Complete Written Update (Hindi)
Rajat tokas zald hi Chandra nandhni mein nazar aane wale hai
Lekin abhi abhi khabare aayi hai ki Rajat tokas ne ek shart rakh di hai , unhone kaha hai ki agar Director Santaram verma is show ko direct karenge toh rajat yeh show nahi karenge
Rajat ka manna hai ki Santaram verma short ko lekar bahut particular hai, aur jab tak short perfect nahi hota ,woh retake pe retake karwate hai, jisse Rajat ko problem hai
Isliye unhone starplus aur balaji ko kahdiya hai ki woh yeh show nahi karenge agar Santaram is show ko direct karenge
Iss baat ka pata jab Ekta ko laga, toh ekta ne bhi kahdiya ki Santaram verma hi yeh show karenge , kyunki balaji ka har show ka agaas Santaram verma hi karte hai , aur ekta unhe lucky charm bhi manti hai
Lekin ekta ki baat shayad channel ko manzoor nahi , isliye channel ne kahdiya diya director ko replace kardo , hame Rajat chahiye
Ab is baat ko lekar final meeting honi hai
Hali mein ek meeting rakhi gayi thi , jismein ekta kapoor , Santaram verma , aur star plus ke kahi logo ko bulaya gaya tha ,lekin Santaram verma nahi pohenche , aur bakki logo ne meeting attend ki , par ispar koi faisla nahi aaya
Filal Santaram verma ne balaji ke shows ko direct karna chhor diya , aur woh Sab TV k show Naagin kar rahe hai
Ab iska kya natija nikalta hai yeh bhi hum aapko zaldi batayenge