Hi everyone...in this paragraph, i've put down all my feelings...😳 And how we'll miss KA...😳
Shimla ke parhardon mein, in hawaon mein...woh mile the.
Aisa lagta hai ke kal hi Kavyanjali ki shuruat hui thi...aur ajj-woh khatam bhi ho gaya.
Waqt kitni jadi guzarta hai...yeh tu koi humse (KAians) se pooche. KavyAnjali humari Zindagi ka eik hisa bun
chuka tha, aur ajj-woh hisa hi mar gaya-Kavyanjali khatam ho gaya.
Ab sirf woh yadein bachi hain
jo hum sab ne mil ke is forum be banayi hain.
Woh waqt bohat yaad aye ga jab hum har roz excited hua karte thay ke Kavyanjali mein kal kya hoga.
Woh waqt, jab naye naye characters introduce huwa karte thay.
Woh waqt, jab hum sab milke Ekta to bura kaha karte thay.
Aur woh waqt, jab Kavya aur Anjali mila karte thay.
KavyAnjali ki kahani tu khatam ho gayi...laikin ab shuru hui hai asli kahani-Eijaz aur Anita ki Kahani.
Unke alag raste-Anita ki films aur Eijaz ka television.
Hum sab bas dua karte hain ke woh jahan bhi rahein-khush rahein.
Aur bohat jald eik ho jayen.
Ab jab Kavyanjali khatam ho gaya..tu jaldi hi yeh forum bhi khatam ho jaye ga.
Aur mein sabko bohaaat yaad karongi. Itnay sweet dost banaye hain maine yahan.
Aur Bohat kuch seekha bhi hai.
Thanks to everyone for being there for me and Kavyanjali will always stay #1 for us!