Episode 2
Advay
1.Ghalti tumhari nahi hai tum ne mujhey dhoka diya...ghalti meri hai ke maine tumhein mouka diya...par ab main tumhein koi mauka nahi doon ga...tumhara diya har dard mujh par karz hai...ab tumhein dard de ke main woh karz chukaoonga...
2.Abhi tu kaanch main daraar aayi hai...abhi tu iss ka tootna baki hai...toot kar bikharna baki hai...abhi tu tumhara aur badnaam hona baki hai Chandni Yash Narayan Vashisht...
3.Baat rukhi hai khatam nahi hui...yaad rakhiye ga...
4.16 saal main bohat kuch badal gaya...tum badal gayi...ya badalne ka natak kar rahi ho...
Chandni
1.Main janti hoon ke aap mujhse roothey huye hain...main yeh bhi janti hoon ke aik baar aap rooth gaye tu aap ko manana bohat hi kaathin hai par aap hatti hain tu main bhi ziddi hoon...aap pariksha letey letey thak jayein ge...par main pariksha detey huye nahi thakoon gi...
2.Kyunke mera vishwas hai ke aap ke karoodh main bhi prem chupa hai...aap ka prem bhi swikaar hai aur aap ka karoodh bhi...bus aap mujhey bhool jayein ye swikaar nahi...
3.Teri maa hawa main urr rahi thi...teri maa daayan hai kya???...
4.Nahi maasi yeh humarey saath kharey ho kar pooja nahi karein ge yeh tu hum se aagaey kharey ho kar pooja karein gey...
5.Pavitra mann se hua jata hai aur tu mann se beimaan hai...school se bhaagta hai...sanskrit main fail hota hai...chathoon se achar churata hai...phir bhi maha aarti kar raha hai...
Edited by meerab... - 8 years ago