Bigg Boss 19-Daily Discussion Thread- 30th September, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 30, 2025 Episode Discussion Thread
Trump's 100% tariff on Bollywood films
DADI AS BOOTH 1.10
What's next? (Multiple votes allowed)
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 1, 2025 Episode Discussion Thread
Budget Single Digit : 7 cameo openings.
Swara Bhaskar..someone who dared to say it out loud #respect
My Box Office Prediction for Sunny Ki....jo bhi hai.
True Face of BIAS & NEPOTISM!
Which faces u r fed up of watching
👻 The Manuscript Marauders 👻 BookTalk Reading Challenge October 2025
What are the professional achievements of gabhira
Gen 5- Major Discussion Thread
Official Teaser - Tere Ishk Mein - Dhanush Kriti Sanon
Sonam Kapoor is in her family way ? (2nd baby)
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 1st Oct '25
The Literary Looters 💰 | Book Talk Reading Challenge October 2025
The Manuscript Marauders Bingo Challenge Thread
PART52
Premeer's bedroom
Prem was standing near window when Heer entered in room.
Heer: kya soch rahe ho prem
Prem: yahi ke che mahine pehle hamari zindagi kaisi thi aur ab kaisi hai
Heer: kaisi thi prem?
Prem: tum mere saath nahin thi lekin ab saath ho
Heer asked mischieviously: to yeh tumhare liye achi baat hai ya buri?
Prem who earlier was in serious tone, looked at Heer n said: tumhein kya lagta hai?
Heer: mujhe lagta hai
Prem hugged Heer from back
Prem: kya lagta hai tumhein?
Heer: yahi ke'
Prem kissed her before she could answer
Heer smiled while her hubby was being naughty: prem
Prem: bolo na heer, tum chup kyun ho?
Heer: tum mujhe kuch kehne ka mauqa nahin de rahe
Prem: to cheen lo mauqa
Heer slowly moved away from Prem n pretended to be busy in cleaning the cupboard
Prem came near her n hugged her from back
Prem: itni busy ho ke mere sawaal ka jawaab nahin de rahi?
Heer: nahin, busy nahin hoon par tum serious hi nahin horahe
Prem grabbed her hand n made her sit on bed
Prem: sorry, ab main bilkul serious hoon
Heer: prem hamare saath se hamari zindagi sawar gayi hai. Ek lambi judaai ke baad heer prem mein samaa gayi. Jab main tumhare paas hoti hoon to mujhe kuch kehne ki zaroorat nahin parti kyunki tum mere jazbaat, mere ehsaas meri aankhon mein parh lete ho. Tumhare saath se mujhe sukoon milta hai. Prem tum is heer ka adhoorapan poora karte ho.
Prem was touched by the words with which Heer beautifully expressed her feelings. He kissed her on forehead n then came near her n kissed on cheeks.
Avi watched Premeer kissing scene n said: yay! Ab to tv dekhne ki zaroorat nahin jab ghar par hi entertainment mil rahi ho.
Premeer looked at him n were shocked!
Avi with a huge smile went away
Heer got up from bed n worriedly said: prem yeh tum ne kya kiya?
Prem: heer ab maine kya kiya?
Heer: tumhein demonstrate kar ke bataaon ke tum ne kya kiya?
Prem: plz!
Heer: uff tum bhi na, ab avi ja kar sab ko bata dega, tumhara romance ka mood tha to darwaza band kar dete.
Prem: heer mera to har waqt romance ka mood hota hai to kya main sara waqt darwaza band rakhoon?
Heer: tumhein jo karna hai woh karo main ja rahi hoon
She angrily left the room.
Hall scene
Avi was running n Heer was after him. Heer was close to him but Avi had a narrow escape n hid behind Meher who entered in hall.
Meher: kya huwa didi? Is nalayak ne phir se kuch bura dekha?
Heer stayed quiet n could not tell her what he saw
Avi came infront n said: no mama maine kuch nahin dekha aur aaj se I promise ke main tv nahin dekhoonga
Meher: are wah mera bacha itni jaldi sudhar gaya
Meher hugged Avi n said: ab chalke homework karo apne room mein
Meher n Avi were leaving, Avi on the way turned n winked at Heer n assured her of keeping it a secret.
Heer smiled, turned n saw Gaya3 beside her.
Gaya3: heer kya baat hai avi tujhe pareshaan to nahin kar raha?
Heer: nahin maa woh to bacha hai, mujhe to prem se shikayat hai
Gaya3: ab tumhare prem ne kya kar diya?
They both sat on sofa n continued talking.
Heer: maa prem yeh samajh nahin raha ke ab hamari ek beti hai, woh bachon ke saamne kuch bhi kehta hai aur kuch bhi karta hai.
Gaya3: jab preet chota tha to woh bhi avi ki tarhaan bohot sharaarti tha. Aksar woh meri aur tere bauji ki baatein cupboard mein chup kar sunta tha.
Heer: to phir aap kya karti thi?
Gaya3: preet to bacha tha lekin tere bauji uske saath mil kar mujhe bohot tang karte the. Tab main jo karti thi woh ab tum karna.
Heer: kya maa?
Gaya3: jab bhi tumhein additi aur prem pareshaan karein to un dono ko kamre ke bahar nikaal dena.
Heer: lekin maa main prem ko kaise'
Gaya3: ek raat prem kamre ke bahar rahega to akal thikaane aajayegi
Heer: okay maa main aapki yeh baat yaad rakhoongi
She was abt to leave but Gaya3 made her sit n kissed her on forehead.
It was an emotional saas-bahu moment!
Gaya3: agar tu na hoti to is maa ke paas uska beta laut kar nahin aata
Heer: maa prem aapka beta hai aur hamesha aapka hi rahega
Gaya3: mujhe aaj bhi yaad hai woh din jab additi ko yahan chorne ke baad main tere ghar aayi thi. Teri maa ban kar tujhe samjhaane aayi thi ke tu apne prem ke paas wapas aaja.
Heer silently listened while Gaya3 poured her heart.
Gaya3: us din main prem ki nahin teri maa thi lekin tune apni beemaari ko apni maa se bhi chupa kar rakha. Mujhe yaad hai ke kaise tere samjhaane par prem ne ateet ki baatein bhula kar mujhse baat ki thi. Uske dil mein jo mail, karwaahat thi woh teri waja se door hogayi.
Heer: maa main bhi yeh nahin bhool sakti ke meri operation ke waqt aur uske baad aap hi ne prem ko sambhala tha. Agar aap prem ko himmat na deti to woh toot jata. Aur phir aapki duaaon ka asar hai jo main aap sab ke saath hoon.
Gaya3: heer main bas yahi chahti hoon ke teri aur prem ki zindagi khushiyon se bhari ho.
Kids room
Meher n Avi entered in room n saw Additi drawing something on a piece of paper.
Avi went near n asked: wow kitni achi drawing hai
Meher: avi apni books nikaalo aur homework karo
Avi: mama additi bhi to drawing kar rahi hai
Meher: woh apna saara kaam kar chuki hai aur waise bhi nayi class mein tum logon ke sections change ho chuke hain aur avi tumhari teacher strict hai isliye agar punish nahin hona chahte to kaam time par kiya karo.
Avi went towards her mama n said: mama plz hamari section ek kardo. Main additi ko bohot miss karta hoon
Meher: acha, isi liye na ke woh exams mein tumhari help karti hai. Ab additi hai nahin to tum cheating kaise karoge?
Avi: mama I promise main cheating karna bilkul chor doonga
Meher: dekhte hain lekin abhi chup chap apna homework complete karo.
Additi: masi yeh aise nahin karega, main jaati hoon mama ke room mein. Bye avi all the best!
Avi grumbled: bye
Premeer's bedroom scene#1
Additi sat on the bed n began her work. She was fully engrossed in her drawing while Heer entered in room. She waited for few minutes watching her daughter using different colors n drawing with passion. Heer could not wait any more so she asked: kis ki drawing bana rahi ho additi?
Additi: aap khud hi aakar dekhlo
Heer made her way towards the bed n said: hum bhi dekhen hamari doll kitni achi artist hai
Heer had a look at the drawing n asked: beta aap ne ek hi jaisi do sketches kyun banaae?
Additi: mama space reh gayi thi to is liye maine apne jaisi ek aur larki ki sketch bana di
Heer: aap ise mita do, aisa lag raha hai jaise aapke mama papa ki do judwaa betiyaan hain
Additi: but family complete lag rahi hai
Heer: lekin beta yeh sach nahin hai
Additi: kyun nahin hai? Additi looked sad!
She left the room while Heer held the paper in hand.
Premeer's bedroom scene#2
Later at night there was just Prem in room looking for his file n he found some reports, files n folders. There were some x-rays as well. All these medical reports were related to Heer's disease which she suffered from in past 6-8 months. Prem went through all this but then threw them on table in corner of the room.
Heer entered with a glass of milk for Prem n saw a distressed n a silent Prem. She glanced at the reports scattered on the table n understood the reason behind his hubby being upset.
Heer turned Prem towards her n gently touched his face.
Heer: prem jo ho chuka use tum bhula kyun nahin dete?
Prem: jab bhi in reports par nazar parti hai to mujhe tumhari takleef yaad aati hai jo mujhe bohot takleef deti hai.
Heer: agar tumhein takleef hoti hai to inhein store room mein rakhwado
Prem: heer jo kuch huwa woh main bhula chuka hoon kyunki us waqt ko yaad karne se sirf dard milega. Lekin jab in reports ko dekhta hoon to mujhe yeh bhi ehsaas hota hai ke itni mushqilon ke baad bhi aaj tum mere paas ho. Yaad hai mujhe jab ashlesha ki sangeet ki raat mujhe mitali ne tumhari beemaari ka bataya tha. Main us raat tumse kehna chahta tha ke main har kadam par tumhare saath hoon lekin usse pehle tum meri baahon mein behosh hogayi thi.
Heer: prem tumhein kuch kehne ki zaroorat nahin kyunki main tumhari har dhadkan sun sakti hoon. Mera sahi salaamat yahan hona tumhare vishwaas aur pyar ka darpan hai.
Premeer hugged each other when Additi entered in room n laid down on bed.
Prem: kya baat hai heer aaj meri princess ne mujhe goodnight hug nahin kiya. Kya papa se koi galti huwi hai?
Additi remained silent.
Prem: phir kya prem the bear ya toto ne kuch kiya hai?
Additi didn't answer.
Heer went near Additi n said: na papa prem galat hai na prem the bear aur naahi toto ne kuch kiya hai. Galti to mama se huwi hai. Hai na additi?
Heer held her ears n said: I'm sorry
Additi: its okay maaf kiya
Heer sat near Additi n said: beta drawing bohot achi thi hum use frame karwaake room mein laga denge. Lekin beta yeh sach nahin hai.
Additi: par kyun? hamari family picture complete lag rahi thi
Prem joined them n asked: kaun si family picture?
Heer: ek second main dikhaati hoon
Heer showed Prem the sketches.
Prem: beta hamari complete family mein sirf hum teen hain, filhaal!. Agar aap ne ek chote se baby ko sketch kiya hota to woh real mein ho sakta hai.
Heer shot him an angry look: prem mujhe lagta hai tum additi ko samjhaane ki bajaaye future planning kar rahe ho.
Prem: heer main dono kar raha hoon
Heer: aur agar kal isne ek chote se baby ki demand karli to?
Prem: to is mein kya problem hai heer? Hum demand poori kardenge
Heer: aur agar isne kaha ke ise baby abhi ke abhi chahiye to?
Prem: abhi ke abhi to possible nahin hoga additi, aapko kuch mahine intezar karna parega.
Heer: tumhari beti hai na! intezar kaise karegi, patience se door door tak tum baap beti ka koi naata nahin hai.
Prem: heer ab tum galat kar rahi ho
Heer: okay okay I'm sorry
Heer hugged n kissed Additi while poor Prem waited for his turn.
Prem: aur mera kya?
Heer threw a pillow at him
Prem: additi tum naraz to nahin ho?
Additi: no I'm fine
Heer: beta aapki age ki ek behen aapko dena aapke mama papa ke liye possible nahin hai, hum is baare mein kuch nahin kar sakte
Prem: hum sirf aapko dhair saara pyar de sakte hain.
Heer: aur dhair saare chocolates
Prem: icecreams
Heer: teddy bears aur aapko kya chahiye?
Additi: mama papa ka hug
Premeer hugged Additi!
Precap: Heer's dream
Heer is at a lonely place which seems like an open, wide place n somewhat like a jungle. She has two leaves in her hand but due to wind one flew away. Heer holding one leaf is running after the other one but she is lost in bushes n is not able to find the leaf. In next scene she saw Additi standing n crying. Additi cries n says: mama I need you!
New character will make an entry in coming update keep waiting!!!
hey i m da first one! aww was waiting for this from soo long finally u granted my wish so thanks alot dear...
Originally posted by: Crazy_94
hey i m da first one! aww was waiting for this from soo long finally u granted my wish so thanks alot dear...
Originally posted by: Kash_premeer
wow......amazing part loved it !!!! additi was too cute,waiting for next part continue soon.
Originally posted by: harshiitii
awesome update
loved it
continue soon
thanks for the pm