Funny Fiction
A masked villain and his cronies kidnap naina, dilip, kartik and anitaa. They are after the khannas daulat and want the family to sign the jhaidaat ke papers!!!
Ok here goes….this fiction has been created using original hindi ghise pite dialogues….enjoy!!!
The Villain approaches Naina and touches her bum …..….
Naina : Khabardaar jho chhua bhi, main apni jaan dey doongi, main kahti hoon chhod do!
Dilip : Teri yeh majaal, naina, mere hotey huay tumhara koi baal bhi baaka nahin kar sakta
Kartik : Tumne apni ma ka dudh piya hai to idhar aao, Khabardaar joe meri maa ko haat bhee lagaya
Naina : Chhod do mujhe, bhagwaan ke liye chhod do, main abhi kunwari hoon!!
Dilip : Kyaa ?
Kartik : mum yeh tum kyaa kehe rahi ho?
Naina : ha beta tum kisiki najayaz aulad ho, meri nahin !
Dilip : Acha tabhi to, main bhi soch raha thaa ke tumne to mujjhe apne kareeb kabhi aane hi nahi diya to phir yeh bacche kaha se aa tapke.
One of the villains cronies approaches Anitha, Anitha smiles……
Anitha : Sunye mujhe to zindagi mein pehli baar kuch kuch ho raha hain, Main aapke liye baadam doodh laaw ?
Naina : besharam, nirlay, yeh tum kyaa kehe rahi ho, Maine tumhe paal pos kar bada kiya….. Too paida hotey hi mar kyo nahin gayee !
Villain calls Angad…….
Villain : Ab tumari maa hamare kabze main hai, jhaldi se jhaidaat ke kagzaat aur here le kar black mountain aa jao, varna tumhari maa, baap ka mara huwa muh dekhoge!
Naina : Angad, Ek baar mujhe maa keh kar pukaro beta…hume bachaa lo beta hume bachaa lo!
Villain : ha ha ha, Yahan teri izzat bachane koi nahi ayega, Jashan ki tayyari karo, uski maa ko jara ghungroo pehnao !
Naina : Nahiiiiiiiiii, main nahi naachungi
Villain : Saali tumhara baap bhi naachega, Pehle hum tumhara naach dekhenge aur phir tumhari izzat lootengay, ha ha ha !
Anitah : Wow, mujhe bhi karna hai, please, Tumhare khyal kitne oonchay hain villain jhi !
Kartik : Lo yeh phirse shuru ho gayi
Dilip : Yeh din dekhney ke pehle main mar kyon nahin gaya ?
Kartik : fikar not dad mum ka dance dekh kar to aap zaroor marr jaayenge.
Pesh hai duniya ke jaane-maane kalakaar, Miss Naina ….. Naina dances khule baal To 'chaska mera chaska' , villain and cronies cannot take no more and beg her to stop ……….. Angad arrives......
Angad : mum, dad yeh kyaa ho raha hai dudes?
Naina : angad, Jug jug jiyo bete, apne mummy, daddy ko bachaa lo !
Anitha : Ya save them, main to yaha theek hoon ( breaks into song) jeena yaha, marna yaha, iske siva jaana…….
Kartik : Shut up !
Angad : ok bye, ( shakes villains hand) nice meeting you man!
Naina : Arre yeh kaha chala, angad baap ko to chodo lekin tumhe apni maa pe bhi daya nahi aayi ?
Angad : nahi !
Naina : Kya isi din ke liye tujhe paida kiya tha ?
Kartik : aapne kaha paida kiya tha, aap to……
Dilip : Kartik aise waqt pe aise baatein shoabha nahi deti, wo tumhari maa hai, paida nahi kiya to kyaa, paal poas ke bada to kiya hai, yashoda maiya bhi Krishna ki…..
Villain : shut up……yeh kyaa ho raha hai, ab yeh natak band karo aur chup chaap heere mere hawale kar do, saale, yeh koi balaji soap nahi hai, yeh hai reality!
Naina : Angad beta tum aisa kyun kar rahe ho ?
Angad : ma suna chahti ho to suno…… Maa ! Sab kehte hai ke tum ek vaishya ho !
Dilip : arre lekin yeh raaz kaise khulaa ?
Naina : Dilip muh band rakho, beta angad yeh sab jhoot hai, main aur vaishya, kabhi nahi !
Villain : tabhi main soch raha thaa ke yeh naina ka thobda kuch jaana pehchaana sa dikhta hai, tum chameli dance bar mein to nahi kaam karti thi ?
Naina: angad Kaan khol kar sun lo, agar tumne hume nahi bachaaya to phir tumhe ek phooti kaudi nahin doongi
Angad : agar phooti kaudi hogi tab dogi na !
Kartik : main thodi dear ke liye soa jhaata hoon, tab tak aap loag decide kar lijye ke kyaa karna hai!
Just then the police arrive…….
Villain : Bhaago puliss aayi, puliss ( villain and cronies run away)
Anitha : Arre mujhe kaha chor kar jaa rahe ho, main bhi chalungi tumhare saath, darling……… (Anitha flees with villain)
Anitha : bye bye kartik
Kartik : yaaaaaaay, kabhi waapas mat aana behna!
Angad : Inspector! Giraftaar karlo issey (pointing to naina)….isne mere bhaiya aur papa ko kidnap karwaaya aur uppar se mujhe blackmail kiya!
Naina : arre yeh tum kyaa kehe rahe ho mere laadle ? Kartik, Dilip bolo na isse !
Kartik : aap kaun hai ?
Dilip : Maaf karna Naina lekin main tumhare saath jail mein nahi sarna chahta!
Naina : main tumhe dekh lungi…… (dragged away by police officer)
Court room scene…….
Judge : Kanoon ke haath bohot lumbay hote hain, Kanoon Ko apney haath mein mat lo !
Naina : lekin main bekasoor hoon!
Judge : Kanoon jazbaat nahi, saboot dekhti hai, aur tumhare paas apni bekasoori ka koi saboot nahi hai !
Naina : Nahiiiiiiiii
Judge : Tazeerat-e-hind , dafa 302 ke tahat, mulzim ko maut ki saza sunai jaati hai, to be hanged till death !
Naina : Lekin Milord.….
Angad : Lo...muh meetha kar (feeds ladoo to all)
Naina : Ill be back, ha ha ha ha, tum sab ko dekh lungi……….
The police van in which naina is taken has an accident on the way…..Naina escapes………to be continued !!!
Jots