**************************
If I was granted an interivew with the BT television's Kasturi decreative, uncreative, destroyer team, 😡 then this is how I visualize it will go 😉 😆 .....
Kasturi's director and 2 creative team members on the dias and me in a chair in front of them.
Team member 1 = TM1
Team member 2 = TM2
Me : Yeh kya nayaa naatak dikha rahe hai aaj kal hame? 😡
TM1 : Kyun, aapko accha nahi lagaa? 😳 Actually na, we were planning on this twist for a while now.....ab jaake isko serial mei fit karne ka mauka mila!
Me : Kya matlab? 😡
TM2 : Actually Raunak ke marne se pehle hi hum uske negative hone kaa track shook kar chuke the.
Me (shocked) : WHAT!!!!!! 😲😲😲
TM2 (giggling) : Dekha dekha!!! Aap kitni surprised ho gayi!! Yahi shock value ka hum istemaal karna chah rahe the.
Me (angrily) : Yeh kya bakwass hai! 😡 Kyun karna chahenge aap aise? 😕
TM1 : Actually humne ek survey kiya tha. Ussmei pataa chala ke Raunak-Shivani jodi, Raunak-Kasturi jodi se zyaada chalegi! Lekin afsos , tab tak humne already Kasturi ki shaadi Raunak se karvaa dee thi!
TM2 : Phir humne socha Kasturi-Raunak ke jodi break kar denge aur isliye Shivani ko serial mei enter karaaya.
Me (looking irritated): Ek skeleton ke roop mei? 🤢
TM1 (squeals) : Aapko woh skeleton waala idea accha lagaa???? 😛 Pataa hai, woh idea meraa hi tha.
I give him a withering look and say
Me : Woh idea ekdum CRAP tha!!! 😡
He looks at me hurt and I turn my attention to TM2 who is saying
TM2 : Shivani ke enter hone ke baad, humne socha ab kisi tarah Raunak-Kasturi ki shaadi tudvaa denge and we will hook up RS and RK.
I look at the Director. He is just sitting there like a statue listening to us talk.
Me (looking at them miffed) : 'Kisi bhi tarah" shaadi tudvaa denge??? Without any strong reason, ek mahine mei shaadi kaise todh sakte hai?
TM2 : Arre bilkul todh sakte hai! Un donon ki iss serial mei pehli shaadi thi. Hamaara research bataata hai ke, usually viewers kaa interest, chauthi shaadi tak banaa rehta hai. Toh chauthi shaadi tak, hum manmaani kar sakte hai. Lekin jab character ki paanchvi shaadi ho toh, viewers thoda irritate ho jaate hai! Toh humlog jab paanchvi shaadi dikhate hai na, tab extra careful rehte hai, ke kahin chati shaadi tak jaane ki naubat na aa jaaye!
TM1 interjects : Aur haan, iss mei engagements count nahi hoti, samjhi aap? Mangniyaan kitni bhi ho sakti hai aur toot sakti hai, viewers ko koi farak nahi padhta!
The nerves in my brain are bursting.
TM2 : Haan, toh hum kahaan the?
Me (whispering dangerously) : Raunak aur Kasturi ki shaadi todhne mei.
TM2 : Haan, haan. Lekin itne mei, Sheeba ji ne Ekta maam ko dhamki di, ki agar unkaa role expand nahi hua, toh woh serial chod ke jaayengi!
TM1 : Toh Ekta maam ne hamaare creative team se kahaa
Ekta : Creative team, jaake apni puraani serials mei dekho ke usually aise ek naumeed waali shadi ke baad, hum kya track dikhate hai, wahi track yahaan pe bhi add kardo aur haan, make sure ki ussme Sheeba ji ka central role ho!
TM2 : Phir humne BT Library kaa help liyaa aur apni puraani serials ka research kiyaa, toh dekha ke revenge track is the best option.
Me (puzzled) : BT Library???
TM2 : Haan! Pataa hai aapko, hamaare paas ek state of the art library hai, jismei sabhi desi cinema aur serials ki DVD/VCD ki archives hai! Hum jahaan se chahe, wahaan se scenes copy kar sakte hai, same to same dialogs ke saath!! Aur hamaari company, Hollywood se ek deal bhi workout kar rahi hai, jisse, hum Hollywood movies ke scene bhi copy kar sakte hai!
He is looking at me with pride while I am looking at him disgusted!
TM1 : Phir humne socha, agar Sheeba ji ka role -Devika ko importance denaa hai, toh zaroori hai ke unke bete Robbie kaa track hona hai, aur agar Robbie ko track mei hona hai, toh uski dukhti rag, yaane ke Kasturi ko dabaana padega! Issliye yeh decide hua ke Kasturi kaa buraa haal karnaa hogaa.
TM2 : Tab humne socha ke, Raunak ko negative banaa dete hai. Aur yeh track humne thoda shoot bhi kar diyaa. Wahi track hum aajkal tumko dikha rahe hai! 😉 😆 Lekin tab Jatin Shah ka KGGK mei track important ho gayaa aur unhone kahaa ke ve bahut busy ho gaye hai. Then we decided, we will bump Raunak off. Baad mei ka baad mei dekhenge! Waise bhi mareh hue characters ko waapas laana koi badi mushkil ka kaam thode hi hai! So we decide to end Raunak's character and put the blame on Robbie so that it will hurt Kasturi jo ek middle class sanskari ladhki hai.
On hearing the words 'middle-class sanskaari', my BP shoots up and I close my eyes to calm myself down!!! (🤣)
TM2 : So humne revenge track start kiya aur hame thode hafton ke liye aaraam mil gaayaa!!
I am grinding my teeth 😡 and then I ask 😡
Me : Phir?
TM1 : Phir kya? Ek din achaanak, Ekta maam ka call aaya. Woh badi ghusse mei thi! Unhone bahut chillaya aur daanta!!
Ekta : Yeh Kasturi ke TRPs itne gir kyun rahe hai? Aap logon seh ek serial sambhaala nahi jaata??? Jab ke mei tees-tees serials aur cinema ek hi samay mei sambhaal rahi hun????? Aur yeh sab karne meh, mei itni busy ho gayi hun, ke mujhe shaadi karne tak ki fursat nahi hai! ( 😉 😆 )
TM1 : Phir meine jawaab diyaa "Maam, actually viwers tang aa gaye hai yeh track seh. Woh log Robbie-Kasturi mei pyaar dekhna chahte hai, pratishod nahi. Actually hume kaafi phone calls bhi aa chuke hai maam, ke thode Kasturi viewers, yeh "pratishodh" word ko sunte hi, hyper reaction ke shikaar hokar todh-phod kar rahe hai!! Aur phir humne Raunak jaise hot looking character ko bhi maar diyaa. Toh isiliye TRPs gir rahe hai.
Ekta : Theek hai toh ab yeh pratishod ka track rok doh, aur Robbie-Kasturi ko milaane ki track shuru karo.
TM2 : Phir humne dekha, ke story itni senseless ho gayi hai toh hum logo ne decide kiyaa, ke ek saal ka leap lete hai. Iss ek saal mei viewers sab bhool jaayenge.
And he winks at me in jest and I give him a cold stare.
TM1 : Yeh naye track mei humne yeh dikhana shuru kiyaa ke Kasturi, Raunak ko bhool gayi hai aur Robbie ko yaad kar rahi hai. Aur phir humne Inspector Gaurav ke saath scenes bhi shoot kiye ke Kasturi ko asliyat pataa chalti hai ke Robbie ne Raunak ko nahi maara. Aur hum yeh scenes dikhaane hi waale the, ke itne mei Ekta maam ka phir call aaya!!! Unhone kahaa..
Ekta : Serial mei bhool-bhulaiyaa track add kar do.
Me (scratching my head) : Lekin KYUN??????? 😡
TM2 : Pssssst....andar ki baat yeh sunne mei aayaa hai ke, T-Series ke Kumar saab, arre wahi jinhone Bhool-Bhulaiyya produce ki thi, unhone Ekta maam ko call karke, unse request kee ki woh Bhool-Bhulaiya ke track ko apne kisi serial mei include karde. It seems unhone yeh sunaa hai ke, jo film flop hoti hai usske gaane ya scenes TV pe dikhaane se woh film dobaara popular ho jaati hai! Jaise ke apna RK peh picturize kiyaa hua "Mitwa" song aur uski film KANK.
Aur kyunki hamaare serial ka nayaa track Benaras/Varanasi mei tha, toh Maam ne woh bhool-bhulaiyaa track ko Kasturi mei include karne keliye decide kar diyaa!!
TM1 : Phir humne socha, theek hai thode dinon tak Bhool-bhulaiyaa track dikhate hai aur phir woh track jismei Kasturi, Robbie se maafi maangti hai, usse ek-do hafte ke baad dikha denge.
TM2 : Itne mei phir Ekta maam ka phone aaya. Unhone kahaa...
Ekta : Jatin Shah aur Mouni Roy, jo Raunak aur Shivani ke characters play karte hai, woh aajkal free hai. Baaki serials mei unka koi track nahi chal rahaa hai. Unko Kasturi mei waapas laao. Yun hi muft ke salary de rahi hun, unhe!
TM2 : Lekin maam, humne Raunak ko maar diya tha na, phir kaise.....
Ekta : Arre, usse phir zinda karo, woh kaun si badi baat hai? Aur usse negative kardo taaki Shivani kaa character bhi kuch kaam aaye.
TM1 : Toh humne do naye episodes phataaphat shoot kiye! Episodes, to catch up with this new track, jismei gareeb Kasturi, Malyasia jaati hai aur flight mei usse short term amnesia aata hai, aur woh pichle ek mahine ka "Robbie yaad karo" track bhool jaati hai aur phir Raunak ko yaad karne lagti hai!!
By this time I am all worked up and I am screaming at them 😡 😡 😡
Me : Lekin Story ka kya?? Uski koi ehmiyat hai ke nahi?????? 😡 😡
TM2 : Arre, calm down madam! Aap kyun itna chilla rahi hai? Aur kyun mazaak kar rahi hai? Hum bhi jaante hai ke aap log serials, story ke liye nahi, favourite characters aur actors ke liye dekhti hai!
And turning to TM1 he says...
TM2 : Meine kahaa tha tujhse ke 'Pratishodh' word ka istemaal mat karo. Lekin tune meri ek nahi suni. Ab dekho yeh madam kaise paglaa gayi hai!
I am staring at the director who is sitting in the middle doing nothing and I scream
Me : Arre ye Director muh kholegaa bhi ya nahi??? Yeh kuch kehta kyun nahi?
TM1 : Arre, yeh set peh kuch karte aur kehte nahi, toh yahaan kya karenge aur kahenge??
I start yelling again when TM2 says 😡
TM2 : Arre chillana band kee jiye madam!! Yeh kya problem hai? Aapko serial pasand nahi aata toh mat dekhiye na! Aapne sunaa nahi Ekta madam ne kya kahaa tha?
TM1 : Aur unhone jo kahaa tha, woh aaj hamaare company ka motto, hamaara mission statement ban gayaa hai! Aapne andar aate, recpetion area mei padha nahi hamaara mission statement??
And they both say together
"DON'T WATCH IT IF YOU DON'T LIKE IT"
And they leave me pulling my hair out in frustration!!! 😡 😡 😡 ( 🤣 )
Just a small attempt from my side to cheer up everyone....(hope it works)!!! 😆 😆 😆