What you have written here is precisely what she should do. She & only she can work to keep her character from getting questioned. She doesn't even need him to do that.
Loved it!
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 5th Oct 2025 - WKV
GALATI HOGAYI 5.10
GEETUs DEATH 6.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 5, 2025 Episode Discussion Thread
Truth, lies and delusions of Geetanjali - A tribute from Gen4 pankhas
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 6, 2025 Episode Discussion Thread
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 6th Oct 2025.
What a joke this is!
♧Bigg Boss 9 Discussion Thread♧
Armaan Drove G2 towards death (metaphorically)
Baby girl it is 🩷 - Sshura Khan and Arbaaz are proud parents.
Parivaar Ki Izzat!!!
SO mihir wants to leave Tulsi
Kyunki Saas Bhi Kabhi Bahu Thi 2: EDT # 3
Bring her in Gen 5
Sunday Dhamaka: Who's the better dancer? Madonna, Shahid, or Hrithik?
OS - O'bro Moment
Poolside:
Hum sabke life mein, koi aisa hota hai jo humare liye sabse badkar hota hai, khudse bhi badkar.
Shivaay sipped the coffee from his mug. His thoughts reeled into the moment, he held lifeless Annika in his arms after he rescued her from Daksh's torture. He could still feel him shiver at the mere thought of Annika dying in his arms. He held his mug tightly.
He thought of the way Annika blushed every time he held her hand. He smiled. He affected her the same way she affects him.
Bahut khushkismat hote hai woh, jinke zindagi mein aisa insaan hota hai jispe woh marte hai aur, usi ko dekhkar jeete hai.
He remembered innumerable times he couldn't take his eyes off Annika - be it his during his Sangeet before their marriage, or every time Annika wore sindoor' in her forehead, or whenever she was in her full-fledged Annika Express' mode, or whenever she blushed in his proximity, or when she had fallen unconsciousness during Janmashtami eve... or... or... uncountable times... their moments...
Woh uski kamzori bhi hota hai aur uski taakat bhi...
He remembered how shocked, unbelievable and uncomfortable, when Annika had agreed to his marriage to Tia so as to expose Tia and her mother. Especially, he was scared of the thought of his marriage with Tia, because it could take away whatever they shared. Whatever they shared was a treasure to him, he could not afford to lose it. But Annika maintained her facade with sincerity and courage. She never let him falter from their mission. He sipped his espresso from his mug.
Jo humare zindagi mein phaile har raita ko samet leta hai, use yakeen dilata hai ki koi ho na ho, lekin woh humesha aapke saath hai, har mushkil mein, har dukh mein...
The way Annika defended and saved him intelligently when he was accused of Gayatri's murder, it still remained fresh in his mind.
Jiske khushi aapke khushi se judi hai...
The moments when they laughed together, smiled at each other in understanding, admired each other, teased each other... She made his life colorful.
Mere zindagi mein woh insaan aap hai.
He closed his eyes and savored her words. The way she uttered those words in a convincing manner... An involuntary smile appeared over his lips. He sipped his Espresso... Annika... and Espresso don't go together nicely, but without both of them, he cannot exist.
****
This was how Om and Rudra found Shivaay sitting over the poolside, with a mug of coffee in his hand, smile over his lips, dreamy look across his face.
Om and Rudra shared their classic curious look with each other yeh ho kya raha hai?!' When they realised what it might be, they stifled their smiles. Rudra, being Rudra wanted to live the moment.
Rudra said, "O... ek sher sunata hoon..." This caught Shivaay'a attention. Before Om could shook his head, he added sternly, "Sun lo..."
Om took a deep breath and signed him to start.
"Kabhi socha nahin ki aisa din bhi dekhne ko milenge...
Kabhi socha nahin ki aisa din bhi dekhne ko milenge...
Jab Shivaay Bhaiya pyar mein muskurate huye dikhenge..."
"Waah... Waah... Waah... Waah... Kya sher maari maine!" Rudra complimented himself. Om rolled his eyes.
Shivaay cleared his throat and sipped his coffee. "Hello Om! Hey Rudra!" Rudra and Om got themselves seated on both sides of Shivaay.
"So!" Om started. "What's up?"
"Nothing in particular." Shivaay shrugged his shoulders. "Business as usual." He finished his final sip and placed his mug on the table behind.
Om and Rudra leaned backward, looked at each other and nodded their heads sharing their I know it' looks.
"Hmmm..." Om nodded his head. "Kis baare mein soch raha hai?"
"C'mon O, yeh bhi koi sawaal hua? Obviously, bhaiya Annika bhabhi ke baare mein soch rahe hai." Rudra replied immediately..
Shivaay glared at Rudra. "Thanks Rudra. Mere liye jawaab dene ke liye."
"Arey! You are most welcome." He smiled at him.
"Aur tumhein aisa kyun laga ki main Annika ke baare mein soch raha hoon?" Shivaay questioned him.
Rudra gave a facepalm expression, "Haila! Annika bhabhi ke alawa aapke life mein koi aur ladki hai?"
"What?" Shivaay said scandalously and slapped Rudra on the back of his head.
Rudra rubbed his head and uttered, "Woh toh aapko dekhkar hi pata chal gaya."
"Kya?" Shivaay asked.
"Kya bhaiya?" Rudra asked back.
"Kya-kya?" Shivaay asked again.
"Pyar mein log pagal hote hai, bewakoof hote hai, yeh sab suna hai... ab dekh bhi liya..." Rudra sighed.
"Matlab kya hai? Main pagal hoon, main bewakoof hoon?" Shivaay defended.
Before Rudra could counter-attack, Om intevened, "Usne kaha ki pyar mein hote hai. Toh kya tujhe pyar ho gaya hai?"
Shivaay was stumped. He was caught in his own questions. He cleared his throat. "Nahin toh..." he fumbled in an uncertain tone.
Om and Rudra laughed at him. Rudra said, "O, main Dumbell' Oberoi hoon toh, bhaiya Fumble' Oberoi ban gaye." Om and Rudra gave hi-fi to each other.
"Tum donon yahaan meri taang kheenchne aaye ho kya?" Shivaay asked.
"Hum toh aise hi aapse baat karne aaye the. Lekin aapne apna taang khud hi kheench li." Rudra replied.
Shivaay shook his head.
"Waise Shivaay, tum maan kyun nahin lete ki tumhein pyar ho gaya hai?" Om asked.
"Pyar?! C'mon Om, tujhe pata hai ki main pyar-vyaar mein yakeen nahin karta." Shivaay explained.
"Ab bhi nahin karte?" Om asked carefully.
"Ab bhi ka kya matlab? Kabhi karta nahin tha, karta nahin hoon, aur karoonga bhi nahin." Shivaay said strongly.
Om and Rudra shared confusing looks.
"Toh tumhare aur Annika ke beech kya rishta hai?" Om asked.
Shivaay remembered his conversation with Annika that afternoon.
"Jaisa bhi hoon main, aadat daal lo, ab isi tadibaaz ke saath rehna hai tumhein..." Shivaay said (asked).
Annika looked at him in surprise. Did he really say it?' A smile slowly spread across her face. Shivaay waited for her response, little nervously.
All she said was "Awww..."
Shivaay was startled. He was shocked, at the same time, highly delighted at the fact that Annika had agreed to his proposal - she was willing to live with him... means... they were going to live their life together, whatsoever it be, but till the end... He immediately hugged her to share his glee, but in turn, his gesture froze her. It took few seconds for him to realise that Annika did not reciprocate. It took a few words of encouragement from him to express herself. A few seconds of hesitance, then she fit in his arms like she was meant to be.
Shivaay answered subconsciously, but clearly conscious, "Zindagi ka rishta hai, aur zindagi bhar ka rishta hai."
Om and Rudra smiled.
Om put his hand on Shivaay's shoulder. He said, "Shivaay, I'm glad ki tumne apne shaadi accept kar li. We are very happy ki... ki Annika ko jis sammaan ki zaroorat thi, woh tumne diya. We are really happy."
Shivaay looked at both of them and nodded his head in acknowledgement.
"Finally, Bagad bille ke uske takkar ki tadibaaz mil gayi!" Rudra teased Shivaay.
Shivaay rolled his eyes and ignored his comment.
"He is right." Om said. Rudra lifts up his collar in appraisal. Om continued, "Hum donon pehle se hi keh rahe the ki tumhare aur Annika ke beech mein kuch toh ... kuch toh khaas hai... Jis tarah se woh tumhein handle karti hai, waise koi nahin kar sakta."
"Really!?" Shivaay was puzzled. "Tumhara matlab hai ki I am difficult to handle. Is it?"
"Koi shaq?" Rudra replied. "Aap doosron ke baat maan kam, apni baat manwaate zyada ho." Shivaay frowned. Rudra continued, "Aur Annika bhabhi sabki baat maanti bhi hai, aur apni baat manwaati bhi hai."
"Rudra, tu toh intelligent baatein karne laga hai yaar!" Om was impressed.
"Main toh paidaashi intelligent tha, lekin aap logon ne realise hi nahin kiya!!!" Rudra pointed out.
Shivaay smiled. "Tera kuch nahin ho sakta! Tu bada kab banega?"
"Bhaiya, bada banke kya karoonga? Main aise hi teek hoon." Rudra shrugged his shoulders.
Shivaay patted his shoulder.
"Waise bhabhi kahaan hai?" Rudra asked.
Shivaay shrugged his shoulders. "Pata nahin. Yahin kahin hogi. Aa jayegi."
"Idea!" Rudra said all of a sudden.
"Shut up Rudra!" Om, Shivaay said together.
"Pehle suno na?" Rudra said.
"Kya?" Shivaay and Om asked in unison.
"Main soch raha hoon ki jaise O' bro moment hota hai, waise Devar-bhabhi moment bhi honi chahiye, nahin?" Rudra suggested.
Shivaay was amused. "Waise tumhein aise ideas aate kahaan se?" Rudra gave a proud smile to his brothers. Shivaay asked, "Waise yeh idea aaya kisliye?"
Rudra explained, "Aap hi dekho na bhaiya. Bhabhi kabhi bhi O'bro moment mein nahin aati. Jaise humara O'bro moment hai. Waise bhabhi ka bhi special kuch moment honi chahiye." Om gave an impressed expression. Rudra added further, "Unhein achcha bhi lagega. Waise bhi humara, I mean, O aur mera, Bhabhi ke saath bahut jamthi hai." Shivaay felt elated at this. Rudra looked at Shivaay, then winked his eyes at Om. Om raised his eyebrows in question. Rudra looked at Shivaay through the corner of his eyes and added slowly, "Humara toh jamtha hai, par... aapka pata nahin."
Shivaay was taken aback, "Uh?!" he uttered. Om stifled his laugh. Shivaay asked, "Matlab?"
Om said, "Matlab ki jitna humara equation hai, utna tum donon ka toh nahin ho sakta na?"
Shivaay look at Om surprised.
Rudra added immediately, "Right, O. Aakhir bhabhi bhi humare jaise youngster hai..."
Shivaay glared at Rudra. "Pitega tu ab. Tumhare kehne ka ye matlab hai ki main ab young nahin raha?"
Rudra shrugged his shoulders, "Of course, bhaiya. Aap young nahin rahe. Aap purane khayalat ke buzurg ho gaye ho." Shivaay raised his eyebrows. Rudra explained, "Ab dekhiye na, aap Shahrukh Khan ko senior actor bolte ho..."
"Teek hi toh hai." Shivaay countered.
"Aaliya Bhatt ko Pooja Bhatt ki choti behen bolte ho..."
"Kyunki woh hai."
"Ranbir Kapoor ko Rishi Kapoor ka beta bolte ho..."
"Kyunki Rishi Kapoor ka beta hai woh..."
"Pancham da ke gaane ko old songs bolte ho..."
"Woh 70's 80's ka composer the..."
"Aur purane zamaane ke gaon ki zameendar ki tarah khoon, khandaan ki baaton mein believe karte ho."
"Aaj ke zamaane mein bhi hai..."
"Aap ke liye hoga. Humare liye toh nahin na..." Rudra did hi-fi with Om. "Shaadi toh hum jaise youngsters ke liye romance hota hai, pyar hota hai... Lekin aap shaadi ko deal samajthe hai aur har waqt Annika bhabhi se ladte rehte hai." Rudra said in an accusing tone.
"Woh ladti hai, main nahin" Shivaay frowned and wondered as he looked at his two brothers. What was wrong with them? Why were they pulling his leg too many times today?'
"Rudra ke baat mein aaj point hai." Om agreed. Rudra did his See, logic' gesture. Om continued, "Aaj ke zamaane mein kaun yakeen karta hai khoon khaandaan ki baaton mein, ya kaun shaadi ko deal samajta hai?"
Shivaay stayed silent. Rudra narrowed his eyes and looked at Shivaay. Om shook his head.
"Don't tell me ki tum ab bhi ye sab baat maante ho." Om asked.
Shivaay cleared his throat.
"Unbelievable!!" Om exclaimed. "Shivaay, tumhein ho kya gaya hai? Itna kuch ho gaya, lekin tum ab abhi apne stupid beliefs ko pakadke baita hai? I can't believe this!"
"Aisi baat nahin hai.." Shivaay stumbled for proper words.
"Toh phir kaisi baat hai? Uh?" Om asked. "Don't tell me ki isi wajah se tum Annika ke saath aage nahin badna chahta."
Shivaay's patience slowly reached its limit. "Kya bol raha hai tu? Mere beliefs apni jagah hai, aur Annika alag jagah hai. Donon ko confuse mat kar."
Rudra was confused. Om asked, "Shivaay donon tumhare zindagi mein hai. Donon alag kaise huye?"
"Mere liye Rishta jodne ke liye khoon aur khaandaan ka hona zaroori aur yeh baat hamesha maanoonga. Lekin Annika..." Shivaay's voice softened all of a sudden. "Woh ... uski baat alag hai. Jaise bhi hai... teek hai woh... Mere liye kaafi hai... Mere liye Annika important hai... Sirf Annika..."
"Tumhare kehne ka ye matlab hai ki tumhare uske family aur background se koi fark nahin padta?"
"Mujhe nahin pata, yaar. Lekin ek baat hai, baat agar Annika ki hai, toh Annika mere liye zyada important hai. "
Om smiled at the the thought that he relaxed his beliefs towards Annika, otherwise he would be making a mess of his own life, "I'm glad ki tum aisa sochte ho." Om held his shoulders. Shivaay gave a small laugh. "Humein bahut khushi huyi ki tumne Annika aur apne rishte ko accept kar liya."
"Aisa lag raha hai ki is baat pe Annika se zyada aap log khush hai." Shivaay said teasingly.
Om and Rudra smiled at each other understandingly. Rudra asked slowly, "Toh... Annika bhabhi khush hai?"
"Khush kyun nahin hogi? Yehi toh chahti thi woh..." Shivaay said absently remembering the moment of happiness on her face.
"Toh... aap khush hai?" Rudra asked slowly.
Shivaay remembered the happiness and relief he felt, when Annika uttered Awww'. Shivaay slowly smiled. Om's and Rudra's smile grew wider.
"Agar tu itna khush hai toh pehle kyun nahin kiya?" Om asked.
Shivaay's smile slowly disappeared. He remembered the manner he threatened her to marry him. He wanted to punish her, then, because of an misconception and he, indeed punished her for an misconception. He could never forget it, whatsoever happens.
Shivaay's grim expression told them everything.
Om consoled him. "Jo hua so hua. Jaane de use. Lekin ek baat hamesha yaad rakhna" Shivaay looked at him. "Annika tumhare dil aur dimaag mein basi hai. Jitni jaldi tu is baat ko maanega, tum donon ke liye achccha hai."
"Lekin Om, jo hua..." Shivaay was hesitant.
"C'mon Shivaay. It's Annika. Woh tumhein jaanti hai, aur samajthi bhi hai." Om explained.
Shivaay smiled in agreement.
"Waise.. Thank you guys." Shivaay said elated.
"Ab toh banta hai, O'bro moment. Bahut din ho gaye yaar." Rudra whined.
Shivaay gathered Om and Rudra to himself. They shared their special hug. They were happy that they were together. They were happy that the moment is theirs.
"Finally!" Om said. They both looked at him. "Annika happened." Shivaay's eyes twinkled. The brothers smiled together.
After they released from the hug, Rudra said, "Humein pehle se hi pata tha ki yehi hoga, lekin aap hi the jo apne ego ko pakadke baite the."
"Pehle se hi pata tha - matlab?" Shivaay asked curiously.
"Matlab, hum yehi chahte the." Om replied. Shivaay frowned in question. Om explained, "Tumhein lag raha tha ki hum aise hi tumhein Annika bhabhi ke saath ched rahe the. Nahin.. Hum yehi chahte the, tum aur Annika bhabhi saath ho. Kyunki tumhari khushi uske saath hai."
"Meri khushi!" Shivaay said hopelessly.
"Believe me, Shivaay. Hum jaante hai tumhein. Bhai hai tere." Shivaay let out a dry laugh. Om continued, "Tu Annika ke saath ladta hai, jagadta hai, sab karta hai. Woh apni jagah hai. Lekin Annika ke saath rehne se jo khushi milti hai, tumhein tandak pahunchti hai. Sukoon milti hai tumhein."
Shivaay shook his head.
"Maanta hoon ki tu Great Wall of Shivaay hai. Tujhe lagta hai ki tumhein kisi ki zaroorat nahin hai. Aisa nahin hai. Aakhir tu bhi insaan hai, Shivaay. Deewar ko majboot rehne ke liye laat ki zaroorat hoti hai. Tu maane ya na maane, Annika tere liye woh laat ban gayi hai, woh aadhar ban gayi hai, jiske sahare ab tu aur bhi majboot khada hai."
Shivaay listened silently, but intently to Om's explanation.
Om continued, "Humein pata hai ki tu humse bahut pyar karta hai. Humpe yakeen karta hai. Lekin rudra aur main tere baazuyein ban sakte hai, lekin aadhar nahin ban sake, aur na ban sakte. Kyunki sach ye hai ki hum tumhare tarah strong nahin hai. Tu humari taqat hai. Aur jaise tumne kaha, Annika teri taqat hai." Om pointed at him. Shivaay was rendered speechless, but he had to agree to what Om said.
"Hum hamesha se chahte the, ki tumhein tumhare hisse ka khushi hamesha mile. Jab Annika tumhare zindagi mein aayi, humein laga ki... tumhein sawaal karne ke liye koi aa gaya hai, tumhein sambhalne ke liye koi aa gaya hai. Tu humare saath khush hai, maanta hoon, par humari khushi ko dekhke khush hai. Lekin Annika ke saath, tu khush rehta hai, tu khushi mehsoos karta hai."
"Ek baat bata Shivaay. Jab se tum donon mile ho, tumne uske saath bahut bura salooq kiya hai, badtameezi ki hai aur pata nahi kya-kya kiya hai. Use hamesha tumhare kartooton se shikayat thi, uske khilaaf ladi hai, mazaak udathi hai, Shivaay Singh Oberoi ko ulta-seedha kaha hai, Shivaay Singh Oberoi se nafrat ki, lekin kabhi bhi usne tumhare andar ke Shivaay ki beizzat nahin ki."
Shivaay never realised OmRu noticed and understood so many things.
"Isliye hum hamesha chahte the ki aap donon saath ho." Rudra said. "Hum aapko jaante hai, lekin Annika bhabhi, thodi hi dinon mein aapko teek pehchan gayi. Aur, aap unhein samajne ke baawajood samaj nahin paaye, aur unhein hurt karte rahe. Lekin, jab bhi unhein chot lagti hai, toh dard aapko bhi hota hai. Surprising baat yeh hai ki tab aapko apne aapse se itna gussa ho jaate hai ki, unhein aur hurt karte hai aur fikar bhi karte hai. Surprising na?"
"I'm impressed, Rudra." Shivaay appreciated him.
"Sach kahoon toh bhaiya, aapko itna tension-free, stress-free dekhke humein bahut achcha lag raha hai." Rudra said teary-eyed.
Shivaay was overwhelmed. He felt his life was complete that moment. "I love you, guys!" he said and embraced them in a hug. Despite having complaints from life about his dysfunctional family, the happiness he was experiencing that time, erased away the complaints and wounds of his past. He always knew that whatever it be, he always had his brothers by his side, and now, his missing part of life was also filled - Annika.