Bigg Boss 19-Daily Discussion Thread- 30th September, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 30, 2025 Episode Discussion Thread
Trump's 100% tariff on Bollywood films
What's next? (Multiple votes allowed)
DADI AS BOOTH 1.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 1, 2025 Episode Discussion Thread
Budget Single Digit : 7 cameo openings.
Swara Bhaskar..someone who dared to say it out loud #respect
My Box Office Prediction for Sunny Ki....jo bhi hai.
True Face of BIAS & NEPOTISM!
Which faces u r fed up of watching
👻 The Manuscript Marauders 👻 BookTalk Reading Challenge October 2025
What are the professional achievements of gabhira
Gen 5- Major Discussion Thread
Official Teaser - Tere Ishk Mein - Dhanush Kriti Sanon
Sonam Kapoor is in her family way ? (2nd baby)
The Literary Looters 💰 | Book Talk Reading Challenge October 2025
NAKAAB
Maine nafrat ki aad mein chhupa pyaar dekha hai,
Kisi ke ishaaron pe naachta sansaar dekha hai;
Waqt guzarte jo zakhm gehre ho jaate hain
Aise zakhm dene waala har woh waar dekha hai...
Maine kisi ko dard mein bhi muskuraate dekha hai,
Maine kisi ko bina aansoo bahaaye rotey dekha hai;
Kehte hain ki harr kali ek din zaroor khilti hai,
Maine kali ko khilne se pehele murjhaate dekha hai...
Maine shaitaan ko bhagwaan bante dekha hai,
Aur insaan ko haiwaan bante dekha hai;
Apne shaan aur ahankaar mein doobe naam ko
Duniya mein nakli pehchaan bante dekha hai...
Sach aur jhooth mein uljhaata mrigjal hai yeh,
Maine iss se bada koi wehem na dekha hai;
Kehte hain shikaar sher nahi sherni karti hai,
Maine aaj sherni ka bhi sehemna dekha hai...
Andhere mein doobta hua maine woh kal sunehera dekha hai,
Kisi ke aanchal mein chhupa har woh ghaav gehera dekha hai;
Ab hataana hai yeh fareb ka parda duniya ki nazron se,
Maine harr nakaab ke peechhe chhupa asli chehera dekha hai...!!