Chapter 28
Rishi apne kamre me jata hain. Simmi Shekhar ke pass aati hain.
Simmi : Yeh kya hua ji? Humne toh ye sab aisa hoga socha bhi nahi tha. Kya hum sab itne bure hain?
Shekhar : Simmi tum fikar mat karo. Kuch nahi hoga. Rishi abhi apne kamre me gaya hain na. Dekhna thodi der bad uska gussa shant hoga. Fir wo hume aakar maf kar dega.
Simmi : Mujhe bahot dar lag raha hain. Aap tih uska gussa jante hain na. Uske pass jake usko samjhana padega. Me abhi jati hu. Wo jane lagti hain.
Shekhar : Ruk jao Simmi. Abhi agar hum me se koi bhi uske samne gaya na toh uska gussa aur badh jayega.
Simmi : Fir kaun jayega? Kisi ko toh jana hoga na.
Dadi : Shekhar sahi keh raha hain Simmi. Hum me se agar koi bhi gaya na abhi toh woh aur bhadkega.
Indira aur Inder puri shock se yeh sab dekh rahe the. Inder Indira ko ishara karta hain. Indira apna sar ghumati hain. Wo turant Dadi, Shekhar aur Simmi ke pas aati hain. Maa me jati hu uske pass.
Simmi : Tum??
Indira : Haan maa. Waise bhi Rishi aap sabse jyada gussa hain. Lekin shayad woh meri bat man jaye.
Dadi : Haa Simmi, Indira sahi keh rahi hain. Abhi ek wohi hain jo Rishi ko samjha payegi. Jao beta.
Indira turankamre me jati hain aur dekhti hain ki Rishi apna sara saman pack kar raha hain. Yeh sab kya kar rahe ho Rishi?
Rishi : Me ab idhar bilkul bhi nahi ruk sakta Indira. Mujhe yeh ghar chodna hain. Me kuch bhi karunga, kaise bhi reh lunga lekin me yaha nahi rukunga.
Indira : Lekin Rishi...
Rishi : Me abhi koi bat sunane ke mood me nahi hu Indira. Please mujhe apna kam karne do.
Indira : Are par meri bat toh suno na please.
Rishi : (chilla kar) Maine kaha na mujhe abhi kuch nahi sunana hain. Jao yaha se Indira... Please jao...
Indira waha se hurt ho kar chali jati hain. Rishi apna saman lekar niche aata hain.
Rishi : Mr. & Mrs. Diwan...Me ab jaa raha hu. Yeh rahi mere sorry... aapke ghar ki room ki chabi... Aapne mujhe aaj tak jitna pyar diya hain aur jo pala hain posa hain uske liye me aapka ehsanmand rahunga. Aur haa aapne jo mere maa papa ko mujhse chin liya hain uske liye bhi me ehsan mand hu. Thank you so so so much for everything...
Shekhar : Rishi ke pas aata hain. Please Rishi aisa mat kaho. Aur tum kaha jaoge beta? Please mat jao...
Rishi : Wo Shekhar se dur hota hain. Kahi pe bhi jau aapko usse kya? Aaphi ke vajahse meri ye halat hui hain. Warna aaj me toh apne asli family ke sath hota. Aur wo Inder ke pas aata hain. Papa maine aapko yaha isiliye bulaya tha kyunki aap bhi is ghar ke member ho aur aapke damad aur beti ke life me kya ho raha hain yeh janane ka aapko pura hak hain. Inlogone toh mujhe dhoke me rakha tha lekin me koi bhi aisa nahi karna chahta tha. Ab aapke samne meri sari sachhai aayi hain. Mere khandan ka koi namonishaan nahi hain mere pass. Isiliye aapse ek request karna chahta hu aap Indira ko yahase le jayi ye please. Kyunki yeh ghar toh mera hain hi nahi aur mere pas abhi koi bhi sahara nahi hain jo me Indira ki jimmedari bhi sambhalu. Isiliye aap Indira ko yahase le jayiye.
Inder : Beta please aisi bate mat karo. Yeh ghar bhi tumhara hain aur iss ghar ke log bhi tumharehi hain. Yeh ghar chodkar mat jao Beta.
Rishi : Nahi Papa me ab yaha nahi reh sakta aur wo jane lagta hain.
Tabhi Indira usse awaj deti hain. Ruko Rishi...Rishi ruk jata hain. Indira uske pas aati hain. Me bhi tumhare sath chalungi.
Rishi : Tum???
Indira : Haan me bhi chalungi. Kyunki tumne sahi kaha hain in logon ki wajahse aaj tumhari family tumhare pass nahi hain. In logon ke wajahse aaj tumpar ye nobat aayi hain. Tumhe yaha rehna nahi chahiye. Tum sahi keh rahe ho Rishi...
Inder : Yeh bate sunkar shock hota hain. Indira...yeh tu kya bol rahi hain?
Indira : Me sahi keh rahi hu aur kar rahi hu Dad.
Inder : Kya sahi kar rahi hain tu? Tu Rishi ko support karke usse uske pariwar ke sath alag kar rahi hain. Tu ek family ko alag kar rahi hain. Tu iss ghar ki bahu hain aur tumhara yeh farz hain ki iss ghar ko bikharnese roke. Lekin tum ho ki...
Indira : Dad me toh apna farzhi ada kar rahi hu na. Patni Farz. Me Rishi ki biwi hu aur uske har faisle me mujhe uske sath rehna chahiye.
Inder : Lekin jab wo galat faisla lega tab usse samjhakar sahi rasta dikhana yeh tera farz hain.
Indira : Lekin mujhe iss bareme Rishi sahi lag raha hain. Aur me usika sath dungi. Chahe jo kuch bhi ho.
Inder : Disappointantly Wah beta Wah...Maine tujhe yeh sanskar nahi diye the. Maine socha tha meri beti apne sasural me jake sabko bandh kar rakhegi. Lekin me galat tha. Aaj meri beti khud ek pariwar bikharne ki wajah ho rahi hain. Maine yeh umeed nahi ki thi tumse..
Indira : Dad aap...
Inder : Gusse me. Bas...ab ek shabd aur nahi... Me aajse tumse koi bhi bat nahi karunga aur nahi tumhe sahara dunga. Wo Diwans ke pass aata hain aur apne hath jodta hain. Mujhe maf kar dijiye please. Aaj me apni beti ki pariksha me har gaya. Aaj mujhe mere khudke beti ne sharmane par majbur kiya hain.
Shekhar : Nahi Inderji. Aapko guilt feel karneki koi jarurat nahi hain. Ab jab bachhone teh kiya hain toh hum kuch nahi kar sakte.
Simmi : Yeh aap kya keh rahe hain?
Indira aapna saman pack karne ke liye room me jati hain. Shekhar Rishi ke pass aata hain. Yeh rahi tere car ki chabi...
Rishi : Mr. Diwan mujhe aapki koi madad nahi chahiye. Mujhe aapki bhik ya sympathy nahi chahiye.
Shekhar : Gusse me Yeh bhik ya meri sympathy nahi hain Rishi...Yeh tumhari mehnat ki kamai hain. Abhi tak tumne jitna office me kam kiya hain uski yeh kamai hain. Aur yeh cash bhi ussi mehnat ki hain. Yeh lelo...Rishi paise aur chabi leta hain. Indira apna saman lekar neeche aati hain. Wo Shekhar Simmi aur Dadi ke per chuti hain. Inder ke pass wo jati hain lekin Inder turant dur ho jata hain. Indira Inder jaha khada tha udharse ashirwad leti hain. Aur Rishi ke pass aati hain. Dono ghar se bahar chale jate hain. Simmi yeh sab bardasht nahi kar pati aur Rishi ka nam leke behosh ho jati hain.