Naman karo swikaar putra ka hey Maata Maharani,
Naman karo swikaar putra ka Raja Raam ki rani,
Ravan ki Lanka mein sunau tumko Raam-kahani,
Naman karo''..
Katha ye punya prasanga hai, Katha ye punya prasanga hai,
Tan man pawan karne wali bhagwat gun ganga hai,
Ram kaushalya ne jaaye, Maat Kaushalya ne jaaye,
Tribhuvan-pati teeno bhrata sang Dashrath ke ghar aaye,
Bhaye paragat kripala, dindayala anand jag chhaye,
Raam, Bharat, Shatrughna, Lakshman
Chaaro kumaro ne Guru Vashishth se alpakaal mein hi sari vidyayein sikh li
Maharaj Janak ki kanya bankar pragati Mahlakshmi Sita,
Aaradhya shambhu ka dhanush tod Sita ko Raghuvar ne jita,
Ban gaye Siya-var Ramchandra, Hui Siya Raam ki parineeta,
Mithila mein aur Ayodhya mein jivan kuchh din sukh se beeta,
Phir Shri Raam ke Rajtilak ki aayi tithi vardaani,
Phir Shri Raam ke Rajtilak ki aayi tithi vardaani,
Ravan ki Lanka mein sunau,tumko Raam-kahani,
Manthara kaikeyi ki daasi, Manthara kaikeyi ki daasi,
Uske kuchakra ne amavas me badli puran-maasi,
Tabhi var Kaikeyi ne maange, Ke do var Dasrath se maange,
Rakhne ko pita ka maan Raam ne Rajmahal tyaage,
Van chale Ram-Siya-Lakhan, Katha sunlo maata aage,
Chitrakut me Bharat-milaap hua,
Maata ki karni par putra pashchataap hua,
Chitrakut se aa gaye Godavari ke teer,
Ram, Lakhan, Siya aa gaye Godavari ke teer,
Maya-mrig ko dekh ke Sita hui adheer,
Raam mrig ke pichhe dhaaye, Swarn-mrig ke pichhe dhaaye,
Mareech ka tha shadyantra dur prabhuvar ko le jaaye,
Maya-mrig ka shadyantra dur Raghuvar ko le jaaye,
Laabh avsar se uthaya hai, Laabh avsar se uthaya hai,
Ravan kar Sita-haran unhe Lanka le laya hai
Chhal-bal se karke haran unhe Lanka le aaya hai
Shat-yojan sagar paar kar,
Sursa, Singhika, Lankini ko maar kar,
Ye Raam-dut
Raam ke paas se tum tak pohoch paya hai,
Shri Raam shighra sena lekar Lanka me aane wale hai,
Ravan ka vadh kar sur-nar-muni ke kasht mitane wale hai,
Ye divas pratiksha ke maata dhiraj se bitane wale hai,
Samman sahit Shri Raam sang tumko le jane wale hai,
Veji hai mudrika tumhari parichit aur pehchaani,
Veji hai mudrika tumhari parichit aur pehchaani,
Ravan ki Lanka mein sunau tumko Raam-kahani!!
218