Inshi ff : Pyar to hona hi tha chapter 46 pg no 139 - Page 66

Created

Last reply

Replies

802

Views

71.6k

Users

33

Likes

767

Frequent Posters

Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Ketaki19

haa bahot gusse me tha toh isiliye lekin ab thik hoga don't worry 😃

den ok 😃
ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago
😃 😳
ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago

Chapter 45

At Night

Sab log dinner karne beth jate hain.

Simmi : Ye Indira aur Rishi kaha hain?

Payal : Mamiji me bhabhiko bulane gayi thi par unhone kaha ki unko bhuk nahi hain aur unki tabiyet bhi thik nahi hain isiliye wo jaldi so gayi.

Simmi : Kya aur tu mujhe abhi bata rahi hain aur Rishi kaha hain?

Payal : Bhai aaj shamse nahi dikhayi diye .

Priya : Mummyji pata nahi kyu par mujhe aise lag raha hain ki in donome kuch hua hain.

Simmi : Matlab?

Priya : Mera matlab hain ki jabse Indira officese aayi hain tabse wo bahot shant shant hain. Rishibhi shamse bahar gaye hain. Mujhe lag raha hain ki in donome jhagra hua hain. Tabhi waha Rishi baharse aata hain. Simmi usse khana khane bulati hain par wo mana karke apne room me jata hain.

Simmi : Priya shayad tum thik keh rahi hain aur wo InShi ke room ki taraf dekhti hain.
At InShi's room

Rishi room me aata hain aur Indirako sote huye dekhta hain. Wo bhi fresh ho kar bed pe let jata hain par usse neend nahi aati. Wo Indirake taraf dekhta hain. "Indira...Indira" par usse koi jawab nahi milta. "I am...I am sorry Indira. Me janta hu tum soyi nahi ho. Please mujhe maf kar do. Pata nahi mujhe uss time kya hua tha. Me bahot disturb hua tha aur usmehi maine tumse wo sab...par mujhe ehsas ho gaya hain meri galti ka. Please mujhe maf kar do..." Indira uske taraf dekhti hain "Nahi Rishi galti tumhari nahi meri hain. Me ye baat bhul gayi thi ki me jiss family ko apni family man rahi thi wo to meri hain hi nahi. Me jiss hakse tumse baat kar rahi thi asal me wo mera hak hain hi nahi. Aur rahi bat tumhari iss shadi me fasne ki toh iska bhi maine solution nikala hain." Rishi uske taraf dekhta hain, "Solution?? Kaisa solution?"

Indira : Rishi ab hume ye natak sirf aur 6 mahine hi karna hain na, 6 mahino ke bad toh me yahase janewali hu na toh maine ye socha hain ki me kalhi yahase chali jaungi. Rishi uske taraf shock hokar dekhta hain," Kya? Indira tum..."

Indira : Haan Rishi yahi behtar hoga aur yahi maine decide kiya hain. Aur wo turn ho kar so jati hain.

Next day

Rishi uthnese pehle Indira ready ho kar office chali jati hain. Rishi Indirako awaj deta hain," Indira please AC off kardo na bahot thand lag rahi hain. Indira..." par usse kuch jawab nahi milta. Wo uth jata hain aur idhar udhar dekhta hain par usse Indira nahi dikhti. Wo neeche aata hain. "Maa wo Indira kaha hain?"

Simmi : Wo office chali gayi.

Rishi : Kya office? Itne jaldi?

Simmi : Haan wo keh rahi thi ki uski kuch important meeting hain.

Rishi : Achha??...mujhe toh kuch nahi bataya.

Simmi : Rishi tum dono me kuch jhagra hua hain kya?

Rishi : Nahi maa...aap.. aap aisa kyu puch rahi ho?

Simmi : Jiss tarahse tum log behave kar rahe ho na usse dekh kar koi bhi yahi bolega.

Rishi : Nahi maa aisi koi baat nahi hain. Aap fikar mat karo. Chalo ab me bhi ready ho jata hu warna mujhe bhi late hoga aur wo wahase chala jata hain. Room me jakar Rishi Indira ko phone karta hain

I : Hello

R : Hello, Indira wo me Rishi

I : Haan pata hain bolo...

R : Indira tum...wo maine isliye phone kiya tha ki tum yaha sham ko aanewali ho na?

I : Kyun?

R : Mera matlab tha ki tumne kal raat ko jo kaha tha wo sab...

I : Maine kal raat bahot socha Rishi. Agar me aise ghar chhodke chali jati toh gharwalonke sawalonke jawab na hi mere pass the aur nahi tumhare pass. Toh isiliye maine yeh decide kiya hain ki...

R : Kya decide kiya?

I : Ki me aaj shamko wapas DM me hi aaungi.

Rishi yeh sunkar bahot khush hota hain. "Sach...Indira tum...tum aane wali ho thank god. Matlab tumne mujhe maf kiya?"

I : Rishi me ab phone rakhti hu. Mujhe kam hain jaruri aur wo turant phone rakh deti hain.

Sham me Indira ghar aati hain. Simmi se thodi bate karke wo apne room me jati hain. Wo wardrobe kholti hain usse wahape ek gift pack dikhta hain, "Yeh gift pack? Shayad Rishi laya hoga kisiko dene" aur wo packet pe nam dekhti hain," For my close friend". Wo sochne lagti hain," Close friend? Lagta hain Sanjay ke liye laya hain kuch". Aur wo wapas packet rakhne lagti hain tabhi usse awaj aati hain ,"Tumhare liye hain". Wo peeche dekhti hain ,"Rishi tum?" Rishi uske pass aata hain," Haa wo yeh gift tumhare liye laya hu".

Indira : Par ispe close friend ke liye likha hain.

Rishi : Haan toh tum bhi meri close friend hi ho na. Ab dekh ke batao na kaisa laga gift. Indira gift kholti hain. Rishi usse Lemon color ki chudidar gift karta hain. "Are wa dress toh bahot mast hain aur color bhi bahot pyara hain."

Rishi : Tumhe sachme pasand aaya dress? Indira apna sar hilati hain. "Thank god. Pata hain maine uss sales girl se puri dukan khali karwa di aur tab jaake mujhe ye dress pasand aaya. Ek aur gift hain."

Indira : Ek aur?

Rishi : Haan, apni aankhe band karo. Indira pehle mana karti hain lekin bad me man jati hain. Ab apna muh kholo aur wo usse Indiraki sabse favourite wali chocolate khilata hain. Indira aankhe kholti hain," Meri favourite chocolate...woww..."

Rishi : Haan, kaisa laga gift?

Indira : Bahot achha laga. Par tumhe kaise pata ki ye meri sabse favourite chocolate hain?

Rishi : Wo maine uncleji se pata karwaya. Unhone mujhe kaha ki agar bubbli ko manana hain toh usse uski favourite chocolate do uska gussa yu aur apni chutki bajata hain yu shant hoga. Aur tum mujhpe bahot gussa thi na toh isiliye maine ye sab...

Indira : Achha...waise yeh mat samjhna ki mera gussa kum hua hain. Tumne jo wo sab kal bola tha na Rishi usse me puri hurt hui hu. Pata hain tumhe aaj tak kisine yaha tak mere dad ne bhi mujhe itne gusseme baat nahi ki hain aur tum apne family ke bareme yeh sab kaise bol sakte ho? Agar unko tumhe jane nahi dena tha toh wo tumhe Hyderabad bhi nahi jane dete. Tum reject huye isme unki koi galti nahi thi aur tumne jiss tarahse unko blame kiya na mujhe bahot gussa aaya uss batse. Rishi apne kaan pakadta hain ,"I am sorry Indira. Me janta hu mujhe wo sab nahi bolna chahiye tha. Me sach kehta hu mujhe khudko nahi pata chala ki me kya bol raha hu. Uss rejection ke wajahse me pura disturbed hua tha aur mujhe bahot pareshaani hui thi ki agar me US nahi gaya toh ye log hume ek saath rehneko majboor karenge iss khayalse me aur dar gaya."

Indira : Rishi me samaj sakti hu tumhari haalat par ek baat yaad rakhna humare iss contractme kaise bhi halat ho par hume koi farak nahi padega. Sach keh rahi hu na me? Nahi padega na koi farak? Rishi jerkse uski taraf dekhta hain Nahi...nahi padega...shayad...koi bhi halat ho...aur wo dono ek dusre ke taraf dekhte hain.

Ratme Rishi Indirako ice cream khane ke liye bahar le jata hain. Tabhi waha pe jorse baarish hoti hain. Rishi turant carme jata hain par Indira bhigne lagti hain. Rishi usse andar bulata hain, "Indira kya kar rahi ho? Andar aao warna sardi lag jayegi."

Indira : Rishi aao na tum bhi bahot maja aa raha hain.

Rishi : Are nahi Indira, chalo aao, sardi lag jayegi tumhe.

Indira : Kuch nahi hoga. Aise ek baar bhignese sardi nahi lagegi. Aao na aur wo Rishi ko khichke le aati hain. "Dekho Rishi aise apne haath failao aur lambisi saans lo air barish ko mehsus karo." Rishi same karta hain aur apni aankhe band karta hain. "Kyu maja aa raha hain na Rishi?"

Rishi : Haa bahot.

Indira : Ye lo aur wo uske upar pani udati hain.

Rishi : Ruko tum aur wo bhi uspe pani udane lagta hain. Indira wahase bhagti hain Rishi usse pakadne jata hain. Dono barishme bahot bhigte hain. "Chalo Indira ab chalte hain."

Indira : Haan chalo. Waise bhigke kaisa laga?

Rishi : Sach batau me kabhi aise deliberately nahi bhiga tha. Mujhe pasand nahi hain bhigna par aaj maine bahot enjoy kiya. Indira iss baatpe hasti hain. Rishi uske taraf dekhne lagta hain."Aise kya dekh rahe ho Rishi?"

Rishi : Tumhari hasi bahot cute hain Indira.

Indira : Kya matlab?

Rishi : I mean to say haste waqt tum bahot cute lagti ho.

Indira : Mujhe kya pehli baar dekh rahe ho aise haste huye?

Rishi : Nahi par kabhi bhi tumhari hasi pe dhyan hi nahi diya. Bahot khoobsurat dikhti ho tum haste waqt.

Indira : Haan, Dad bhi yahi kehte hain. Chalo ab chalte hain aur wo dono carke pass aate hain. Suddenly Indira ka per fislata hain. Rishi usse waist pe pakadta hain. Indira uske shirtko pakarti hain aur dono ek dusre ki aankhome dekhte hain.

Kuch time bad dono dusre gadi ki awaj se sense me aakar khade hote hain aur wapas ek dusre ke taraf dekhte hain aur dono ko hasi aati hain.

Rishi : Chalo ab chalte hain.

Indira : Haan chalo. aur dono wapas ghar aate hain.

At DM

Hall me sab log bethe huye the. InShi andar aate hain.
Simmi : Tum dono kaha gaye the itni der tak?

Indira Rishi ke taraf dekhti hain. "Ji wo mummyji wo..."

Payal : Off oh mamiji aap bhi na. Ab yeh dono bahar ghumne gaye honge na wo thodi hume batakar jayenge.

Sameer : Haan sahi kaha Payalne. kya mom aap bhi na. Aur sab aone lips dabakar hasne lagte hain.

Priya : Are tum dono to bhig chuke ho puri tarahse. Par tum log bhig kaise gaye? tum dono carme gaye the na?

Sameer : Priya tum bhi na ab itni achhi baarish hui hain toh dono ka bhigne ka man kiya hoga. Kyun sahi kaha na maine Rishi? InShi sharmate hain par situationko sambhalne ke liye Rishi apna face seedha rakhta hain. "Ji wo mom raasteme humari car kharab hui thi toh wo thik karne me hum bhig gaye. Hain na Indira?"

Indira : Haan... haan aisa hi hua tha. Aap log bhi na... me abhi aati hu...aur wo turant room me chali jati hain. Sab log Rishi ke taraf dekhte hain. "Me...me bhi aata hu change karke". Aur wo bhi apne room ki taraf bhagta hain. Sab log bahot haste hain.

Simmi : Chalo inke bich ka jhagda toh khatm hua. Ab jao tum sab bhi so jao. Sab log apne apne room me jate hain.

InShi's room

Indira change karke balconyme apne baal puch rahi thi tabhi usse InShi ka eye lock yaad aata hain aur wo hasti hain. Rishi uske pass aata hain ,"Kya hua Indira aise akele akele kyun has rahi ho?"

Indira : Nahi...kuch nahi. Wo abhi neeche sab log kaise hume chidha rahe the wahi yaad aaya.

Rishi : Haan... waise hume sach bata dena chahiye tha na. Indira uske taraf dekhti hain. Rishi usse naughty smile deta hain ,"Waise Indira tum bhigne ke baad bahot sexy lag rahi thi." Indira uske aur pass aati hain," Aur tum bhi bahot hot lag rahe the". Rishi uske closeness se shock hota hain, "Kya baat hain Hitler aapke iraade mujhe thik nahi lag rahe hain".

Indira : Haan toh samne itna handsome green eyed hunk khada ho toh kisika bhi dil kab tak control karega? aur wo wink karti hain. Rishi uske taraf dekhta hain aur dono haste hain. "Chalo ab sote hain".

Rishi : Haa aur dono takiye beech me rakh kar so jate hain. Par dono ko neend nahi aati. "Indira tum so gayi kya?"

Indira : Nahi. Mujhe neend nahi aa rahi.

Rishi : Mujhe bhi nahi. Ab kya kare?

Indira : Emmm...haa idea. Pata hain Rishi bachpan me hum sare dost jab boar hote the na tab ek game khelte the. Chalo wahi khelte hain.

Rishi : Game? Kaisa game?

Indira : Story banane ka game.

Rishi : Matlab? Kaisi story?

Indira : Koi bhi character imagine karke uske upar story banana like koi bhi character imagine karke unki story banana. Haa like do dost the wo ek bar aisehi jungle me gaye fir waha unko ek pari mili uss pari ne unko jadu sikhayi aur dono uss jadu se kaise masti ki aise kuch bhi story. Toh ab hum bhi wahi khelte hain. Hum bhi ek story banate hain aur jab bad me hum ye story yaad karenge na tab dekhna bahot hasi aayegi.

Rishi : Interesting. Chalo banate hain par kispe banaye? Dono sochte hain. "Kyu na hum humare upar story banaye?"

Indira : Humare upar matlab?

Rishi excite ho kar beth jata hain. "Dekho ek hoga prince aur ek hogi princess. Ek baar prince apne dost ke sath bahar ghumne jata hain. Uss din bahot jorse barish ho rahi thi. Prince ko barishme gadi chalana bahot pasand tha isiliye wo gadi ka speed badhata hain uss wajahse princess pe raaste ka pani udd jata hain."

Indira bhi beth jati hain. "Haan aur iss baatpe princess bahot gussa hoti hain aur prince ko bahot datati hain. Prince bhi usse bahot sunata hain aur dono apne apne raastese chale jate hain."

Rishi : Haan. Kuch din bad Prince ke mom dad uske liye rishta lekar aate hain. Par Princeka shadi karneka koi mann nahi tha. Wo pehle bhi bahot sari ladkionko reject kar chuka tha par uske parents bar bar uske liye rishta lekar aate the fir prince ne socha ki wo ab iss ladki ko dekhega aur reject kar dega aur apne parents se baat karega aur wo ladki dekhne ke liye man jata hain.

Indira : Aisehi story Princess ki hain. Uske liye bhi uske dad ne bahot sare rishte laye the par princess ko shadi ke bandhan me bandhaneka koi man nahi tha par uske dad ne usse promice kiya tha ki ab jo ladka aayega wo last hoga uske baad wo kabhi shadi ki baat nahi karenge. Princess bhi yeh bat man jati hain aur ladka dekhne ready hoti hain.

Rishi : Fir do din bad prince ladki ke ghar aata hain aur jab dono ek dusreke taraf dekhte hain tab shock hote hain.

Indira : Haan kyunki wo ladka ladki aur koi nahi balki wo prince aur princess hi hote hain jo raaste me milkar jhagda karte hain.

Rishi : Fir dono ek dusre ko dekhte hain aur shadi ke liye man jate hain . Unke iss decision se ghar ke sare log bahot khush hote hain aur ek achhese muhurat par unki shadi hoti hain.

Indira : Prince apni princess ko lekar ghar aata hain aur princess ke sath apna room, wardrobe, bed sab share karta hain. Par haa un dono ki nok jhok kabhi khatam nahi hoti. Wo humesha choti choti batonpe ladte hain, ek dusre ko bahot chidhate hain.

Rishi : Haan par ek din undono me achhese dosti hoti hain aur wo dono ek dusreke close friends ban jate hain. Ab aage?

Indira : Rishi abhi mujhe bahot neend aa rahi hain. Ab aage ki story hum bad me banayenge. Abhi chalo sote hain.

Rishi : Haan thik hain. Chalo sote hain aur dono so jate hain.
...fari... thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Hmm Priya ko shaq hua🤔aww maafi maang li hero ne😳haww in bahot hurt hui h aur ghar chhodkar jane ka decision liya😔wow decision change😃wow dress aur chocs laya apna hero in ko manane ke liye😳barish mei eyelock😉Rishi feel karne laga h in ke liye😛hahaha..sab tease karte h😆oho naughty2 inshi😆neend nai aa rai?aayegi bhi kaise😉🤣wah apni story khud bayan kardi👏
awesome update👏
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
oye hoye barish me eye lock ☺️ ☺️
kya story banai hain lovely lekin sirf dosti tak hi story bani? What about love?
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
Me abhi tak shadi tak hi pahuchi lekin socha yeh pehle padhlu 😆
mast update ketu 👏
...fari... thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Dnyanu16

Me abhi tak shadi tak hi pahuchi lekin socha yeh pehle padhlu😆

mast update ketu👏

aur mai meeting tak bhi nai pahuchi🤣
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: ...fari...

aur mai meeting tak bhi nai pahuchi🤣

🤣 🤣
snail kahiki 😆 😆
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
chinu 🤣 🤣
Rishi kumar ek dum chipku types tha 🤣 🤣

...fari... thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Dnyanu16

🤣🤣
snail kahiki😆😆

shukriya shukriya😃🤣waise mai 18 part pe thi par mai nai padhne ki vajah se story bhul gai🤣

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".