~ARMAAN~: With Pics... - Page 7

Created

Last reply

Replies

87

Views

13.6k

Users

17

Frequent Posters

natz thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#61
Go ahead... I'll help where ever possible, but you're the expert here...
mehraal thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 20 years ago
#62

aaj kashish aur sujal kee shadi ka Sangeet! hay!

jhilmilatay sitron kaa aanchal,her taraf phoolon kee mehak,peelay aur sufaid phoolon se kee gayee sajawat,zameen per bichi zard rang kee chadar jiss per dono gharan'on keh baithnay ka intizam kiya gaya thaa!aik bohat hee piyara aur dil moh lainay wala samaa'n janam lay chuka thaa!

chandni jaisee lagti Kashish jo keh silver color keh choori daar main qayamat dhaa rahi thee,ghannay siyah baal kamar per phailay thay!kaanon main silver color keh rajasthani jhumkay!,hathon main bhar bhar ker silver color kee chooriyan,pairon main chan chan kerti payal,,,,sab kuch aaj kashish per itna jach rehaa thaa aur lag rehaa thaa keh jaisay koi parri zameen per utar aayi ho!...

Black color keh kurta shalwar main malboos Sujal bhee kuch kum nahin lag rehaa thaa,,,kaala rang uss kee shakhsiyat ko chaar chaand laga rehaa thaa!,,,,pairon main multani khussay aur bhee khoob lag rehay thay!,,,,

------------------------------------------------------------ -------------------------------

donon familes aamnay samnay baithi hain!,,,,,,dholak bajanay waali dholak sambhaal chuki hay,,,,

------------------------------------------------------------ ------------------------------- -

sab aurtain saarhi pehnay huee hain aur sab mard kurta-choori daar!,,,,aaj tau donon taraf barabar kee tayyari ho chuki hay,,,,,saj dhaj main koi kisi se kum nahin lag rehaa thaa,,,,agar Varun ne pehna off-white rang tau Nikki ne pehna baby pink color ka ghaagra choli,,,agar Sam ne pehna brown color ka choori daar tau Anjali ne pehna bronze color ka punjabi suit....jahan per tayyari thee larrkay waalon kee arooj per,,,,,tau waheen per larrki walay bhee kuch kam nahin lag rehay thay,,,,,,gauri ne pehna yellow color ka rajasthani lehnga,,,,tau Ajay ne pehna grey color ka choori daar,,,,agar anita ne pehna green color tau akshay ne pehna navy blue!,,,,

------------------------------------------------------------ ------------------------------- -

lawn keh aik taraf baithay thay Singhanias aur doosri taraf Malhotras...seating arrangement kuch iss tarah se thee!

kashish aur Sujal aamnay saamnay!

donon familes keh head couples aamnay saamnay!

Varun,anjali,sam,nikki keh saamnay baithay akshay,anita,ajay aur gauri!

chetan tau kashish kee side per janay wala thaa magar Paddy keh isharay se ruk gaya aur apnay chacha kee family keh saath aaker baitha!,,,,paddy neha keh saath baithee thee aur Dheraj Pratab keh saath!(shukar hay aaj Dheraj ne nahin pee huee: Pratab ne socha)...

Pratab: chalo bhayee,ab sangeet shuru kero,,,,

Nikki: ji papa!,,main shuru kerti hoon!..she goes near Sujal n sings

Piyara bhayya mera dulha raja ban ker aagaya
Piyara bhayya mera!
Resham kee pagri pehnay, ghar aangan mehka gaya
Piyara bhayya mera!

Everyone claps,,

Nikki: chalo bhayee larrki waalo! ab tum log gaao!

Nandini:

Mehndi laga ker rakhna
Doli saja ker rakhna!
(she touched kashish's chin)

lainay tujhe o goriiiii!
aayen gay tere sajna!!!!
(she points towards Sujal,,,,kashish sharma jaati hay)

Sujal keh mann main tau bohat toofan thaa,aik hulchul thee,ik dard thaa jisse sorf wohi mehsoos ker sakta thaa magar apni family kee khushi keh liye aur kashish kee dosti (HAAN DOSTI!) kaa lihaaz kertay huay woh sangeet main aaya thaa,,,,,,honton per muskan sajaye,dil main zakham liye,woh aik alag hee insaan thaa,,,,

Kashish yeh tau jaanti thee keh Sujal keh liye yahan per baithna aasaan na hogaa,,,magar woh yeh bhee jaanti thee keh aik din uss kee mohabbat,Sujal keh zakhmon ka ilaaj ker day gee aur aisay marham rakhay gee keh uss ghaa'o ka nishaan tak baaqi na rehay gaa!

Nandini: laarhay waalo! hun tusee gaao!

Sam: he gets up,,comes in the middle!

wah wah Ramji!
jodi kiya banaayi!
bhayya aur bhabhi ko
(he points towards kashish n sujal)
badhaayi ho badhaayi
(Nikki joins him)
sab rasmo'n se barri hay dils e dil kee yeh sagaayi!

Anita: jodi tau waqai bohat khoob hay,,,,magar yeh bhee tau sunain zara!

Yeh chand sa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
yeh jheel see neeli ankhain
koi raaz hay inn main gehra
Tareef keroon kiya uss kee
jiss ne tumhain banaya!

ab batayen?

iss se pehle keh Chetan kuch bolta,Varun ne gaana shuru ker diya!

Aye Khuda shukar tera!
Aye Khuda! shukar tera,shukar tera,shukar tera!
yeh mera yaar chala hay baandh keh sir per sehra!
Aye khuda shukar tera!!!!!!!!!

Varun: ab bataao!

Nandini: ab zara meri bhee tau suno!

Banno meri tere liye!
tere liye!
hina goondh laayi hain paryan!
maathay peh tere chamkay taaron kee larryan!
(and then she kisses kashish's forehead)

idhar Nandini ne yeh gaana khatam kiya tau Akash ne gaana shuru ker diya!

Babul kee dua'yen laiti jaa!
jaa tujh ko sukhi sansaar milay
maikay kee kabhi na tujh ko yaad aaye
Sasural main itna piyar milay!
(he also comes closer to kashish)......

Pratab: aray yeh kiya akash!,,,,tum sab kee ankhon main nami,,,,Ajay aur Akshay kee ankhain bhee geeli theen,,,,sab ko rota daikh ker kashish bhee khud per qabu kho baithi!,,,,,,,tab Neha ne gaaya:

Yeh Betiyan To Babul Ki Raniya Hai
Yeh Betiyan To Babul Ki Raniya Hai
Meethi meethi Pyaari Pyaari Yeh Kahaniya Hai
Yeh sheeshay diyan Gudiya
Rab Jaane Ki Yeh Kudiyaan
Kina Jamiya kinna ne Lay Jaaniya Hai

mahol kaafi udaas ho chuka thaa!,,,,jab Ajay aur Akshay yuk dum kharray ho gaye!

meri pyaari bahaniya
banegi dulhaniya
sajake aayenge duulhe raaja o
bhaiya raaja bajaayega baaja

kashish rotay rotay hans dee!,,,,aur Sujal ko yuk dum bhoat saari roshni ka ehsaas huaa,,,,,

Pratab: chalo bhayee! Dulhay raja! ab tum kuch sunaa do!

Sujal: chalain! aaj main sab ko apnay dil kee baat sunata hoon!

Everyone: ohhhoooooooo!!!!

Gauri: kashish! kiya raaz batanay wala hay Sujal!

Kashish: Bhabhi!,,,,,aisa kuch bhee nahin kahay gaa yeh!

Gauri: ohhooo! abhi se itna yaqeen!

both of them smile!

Sujal:

Mohabbatein lutaaunga
Main chhed ke mann ka saans saans
Phir gaaunga
Phir sab ke dil ko aaj aaj, behlaoonga
Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
Main bhool ise na paoonga
(he stands up and walks around his family)
In lamhon ka mujhe kab se intezaar tha
In khushiyon ke liye kab se beqeraar tha
Manzil milegi mujhe, pura aitbaar tha
In palkon mein dekhe sapne hazaar
Door tak jaoonga
Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
Main bhool ise na paoonga
(he goes to kashish,hold her hand)
Kitna suhaana sa yeh apna safar hai
Aap ki duaon ka saara asar hai
Aap ka hai sab kuch aap ko nazar hai
Aap ki inaayeton pe baar baar baar sar ko main jhukaoonga
Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
Main bhool ise na paoonga
(he makes his father n wud-be father-in-law to hug each other)
Bhikre hain chaaron taraf rang dosti ke
Armaan pure huwe sab zindagi ke
Akhiyon mein bhar aaye aansoon khushi ke
Barsa ke aansuo ki meethi meethi dhaar
Aap ko hasaoonga
Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
Main bhool ise na paoonga
Mohabbatein lutaaunga
Main chhed ke mann ka saans saans
Phir gaaunga
Phir sab ke dil ko aaj aaj, behlaoonga
Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
Main bhool ise na paoonga

Sujal: ji jinaab! tau ab bataaiye!,,,,ab kashish jee kiya gayen geen!

Kashish: wohi jo her larrki widaa hotay waqt gaati hay!

likhnay walay ne likh daalayyyyyyy
likhnay walay ne likh daalay
milnay keh saath wichoray
asaa'n hun turr jana e
din reh gaye thoray je

Neha: kashish! baita !tum ne tau sab ko rula diya!,,,,,nandini! tum ne kashish ko mere hawalay kiya hay,aur main wadah kerti hoon keh kashish kabhi bhee meri bahu nahin bulkeh baiti ban ker rehay gee!,,,,,

aur phir issi tarah iss waday keh saath sangeet kee shaam apnay anjaam ko phanchi,,,,magar kashish keh liye yeh sangeet ka anjaam nahin bulkeh aanay waali khushguwar zindagi ka aaghaz thaa!

sabi thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 20 years ago
#63
plzzzzzzzzzzzzzzzz continue i love it😛
group_1223 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 20 years ago
#64
wowwwwwwwwww....it was teriffic....plz post more---will b eagerly waitin 4 it!!!!!!
*missperfect* thumbnail
Posted: 20 years ago
#65

hey

nice story

plz continue

mehraal thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 20 years ago
#66
aaj Kashish-Sujal kee shaadi hay!
aaj ka din un donon keh liye bohat ehmiyat rakhta hay,donon apni nayee zindagi shuru kernay jaa rehay hain!,,,jahan per Sujal ko apnay maazi kee yadon se chutkara paana hogaa waheen per Kashish ko aanay waali zindagi keh imtihaanon se guzarnay kee himmat rakhni hogee,,donon apni apni jagah iss aanay waalay badlaa'o keh liye apnay aap ko tayyar ker rehay hain!,,,
--------------------------------------------------------
Shadi ka mundap sajj chuka hay,,,red roses kee khushboo chaaro'n taraf phailee huee hay!...mundapp keh ird gird violet color keh phoolon kee sajwat kuch aur hee nazara paish ker rahi thee,,,dulha dulhan keh baithnay keh liye chokiyon per red velvet keh cover charhaye gaye thay,,,agni keh paas Pundit ji baithay huay thay!,,,Sujal-Kashish kee shaadi kee thaali,Neha ne sajayi thee!....woh apnay baitay aur bahu ko lay ker jitni khush thee,uss ka andaza tau koi nahin laga sakta thaa!,,,,udhar Nandini num ankhon se Mehman'on ko welcome ker rahi theen!,,,,abhi baraat aanay main kuch time thaa!,,,,shaadi aik hotel main ho rahi thee,,,larrki waalon kee taraf se taqreeban tamam mehmaan aachukay thay!
-------------------------------------------------------
Singhania House:
Pratab: chalo baita Sujal! aaj aazaadi se aakhri din guzaar lo,,phir tau biwi aajaye gee aur azaadi keh saaray din khatam ho jayen gay!
Everyone laughs!
Nikki: papa! mumma kahan hain?
Pratab: baita woh already hotel pohanch huki hay aur mundapp ka kaam sambhaal rahi hay!
Nikki: chalain bhayya!,,,,layen! main aap ka sehra saja doon!
Varun,Sam,Sujal keh sab dost uss keh aaspaas kharray thay!
Nikki ne aarti utari aur sehra saja ker kaala teeka laga diya!
now Sujal is ready for his baraat!,,,,uss keh dil main kiya ho rehaa hay!yeh tau wohi jaanta thaa!aik taraf thumta toofan tau doosri taraf bharkati huee aag!,,usse samajh main nahin aarehaa thaa keh woh jo kernay jaa rehaa hay,woh theek hay ya nahin!..uss keh cherhay per msukurahat tau hay kiyonkeh woh jaanta hay keh kashish aik samajhdaar larrki hay aur uss ka maazi kashish keh saamnay hay!,,,,kashish ne jo bhee faisla liya hogaa,soch samajh ker hee liya hogaa!
idhar se Sujal keh ghar se baraat nikli udhar larrki kee sahiliyon kee cha'yr chaar arooj per thee!
Anita: aray! meri Di ko tang mat kero!,,,,aaj tau itni piyari lag rahi hain,lagta hay keh Sujal bhayya tau bus waheen per behosh ho jayen gay!,,,,
everyone laughs!
After half hour!
Baraat hotel per pohanch chuki hay!
Nandini,Ajay,gauri,Akshay,Akash,,,sab log darwazay per muntazir thay!
Sujal gaari keh darwazay se utra!
Black sherwaani pehnay huay,sir per sufaid aur laal phoolon ka sehra sajaye huay woh koh-e-qaaf ka shehzada lag rehaa thaa,,,Nandini ne aarti utaari aur Sujal ko mundapp main jaa ker bitha diya gaya!,,,kuch dayr ba'ad pundit ji ne larrki ko bulanay ko kaha!
Anita,gauri,Anjali aur Nikki, Kashish ko lay ker aarahi hain!
deep red color ka rajashthani lehnga,,plain choli aur bhaari kamdaar dopatta,,,kapray tau sajj hee rehay thay magar zevar ne kashish ka husn do-aatsha ker diya thaa,,,itni haseen dulhan tau shayad kisi ne nahin daikhi thee,,mehndi se rachay haath!donon haathon main bhar bhar ker chooriyan,mathay per teeka aur jhoomar,gallay main rani set haar aur guluband pehnay huay woh aasmaan se utri koi pari lag rahi thee,chehray per haya keh rang sajaye huay woh dheeray dheeray qadam uthati huee mundapp tak pohanchi!.
Sujal kee nazrain utheen aur bus uthi reh gayee hain!woh palak jhapkaye baghair kashish ko daikhay jaa rehaa thaa tabhi Ajay ne galla saaf ker keh uss kee tawajjuh shaadi kee taraf dilayi!,,,,
Kashish sujal keh barabar aaker batihi!,,,,Pundit ji ne mantar parhnay shuru kiye!
pundit ji: ab kanya keh pita ko bulaaiye! kanya daan kerna hay!
Akash aagay barha aur kashish ka haath Sujal keh haath main day diya!,,
pundit ji: ab yeh mangal sutra pehnaaiye aur sindoor se kanya kee maang bhariye!
Sujal ne Nandini ji keh haath main pakri thaali se mangal sutra uthaya aur kashish ko pehnaya,,,aur phir sindoor lay ker kashish kee maang bhar dee!,,,
jahan per do logon ka gath-bandhan honay jaa rehaa waheen per Sujal ko kuch purani yadain tang ker rahi theen,,,magar in yadon se peecha churanay keh liye us ne aik dafa phir kashish kee taraf daikhna shuru ker diya!,,sab ne phir hansna shuru ker diya! 😆
varun: bhayya! abhi shaadi poori huee nahin hay,,,abhi zara apnay haqooq sambhaal ker rakhain 😉
everyone laughed!
pundit ji: ab in ka gath bandhan ker dijiye aur aap log phairon keh liye kharray ho jayen!
Sujal aur Kashish ka gath bandhan Nandini ne kiya!aur dono phairon keh liye kharray ho gaye!
saat phairay pooray honay keh ba'ad newly wed couple ne sab kee dua'yen leen!,,,
ab baari thee joota chupaayi kee!
anita ne already hee joota chura liya thaa jab Sujal mundapp main aaker baitha thaa,ab larrkion kee team ne demand shuru ker dee thee!
Gauri: daikho dulhay raja! tum tau humari kashish ko lay jaa rehay ho!magar ab tumhain apnay jootay wapis chahiyen tau kuch tau daina parary gaa naa!
Anita: ji haan!,,,,humari demand hay pooray aik lakh aur aik rupya!
Varun: yeh aik rupya kis khushi main!
Anita: yeh Shagun hota hay!,,,magar aap nahin samjhain gay!
Sam: kiyon nahin samjhain gay?
Gauri: yeh chotay bachon kee samajhnay kee baat nahin hay!,,chalo bhayee Dulhay raja! kero apni jayb dheeli!
Sujal keh dost chilla uthay!her giz nahinnnnn!,,,bilkul bhee mut daina hay,,,bulkeh isse aikhazaar ropay day do aur jaan bakhsi kero!
issi tarah kee takrar main aik ghanta guzar gaya,,aakhir kaar anita n gang 80,000 per maana aur Sujal kee jaan choooti,,ab waqt thee bidaayi kaa!jiss keh aatay hee sab keh chehron per udaasi chaa gayee,Ajay aur Akshay chah ker bhee apnay ansu nahin chupa paye,,,Nandini kee ankhain uss kee udaasi kee gawahi day rahi thee aur Akash apni uss baiti ko widaa kernay jaa rehaa thaa jo bachpan se lay ker aaj tak uss keh aangan ko mehkaati aayi hay!..aur kashish ka dil,,,jahan per apnon ko chorrnay se thaa be-chayn waheen per nayee zindagi shuru kernay ko thaa betaab!,,,usse khud apni feelings samajh nahina arahi theen magar jab woh apnay papa keh gallaylagi tau kaheen se do aansu tipkay aur Akash kee shirt main jazb ho gaye!
kashish sab se mill ker,,darwazat kee or barhi aur apnay hathon se chawal apnay maikay walon per phainkay takay uss keh janay keh baad bhee uss ka maika sada hara bharra aur khush-haal rehay!
-------------------------------------------------------
Kashish rukhsat ho ker Singhania House pohanch chuki thee!..gaari se Nikki aur Anjali ne usse utara,,,woh Sujal keh saath chalti huee ghar keh darwazay per pohanchi jahan per Neha pehle hee se in dono ka intizaar ker rahi thee,,
ankhon main dhayr khuwab sajaaye aur haathon kee mehndi main apnay armaanon ka rang liye huay,,kashish ne apna pehla qadam Mrs. Sujal Singhania,,,keh tor per rakha!Neha ne aarti utaari aur kaha!
Neha: Kashish!ab apnay bayen payr se uss kalash ko thokar maaro aur apna grehparvesh kero!,,,
Sujal keh humrah Kashish ne kalash ko thokar maari aur thaali main payr rakh ker,,SInghania House main bahu keh roop main apnay qadam rakhay!,,,,
ab waqt thaa ring ceremony kaa yaani keh angoothi dhoodnay kaa!..
dono Sujal aur Kashish aamnay saamnay baithay thay!,,,doodh kee thaali un keh saamnay thee!..donon ne apni ungliyan uss main daaleen,,
Nikki n gang cheekh rehaa thaa keh kashish bhabhi! dhoondain!,,udhar se varun n gang cheekh rehaa thaa keh Sujal bhayya! jaldi dhoondain warna saari zindagi ghulami kerni parr jaye gee!
tabhi achanak,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
..oneOone.. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 6
Posted: 20 years ago
#67
gr88 story mehraal
too good
👏
group_1223 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 20 years ago
#68
wonderful part mehraal....it was really gud.....now i finally noe how indian weddings take place.i ve seen em in movies but not wid ths much detail..thxks 2 u.....i think kashish found da ring....will b eagerly waitin 4 da continuation...... 😊
mehraal thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 20 years ago
#69

Originally posted by: group_1223

wonderful part mehraal....it was really gud.....now i finally noe how indian weddings take place.i ve seen em in movies but not wid ths much detail..thxks 2 u.....i think kashish found da ring....will b eagerly waitin 4 da continuation...... 😊

contact Natz for that😳

chalo bhayee natz! ab tumhari baari!

natz thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#70

Originally posted by: mehraal

contact Natz for that😳

chalo bhayee natz! ab tumhari baari!

Great story Mehraal... 👏👏👏

Yeah... my turn... okay... gimme an hour...

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".