New OS--Meri kahani--updated part 7 / page 120 - Page 25

Created

Last reply

Replies

842

Views

46.3k

Users

55

Likes

1.5k

Frequent Posters

-indu- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
thank you guys for giving ur likes and comments...for both the parts...it really gives me encouragement...




Edited by -indu- - 11 years ago
-indu- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
Here is the next part...hope u'll like this one too...plz give me ur precious likes and comments

--------------------------------------------------------------------------

Jasmeet said...Geet, aaj mein zindagi ka ek hakeekat batana chahti hoon...main nahi jaanti ki yeh chupakar maine sahi kiya ya galat...par jo mujhe sahi laga maine wohi kiya...Main hoshiyarpur ke rehne wale amritlal singh ki doosri beti hoon...meri ek badi behen thi... jo ab iss duniya mein nahi hai...aur ek bada bhai hai jo abhi bhi wahi rehta hai jinhe tum jaanti ho...rajveer, tere mamaji...Meri behen ki shaadi hoshiyaarpur ke hi rehnewale sukhvindar lal handa ji ke chote bte se hui...Mohinder Lal handa se...She suddenly heard the sound of breaking the cup...She looked at geet...who is very shocked with the revelation......


She held geet's hand...as if giving her support...Unke yaani ke inder aur Rano ko do betiyaan hui...tum aur Naina and ...She looked at Geet...Geet's eyes are started watering...She nodded her head in a no and wiped geet's tears...she held geet closer and started again...tujhe pata hai geet tu jab paida hui toh sabse pehle maine hi tumhe godh mein liya tha...tu kitni choti thi aur mujhe hi dekh rahi thi...tujhe dekhte hi mujhe tujhse pyaar hogaya...tujhe main ek pal ke liye bhi door nahi jaane deti thi...didi ko sirf doodh pilane ke liye hi deti thi...tera sara kaam mein hi karthi thi... tujhe pata hai maine hi tumhara naam rakha tha GEET...kyun ki tu jab bhi roti thi ya phir hasthi thi toh mujhe woh geet ki tarah lagata tha...Jasmeet smiled remembering good old days... Mujhe tumse bohut lagao hogaya tha ...jab didi jaa rahi thi toh tab main bohut royi thi...kyun ki jijaji aur didi delhi mein rehte the...aur main tumse door hona nahi chahthi thi...

sab bohut khush the...kyun ki tumhare aate hi saalonse chal raha zameen ka case tumhare papaji jeet gaye...tere paida hone ke saath mahine ke baad meri shaadi pakki hogayi ...Didi Roke ke liye hoshiyarpur aayi...Ladka Amritsar ka rehna wala tha...Roka poora hua...aur 4 mahine ke baad shaadi ki taarikh bhi nikali gayi...Didi ka dilli jaane ka time aagaya...Didi tumhe aur naina ko mere paas chodkar Handa haveli gayi thi...sab se alvida kehne...Raat hogayi didi nahi aayi...hum sab didi aur jijaji ki raah dekh rahe the...tu apni maa keliye rorahi thi...bohut mushkil se soyi thi tu...tab jijaji aaye aur didi ke bare mein poocha...hume kuch samajh mein nahi aaya...tab pata chala ki didi handa haveli pohanchi hi nahi...sab log didi ko dhoondne lage...main ghar mein hi thi tum dodno ke saath...sab logo ne raat bhar dhoonda ...didi ka kuch pata nahi chala...Subah hamare gaon ke school teacher aye aur unhone kaha ki didi gaon ke sarhad par hai...hum sab log bhaagte gaye...aur dekha toh...she closed her eyes trying to gather herself for revealing the most dreadful incident...didi ki laash padi hui thi, wahi zameen par jo tere papaji ne court case mein jeeti thi...kisine didi ko berehmi se maar kar waha chod kar chale gaye...baad mein pata chaala ki jin logo ne case haara wohi didi ke maut ka kaaran hai...darji aur papaji ne police mein complaint ki...aur unhe arrest karvaya...woh log bohut koshish ki choot jaane ki lekin saboot bohut mazboot the aur unhe umar khaid ki saza hui...

Jijaji poori tarah toot gaye...aise din guzarte gaye...tum dono mere paas rehgaye...aur ek din tere daarji hamare ghar aaye...unhone kaha ki who jija ji ki dobara shaadi karana chahte hai...mere papaji ji bhi maan gaye... yeh kehkar tumhen aur naina ko maa ki zaroorat hai...tab unhone kaha ki meri shaadi jijaji ke saath karade...kyun ki jo pyaar main tum logon ko de sakti hoon who koi aura hi desakta...koi aur ladki hui to shaayad tum ko pyaar na kare...kehte hain na sauteli maa kabhi pyaar nahi karti...lekin main aisa nahi karungi kyun ki tum dono meri didi ke bachhe ho...papaji ne waqt maanga sochne ke liye...tere daarji chale gaye...Papaji aur maa ne bhohut socha aur haa kehdi...Amritsar waalon se maafi maangi aur unhe shaadi ke liye mana kardiya... Phir do hafton mein hamari shaadi hui aur tum dono ko lekar main aur tere papaji delhi aagaye...

Delhi aane ke baad mujhe thodi takleef hui yaha adjust karne mein...tumhare papa ne thodi help ki..toh mein sab seekh gayi...jaise jaise waqt beeta gaya jijaji khamosh rehne lage aur apna poora samay business pe lagane lage...unki mehnat se business bhi badhne laga aur woh zyaada mehnat karne lage...tum dodo bhi bade hone lage...tu school jaane lagi...tu 8 saal ki thi jab jijaji ne yeh ghar kharida ... hum yaha shift hogaye...sab kuch badal raha tha...sirf main hi thi, jaha thi wahi rehgayi...ghar mein mera dum ghutne laga...jab tum log ghar mein rehte the toh kuch nahi hota tha...lekin tum dono jab school jaate the toh khaalipan tha, har taraf khamoshi thi...ek baar jijaji se poocha ki main kuch kaam karna chahthi hoon...toh unhone kuch nahi kaha...2 din baad kaha ki main unke saath kaam karsakti hoon...main office jaane lagi...dheere dheere kaam seekh ne lagi...ek aur saal beeth gaya...office ka har kaam ka pata rehta tha mujhe...har choti badi baat mujhse hi hokar guzarthi thi...har choti badi decision mein tere papa mere ideas poochne lage...Din guzarte gaye...business mein akeli hi decisions lene lagi tere papa ki gairhaazri mein...tu 15 saal ki thi jab unka accident hogaya aur who humenin chod ke chale gaye...phir kya hua tu jaanti hai...

She continued...Tere papaji bohut hi ache insaan the...woh didi se bohut pyaar karte the...tere papaji ne didi ko ek mele mein dekha aur unhe pyaar hogaya...didi bohut khubsurat thi...daarji rishta leke aaye hamare yaha...mere papaji ko jiju bohut pasand aaye aur rishta pakka hogaya aur jald hi shaadi hogayi...didi bohut khush thi jijaji ke saath...jijaji bohut muskuraate the tab...didi ko dekhte hi unki aankhom mein ek alag si chamak hoti thi...mujhse bhi bohut baatein karthe the...meri padhayi ke baaremein baatein karthe the aur bohut encourage karthe the...woh din bohut hi alag the...ek alag sa rishta tha jijaji ka aur mera...lekin shaadi ke baad sab badal gaya...jijaji bhi aur hamara rishta bhi...

Lekin jo shayad tumhare papa bhi nahi jaante aaj tumhe batana chaahi hoon...apni dil ki baat jo maine kabhi kisi se nahi kaha...aaj tumhare saamne rakh rahi hoon...Jab meri shaadi pakki ki gayi toh mujhse kisine nahi poocha ...Jab didi ki maut hui aur meri shaadi jijaji se karayi gayi tab bhi mujhse kisine nahi poocha ki mujhe kya chahiye...main tumhen dekh ke chup rahi...aur papaji aur maa ki baath bhi toh sahi thi...tumko aur naina ko meri zaroorat thi...isliye maine kuch nahi kaha...shaadi ke baad shuru shuru mein tumhare papaji thode bohut baateein karthe the...jaise samay beeth ta gaya who bhi kam hogaya...bas tum logon ke bare mein poochthe the...aur office join karne ke baad office ki baatein karne lage...ek hi ghar mein do ajnabiyonki tarah rehne lage...bas aisa hi tha hamara rishta...tuhare papaji kabhi bhi mujhe apni patni sweekar nahi kar paaye... unhone mujhe har sukh suvida diya...itna bada ghar, naukar, paisa, jewelry sab kuch ...sivaye pyaar ke...Geet looked at her mother who is having ears in her eyes and staring at the dark sky...who seemed to be in another world...lekin zindagi aise nahi chale geet...jeene ke liye sab se zyaada pyaar ki zaroorat hoti hai...Ek choti si baath ke liye, ek choti si muskaan ke liye, ..ek pyaar bahi nazar ke liye maine tarsa hai geet...jab bhi kuch becahini hothi thi toh baantne waala nahi tha...jab darr lagtha tha toh hausla dene wala nahi tha...jab roti thi tab aasun poochne wala nahi tha...jab khush hoti thi toh use baatne wala nahi tha...jab maa aur papaji ki maut hui...tere papa nahi aaye... didi ki maut ke baad tumhare papaji kabhi hoshiyarur nahi gaye ...kyun ki wh jagah unhe didi ki yaad dilathi thi...main akeli gayi wahan...meri dil ki baat share karne waala koi nahi tha...jab sab ko khush dekhti thi toh meri bebasi pe mijhe rona aata tha...kabhi kabhi gusa bhi aata tha...lekin kuch keh nahi paayi aur kuch kar nahi paayi...meri zindagi aise hi beet gayi...

Lekin mein nahi chahti ki teri zindagi bhi meri jaisi hojaaye...mein nahi chathi tu woh sab kuch sahe jo maine saha...mein nahi chahti ki tum aur tumhare pati ajnziyon ki zindagi jiye...Jasmeet ended and started weeping...Geet huggerd her mother tightly supporting her...After some time her sobs subsided and jasmeet looked at geet cupped her face and said maine tumhare liye bohut se sapne dekhe hain...tumhari khushal zindagi ki sapne...tumhare bachonse khelne ki sapne...aur main uhe zaroor poora karungi...jiske liye mujhe dadi ki naarazgi bhi manzoor hai...

Unknown to both of them there is a well-built man standing at the doorstep, listening jasmeet's reason of refusal...He was wondering what is written in their fate and silently left from there without making his presence obvious.



-----------------------------------------------------------------------------------------------


I know aap sab ko maan ka intezar hai...😉


tell me how is it...


plz ignore type errors...


Edited by -indu- - 11 years ago
Ggorgeousqueen thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago


ME FIRST
YES FINALLY😉😉
---------------------------------------------
OMG
JASMEET FACED A LOT WITHOUT ANY FAULT.

I FELT LIKE CRYING TO HEAR HER PAST
SHE WAS ENGAGED AND YET HER FAMILY MADE HER MARRY TO HER BIL.WHO NAVER LOVED HER
SHE WAS ONLY THE MOTHER OF GEET AND NAINA BUT WASN'T HIS WIFE.
LIFE HAS COME TO A FULL CIRCLE .
NOW GEET IS STANDING ON THE SAME POINT.
JASMEET DOESN'T WANT GEET TO FACE THE SAME WHICH SHE FACED.
SHE IS REALLY A GOOD MOTHER.
AND THE MAN WHO IS LISTENING TO THEM MUST BE MAAN
PLEASE DON'T SEPARATE THEM

THANKS FOR THE EMPTIONAL YET LOVELY UPDATE AND FOR P[M TOO
UPDATE NEXT SOON
Edited by rashmivaish - 11 years ago
LILY111144 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 11 years ago
u r amazing dear,,,,wt hv u written ,,,,rula dia yaar...jasmeet s rite aise rishton mein bachon ki maa hi bantee hei ,bachon ki zindgii to ban gayee ,jasmit ka kisi ne nehii socha,,,,waiting 4 maans entry...
valli30 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
Part 2 & 3
Lovely updates 😃
Geet not able to decide what to do
So that is the reason why jasmeet is not ready for the marriage
She don't want geet to go through that phase 😭
Ab ye sab baathe kisne suni 😕
Waiting for maan's entry
Continue soon di
🤗
Edited by valli30 - 11 years ago
IshitaIrani thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
Emotional update
Jasmeet had led a very painful life and she don't want geet to go through the same path
Who is geet jiju
Waiting for maan entry
Cont soon
ambbiha thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
I guessed right Jasmeet has same fate like geet
I think maan listened to their convo
sheetalvasa thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Emotional update
Muje to rona aa raha tha jasmeet ke past ko sun kar...
Kal jasmeet jaha khadi thi , aaj geet bhi usi jaga khadi hai!
Geet ke fucher kr liye uski fikar sahi hai...
Kya vo maan tha?
Plz add me in your pm list
_Maaneet_ thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
awesome update
so this is reason why jasmeet doesn't want this marriage!!!!!!
looks like maan heard everything!!!!
waiting for maan's entry...
update soon!!!!!!
-Lehar- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
just now i read all 3 parts in one go
loving the story
waiting for the next part
continue soon

Related Topics

Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: priya_21

7 years ago

Teri Meri Kahani/pt 32/pg71- 11 june

hey friends don't Worry this is not any new Story i just changed the name of story nothing more so relax and enjoy the story i just give third

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: priya_21

9 years ago

Th#3 Mohabbat...ki adhuri Kahani/pt 55/pg101- 10 april

Mohabbat...ki adhuri kahani Ye kahani hai do pyaar krne walo ki jo puri hoke bhi adhuri rh gyi... Phase 1st - this story is continuation of

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: priya_21

8 years ago

TH #2 Teri Meri love story- pt37/38/39/40-pg66/67/68/70- 9 june

Introduction this is simple love story... where u see maaneet cute nok zhok, ruthna manana, both love, breakup... geet doing job in Maan company

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: priya_21

2 years ago

Th#3 Sauda- part 45/pg73-3 sept

Prologue sauda means deal... . kissi ke Armaano ka sauda... kissi ke khawabo ka sauda... . . . humne toh kiya tha sauda pyaar smjhkar... par nhi...

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: Mahimaan

4 years ago

Geet ff do dil part 7 on page 6

Do dil.....

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".