🏏T20 Asia Cup 2025: Match 19 - Final: India vs Pakistan @Dubai🏏
DIL DOORMAT 27.9
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 28th Sep 2025 - WKV
BOOTH ROAMING 28.9
Is noina mandira post plastic surgery?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 28, 2025 EDT
CID episode 81 - 27th September
70th Filmfare Awards Nominations
Ranbir Kapoor Birthday Celebration Thread 🎂🎂
Revisiting 90's nostalgia
Diana praises Deepika Padukone’s work ethic
SAMAR ki hogi re entry !!
🎶🎵Tribute to Lata Mangeshkar on Her 96th Birth Anniversary🎵🎶
Mihir ka Noina pe ato..oot vishwas
Ahaan’s next with Sanjay Bhansali? 🔥
Geetanjali to die?
Maan and Geet- Love Wins Against All Odds..
PART 9
Next day,
In college,
Pinki and Geet in canteen
Geet: Pinki teri pet puja ho chuki ho to class chale.
Pinki: Are ruk na maine thik se khaya hi nahi. Abhi to aaye hai.
Geet: Pinki lecture miss ho jayega.
Pinki: Nahi hoga. Bas 5 minute
Maan and Brij also arrived there.
Brij: Gudiya mere liye wait bhi nahi kiya akele hi aa gayi
Geet: Akele thodi na Pinki sath hain. Phir aap bhi phone pe busy the to main disturb nahi karna chahti thi
Pinki: Good morning veer ji. Good morning Maan.
Maan: Good morning Pinki.
Pinki: Hamara lecture start hone wala hai. Chal geet.
Brij: Tum jao Pinki. Gudiya tum ruko.
Geet: Par veer ji
Brij: Kuchh nahi hoga ek lecture miss hoga. Tu waise bhi hoshiar hain. Main janta hun. Mujhe tumse baat karni hai. Ghar par tum bat karne se rahi
Geet understood what he want to ask
Geet: Baad me Veer ji
Brij: Pinki tum jao
Pinki: ok
Pinki left.
Maan: Baad main milte hain. Tum baat kar lo.
Brij:Maine tumhe bola jane ko. Gudiya ko koi problem nahi hai tumhare samne baat karne mein. Hai na Gudiya.
Geet just nodded
Maan: ok. I think Brij hame waha corner par baithna chahiye. Koi disturb nahi karega.
They sat.
Brij: Chalo batao tum kyun chup si ho gayi ho. Jyada baat nahi karti.
Geet to herself" Main kya bolu jhoot to bol nahi paungi. Sach keh diya to Maan aur Veer ji ki friendship alag sabse pehle to mujhe le kar veer ji dadi se argue karenge."
Geet accidently said " Nahi bataungi"
Maan and Brij shocked listening her words.
Brij: Kya nahi bataogi.
Geet: Nahi mera matlab hai ki maine socha ki nahi bataungi. Par aap nahi maanoge.
Brij: Gudiya bata de. Nahi to main maa papa ji se baat karunga. Phir to tujhe bolna padega.
Geet: Main bataungi. Par aap ko mujhse wada karna padega ki aap ghar par kisi ko ye baat pata nahi chalni chahiye.
Brij: Ye kya baat hui.
Geet: Aapko Aapki gudiya ki kasam.
Brij: Thik hai wada karta hun kisiko nahi bolunga.
Geet: Wo admission ke waqt dadi maa papa ko bol rahi thi ki meri padhai likhai pe itna kharcha kyun karna jab ki mujhe shadi karne ke baad ghar ke kaam hi karne hai.
Brij: Dadi ko kya ho gaya hai. Main aaj hi baat karta hun.
Geet: Veerji aapne wada kiya hai.
Brij holds her hands
Brij: But promise me. Tu dadi ke baato ko lekar pareshaan nahi hogi.
Geet: I promise veer ji. Pakka wada.
Brij: Rahi baat shaadi ki. Main janta hun baba ji ne mere gudiya ke liye koi prince hi bheja hoga. Par use main dhund kar launga.
Geet: Mujhe to bas veer ji ke sath rehna hain hamesha. Arre veer ji dekhiye aapki wajah se mera dusra lecture bhi miss ho jayega. Bye Veer ji.
She left somehow " Pehli baar maine kuchh chhupaya veer ji se ajib sa lag raha tha " she sighed in relief
She went to class fortunately lecture was yet to start.
Brij: Dekha mujhe hi bol diya ki mere wajah se dusre lecture miss honge.
Maan: Haa suna aur bhi boht kuchh suna.
Brij: Matlab.
Maan: Wahi prince aayega and all. Tujhe ab bhi aisa lagta hain. Tujhe uske liye prince dhundhna padega.
Brij: Are mera matlab shadi ke liye ladka. Aur mere kehne ka yahi matlab hai my friend. Haisiyat se ladka rajkumar nahi hoga to chalega . Par dil rajkumar jaisa hona chahiye. Jo samajhe ki Gudiya kitni special hain.
Maan listened his talks and in his mind" Special ki baat kar raha hain tu. Snowwhite ko to main kab ka meri princess maan chuka hun. Bas us din ka intezaar rahega. Jab Snowwhite ko samajha pau, Tumhe , uncle, aunty ko samajha saku ki main kitna pyar karta hun Snowwhite se"
Brij: Ek baat bolu. Sach sach bata kya tuze aaj tak koi bhi ladki pasand nahi aayi.
Maan: Is sawal ka jawab tune mujhe diya jo main dunga.
Brij: Maan tujhe bolti band karna achhe se aata hain.
Maan: Waise is bare me Geet ki baat kar sakte hain. See means just curious. Agar future me aisa hua ki Geet ne kisi ko pasand kar liya. To tum use support karoge.
Brij: Aisa hoga hi nahi. Aur hua bhi to main use jab tak parakh nahi leta tab tak haa nahi kahunga.
Maan: Ab tere baare me baat karte hain
Brij: Rehne de. Ho gayi jyada hi baate ki aaj. Lets go to class.
Maan: Are suno Brij.
Brij: Chal Maan late ho rahe hain. Tune suna na thodi der pehle gudiya ne mujhe blame kiya ki meri wajah se late ho jate hain.
Maan himself " Waise ye bhai behen avoid karne me expert hain."
Both went to class
In Geet's class,
Geet and Pinki listening to lecture. But Pinki was disturbing her. Geet showed eyes to her.
After long time lecture finished.
Geet: Tu itna disturb kyun kar rahi thi.
Then peon came.
Peon: Principal sir ne urgent meeting bulayi hai. Isliye baki lectures nahi honge.
All shouted
Peon: Bapre kitna chillate hai. Mera sar hi fat jayega.
Peon left then
Pinki: Achha hua. Agar hota na main pakka so jati.
Geet : Kam khaya kar neend bhi kam aayegi.
Pinki: Leave it. Mujhe kuch kehna hai tujhe
Geet: Bol.
Pinki: Tu kal party se jaldi chali gayi naa. Maan tumhari hi baate kar raha tha. Mujhe lagta hain Maan tuze pasand karta hai.
Geet: Pinki tera dimag kharab ho gaya hain. Main jaa rahi hun.
Geet took her bag and left.
Pinki: Itna naraj. Aisa kya bol diya maine.
Geet was in her own while walking out of class" pinki ka dimag pura hi kharab ho gaya hain. Maan isliye mere baare me puchhte hain kyun ki Brij veer ji unke dost hain. Aur bachpan se sath hain isiliye"
As Geet was lost in her own. She collided with Maan. Maan get hold on her. Geet scared of falling hold Maan' s arm tightly. Maan was lost in her. Saw her eyes closed due to fear
Pinki who was running behind Geet. Saw this.
Pinki cleared throat.
Geet opened eyes and Maan made her stand properly.
Maan: Tum theek ho na?
Geet: Haa.
Pinki: Tum yaha kaha aa gayi?
Maan: Haa.
Geet: Wo main main canteen ja rahi thi
Pinki: Tu rasta bhul gayi. Tera dhyan kaha hai. Is taraf final year ki classes hain
Geet: Pinki ghar chalte hai waise bhi class nahi hai na
Pinki: Chal . Bye Maan
Maan: Bye pinki, bye geet
Geet: Bye.
Maan: Ise kya ho gaya hai?
Pinki: Tujhe yaad hai naa monday ko assignment dena hai.
Geet: Haa. Aaj karungi complete.
Next day
At outhouse,
Geet was irritated, she saw Brij
Geet: Veer ji Veer ji.
Brij: kya hai gudiya
Geet: Veer ji ye assignment mujhe help kar do.
Brij: Are nahi Gudiya . Mujhe urgently bula liya office jana hai
Geet:kya veer ji aaj sunday hai phir bhi office. Par fir kal mujhe submit karna hai. Maine try kiya ye kitna hard hai. Mujhse nahi ban rahi ye Drawing. Kitni chhoti chhoti lines upar se measurements.
Brij: Main Maan se keh deta hun woh help kar dega.
Geet: Nahi rehne dijiye.
Brij: Koi problem nahi hogi Maan ko pata hai mujhse bhi jyada achhe se padha dega. Tera assignment ho jayega to tujhe bhi achha lagega
Geet: Haa kar leti hun. Warna pinki bhi dimag khayegi. Upar se professor sir chillayenge.
Brij: Chalo main Maan ko bol deta hun.
While walking to KM
Geet in her mind " Koi baat nahi assignment hi karni hai aur pinki ka to dimag waise bhi kharab hai kuchh bhi bolti rehti hain"
In KM
Anjali: Aaj hamari Pari ko waqt mil hi gaya.
Dadi: waise aapka pair thik hai na? Maan ne bataya ankle sprain ke bare me.
Brij: Thik hai ab. Wo Geet ko assignments me help chahiye. Mujhe urgently office jana hai isliye socha maan ko bol dun. Woh help kar dega.
Anjali: Ye bhi bolne ki baat hai. Jaao hoga room mein.
In Maan's room,
Brij: Good morning.
Maan who was busy with laptop. Saw geet and Brij. Maan saw Geet. She wore White colour salwar suit and hairs open.
Brij: Maan kaha ho
Maan: Ye soch raha hun itni subah subah tum dono.
Brij: Wo Maan geet ki assignment me help kar do. Mujhe urgently office jana hai.
Brij's phone rang.
Brij: Bye Maan. Bye Gudiya.
Geet: Bye veer ji . Dhyan se jana.
Maan: Bye Brij.
Maan: Good morning Geet.
Geet: Good morning.
Maan: Bolo kya padhana hai.
Geet: Wo mujhe koi bhi assignments questions samajh nahi aa rahe. Measurements ki confusion ki wajah se kuch bhi draw nahi kar pa rahi. Babaji maine Sheets bhi nahi laayi. Main lekar aati hun
Maan holds her hand. Geet see he leaves her hand.
Maan: Mera matlab hai rehne do. Mere paas hai. Baad me de dena. Thik hai.
Geet: Thik hain.
Maan's phone rang.
Maan: Geet call hain. Main abhi aaya.
Geet: Haa.
Maan went outside.
Geet : Sach mein kitna bada room hain. Itni sari trophies. Veer ji is right Maan talented hain. Guitar veer ji ne bola tha Maan guitar bajate hain aur gana bhi gaate hai. Itna waqt ho gaya hai. Itni bhi baate karte hai kya phone par.
Geet went near window.
Geet: Yaha se pura garden dikh raha hai kitna achha hain. Traditional touch Khurana mansion. Bas ye curtains achhe nahi hai.
Maan come near her
Maan: Pardo me kya problem hain
Geet: Aap ne sab sun liya maine kya bola.
Maan: Garden traditional touch sab bate sahi to kahi. Par curtains mein kya problems hain.
Geet: Nahi kuchh nahi. Assignment kar lete hai pehle.
Maan: Bol do koi baat nahi. Mujhe aadhi baat chhodna achha nahi lagta.
Geet: Wo curtains ka colour dark hota to achha lagta. Jaise ki maroon.
Maan: Tumhari freshers wali dress ki tarah red colour and silver work.
Geet felt awkward
Maan: Chalo assignment karte hain.
Maan started teaching. Geet started as per his instruction. Again maan's eyes were on her and specially her pendant.
Maan to himself " Yeh Geet ka locket kyun strange lagta hain."
Geet: Ho gaya complete.
Maan: Itni jaldi. Chalo ab second
Maan explained other question. While Geet solving maan observed curtains.
Maan to himself " sach mein white colour se room dull lag raha hain kya. " Then he remember dadi told him " beta hamara aur aapke dada ji ka room ke rang ko lekar itna arguement hua tha. Finally decide kiya ki pardon ka rang main decide karungi aur wall ka wo"
Geet : Ho gaya.
Maan felt amazed" She was doing so fast"
Maan: ab next .
Maan explained her.
Geet started to solve question. She was so engrossed. Her hairs were disturbing her. But she was too busy didnt bothered to move it only felt irritated. Maan saw it. He came
Geet: Aap ye
Maan : Tum concentrate karo. Measurements wrong ho gaye to phir mehnat bekar ho jayegi.
Maan made braid of her hairs. Coincidently he saw Dadi and Anjali outside .
Dadi was about to say some thing maan made gesture not to talk. He came outside.
Anjali: Aap kab se ladkiyon ke bal banane lage.
Maan: Mom kuch bhi mat boliye. Geet assignment solve kar rahi hai. Focus lost ho gaya na puri mehnat bekar ho jayegi. Uske baal baar baar aankh me ja rahe the. Isliye maine bandh diye.
Dadi: Kya Maan aapne to hamara dil dukha diya. Kitna khush ho gaye the hum dono aise dekhkar. Jo socha uska ulta hain.
Maan: Drama mat kariye.
Geet: Ho gaya. Maan kaha gaye.
Maan came inside.
Maan: Geet main thodi der me aata hun. Friend ka phone tha mujhe jana hoga. Tum tab tak baki try karo.
Geet started to try other questions. Geet was feeling tired till now geet who was doing study slept while waiting for Maan
Maan came back " Main jyada hi late ho gaya hun. Geet intezaar kar rahi hogi"
Anjali: Beta lunch kar lo.
Maan: Baad me Mom.
As Maan went to room saw Geet slept.
Maan: Ye snowwhite bhi na koi aise floor par sota hai kya. Study karne ke liye chair par baithne ko bola mere jate hi floor pe.
Maan carried Geet in his arms placed her on bed. Brij saw this.
Brij was little bit angry. He was about to shout. Maan made him quite
Maan: Bahar baat karte hain
Brij: Maan. Ye tum kya kar rahe the.
Maan: Geet so rahi thi floor pe.
Brij: See Maan. Tum mere best friend ho. Mujhe achha nahi lagta koi Geet ko touch bhi kare.
Maan: Wo floor par so rahi thi usko thand lag jati to main
Brij: Iska matlab ye nahi ki tum use apne baho me utha lo.
Maan: Brij tumhe mujhpar vishwas nahi hai
It was about half an hour Brij came from office
In outhouse
Devki: Brij tumhari ladli kaha hain
Brij: Dadi woh Geet Maan ke sath padhai kar rahi hain. Maine hi bola tha.
Devki to herself " Geet ke khilaf kuchh bolungi to ise to samajhna nahi hai"
Dadi: Brij puttar is tar Geet ko itni der kisi aur ke ghar.
Brij: Dadi wo Maan ke ghar pe hai.
Dadi: Haa beta. Hum jante hai Maan kitna sanskari hai. Uske ghar wale bhi. Unke ghar aur bhi naukar hai. Agar wo itni itni der tak unhe sath dekhenge kya bolenge. Unhe thodi na vishwas hoga ki Geet padhne gayi hai. Tarah tarah ke log tarah tarah se sochte hain. Bata tujhe achha lagega ye sab.
Brij was really simple he trusted her words. Went to KM.
Maan: Bol Brij.
Brij: Haa hai vishwas hain. Phir bhi Maan tumse request hain. Tum jitna ho sake utna Geet se dur raha karo. Main baat karne se mana kar raha hun. Kyunki main chahta hun hum hamesha best friends rahe. Aisa koi problem nahi chahta jis wajah se hamari dosti me problems ho.
Maan: Itni badi baat bol di Brij. Wada hain tumse tum irritate ho jaoge aisa kuch nahi karunga. I think Geet ko utha do boht der ho gayi hai.
Brij : Maan tujhe maine hurt to nahi kiya na. Bas main clear karna chahta tha.
Maan gave him hug.
Maan: Soch bhi mat . Aisi baate hamare dosti ke bich nahi aayegi.
Brij took Geet with her. While leaving Geet thanked him.
Geet: Thank you So much help ke liye
Maan smiled.
They left.
Dadi: Beta Brij aur Geet chale gaye aap lunch kar lo.
Maan: Dadi mera man nahi hai.
Dadi: Kya hua beta.
Maan changed topic
Maan: Dadi main aata hun. Pehle mujhe ek baat bataiye ye parde achhe nahi hai kya. Achha rang nahi hai. Dull lag raha kya.
Dadi: Haa beta dull to hain. Tumhe pardo ke rang ki kya suzi?
Maan: Wo Geet bol rahi thi.
Dadi: Baat to sahi hai.
Maan: Thik hai Dadi aap mom ko bol do mere room me maroon colour ke parde laga do. Ab chalo lunch ke liye.
Dadi: Kitna ajib hai ye.
While lunch time.
Amar: To kaisi chal rahi hai aapki padhai beta
Maan: Good dad.
Anjali: Tera chehra kyun latka hai
Maan: Kuchh nahi mom study tension hain.
Dadi: Beta anjali Maan ke room ke parde badlne hai. Hai na Maan?
Maan: Haa. Maroon colour. Ho gaya mera khana .
He went to his room
Anjali: Kya hua ise pata nahi
Dadi: Rehne do beta . Boht sari tension hoti hai bacho ko . Isliye aise behave kar raha hoga.
Anjali: Chandu se kehar parde badal deti hun shayad mood achha ho jaye.
After sometime.
Chandu came to his room
Chandu: Wo madam ne bola ki parde change karne hai.
Maan: Jaldi karo.
Chandu to himself" dadi sahi bol rahi thi inka mood achha nahi hai"
He changed curtains and left.
Maan saw he left and closed door
Maan: Sach me ye achhe lag rahe hai
Maan to himself" Aaj jis tarah Brij ne behave kiya na agar use bhanak bhi lag gai na main Geet ke baare me kya sochta hun. Badi problem ho jayegi. Par mere ye samajh nahi is tarah ki baate Brij ke dimag me achanak kaise aa gayi.
Precap: After three months. New entry
PART 10 PG14
Prologue sauda means deal... . kissi ke Armaano ka sauda... kissi ke khawabo ka sauda... . . . humne toh kiya tha sauda pyaar smjhkar... par nhi...
Hello everyone i know i already written many stories whi complete nhi ho paa rhi hai and i start one more actually, i written this for OS...
INTRODUCTION A new season of this fiction. It's not an FF it's an ss
Concept This is story about two strangers which tied in sacred bond and one partner fall in love with another at first sight. Two individuals...
M y First Crus h INDEX ~ A Maaneet Tale ~ CONTENTS : SHOT 1 - PART 1 Page 1 ~ Scroll Down PART 2 Page 1 ~ Scroll Down SHOT 2 : Scarlet Flames -...
770