Dec 1974 ..aaj ka din main kabhi nahi bhul sakta Aashutosh..jante ho kyu..aaj hi ke din tumhe mai apne yani tumhare ghar le kar aaya tha...gol matol sundar pyare shishu they tum...hanste khelte...Ghar mein tumhe laate hi mujhe samajh mein aa gaya..tumhari zaruratein kitni badi hai...mujhe koi jaankari nahi thi..ek chote se bachche ki aawashyaktayein kya kya hoti hain...Pados mein Singh ji rehte they unki stree se janne ki koshish ki...jaante ho tab pehli baar jana Manushya mein madad karne se jyada prapanch karne ki prabal ichcha hoti hai...

Singh ji ke ghar ke bahar mein khada tha..unki stree ki pratiksha karte huye...Durbhagyawash Singhji aur unki stree ki vartalaap mere kaano se takra gayin..

Singhji -suno Kashinath ji bahar khade hai..chal ke bata do..

Unki stree-Pehle ye janne ki koshish karo..ki ye bachcha kahan se aaya..mujhe pura sandeh hai..ye bachcha Kashinath ji ki najayaj santaan hai...

Ye sun ke mai Singhji ke dwar par khada nahi reh paaya..ulte paon ghar aa gaya...

Nidhi halka sa muskurayi thi.."bechare Kashinath ji"

Tum soch rahe hoge ye baat idar kyu likhi..koi karan nahi hai..bas smriti mein aa gayi to likh daali...

Aawashyakta aawishkaar ki janani hai...maine bhi bachche ko paalne ke tarike ka aawishkaar kar liya tha...tere saath ek ek pal beetata aur mai samajh jaata tere liye kya chahiye...Hiraman mere liye Raam doot tha..hum dono tujhe mil kar seench rahein they aur tu khoobsurti se badh raha tha...

Mujhe wo kshann aaj bhi yaad hai..jab tune mujhe pratam baar kaka kaha tha..mere hriday mein itna prem kisi ke liye anubhav nahi kiya tha maine...ye ek naveen anubhuti thi aur behad rochak thi...

Dehakte sukhe vriksh ki shaakh par nanhi nanhi kopalein aa rahin thi...sughandhit pushp khil rahein they...aisa vatavaran adiwitya tha..ek pita hone ka anubhav..kisi ka sanghrakshak hone ka garv...kisi ko apna kehne ka sukh..sab tumne diya tha mujhe...apne chote chote haath se mujhe pakad ke kilkari maar ke hanste they tum..main gad gad ho jata tha..jab tum rote they mera hriday vyakul ho jata tha...main tumhari neend sota tha Aashutosh..tumhari nind uthatha tha...mere jeewan mein tumne naveenta bhar di thi..jisse paa ke main bahut prasann tha bahut prasann...

Samay ki suiyaan dheere dheere chalti hai Aashutosh phir bhi samay guzarte samay nahi lagta...tum bhi badi tezi se bade ho rahe they..tumhare vidyalaya jaane ki umr ho gayi thi..main behad vyakul tha tumhare vidyalaya mein dakhile ko lekar...

Uha poh ki stithi thi...uss gadi main kewal Hiraman par bharosa kar sakta tha...Hiraman ne hi samjhaya..

"Babuji bachcha aapka hai..naam bhi aapka hi rahega..kehne ko Kaka hai aap par sach mein to pita hai.."

Hiraman ki hi baat rahi...vidyalaya mein tumhara dakhila kara diya maine...Tumhare pita ka naam Kashinath likhwaya...

Maine tumhe apna naam diya taki tum samaj mein sar utha ke jee sako...maine sadev tumhe tumhari janmdatri ki amanat jaan kar hi poshan kiya hai..har ghadi tumhe azaad rakha...

Kisi bhi waqt mujhe wo milein aur unka beta unke supurd kar doon...

Wo pal kitna kathin tha jab tumhein unke paas se laya tha main...ye kal likh paunga..aaj hriday bhar aaya hai...

Nidhi mein Kashinath ji ke liye Aadar bhaw aa gaye...prem se unhone Dr Aashutosh ko pala posa tha...jaante huye bhi ki wo kisi ki Amanat hain...

Kaun hai Dr Aashutosh ki Maa??..Kashinath ji ko Dr Aashutosh ko unki Maa ke paas se kyu laana pada..Nidhi ke andar Kotuhal jaag gaya tha...

Usne dekha subah ki kiran chaane lagi thi...usne thodi der sone ka nirnay liya..uth ke chikitsalay jana tha...parantu jigyasa usse sone nahi de rahi thi...

Nidhi uth kar Diary phir se Padhne lagi...

ttrocks thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#50
Thank you for continuing with this lovely OS Divyaji. Awesome update!! 👏👏👏

Reading all the chapters ek baar phir -- shuru se -- will come back with detailed review. 😃
Edited by ttrocks - 11 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".