JODHA AKBAR EK NAYI KAHANI

msbhattacharya thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#1

CHAPTER 23

HIRA KE JANE KE BAAD RAJA BHARMAL JALAL SE KEHETE HAI

Bharmal- sehensha huma aap se kuch vartalap karna cahate hai . aur isisliye aap dono ki bhet humne yaha apne ghar me karwayi.

Jalal- jaab aap ne hume apne aiyane me bulaya tha tabhi hum samajh gaye the . kahiye kis masle pe baat karna cahate hai aap?

Bharmal- ekant. Unke ye kehete hi sare das aur dasia waha se chale jate hai . keval hariprassad ji waha rahe jate hai.

Jalal- takhliya. Jala ke bhi sare sipahi chale jate hai . bus maham anga waha rehe jati hai. Raja bharmal maham anga ki taraf dekhte hai par kuch kehete nahi

Jalal- aap itminan rakhiye . ye humari bari ammi hai humari nazro me inka darja bahat upar hai . aap inminan rakhiye humare aur aap ke bich hui ye baat iss kamre se bahar nahi jayegi .

Bharmal- sehensha aap amer se samandh jor ne ja rahe hai . isis liye iss Vishay me aap ko batana avasak hai .

Jalal- hum sun rahe hai kahiye.

Bharmal- sehensha ye satya aap ki hone wali patni se jura hai .

Jalal- acha phir to hum zarur janna change.

Bharmal- sehensha hira humare raj vadya ki putrid nahi humari putrid hai .

Jalal- ha humne dekha amer ki malika unse bahat jurav krakhti hai .

Bahrmal- nahi sehensha . hum hira ke pita hai humne unhe janam fiya hai . wo humare aur amer ke maharani ki putrid hai .

Mahamanga- aap kekehene ka matlab hai ke wo...

Bharmal- ji wo amer ki rajkumari hai.

Jalal- agar ye kisis tarha ka mazak hai raja sahib to hume ye mazak bilkul pasand nahi aya.

Bharmal- nahi ye satya hai . humari putrid ke janam ke baad humne unki kundli banwayi thi . uske anudar uske graham aur humare parivar ke graham mel nahi kha rahe the . wo iss raj mehel me rfeheti to unke prano ka sankat tha . aur udhar vyad ji ki bhi peheli patni ko do baar santan hua tha par wo dono santan hi mari hui thi . isis liye vyad ji ne humse agraha kiya ke jaab taak Hira ke jivan se sankat nah ital jata tab taak wo unka partipalan apne kanya ki tarha karenge . hume vyad ji par purna viswas tha isis liye humne apni putrid unhe di . isis varsh unke jivan se wo sankat tal gaya hai . humne socha tha ke kuch samay aur hum unhe apne paas rakhenge . parantu niyati ko kuch aur likhna tha . aab wo apki ardhangini banne ja rahi hai isis karan vas aap ko humne ye baat bata di .

Jalal- kya wo ye baat janti hai ke woe k aam ladki nahi. Amer ki sehezadi hai?

Bharmal- nahi. Parantu aaj hi vyad ji unhe saab kuch bata denge . tabhi hari Prasad kehete hai

Hariprasad- agar hokum ki agya ho to aap dono se ek nivedan hai .

Bahrmal- kahiye . aap ne jis tarha humari putrid ka pratipalan kiya uske liye aap agar aap kuch kahenge to avha hi kahenge .

Hariprasad- aap ko samran hoga . aap ne kaha tha rajkumari ke pratipalan ke badle hum aap se kuch bhi mang sakte hai . puraskar ke roop me

Bharmal- hume samran hai . aap kahiye aap kya mangna cahate hai .

Hariprasad- hum aap se vachan cahate hai hokum ke aap unhe nahi batayenge ke wo humari putrid nahi hai . ke who amer ki rajkumari saa hai.

Baharmal- ye aap kya kahe rahe hai? Hum apnui hi [utri ko na bataye ke wo humari putrid hai . ye nahi ho sakta.

Jalal- aur aap inhe kehe rahe hai ke ye apni beti ko sach se dur rakhe par ye unki or nainsafi hogi ,.

Hariprasad- shama kare hume. Hum ye apne swarth ke liye nahi kahe rahe hai . in kuch divaso me uspe jo bitit hai . wo hum jante hai . ek alag sanskeiti me vivah ka nirnay liya hai usne . humare ghar me bhi tanav hai . wo bahat shas dikha rahi hai . par wo andar se toot chuki hai . agar aab use pata chala ke jinhe wo apna parivar manti hai , wo unka parivar nahi to wo nahi sahe payengi . jaha taak hum jante hai wo apne pran bhi le sakti hai .

Bahrmal- aap jo kahe rehe hai wo uchit hai . par wo humari kanya hai , aur hum unse ye satya kaise na bataye . hum pita hai unke humari bhi koi icha hai . parantu jo aap kahe rahe hai wo bhi satya hai .

Hariprasad- hokum agya de. To ye sevak ek marg sujha sakta hai.

Bahrmal- kahiye .

Hariprasad- aap vivah ke sare niyam jo ek pita karte hai wo kijiye . aap ke jitni icah e hai wo pure kijiye . wo hai to amer ki rajkumari . parantu unhe ye satya maat batayiye

Bharmal- agar usne pucha ke hum ye saab kyu kar rahe hai to?

Hariprasad- hum unhe samjha lenge. Bas ye ek vinti mann lijiye aap ne sevak ki.

Bharmal- thik hai.

Jalal- aap itminan rakhiye . hum bhi unhe kabhi bbhi yiss sach se rubaru nahi karwayenge , aur bari ammi bhi unhekuch nahi batengi . ye amer ki riyasat se mughal riyasat ke sehensha ka vada hai . maham ki taraf dekhte hai jalal

Maham- hum samajh gaye sehensha ye baat humare kabr taak humare saath jayegi . aur hum unhe kuch nahi batayenge .

Bharmal- dhanyavad sehensha.

Jalal- aab hum chalet hai nikah ki bahat tgayiyariya baki hai .

Bahrmal - aap yaha aye iske liye ek baar phir huma aap ka abhar prakat karte hai . dhanyavad aap ka .pranam

Jala- khooda hafis.

Bharmal0 pranam

EMD OF CHAPTER 23*********************************************************************************





CHAPTER 24

JALAL KE JANE KE BAAD MAYENAWATI RAJA BHARMAL KE PAAS ATI HAI

Mayenawati- kya baat hai maharaj rajkumari humaresath hi rahengi na?

Bharmal- hum abhi tumhe kuch nahi bata sakte . thora samay do hume.

Mayenawati- iska kya arth hai maharaj? Aap kehena kya cahate hai?

Rajabharmal mayenawati ko batae hai ke jalal ke samne kya bartalap hui hai.

Mayenawati- acha kiya aap ne wo humare hone wale sammandhi hai unke samne satya rakhkar aap ne acha hi kya . parantu who humare saath kyu nahi rahe sakti maharaj?

Bharmal- aap chinta maat kijiye vyad ji par hume pura biswas hai wo koi marg avashya nikalenge. Ek marg to humne socha hai usi ke anusar kaal bhor ko hi hum unh eek sandesha vijwa denge . hume asha hai ye sandesha humare karya ko sidh karega.

UDHAR JALA MAPNE KHEME ME LAUT KAR MAHAM SE BAAT KAR RAHA HAI.

Jalal- bari ammi aap sari tayiyariya surur kar dijiye . raja bharmal ki taraf se payegam aya hai . unke mazhab ke mutabik ane wale panch dino ke andar humara nikah hai . aap tayiyariya kijiye ke sagun hej diya jae.

Maham- aap fikr maat kijiye jalal. Hum wahi taufe bhejenge jo mughliya saan ke mutabik ho , aur akhir aap ka nikah hai . unhe bhi to pata chale ke aap ki begam hone ka matlab kya hai , aur mughliya saan kya hoti hai .

Jala- hume aap par pura yakin hai bari ammi .

AGLE DIN HARIPRASAD KE GHAR RAJABHARMAL KE AUR SE SANDESHA JATA HAI . USS SANDESHE ME KAHA GAYA HAI . KE RAJABHARMAL CAHATE HAI SURAKSHA KE KARANO SE HARIPRASAD KO AUR UNKE PARIVAR KO MEHEL ME REHEN KA ADESH DIYA GAYA HAI . AUR RAJABHARMAL CAHATE HAI KE UNKE ISS ADESH KA ISIS SAMAY PALAN HO.

Kalamati- suniye aap ayojan kar lijiye aur abhi chaliye . mehel me rehene ka avsar mil raha hai , ye to bahat subh samachar hai .

Hariprasad- aise kaise jaye waha , humari vastue humari smagria aise kaise le jaye?

Tabhi waha ek dasi a kar batati hai ke sainik bahar pratiksha kar rahe hai . wo samgriya bhi le jana cahate hai .

Kalamati- dekha aap ne . aap to sunte hi nahi hia humari

Hariprasad- tum kya keheti ho supriys?

Supriya- dekhiye . hokum ka adesh hai manna to parega . aur wo hum se adhik jante hai raaj neeti ke bareme. Humari putrid ke suraksha ke bareme aur humare bareme soch rahe hai . aap apni beti ka vivah ek mughal se kar rahe hai . iss karan us par vipda a sakti hai .

Hariprasad- thik hai . unko kaho hum a rahe hai . tum hira ko ja kar bata do ke hum ja rahe hai . wo bhi prastut rahe. Supriya tum jaao use le kar aao .

SUPRIYA JATI HAI AUR DEKHTI HAI KE HIRA UDAS HO KAR KHIRKI KE BAAS BAITHI HUI HAI AUR USKE CHAKSUO ME ASRU HAI .

Supriya- hira kya kar rahi hai ho.

Hira- asru poch kar . kuch nahi xhoti maa kahiye kya baat hai.

Supriya- beta aap prastut ho jayiye hume mehel jana hai.

Hira- kyu choti maa?

Supriya - uske paas baith kar . tumahre suraksha ke liye raja saa ne ye hokum diya hai . vivah se pehele tumhe kuch ho gaya to...

Hira- to amer ka bhavishya andhakarmaye ho jayega . humne socha tha ke jaab humra vivah hoga to huamri doli yaha se uthegi par

Supriya- par aap ka vivah humare kisis ke bhi kalpana se pare ho raha hai . chailye hume chalna hoga .

Hira- choti maa ke gale lag kar ro deti hai . hum se nahi ho raha sehen chhoti maa. Ye kya ho raha hai? Kyu? Idwar humare saath aissa kyu kar rahe hai? Hume to samjh nahi a raha sehensha ne hume kaha dekha , aur wo kyu humse vivah karna cahaet hai .

Supriya- chup ho ja mari bachi . bhagwan pe bharosa rakh . tere kanha ne kuch soch kar hi teri niyati me sehesha ko likha hoga . aab chal.

HIRA AUR USKA PARIVAR MEHEL ME JANE KE LIYE RAWANA HOTE HAI . AUR UNKA SWAGAT BHATA ACHE SE KIYA JATA HAI . SUKANYA BHATA HI PRASNYA HAI KE USKE JIJI SAA A RAHI HAI . PAR USE AUR SHIVANI KO PEHELE HI BATA DIYA GAYA HAI KE WO HIRA KO YE SATYA NAHI BATA PAYENGI. JO UNHE NA CAHATE HUE BHI SWIKAR KARNA PARA . HIRA AUR USKA PARIVAR AYA HAI AUR ATE HI WOASCHARIYA HO JATE HAI . HIRA KE BHAI SANKAR KO SEHENSHA SE SA SANMAN KE SAATH MUKT KAR DIYA HAI . AUR YE BHI BATA DIYA HAI APNE PRERIT PATRA ME KE UNHE SAGAI KE LIYE KALKA AGLA DIN SWIKAR HAI . AUR YE BHI KE YE VIVAH HIRA KE REETI KE RITIO KE ANUSAR HO ISSE BHI UNHE KOI APATTI NAHI . HIRA APNE KASH ME KHIRKI KE PAAS BAITH KAR CHAND KO DEKH RAHI HAI TABHI USKI KHIRKI KE BAHAR USE KOI DIKHTA HAI . HIRA PEHELE APNA MAAN WAHA NAHI LAGATI AUR WAHA SE APNE SAIYA ME A JATI HAI AUR APNE CHAKSU BAND KAR LETI HAI . KUCH SMAYA KE UPRANT KHIRKI SE KISIS KI SWAR USE SUNAYI DETE HAI

HIRA-kaun hai? Apne takiye ke niche se hira churi nikal leti hai . hum puchtre hai kaun hai waha?

KHIRKI KE USS PAAR SE PANCHANA JHAKTA HAI .

Hira- tum yaha? Itni raatri ko? Kisis ne dekhliya to kya hoga jante ho?

Panchana- janta hu . mritudand

Hira- aur samajh me ghumari ninda bhi to hogi . kyu aye ho yaha iswar ke liye chale jaao yaha se3.

Panchana- main saab jaan chukka hu ke kis karanvas tumha vivah karwa rahe hai sehensha se. e to tyumhari bali le rahe hai . ye anyaye hai .

Hira- humne kaha na ye vivah hum apni icha se kar rahe hai isme koi anyaye nahi hai.

Panchana- asatya maat bolo . hum saab jaan gaye hai .

Hira- agar gyat hai to ye bhi gyat hoga ke . aab iss vivah ko aswikar karne ka koi upaye nahi hai .

Panchana- ek upay hai .

Hira0 kya?

Panchana- hume yaha se palayan karna hoga . chale jayenge amer se dur mughal badsa ki rajyo ke simao se dur . main tumse bahat prem karta hu .a aur prem ko kiis sehenhsa ke vasna bali cahrte nahi dekh sakta.

Hira- parntu isse humare parivar ko sankat ho sakta hai . aur humare pita ka saman bhi dhool me mil jayega . raja saa ka vachan p, aur waise bhi sehensha nw bhai saa ko mukti de di hai . isis liye aba ye vivah karne ke liye hum partibadh hai . ye viswas ghat hum nahi kar sakte.

Panchana- wo jo viswasghat tumhare saath kar rahe hai uske age ye kuch nahi

hira- kya arth hai tumhara?

Panchana- hum sab batayenge kaal hum tumhari pratiksha karenge . mehel ke udyan ke piche bargat ka per hai na usi ke nikat . agar kaal surya ke dubte tum nahi ayi .. to hum kabhi nahi mil payenge. Abhi hum cahlte hai.

Hira- parntu.

Panchana- nirnay tumhe lena hai . parivar ya prem.



Created

Last reply

Replies

5

Views

1.9k

Users

6

Likes

10

Frequent Posters

akdhadeewaanii thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#2
wowww...nice update..😛
thnx for two chaps..now plz update soon with another bunch of chaps..i m waiting desperately..😃
nd plz pm me the link...😊
Edited by shreya931 - 11 years ago
roshaeldsouza91 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#3
Nice...👏
so many parts ek saath...
continue soon😊
MonalisaJ thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#4
superb... but plzz dont make hira elope...😭😭😭
GOTforever thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#5
wow.continue soon.i'l be waiting😃
pranavvikas thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 11 years ago
#6
Wow it was fabulous
Waiting for what would be hiras next step

Related Topics

Jodha Akbar thumbnail

Posted by: ParijatDeewani · 3 months ago

Hey y'all! I've created this thread so that you'll can easily access all the Akdha Vms in one place. Please feel free to add to the list. 1....

Expand ▼
Jodha Akbar thumbnail

Posted by: Swissgerman · 6 years ago

Jodha Akbar FF : --- Who loves Him Most (M) --- Link to my other threads Thread 1 Thread 2 - Thread 3 :::::Thread 4::::...

Expand ▼
Jodha Akbar thumbnail

Posted by: Swissgerman · 9 years ago

... Shahzada Of Her Dreams ... ::::::::::::::::::::::::::::::::Index::::::::::::::::::::::::::::::: Chapter-1.....The beginning Chapter-2:...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".