Part 1
"It's been 7 years that he has been to abroad. But it feels like that it's been seven births. Only my heart knows that how I have lived these years without him. These seven years,I have always thought about him. There wasn't even a single moment when I forgot him. He is the only person with whom I want to spend my whole life.I still remember how he used to take care of me in our childhood. How he had always fulfilled my small small wishes,how he used to pamper me, how he used to make me happy with his small gestures. I was such a brat,still I am but he always used to bear my tantrums with a smile on his face.I know he is my brother's friend and also older than me but I couldn't stop my heart to fell for him. Whenever I got upset with him,he did everything possible thing to cheer me up. Jis Umar se Maine pyaar ka Matlab seekha hai uss waqt se Maine unse hi pyaar Kiya hai. He flows like blood inside me. Agar woh mujhe na mile toh main Zinda nahi reh paungi.Yes Mr. Akshat Jindal, I love you so so much." She wrote all this in her diary.
Just then her calls her
Dadi- Guddan, Guddan. Beta kahaan ho tum Zara neeche toh.
Guddan- Ji daadi,bus abhi aayi. She keeps the diary at her secret place and goes downstairs to her Dadi.
Guddan- Ji Dadi kahiye,koi kaam tha Kya??
Dadi- Arey nahi Mera bacha,subah se tumahri shakal nahi Dekhi thi, isliye tumhe bula liya. Tum toh jaanti ho ki Jaan basti hai Meri tum mein. Tumhe na dekhoon toh bechain ho jaati hoon.
Guddan hugs her and says
Guddan- Arey Dadi aap bhi na bade Senti ho. Itni jaldi emotional ho jaate ho. Jis tarah aap mere bagair nahi reh sakte,usi tarah main bhi aapke Bina nahi reh sakti.
Dadi- Main Toh yeh soch rahi Hoon ki jab tumahri Shaadi hogi toh hum sabka Kya hoga. Iss Ghar se toh raunak hi chali jaayegi.
Kaushlaya comes there with a cup of tea and gives it to her MIL.
Guddan- Maa,aap ek kaam kariyega,aap Meri Shaadi aisi jagah kariyega,jahaan mujhe aap logon se door na jaana padhe.
Kaushlaya- Guddan,tum bhi na. Kabhi toh serious ho jaaya Karo. Kuch seekho apni behen siya se kitni mature hai. Umar mein woh tumse sirf ek saal hi badi hai par tum mein aur usme Zameen aasmaan ka farak hai.
Guddan- Arey maa,siya toh hai hi boring. Usse toh bus gharke kaam karwalo,padhai karwalo . Humesha itni serious si rehti hai. Bhayi Guddan se siya jaisa banna ho Paayega. Hum toh Bhayi jaise Hain waise rahenge and hugs her mother.
Meanwhile,siya comes there.
Siya- Kyun Guddan,Kya baatein Kar rahi thi mere baare mein.
Guddan- Arey main toh bus tumahri tareef Kar rahi thi aur keh rahi thi ki tum kitni boring aur serious types ho.😜
Siya- Achha toh yeh sab kehti ho tum mere baare. Abhi batati Hoon tumhe . Guddan runs from there. Siya runs behind her and finally catches her. Ab bolo haan boring Hoon mein??
Guddan- Achha baba sorry,aage se nahi kahungi. You know I love you so much.
Siya- I love you too paagal and hugs her.
Dadi- Kaushlaya,dekho na kitna pyaar hai dono behno mein. Dono ko kisi ki Nazar na lage.
Kaushlaya- Maaji aap bilkul theek keh rahi Hain. Bhagwan Meri bachiyon ko humesha aisa hi rakhe.
Guddan- Arey maa aur daadi,aap log chinta mat kijiye hum dono ko kisi ki Nazar nahi lagegi kyun jo bhi hum dono ke pyaar ko Nazar lagane ki koshish karega,main uski aankhein pehle hi nikaal lungi and laughs.
Kaushlaya- Yeh ladki bhi na kabhi nahi sudhregi.
Guddan- Ji maa ,hum nahi sudharne wale and runs from there.
At night,on dining table.
Vikram- Arey guddu,main tumhe ek baat batana toh bhool hi Gaya.
Guddan- Kaunsi baat Bhai??
Vikram- My best friend and your buddy,Akshat is coming back from America tomorrow.
Guddan jumps in excitement.
Guddan- Aap Sach keh rahe Hain Bhai??
Vikram- Haan Bhai,he is coming tomorrow.
Guddan (in mind)- Finally woh aa rahe Hain itne saalon baad. Ab jaakar iss Dil ko uski dhadkan milegi. Itne saalon se toh yeh Dil ek Zinda laash tha. Unke aane par hi dhadkana shuru hoga.Aakhir kaar Mera intezaar khatam hua.
Vikram-Arey guddu,kin khyaalon mein kho gayi?
Guddan- Kuch nahi Bhai,Hume kuch kaam hai. Hum aate Hain. Saying this she leaves from there.
In her room
She starts dancing like a kid. Then starts preparing for his welcome for tomorrow , remembering her old memories with him.
Guddan- Mujhe yakeen hai woh bhi humse Milne ke liye utne hi bekraar honge,jitne hum Hain and falls on her bed. Ab aur intezaar nahi ho Raha. Pata nahi yeh subah kab hogi aur kab hum unhe dekh paayeinge. With these thoughts, she falls asleep.
Part 1 ends.
So, how's it? Do like it and give your feedback.
PS- Ignore the typos