Inshi ff : Pyar to hona hi tha chapter 46 pg no 139 - Page 17

Created

Last reply

Replies

802

Views

71.5k

Users

33

Likes

767

Frequent Posters

ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: FAR.N

nice update😳


thanks
simplelife thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
Very nice update.
Keep it up. Thanks for pm.
ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: meglaraat

VERY NICE UPDATE 👏 👏 🤗


thanks 🤗
ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
Guys me iss SS ko FF me convert kar rahi hu 😃 hopes so aap enjoy karenge 😃
ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
Chapter 12

Indira bhi Radhika ko Rishi ka photo dikhati hain. Radhika Indira ko bahot chhidati hain. Aur usse agle meeting ke bare me puchti hain.

Radhika : Dekha Indira maine kaha tha na ki Tumhare aur Rishi me jarur koi na koi kahani jarur banegi. Ab ye to pata ki tum logonki agli meeting kab hain?

Indira : Abhi tak decide nahi kiya hain uske bare me.

Radhika : Kya tum bhi na.. Chalo abhi usse phone karo aur meeting teh karo. Aur wo Indira ka phone lekar Rishi ka no dhundne lagti hain. Lekin usse no nahi milta. Wo surprise se puchti hain. Kya Indira tumhare pass uska no bhi nahi hain?

Indira : Nahi hain. Isme kya badi bat hain.

Radhika : Are buddu tum logon ne firse milne ka teh kiya lekin ek dusre ke pass no bhi nahi hain. Ab contact kaise karogi?

Indira : Are dad ke pass uske ghar ka no hain na. Unse le lungi.

Radhika : Toh kya ab ghar ke no pe call karegi tu?

Indira : Haa.. usme kya hain?

Radhika : Hey bhagwan... Chalo ab ek kam karte hain. Hum log na Rishi ko phone karte hain.

Indira : Wo kaise?

Radhika : Simple hain. Aur wo Diwan's ke office me call karti hain. Receptionist call uthati hain. Radhika usse Rishi Diwan ko dene ko bolti hain lekin receptionist mana kar deti hain. Fir radhika usko bolti hain ki Rishi ko bataye ki Indira ka phone hain aur unko bolna ki urgent bat hain. Receptionist bahot behes ke bad Call Rishi ke yaha transfer karti hain lekin Rishi tab kisi kam me hota hain aur wo receptionist ko uska mob no dene ko bolta hain. Receptionist usko no de deti hain.

Radhika : Kaisa ladka hain ye?

Indira : Kya hua? No. nahi mila kya?

Radhika : Jab maine bataya ki Indira ka phone hain aur kuch urgent bat karni hain fir bhi usne kuch bat nahi ki aur seedha receptionist ko no dene ko bol diya. Lagta hain mere honewale jijaji kam ko lekar bahot serious ho jate hain. Tumhe sambhalke rehna hoga Indira. Aur wo turant Rishi ka no Indira ke phone se lagati hain.

Indira : Ye kya kar rahi ho tum? Ruko.. Tune abhi abhi bola na ki wo kam me busy hain. Fir? aur wo phone cut karne ke liye phone leti hain lekin tabhi Rishi phone uthata hain.

Rishi : Hello...

Indira kuch bol hi nahi pati. Usko samajhme hi nahi aata hain kya bole?

Rishi : Hello... Indira... R u there?

Indira : I m sorry.. wo galtise phone lag gaya. Agar tum busy ho to me tumhe bad me call karti hu.

Rishi : Arre nahi..wo bas aisehi...tum bolo.

Indira : Wo.. me.. ye..puchna chahti thi ki kya hum kal mil sakte hain kya? Wo mere papa bhi mujhse puch rahe the ki tum log kab milne wale ho? To isiliye maine..

Rishi : Haa me bhi tumse yahi puchne wala tha.. Aaj sham ko mile kya? Agar tum free ho to

Indira : Chalega. Aaj sham ko milte hain. lekin kaha?

Rishi : Cafe coffee day me. chalega?

Indira : Haa thik hain. Bye.

Aur wo call cut kar deti hain. Indira aur Rishi unke meeting ke bare me gharwalonko bata dete hain.
gharwale bahot khush hote hain.

At Evening
Rishi 10 min let pahuchta hain. Wo Indira se mafi mangta hain. Wo dono coffee aur sandwiches ki order dete hain.

Rishi : Kaha se shuru karu kuch samaj nahi aa raha hain.

Indira : Rishi mujhe bhi bat ko gol gol ghumana aata nahi hain. Me seedha bolti hu mujhe shadi me bilkul dilchaspi nahi hain. Mujhe shadi jaise cheezonse sakt nafrat hain.

Rishi : Same here Indira. Mujhe bhi in sab pe vishwas nahi hain. Lekin humare ghar wale sunte hi nahi hain. Unko bas yahi chahiye ki me shadi karke idhar India me hi rahu. Lekin mujhe idhar bilkul rukna nahi hain. Mujhe sirf US se call aane ka intezar hain.

Indira : Waise dekha jaye to humare khayal bahot milte julte hain ek dusre se. kyun?

Rishi : Haa maine bhi yahi observe kiya hain. (teasingly) to kya khayal hain shadi karle kya?

Indira : Kya? Tum apne hosh me to ho na?

Rishi : Haa pure hosh me hu. Me to sirf majhak kar raha tha. Lekin ab hum gharwalonko kya bataye?

Indira : Haa ye bahot sochne ki bat hain. Kyunki tumme aisa kuch nahi hain ki me tumhe na kehdu. Lekin mujhe sach me shadi nahi karni hain. (Aur wo galti se bol jati hain) Agar mujhe shadi karni hoti na to me tumhe jhatse haa kar deti...

Rishi : Me bhi... Aur wo dono ko ehsas hota hain ki dono ne kya bola. Rishi : Mera...matlab..tha ki..

2 min dono kuch bhi nahi bolte. Rishi ke man me ek khayal aata hain.

Rishi : Kyun na Indira hum shadi karle? Aur uske bat wo apna plan Indira ko bata deta hain.

Indira : Pagal ho gaye ho kya tum? Agar bad me gharwalonko jab ye pata chalega to socho kitna bada tamasha ho jayega... Nahi mujhe ye kabhi accept nahi hoga. I m sorry Rishi..

Rishi : Mujhe bhi iss bat ki fikar hain lekin tum hi socho tumhare aur mere gharwale firse humme force karenge shadi ke liye. Aur bar bar hum reject bhi kab tak karenge? Isse achha hain ki hum ek dusre se shadi karle.

Indira : (wo thori der sochti hain)Bat to tumhari sahi hain.

Rishi : Hain na. Fir kya kehti ho?

Indira : Mujhe thora time do. Mujhe aur thora sochna padega.

Rishi : Of course. Aakhir ye puri jindagi ka sawal hain.

Aur wo dono udharse nikalte hain. Indira apni room me Rishi ke proposal ke bare me bahot sochti hain. Aur wo apna decision leti hain. Kuch dino bad wo Rishi ko phone karke wapas ussi cafe me bulati hain.

Indira : Uff...Rishi..maine socha hain ki mujhe ye tumhara proposal manjur hain. Me ye shadi karne ke liye taiyar hu.

Rishi : Maine bhi bahot socha us din ke bad. Me bhi taiyar hu ye risk uthane.

Indira : Lekin...mujhe..

Rishi : Don't worry sab thik ho jayega. Hum dono sambhalenge..

Aur wo dono apna ye decision sabko ghar pe bata dete hain. dono gharome bahot jorse khushi manayi jati hain.

Aur ek achhe din Inder Sharma apne dost Guptaji ke sath Diwan Mansion me Shadi ke bare me batchit karne ke liye jate hain.
ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: samiksha050992

Awsm ketaki.. 👍🏼


thanks
...fari... thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
oho shaadi mein twist..hmm..😆
waiting for d revelation of plan😆
sweet update😳
ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: FAR.N

oho shaadi mein twist..hmm..😆
waiting for d revelation of plan😆
sweet update😳


😆 ye to hota hi hain 😆

thanks
ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago

thanks
kya hua? Ro kyu rahi ho? maine aisa kuch bhi nahi dala hain.
...fari... thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago

Originally posted by: Ketaki19



😆ye to hota hi hain😆

thanks

😆

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".