I wish CV write something like this for Annika.
Zaroon asked Kashaf will she miss him? Kashaf bares her soul to her diary...what she wrote was a bittersweet confession from the deepest chords of her heart. She wrote:
Mai miss karoongi? Miss toh shayad ek chota lafz hai inn ehsaassaat ke liye jo mai tumhaare liye rakhne lagi hoon. Aur ab mai apne aap se darne lagi hoon. Kisi se mohabbat insaan ko bahut kamzor kar deti hai..bahut bebas, majboor, mahkoom..aur mujhe in teenon cheezon se nafrat hai..lekin uske bawajood tum meri zindagi ka markaz bante jaa rahe hoo..
Tum mujhse poochte hoo ke mujhe tumhaari kya baat achchi lagti hai? Main tumse ye kaise kahoon ki mujhe tumhari kaunsi baat achchi nahi lagti..
Apne ird gird tumhara ghoomna..mere wajood se na hatne wali tumhari gehri bolti nazrein..tumhari har waqt ki tawajjo..tumhara jaan chidakne wala har andaaz..har baar jab tum mere maa baap ke liye ehtaraman khade hote hoo toh main tumhare samne jhukne lagti hoon..Aur kya kuch nahi jo mujhe tumhaare saamne moom nahi karta..
Ek chote ghar ke iss pankhe waale kamre mein tumhaari ye gehri neend..Mineral water bottle ko dhoondne ke bajaye nalke ka paani pi lena...Hand wash chhodke ek saaste saaboon se haath dhona..Apni plate ko meri maa ke haath ke pake khaane se baar baar bharna...Par mai yeh sab tumko kabhi nahi bataaoongi, tumhaare har vaade par hassoongi..tumhaari har baat ka mazaaq udaaugi..Tum mujhe sangemarmar samajhte hoo, toh samajhte raho..mai tumhaare saamne reth ki deewar nahi ban sakti..mujhe toot jaane se khauf aata hai..