Aapko kya lagta hai ke kya hoga aaj ? kya gauri ko aaj ye raaj malum hoga ke usaki shadi kyun hue hai shiv ke sath.....Aur malum hone ke baad kya wo shiv ko chod degi...kya wo apne pyaar ko bhula paayegi..jis tarahse kal wo shiv ke paas jakar rokar usase ye kahti hai ke agar unki shadi ka koi raaj hai to wo nahi janana chahti kyunki wo shiv se behad pyaar karti hai...to kya aapko lagta hai ke wo sach janane ke baad shiv se pyaar nahi karegi..mujhe nahi lagta ke aisa kuch hoga....Gauri shiv se itana pyaar karti hai ke wo shayad shiv ko is baat ke liye bhi maaf karde.....
Pyaar ye feeling hi aisi hai, ye rishta hi aisa hai jo aapko sab kuch sahne ki takat deta hai...Aur sab kuch maaf karne ki majboori bhi...ye ehsaas aapko apnihi pehchaan karwata hai..ke aap kya ho..aap kitane strong ho aur kitne weak....Anywayz main sirf ye janan chahti hoon ke kya sach janane ke baad gauri shiv ke pyaar ko bhulakar use chodkar chali jayegi ya shiv ko maaf karke usike paas rahegi..Aur kya usaka aisa karna sahi hoga..?