Part # 6
Maan came back the next day and went to meet dadi ... Geet was with dadi massaging her head...
Maan ran to her... dadi... kya hua... aap ki tabhiyat theek haina...
Geet - ji.. dadi theek hain... bas thoda sa sar-dard hain... aap ke liye pareshaan hain.. aapne phone bhi nahi kiya na...
Maan - pareshaani kyun.. main koi chota bacha hoon kya dadi...
dadi - haa .. Geet .. Maan koi chota bacha nahi hain.. ab toh woh bohut bade hogaye hain...
Maan couldn't understand her words... dadi asked geet to get coffee and snacks for Maan... and when geet left... she confronted him...
dadi - kaha gaye the Maan aur kiske saath gaye the...
Maan - dadi.. maine bataya tha na... medical conference mein jaa raha hoon aur apne ek collegue ke saath gaya...
dadi - kise jhoot bol rahe hain aap Maan... khud ko ya mujhe...
Maan - main koi hoot nahi Bol raha hoon dadi...
dadi - theek hain... kaun hai woh aapki collegue...
Maan - dadi... aap yeh sab kyun pooch rahe hain... pehle kabhi nahi poocha...
dadi - kyun ki pehle aapne kabhi aisa nahi kiya... kaun hai woh.. jo Mumbai mein aapke saath ...Mrs. KHURANA banke aapke kamre mein rahi... woh bhi teen din... dadi shouted...
Maan was startled... he doesn't know how to answer dadi...
dadi - aap jaante hain aap kya karr rahe hain... aap kisi bahar ki ladki ke liye... apni hi biwi ki dhoka deraha hain... chi... mujhe sharm aarahi hain aap ko apna pota kehte hue...
maan - nahi dadi... maine kuch galat nahi kiya... woh uska aana last minute plan tha ... toh doosra kamre nahi mila... and mere room mein bhi do Alag rooms the... main study mein tha ... humne room zaroor share kiya.. aur kuch nahi dadi...
dadi - chalo him aap pe taken karleti hain ki aapne kuch nahi kiya.. Phir woh Mrs. KHURANA banke kyun rahi... aap geet ha Haq kisi aur ko kaise desakti hain...
maan took a deep breadth and said... dadi...woh kuch bhi nahi hain... receptionist ko laga ki hum wife and husband hain... usne khud samajh liya... aur maine bhi kuch nahi bola ... coz sab ko ajeeb lagta...
dadi - yeh koi reason nahi hai maan... aur hum koi choti bachi nahi hain... ki kuch na dekh sake...
Maan decided to reveal the truth... dadi.. woh Meera hain.. Meera Rathod ... meri collage ki friend... hum collage mein ek doosre se pyaar karte the... Phir kuch baat hui aur Meera mujhe chodke apne parents ke paas chali gayi.. America... aur ab 5 saal baad woh wapas aayi hain... usse apni galti ka Ehsaas hua aur mere paas wapas aagayi hain...aur chahti hain ki main usse shaadi karoon... woh mere bina jeena nahi chahti dadi... isliye ...
before Maan could complete his sentence dadi slapped him hard... doosri shaadi... aap bhul rahe hain ki aapki shaadi ho chuki hain geet aapki patni hain... mere jeeteji yeh kabhi nahi hoga Maan.. main kabhi nahi maanoongi iske liye... aur uss ladki se shadi Karne ke liye.. aapko geet ko talak Lena hoga.. aur geet aisa kuch nahi karegi... hum usse sign Karne hi nahi doongi... samjhe aap...
Maan - geet already sign kar chuki hain dadi... he revealed slowly...
dadi was shocked for few minutes... then she spoke... mujhe sach mein sharm aarahi hain Maan.. ki aap hamare pote hain... KHURANA khandaan ki naam ko aapne mitti mein mila diya... ek masoom ladki ke saath aap aise kaise kar sakte hain... aap ko Zara bhi andaza hain ki apn kya kiya... she sat down holding her bed post... main kya muh dikhaoongi uss pagal ladki ko... kya kahoongi usse...
Maan - geet sab jaanti hain dadi...maine usse bata diya...
dadi was furious... aur itne dinon se mere saamne natak karr rahe the ki sab theek hain... chale jaayiye... chale jayiye Maan... aapko koi haq nahi hai iss ghar mein rehne ka.. woh Haq aapne khodiya.. jab aapne geet se sign karwa liya.. hamare hi naak ke neeche se... just get out... and don't ever come here... aaj se aapki dadi margayi aapke liye... aaj se aapke aur mere beech mein koi rishte nahi hain...
Maan - dadi... yeh aap kya kehrahe hain...
dadi - haan.. aapne theek suna... aur main mar bhi gayi toh bhi aap nahi aayenge.. mera chehre dekhne...
Maan shouted dadi... yeh kaisi baatein karr rahe hain aap... aapk kyun kehrahi hain aisi baatein... main kaisa rahunga aapke bina...
dadi didn't say any thing... she was in deep thoughts...
dadi - aur geet se Milne ki koshish bhi mat kijiye ga... mujhe pata hain.. uske liye mushkil waqt hai... par main usse Sambhal loongi... aapki koi zaroorat nahi hain hume... aur meri baat Dhyan se suniye maan... main aaj Savitri Singh Khurana apse promise Karti hoon... geet ke liye hum aisa ladka dhoondhenge jo usse bohut pyar kare.. jo usse palko pe bithake rakhenge... sab kuch jaante hue bhi usse apni zindagi mein Shamil kare... usse aap ki koi zaroorat nahi hain... samjhe... ab chale jayiye...
maan was stunned with dadi's words... something in him broke... he hadn't expected dadi to think something like this... geet with someone else... can he imagine... he closed his eyes with the image of geet being close with someone else...
maan saw dadi once again and said... dadi... app meri baat...
dadi turned her face.. and it delivered the message to Maan... Maan quietly left ... dadi sat there crying...
when geet came back.. she asked geet why did she sign the papers...
Geet said ... unhone kaha ki main apna magalsutre apne paas rakh sakti hoon..
dadi hugged her and both of them cried... Geet asked her... dadi.. kya talak ke baad mujhe aapko chodke jaana padega...
dadi.. said wiping her tears... nahi.. geet bte.. aapko humne koi Alag nahi karsakte... jo log Dil se Jude hote hai unke kuch kagaz ke tukde Alag nahi karsakte...
1.1k