Rukayya - Mayhem hume khushi hai ki Jodha Begum ki jaan bach gayi, aakhir unhone Jalal ki jaan jo bachayi
(manme - wo Benzir hume ghodepe le gayi😡😡😡 Begum-e-khas se ye jurrat)
Mayehm - wo to thik hai, aaisa karne ke siva unke paas koi aur rasta nahi tha, wo apni baat sabit kaha kar payi thi?
Wo agar aaisa karti to ye noubat hi nahi aati na?
(Manme - Ye bewkoof Benzir, uski vajah se ab Jodha Begum Jalal ke aur karib jayegi aur humara kaam bigad degi)
Rukayya - ha aap bilkul thik kah rahi hai
Lekin Jalal ne bhi unki jaan bachane ke liye bahut kiya
Mayhem - Jalal to aaise hai hi, wo sirf Jodha Begum ne unki jaan bachayi isliye shukriya karne ke liye ye sab kar rahe hai, ye baat to hum dono janti hai
Lekin ab wo Jodha Begum isi baat ka fayada uthayengi. Wo iss mouke ko haat se gavane nahi degi, wo fir unke paas jane ki koshish karegi
(manme JODHA BEGUM😡😡😡😡😡😡😡😡😡😡)
Rukayya - Karne do use koshish, lekin Jalal ke dimag pe humara raj chalta hai! Aakhir hum Begum-e-khas jo hai
(manme - humara audha koi nahi chhhin sakata)
Mayhem - he ye to pata hai, lekin aap bat ko samaz nahi hai Rukayya Begum, maaf kijiyega😡
Jalal ne Jodha Begum ko apni jindagi se bahar ukhada tha, wo unki taraf dekhana bhi nahi chahte the,
Agar ye gustakh Benzir😡 aaisa khel nahi khelati to hum kamyaab huve hote abtak Jodha Begum ko Jalal ki jindagi se bahar karne me
(manme - abtak to hum unhe Aamer bhej chuke hote😡😡)
Rukayya - to ab hum kya kare Mayham, sirf hum hi Jalal ki Begum-e-khas hai, ye audha humara hi rahega
Mayhem - aap ko kuch aaisa karna hoga ki Jalal ki nazar me Jodha Begum fir se niche gir jaye, Jalal ko fir se unse nafrat ho jaye,
Hume to dar hai Jalal ne jo awam ke samne kaha, dil se shukra guzar, kahi wo Jodha Begum ki waje se nahi?
(manme - Rukayya Begum aap ko ye dikh nahi raha ki Jodha Begum aur Jalal firse ek baar sath ho jayenge, humari itni koshish bekar gayi😡😡😡😡😡)
Rukayya - NAHIII - Jalal ke paas dil nahi hai, aur unke dimag pe humari hukumat hai, aakhir hum Begum-e-khas jo hai
Mayhem - wo to aap hai, isi liye kehte hai, Jodha Begum ko Jalal se dur karna aur bhi jaruri ho gaya hai
(manme - Rukayya Begum achha huva hum ne aap ke kandhe se Benzir ka nishana lagaya, aur Benzir ne aapko agwa karke bhi achha kiya, ab Jalal aapse gussa nahi karenge aur hum nayi chaal khelange, aapka kandha to hai hi, bewkoof)
AND HERE WE GO AGGGAAAIIINNN😡