warning!..kamzor dil ke wayakti isse naa paren shudh hindi aur warlaap se bhari dukh bhari dastaan se dil ka daura parne ka khatra ho sakta hai!
mere praan nath!
mere dil mein prem ka ankur phootne hi wala tha ki aapki ore se aaye zinakari ke aarop ne uski garabh mein hi hatya kar di..aap hatyare ho!
main aapke dil mein apne liye yakeen nahin paida kar saki kyunki suja bhaisa aur moti ne hamara marg darshan bara hi anuchit aur asambhav karyaalon se kiya..jo ke aam manushye ki samajh se bahar hain!
hum aapko milke bataane hi waale the ke maham anga ji ne hamare aapki ore bar rahe kadmon ko rok diya jo ke aaj tak koi rok nahin paya..jo aapke DEK ke karyaley main khalal dalne aa jaya karte the pata nahin jab aap nirdosh manushe ki bani cheezon ko phenk rahe the uthe hi nahin!
ab hamara mann haram aur agra ki aawa jayee aapo taapi se oob gaya hai hum apni potli ko nazuk kandhe pe uthake aur kahnaaji ko bagal mein lapet kar liye jaa rahe hain..peeche mat aayega...hamara sareer to aapke haath lag jayega prantu aatma ka niwas asthaan hamne badal diya hai hamesha ke liye shayad!
aapki aagyakari
jodha rani!
377