plz cont 😊
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread-16th September, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 16, 2025 Episode Discussion Thread
🏏T20 Asia Cup 2025: UAE vs Oman, 7th Match, Group A, Abu Dhabi🏏
🏏T20 Asia Cup 2025: SL vs HK, 8th Match, Group B at Dubai🏏
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs BAN, 9th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
BHAJAN & DANCE 16.9
The Armaan Poddar Unappreciation Thread
Katrina Kaif Is Pregnant
Welcome Baby Boy ❤️🧿
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 17, 2025 Episode Discussion Thread
which new Bollywood movie should i watch ....
YRKKH SM updates, BTS and Spoilers Thread #127
💫 The Heuphorias Discussion Thread 💫
Two much official trailer- Varun Alia Salman Aamir Govinda
BALH Naya Season BC Voting~BY PM INVITE ONLY~Vote for 2 entries
Kajalmaya - sp's new thriller show
Farewell week...In Every Glance, A Lifetime: The Saga of PraShiv💕
War 2 sets record as biggest flop in Indian cinema history
Is Janhvi Kapoor going to be known as a one-hit wonder?
BACK TO MUSSORIE 17.9
farah too good yaar 👏.plz mere rajeev ko kahani main khush rakna plzzzzzz kyuki agar wo khush to main khush so plz zzzzzz archie ko usse durr rakna 😊.
pink
Hey guyz so sorryyyyyyyyyyyyyy 4 delay actually main busy thi thori si anywayz herez my story
Mere Dharkano ko Qarar do
Dua karne ke baad us ne sajde mein hjuka apna sir uthaya seeriyon par kadmon k iawaaz par us ne jai namaz ko sameta aur aankhen saaf karte huwe lounge mein aa gai jahan thake huwe chehre ke saath rakhshanda behti thin
Mahrukh (teeze se un ki taraf barhti hai): ami bare papa kaise hain
Rakhshanda (sofa par beht te huwe): pehle se behtar
Mahrukh (rote huwe): ami main kab un se milne jaon ge
(actually mr muzaffar iz in a hospital due to minor heart attack)
Rakshanda: mahrukh beta rote nahi do din se nakha rahi ho na pee rahi ho apna haal dekho aaj tumhare bare papa aa rahe hain tum mil lena ab kuch kha lo
Mahrukh: abhi mujhe bhook nahi jab bare papa aa jayen ge tab khaa lon ge (us ke do tok lehje peh rakshanda ne be basi se us ka chehra dekha aur shaam ko muzaffar jab ghar par aye to mahrukh khudh ko kafi hadh tak sambhal chuki thi )
shaam ko muzaffar hospital se aa jate hain mahrukh un se milne neeche jati hai and hugs him
Muzaffar: are mahrukh mere guriya aa gai kasam se do din se mere aankhen taras gain thi tumhein dekhne ko (he kiss mahrukh on her forehead) mahrukh yeh main kiya sun raha hoon tum do din se khana nahi kha rahin kitne buri baat hai beta koi khane se bhi naraz hota hai beta ab khana kaho gi na?
She nodes her head in yes
Muzaffar (to haleema): haleema salman ko awaaz do
Kuch der baad salam un ke saamne tha aur us ka face aur eyes dono lal thi bcoz of crying
Muzaffar: salman idhar ao tum mere bahadur bete ho na
He hugs salman
Muzaffar (to all family members): aap sub log mere baat dehan se sune tahmoor aur salman tum log koshish karna kabhi bhi tum logon ki wajah se tumhari maa aur tumhari behno ko takleef na ho aur tumhare yeh chahchi tumhari maa ki tarah hain tum en ki izzat use tarah karo ge jis tarah tum apni maa ki karte ho aur sehar tum apne bahiyon se har cheez poore haq se le sakte ho yeh tumhein kabhi mana nahi karen ge agar yeh waqai mere bete hain to
Tahmoor: papa……………. (tahmoor ne kuch bolna chaha lekin muzaffar ne haath utha kar use rok diya)
Muzaffar: ek aur baat aap logon ke dil mein agar mere liye pyaar aur ehtram hai to ek baat yaad rakhna aap log kabhi tahmoor ko takleef nahi do ge agar koi tahmoor ko takleef de ga to woh mujhe takleef de ga (then he kisses sehar and mahrukh on their fore head) aap log ab jaen khana kahen main ab bilkul thiek hoon (sab ke jane ke baad un ho ne tahmoor ko dekha jis ka sir jhuka huwa tha he call tahmoor and hugs him) kabhi kabhi mein soochta hoon tahmoor ke tum mere kis neke ka sila ho tum mere aise bete ho jis par mein fakhar kar sakta hoon tum jab bare hone lage to mujhe aisa laga mein phir se jawan ho giya tumhein dekh kar mera hosla barhta tha ab tum doosron ke liye apni khuwahishon ko dabate the to soochta main apne bete ki takleef bant loon ga lekin ab aisa lagta hai shahyad main yeh sab na kar sakon
Tahmoor: papa aap aise baatein kyun kar rahe hain
Muzaffar: tahmoor plz beta pehle mere baat suno main yeh baat kise aur se nahi keh sakta mujhe pata hai tumhein yeh baat kehne ki zaroorat nahi aaj tak mere kahe begair tum sab ka khiyaal rakhte rahe ho lekin phir bhi sehar aur Tania ko kabhi mehsoos nahi hone chahiye ke un ka baap nahi hai salman careless hai lekin mujhe yaqeen hai ke tum use sambhal lo ge sab se aham baat yeh ke yeh sab to tumhare apne hain lekin rakshanda aur mahrukh unhe kabhi yeh mehsoos nahi hona chahiye ke yeh un ka ghar nahi hai tahmoor mahrukh mujhe buhat aziz hai maine apne mare huwe nahi se wada kiya tha ke main sehar aur Tania se ziada mahrukh se pyaar karon ga us ke mun se nikalne wali har khuwahish ko poora karon ga ab tak maine apna wada nibhane ki koshsih ki hai ab mere tum se request hai ke tum us ka khiyaal rakhna yeh sab main tum se es liye keh raha hoon kyun ke mere elawa tum us se sab se zida kareeb ho tum us ko us se zida samajhte ho (unho ne ghor se tahmoor ka chehra dekha) koshsih karna ke woh kabhi na roe kyunke jab jab woh roe ge mujhe takleef ho gi chahe main kabar mein hi kyun na hoon koshsih to thi ke apne sare bacho k ikhushiyaan dekhta sehar aur mahrukh ki shadii apne hathon se karta lekin pata nahi aisa lagta hai………..(he cries) tum hamesha mere aankhon ki thandak rahe ho Allah tumhare har khuwahish poore kare (kiss on his forehead) sab ka khiyaal rakhna
Tahmoor: aur papa main
Muzaffar: tum (bare bebasi se us ka chehra dekha)main buhat selfish ho giya hoon sari responsibilities tumhare upper daal raha hoon lekin tumhare saath mere duaein hain jis tarah sare umar tum ne mujhe sakoon diya hai Allah es ka ajar tumhein de ga tumhare har mushkil asan kare ga tumhare ek khuwahish mujh par udhar hai shahyad main woh poore na kar sakon lekin mere dua hai ke tumhare woh khuwahish apne poore khoobsoorti ke saath tumhein mile tumhein aisa jeevan saathi mile jo tum se sahi mano mein mohabbat karta ho jo tumhare sare takleefen tumhare sare dukh sameet le tahmoor mujh se wada karo warna mujhe sakoon nahi mile ga (unho ne bare umeed ke saath tahmoor ko dekha)
Tahmoor: main wada karta hoon papa mai naap ki har khuwahish poore karon ga har soorat mein aur aap bilkul thiek ho jaen ge papa (us ne un se ziada khudh ko tusale di)
Muzaffar: sada khush raho jao tum bhi aram karo aur lite band karte huwe jana (woh thake thake kadmon se lite band kar ke bahir nikal aya
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *
neeche se ati cheekhon ki awaaz par us ka dil zor se kanpa aur woh neeche k itaraf baghi muzafafr ke kamre mein jate huwe use apni dharkano ki awaaz apne dil mein sunai de rahi thi sab se pehle us ki nazar apni roti huwe maa par pari jo bahir dewaar ke saath take lagai khari thi jo use mehsoos ho raha tha woh use mehsoos karna nahi chahti thi kamre mein dakhil hote hi us kinazar bed par sakit lekin pur sakoon andaaz mein lete muzafafr par pari Tania bhi wahan aa chuki thi sehar aur haleema muzaffar ke sarhane behti onchi awaaz mein ro rahi thi salman un ke paron mein sir rakhe ro raha tha jabke tahmoor dewaar se take lagai sakit nazron se unhe dekh raha tha suddenly mahrukh nods her head in no aur kamre se bahir nikal ai
Mahrukh (to rakshanda): ami bare papa soo rahe hain (rakshanda ne roti aankhon ke saath apni bete ko dekha jis ke chehre ke saath saath ankhen bhi betasir (expressionless) thin um ko khauf sa mehsoos hone laga us ke mazaj ki shidat ko woh achi tarah janti thin aur apne bare papa se to woh be inteha pyaar karte thi )
Rakshanda: mahrukh (unho ne kareeb ja kar us ka chehra thaam liya) tumhare bare papa..
Mahrukh: SSSssssshhhhh (apne honton par haath rakh kar un ko bolne se rokti hai) bare papa soo rahe hain (apne chehre se un ka haath hata te huwe seeriyon ki taraf mur gai use apne kadmon se jaan nikalte mehsoos ho rahe thi achanak woh gir gai aankhen band hone se pehle us ne apne maa ki chekti huwe awaaz sune thi jo ke us ki taraf barh rahi thin aur kai ghante (hours) baad hosh mein ate hi woh paglon k itarah bahir ki taraf dori sab se pehle us ki nazar muzaffar ki dead body ke pass beti Tania par pari jo be tahasha ro rahi thin woh chalti huwe un ke karee ai us ne sakit lete muzaffar ko dekha aur un par jhuki
Mahrukh: bare papa uthen dekhen sab kitna pareshaan ho rahe hain (Tania uth kar mahrukh ke kareeb ati hai)
Tania: mahrukh papa nahi uthe gen (mahrukh ko apne saath laga lete hai)
Mahrukh: uthe ge Tania api main kahoon gi to zaroor uthe gain (who un ke saath lage kehne lagi kuch der baad shahyad apni kahe baat namumkin (impossible) hote huwe nazar ai to chekh cheekh kar rone lagi aur use rota dekh kar doosron ke aanson mein bhi rawani aa gai)
Ok now sari last rasomat ho jati hain aur guest bhi apne ghar chale jate hain
Now scene is that
Haleema , Tania , rakshanda yeh teeno haleema ke kamre mein behte hote hain aur Tania aur rakshanda haleema ko chup kara rahi hoti hain aur saath saath khudh bhi ro rahi hoti hain
And in the lounge zameen par sirf mahrukh aur Tania behte hote hain
Shaam ke saaye pheel chuke the jab tahmoor aur salman ghar mein dakhil huwe woh dono seedha un dono ki taraf aa gaye
Tahmoor: mahi mahi agar tumhein papa se pyaar hai to tum nahi roo gi agar tum sab es tarah roo ge to unhe kitne takleef ho gi (mahrukh ko es dooran pehle baar kise keemte cheez ke khone ka ehsaas huwa tha us ne sir utha kar tahmoor ki taraf dekha aur agle hi pal apna sir us ke seene par rakh diya
Mahrukh: tahmoor bahi bare papa ko aisa nahi karna chahiye tha who kyun chale gai unho ne ek baar bhi mere bare mein nahi soocha ab mujhe kon pyaar kare ga main jo itni dheer si baatein un se karti thi ab kis se karon ge main bare papa kise kahon ge unhe koi haq nahi tha phir kyun who mujhe dobara yateem (orphan) bana gai
Mahrukh buri tarah ro di aur tahmoor jo kab se zabt (control) kar raha tha us ka zabt toot giya aanson us ki aankhon se nikal kar mahrukh ke baalon main jabz hone lage the pass khare huwe salman aur sehar ki siskiyon mein bhi azafa ho giya agle hi pal tahmoor ne roti huwe mahrukh ko khudh se alag kiya aur khudh bahir nikal giya
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *
kise ke hone yaan na hone se zamane ki raftaar par koi farq nahi parta na hi koi hadsaa ghari ki soiyon (needles) ko nahi rok sakta en logon ki zindagi bhi ruki nahi thi en logon ki zindai se khush numa rang gum ho gai the jahan salman ki shararten thi sehar ki muskarahaten thi mahrukh ke kheke the wahan ab sirf sanata tha ab woh sab ek doosre se apne aanson chupane ki koshish mein lage rehte the ajeeb rukhi pheeki si zindagi guzar rahe thi muzaffar sahab ko guzre huwe months guzar chuke the
aur es dooran mahi ne buhat se baton ko soochna shuru kar diya tha ab se pehle us ne sirf yateem ka lafz suna tha yeh kaisa ehsaas hota hai es baat ka pata use ab chala tha us ne hoosh sanmbhalte hi bare papa ko dekha tha jin se use be inteha chahat mile the itni mohaabat aur shafqat to use apni maa se bhi nahi mile thi us k ihar khuwahish ko us ke bare papa poora karte the jo baat us ki maa us k ohamesha se samjhana chahti thi us ko khudh ba khudh samajh aa gai thi jab zid poore karne wala hi nahi raha tha to woh kis se zid karte us ke ander ek khauf sa beht giya tha adam tahaffuz ka ehsaas
mahrukh khirke ke saath sir takai apni hi soochon mein gum thi
Rakshanda: mahrukh aise kyun khari ho
Mahrukh: bas aise hi
Rakshanda: acha chalo khana kha lo
Mahrukh: ami neeche kyun gai thin sab kheriyat thin a
Rakshanda: pata nahi jab waqt kharab ho to sari parishaniyan ek saath kyun ati hain ghar ke sare kharch apni jagah hain tahmoor ki job bhi 2 months se khatam ho gai hai muzaffar bahi ki pension se guzara nahi hota ahi ab tum logon gi parhai ka kharcha bank mein jo paise jama the wohi use kar rahe hain woh bacha ab kahan kahan khuwar hota rahe ga abhi bijli aur telephone ka bill aya tha mere pass paise the maine bhabhi se kaha main de dete hoon lekin unho ne mana kar diya ke tahmoor bura mane ga us bache ka kiya kasoor hai jo sari responsibilities us par daal di hain
Akhir mein un ki awaaz bheegne lagi to mahrukh ki aankhon main bhi aanson teerne lage
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *
Shaam ko mahrukh sehar se college ki baatein kar rahe thi kyun ke aaj kal woh free thi tabhi tahmoor ander dakhil huwa
Tahmoor sab ko salam karta hai as usual
Tahmoor: kaise ho mahi (hamesha ki tarah mahi ko dekhte huwe us se poochta hai )
Mahrukh: thiek hoon
Tahmoor (to sehar): sehar ek glass pani plz (now to mahrukh) aur mahi tumhara result ka baa raha hai
Mahrukh: 2 months tak
Tahmoor: to main aache result ki umeed rakhon
Mahrukh smiles and nods her head in yes
Tahmoor (to his mother now): ami yeh khuch paise hain kharch ke liye (paise pakrate huwe) aur bill aa gaye
Haleema: haan telephone aur bijli ke bill aa gaye hain
Tahmoor: thiek hai subah mujhe de dijiye ga main jama karwa doon ga
Tamoor ne jote utar kar dono tangent central table par rakh den aur tv dekhne laga mahrukh ne nazren utha kar tahmoor ko dekha jo pehle se kafi kamzoor ho giya tha abhi bhi woh tv dekhne ke saath saath haleema se baatein kar raha tha aur saath saath unhe tusalian bhi de raha tha ek wohi to tha jo khudh ko jala kar un ke mustaqbil roshan kar raha tha
Mahrukh (to herself): main yeh kyun bhool gai thi keh tahmoor bahi mere pass ain ab bhi koi hai jo mujh se pyaar karta hai
Background music
Jee yeh chahe yeh lamhe
Bas yahin pe ruk jain
Saamne tum raho aur
Hum tumhein dekhte jain
Dil main hone lagi hai
Meethi meethi se halchal
Tum raho saath jaise
Mere aankhon ka kajal
Saath din raat rahe
OOOoooooo
Pyaar ki baat rahe
Aur rahe kuch na baqi
Thora sa pyaar huwa hai
thora hai baqi
Just then tahmoor see mahrukh
Tahmoor: kheriyat itne goor se kia dekh rahi ho
Us ke poochne par mahrukh gar bara gai
Mahrukh: jee…..woh main aap ke liye coffee laon
Tahmoor: neeki aur pooch pooch
Jab mahrukh coffee le kar ai to salman bhi aa chukka tha tahmoor mahrukh se cup le kar salman ki taraf mura
Tahmoor: yeh lo paise tum ne fees ka kaha tha na
Tahmoor ne hazaar hazaar ke kuch note salman k itaraf barhai salamn kuch der paison ko dekhta raha phir us ne khamoshi se thaam liye
To be continue
Episode end
Do comment guys
Hope u like it
And one more thing i post next esp tomorrow nite inshallah
But but but agar mai nna kar saki then I post it on Monday or Tuesday
Bcoz I am going to Islamabad on Sunday and back on Monday inshallah
ek aur baat aap ko dobara batati chalon ke yeh story maine ek magazine main parhe thi aur maine es main bilkul thori si changes ki hain