Originally posted by: sdlife19
Part 15
Dadima: Geet ab ish duniya mein nahi hain. Mar juki hai geet. Mar juki hain Geet Handa. Mar juki hain Mohinder Handa ki beti. Mar juki hain Khuranna Khandaan ki bahu aur sabse badi baat mar juki hain Maan Singh Khuranna ki biwi. Maar daala hum sab ne Geet ko. Mar juki hain geet.
All were shocked to hear the news dadmia had given. Their ears dis not seem to hear wat she was saying.
Maan: yeh aap kya keh rahi hain.
Dadima: Sach hi tho keh rahi hoon. Kya lagtha hain aap sab ko ki hum Mumbai apni friend se milne gaye the. Nahi hum tho Shimla gaye the Adi ke saath jaha hume pata chala ki jis Geet ne aap sab se pyar kiya who ab kabhi wapas nahi aayegi. Nahi aayegi aap sab ke zindagi mein. Aur yahi tho chah the hum sab ki woh mahnoos Geet humari zindagi mein kabhi wapas na aaye. Chalo apni jeet mein mitahaye bathe aakhir kaar hum jhut hi gaye ush mahnoos se.
Rano: Maaji aap yeh sab aisa kyu keh rahe hain. humne yeh kabhu nahi chaha.
Dadima: kyu nahi chaha Rano. Aap sab ne tho Geet ko dhoshi maan liya tho ab yeh afsoos ku jatha rahe ho. Ek taraf se tho acha hi hua ki woh Geet hamesha ke liye chali gayi humari aur badnaami tho nahi hogi. Maan aap shaadi ke liye haan kar de. Ab tho kisi se bhi darr ne ki jarrurat nahi hain.
Naina: Maa humne yeh kabhi nahi chaha ki geet ke saath kuch bura ho haan par jo ushne kiya hai uski sazza tho ushe ab bhagwan ne khud di tho hum kya kar sakthe hain.
Dadima: naina maine kab kaha ki aap sab yahi chah the hain. Par haan ek hain hum sab mein jo shayad yahi chah tha hain. ab tho woh bahut khush hoga aur yeh dekho main tho gayi thi geet se milne par aayi uski maut ki khabar ke saath aur ap sab ka mood kharab kiya. Chalo yeh jhod do Annie jaake mithaye la do aakhir humari Maan ki shadi tay ho gayi hain aur woh bhi Sameera se.
Annie was was all shocked just shook her head.
Maan: bas kijiye Dadima. Main jantha hoon ki aap jo bhi keh rahi hai woh sab jhoot hain. Geet ko kuch nahi hua hain. samjhi aap.
Dadima: kyu Maan kyu yeh sach nahi ho saktha. Main khud Adi ke saath uska atim sanskar ker aayi hoon. Mar juki hain Geet, mar juki hai aap sab ki pareshani. Who dekhye Annie mithaye bhi le aayi hain.
Dadima goes near Annie and says.
Dadima: Annie beta yeh mithaye tho sabse pehle main aapko khila thi hoon. Yeh khushi tho hume aap ke wajah se mili hain. agar aap na hoti tho hum geet ki sachayi jaan hi nahi paate.
Annie: ji'. Dadima'. Main.. I mean' main.. kaise'.
Dadima: aap itni kyu darr rahi hai Annie. Agar ush din aap hume Geet ki sachayi nahi baatathi tho hume kaise pata chaltha ki Geet kaisi hai tho hume kaise pata chaltha.
Annie: nahi dadima woh tho humara farz tha. Hum tho sirf Maan bhai ke baaremein soch kar bataya. Hum janthe the ki bhai kaisi zindagi jee rahe the. Ush geet ne tho inki puri zindagi barbaad kar di thi. Wat ever I did was for my family amd specially for my brother.
Before Annie could say something else she felt a hard slap on her face. The sound of the slap was so loud tat everyone was shocked to see dadima actually raising her hand on someone. The lady who was soft at heart was spitting anger towards all them.
Dadima: apne bhai ke liye kiya hian na yeh sab tho aap nahi jathe ki aapki bhai ki jaan geet mein thi. Nahi janthe ki geet ke bina woh mar jayenge. Nahi janthe the ki Maan Geet's se itna pyar kartha tha jo hum kabhi jaan hi nahi paye.
Annie: dadima aap yeh sab..
Dadiam slapped her once again when Yash said.
Yash : bas kijiye Maa. Aap kyu geet ke liye Annie ko maar rahi hain. kya galati ki Annie ne agar apne bhai ke baaremein socha tho.
Dadima: Galat tho isne nahi hum sab ne kiya. Ek aisi galati jo hume zindagi bar ke liye jee the jee maar degi. Ek aisi galati jiska saaya hume kabhi chain se jene nahi dega. Ush phool si bachi ki chike jo ushne marte samay di usk chiko se Khuranna Khandaan ki barbaadi hogi. Barbaad ho ke rahoge app sab.
Naina: humne aisa kya kiya hain jo hum sazza paye. Galati tho geet ki thi.
Dadima: Haan galati thi geet ki woh aap sab ke ilzaam chup chap lethi rahi. Sochati rahi ki ek din sachayi hum samjh payenge par shayad hum kabhi ush bachi ko samhj nahi paye. Hum tho phir bhi paraye the, yeh uske maata pita aur bhai jinke saath woh badi hui, woh khud uski sachayi dekh nahi paye. Nahi dekh paye ki unki beti kis jurm ki sazza paati rahi. Nahi dekh paye ki kis galati ki sazza ushe hum sab ne di. Aur aap keh rahe hain ki hum ne kya kiya. Aur sabse badi galati thi Maan ne ki, pyar karne ka dhava karthe the na Maan, tho kaha gaya aapka pyar. Jab ushe aapki jarrurat thi aapne ushe marne ke liye jhod diya.
Annie: Bas kijiye dadima, hum janthe hain ki aap geet se bahut pyar karthi hain par iska yeh matlab nahi ki aap hume galat kahe aur ushe sacha.
This irritated dadima more and once again slapped her breaking all the patience she had.
Dadima: bas hi tho nahi raha hume ab. Kyu Annie tum kyu itni gabara rahi ho. Ab tho tume khush hona chaiye ki Geet tumare rasthe se hamesha ke liye chali gayi. Ab tum aaram se Sameera ko ish ghar mein Maan ki patni banakar laa sakthi ho.
Arjun: dadima aap shayad yeh bhul juke hai ki Annie humari patni hai aur aap ushe humare samne tapad maar rahi hai aur uska insult kar rahi hain.
Dadima: wah beta sach kehte hain log ki shaadi ke baad bete aur bhai badal jathe hain. ab tume lag raha hain ki hum aapki biwi ki insult kar rahe hain par tab aap kaha the jab sab aapki behan ki insult kar rahe the. Kaha the jab geet ko aapki jarrurat thi. Kaha the jab woh akele jee thi rahi.
Arjun: Dadima Geet ko apni dhoke ki sazza mili hain.
Dadima: agar yeh uski chupi ki sazza hain tho aap asli gunegaar ko kya sazza dege Arjun. Kya sazza dege aap hum sab ko jab aapko sachayi pata chalegi. Kya aap sab Geet ko wapas laa sakthe ho. Maan bataye kya aap geet ko wapas la sakthe ho. Kya aap apni galati sudaar sakteh ho. Koi kuch nahi kar saktha.
Mohinder: Maaji aap kaunsi sachayi ki baat kar rahe hain. Geet ke khilaf tho saare sabhut hain phir ab kaunsi sachayi baaki hain.
Dadima: Mohinder, beti ke baap hone ke naate tho kuch duhk jaathaya hota apni beti par. Par main tho bhool hi juki hoon ki aap sab ke liye Geet mar juki hain phir kaunsa dukh.
With this dadima and adi tried to leave when Maan holds her hand. Dadima was shocked to see tears in his eyes.
Maan: please Dadima kahena yeh sab jhoot hain. kaheye ki geet jaha bhi hain theek hain. please dadima.
Adi: Maan Nanima ne jo bhi kaha sach kaha hain. geet ki maut ho juki hain. aur uske saath uski sachayi ki bhi maut ho juki hain.
Annie: Kaunsi sachayi Adi bhai. Jab koi sachayi hi nahi tab dadima aur aap kya bataoge hume.
Dadima: bas Annie.. ek aur shabd nahi. Sachayi jaana hain tujhe tho hum batate hain.
Yash: Bas kijiye maa. Bahut hua aaj ke liye.
Dadima: Abhi tho shuru hua hain Yash. Abhi tho humare khandaan par tofan barsene ka time hain. abhi tho Khuranna's ki barbaadi shuru honiwali hai aur ish barabaadi main sabse pehle Maan Singh Khuranna jhal jayega.
Naina: Maa aap jo bhi kehna chah thi hain saaf saaf kyu nahi keh deti.
Dadima: Annie aap khud sachayi bataye gi yaa main bata du.
Annie: Main' main kya janthi hoon dadima. Sach tho aap janthi hain na.. tho bata dijiye ki geet ki sachayi hum bhi dekhte hain ki aap kya keh rahi hain.
Dadima slapped her again and now with much more force and said: Kyu kiya Annie. Kya paaya aapne yeh sab karke.
Arjun: Dadima. Bas ab bahut hua. Mujhe yaha aur nahi rehana.
Dadima: aur rehna bhi mat Arjun. Aap sab ke liye yeh puri duniya kaam padh jayegi. Aur haan jaane se apni biwi se pooch lena ki kya woh sach mein pregnant thi. Kya sach mein uska miscarriage hua tha. Kya sach mein geet ne..
Arjun: yeh aap kya keh rahi hain Dadima.
Dadima: kyu shock laga. Abhi tho puri sachayi jaani jarruri hain Arjun. Yeh tho sirf shuruvaat hain. Kyu Annie tum khud bata rahi ho ya main bata du.
Annie: dadima.. app ' kyu mujhe.. galat sambhit karna chahthi ho. Kya kiya hain maine.
Dadima: galat tumne nahi humne kiya jo aise saap ko Naina ne janam diya. ek aisa saap jisne apne hi ghar walo ko dahsh liya.
Naina: Bas bahut hua Maa. Ab aap apni har hadh paar kar rahi hain.
Dadima: kyu Naina, apni beti ke baaremein nahi sun sakthi par tab kya karogi jab yeh sachayi ka pata chalega. Kya apne aap ko maaf kar dogi.
Rano: Maaji, please batataye na ki aakhir baat kya hain. mera dil baithe jaa raha hain.
Dadima: yeh dekho ek aur maa keh rahi hain. kyu Rano tab yeh tumara dil kaha tha jab aapki beti ko galat kaha jaa raha tha. Tab kaha thi appki yeh mamta. Jaana chah the ho ki sacjayi kya hain tho suno.
" Yeh Annie kabhi pregnant thi hi nahi. Nahi tha iske khok mein Arjun ka bacha. Iska miscarriage kabhi hua hi nahi.. hum sab ko adhere mein raka. Jhoot bolti rahi ki yeh pregnant thi, jhoot bolti rahi ki yeh Arjun se pyar karthi thi, aur hum iske jhoot par yakeen karthe rahe."
Annie: bas dadima. Bahut hua. Kitna jhoot bolti rahegi aap. Aur aapke paas kya sabhut hain ki hum pregnant nahi the.
Dadima: Sabhut ki baat hi mat karo Annie. Jis doctor ko tumne apni jhooti report banana ko kahi thi janthi hoon ki woh ab police custody mein hain. ush doctor ke khilaf aisi bahut saari complaints hain aur jaha tak aapki baat hain tho hum abhi apne family doctor se aapke accident wale reports dekhe sakthe hain. aur abhi tum kahogi ki hum jhoot bol rahe hain.
Annie: tho kya hua, hume yeh Arjun ko pane ke liye kiya par iska yeh matlab nahi ki humne kuch galat kiya hain. pyar karthe hain hum Arjun se aur unhe khona nahi chah the hum.
Arjun was shocked to hear this and the next moment Annie found Arjun slapping her. he could not believe tat Annie had told lies to them about her pregnancy.
Arjun: Pyar.. ish jhoot ko tum pyar keh rahi ho. Itna bada jhoot kehkar tumne mujhe pane ki khoshish ki. And you say tat you love me.
Dadima: kyu Arjun pairo thale zamee hil gayi. Sirf yeh jaankar ki Annie ne jhooti pregnancy ke aadh mein aapse shadi ki tho aapka yeh haal hain par abhi tho bahut kuch baki hain. tab kya karogi.
Rano: aur bhi kuch baki hain sune ka. Itna bada dhoka kiya humare saath aapki beti ne.
Dadima: ishne tho sirf jhoot kaha Rano par tumne kya kiya. Jhoote sabhuto ke aadhaar par apni hi beti ko maar dala. Kaisi maa ho tum, jo apni beti ki sachayi jaan nahi paayi.
Yash: Annie yeh tumne kya kiya. Hume tho maafi maangne ka bhi haq nahi diya tumne.
Dadima:Yash abhi maafi ki baat bahut dur hain. Abhi tho sabse badi sachayi jaana hain aap sab ko. Annie tum aage ki sachayi khud bataogi yaa main khud batau.
Annie: aur kis sachayi ki baat kar rahi ho aap. Main maanti hoon ki maine pregnancy ke baaremein jhoot kaha aur iske siva aur kuch nahi kiya.
Dadima could not control her anymore and slapped her once again and said: kyu Annie aisa kyu kiya tumne. Kya bigada tha ush bachi ne tera. Kyu uski zindagi maut se bhi bather kar di tumne. Kyu kiya tumne aisa.
Maan: dadima'.
Dadima: kya galat kiya tha Geet se aapke saath. Kya dushmani thi aapki geet se jo aapne ushe yeh sazza di. Kya kasoor tha ush phool jaisi bachi ka jo ushe aisi maut mili. Bolo annie bolo.
Maan: dadima aap' Annie ne geet ke saath'
Dadima: Haan Maan. Geet bekasoor hain. kuch nahi kiya tha Geet ne. Gangajaal jaisi pavitra thi humari geet. Aap jaanana chahthe hai na ki main Annie ko kyu doshi keh rahi hoon tho sunno. Jo bhi sabhut aap sabke samne pesh kiye the woh sab ke sab nakli the. Nakli the woh photos, videos aur reports. Geet ko ish mein fasya gaya tha. Ek itni badi saazish ke anusaar geet ko gunegaar karar diya. Ek aisi saazish jo khud aapki apni behan ne ki. Haan Annie ne geet ko har taraf se barbaad kar diya. Annie hi nahi ismein tho sab samhil the. Aryan, Raj, Sameera aur sabse jayda aapke dost Prem. Aur aapne Prem ki baat sunkar yeh sach mana ki geet aisi hain. Annie ne sabke saath milkar ek aisa khel racha jaha se Geet kabhi bahar nahi nikal payi. Ek aisa khel jiski wajah se geet ki zindagi barbaad hui. Kyu annie kyu kiya aapne aisa. Aisa kya tha jo aapko itna neeche girna pada.
Dadima slapped her again and again cursing her for all this. Annie could not take it anymore and she hold her hand and pushes her away when Adi came forward and slapped her.
Adi: Bas Annie aur nahi. Bahut gunnah kar chuki ho tum. Aakhir aisa kya tha jo tum itne neeche aayi.
Annie: how dare you. aapki himmat kaise hui mujhpar haath uttane ki. Aur haan yeh sab maine kiya hain. nafrat hoon main ush geet se. nafrat thi mujhe uski shakal se. nafrat thi mujhe uski hasi se. nafrat thi mujhe uske wajood se.
Naina came forward and placed one more slap on her face asking her how could she do this.
Annie: yahi hain. ishi wajah se main ush Geet se nafrat karthi. Jabse meri zindagi mein aayi thi, mujhe har khadam mein neecha deekha thi rahi. Uske aane se pehle Khuranna's aur Handa's ki princess thi main par jab Geet aap sab ki zindagi mein aayi tab aap sab ne mujhe peeche jhod diya. har samay har waqt geet geet geet aur geet. geet ne yeh kiya, geet ne woh kiya. Annie geet se yeh seekho, annie geet se woh seekho. Yaha tak mere apni parivaar wale mujhe uski wajah se baatein sunathe rahe. Uski wajah se Arjun ne mujhse shaadi na karne ka faisla kiya. Uski wajah se college mein sabke samne Arjun ne mujhpar haath uttaya, uski wajah se collge mein meri bezhathi hui. Jis college mein koi mujhe kuch kehne se darr tha ushi college ke students mere baaremein baatein karne lage. Ush Geet ki wajah se yeh Rano mujhe Arjun se shaadi nahi karne deti thi. Ush geet ki wajah se bhai ne mujhpar haath uttaya tha. Ush geet ki wajah se aap sab ne mujhe paraya kar diya. nafrat hain mujhe ish geet naam se. nafrat hain mujhe uski ahr ek khushi se.
Before she could complete her sentence Maan slapped her.
Maan: how could you Annie. Kyu kiya yeh sab. Which was followed by one more slap.
Annie: haan kiya maine aur mujhe iaks koi afsoos nahi hai. Acha hua ki woh mar gayi. Nahi marti tho mein uska jeena aur haram kar deti. Socha tha ki apni shaadi se pehle yeh sabhut bhej dungi tho Maan bhai ushe shaadi nahi kiarege aur mein uska jeevan maut se bhi batar kar dungi par bhai ne shaadi ki ushe. Par acha laga jaankar ki bhai ne uski zindagi ish kadar barbaad kar di aur na chah the hue bhi bhai ne mera kaam aasan kar diya. Aur haan Dadima aap theek keh rahi thi ki Geet gangajal ki tarah pavitra thi. Who bechari tho Maan bhai ke alva kisi se thek tarah se baat bhi nahi karti thi. Uski zindagi main sirf aur sirf Maan bhai the par main yeh kaise hone deti. Kaise ush geet ko mere hi ghar mein raj karne deti. Aisi hi maut milthi hain jab dosro ko taklef dekar apni khushi pate hain. aur geet ne tho meri har ek khushi cheene ki koshish ki. Agar woh khud nahi maarthi tho main khud ushe maar deti. Maan bhai ke shaadi se pehle mein ushe maarne wali hi thi sirf uska address jaana tha.
Maan who was had lost all his patience by now made him to loose his anger and he slapped her again right on her face making her to fall on the ground.
Maan: Nahi jaan paya main, nahi jaan paya ki meri hi behan mera istamaal karke meri zindagi mujhse jinn legi. Nahi jaan paye ki meri hi behan mujhe itna bada dhoka degi. Kyu Annie ishe acha hota ki tum mujhe hi maar daal thi.
Annie: yahi bhai, yahi pyar jo aap geet se karthe the ush pyar ko main nahi dekh sakthi thi. Nahi dekh sakthi thi ki jis pyar par sirf mera haq tha woh aap ush geet ko de. Nahi dekh paati geet ko aapke saath.
Naina: kitni nafrat bari hain ish ladki mein. Kya kami thi humare pyar mein jo tumne ek beti hokar dusre beti ki zindagi barbaad ki. Kya jawaab dege hum mohinder aur rano ko. Kya jawaab dege hum Geet ko.
Dadima: darro mat Naina, geet ko jawab dene ki naubat hi nahi aayegi. Kyu Annie ab tho tum bahut khush ho na ki tumare rasthe ka khatta jaa juka hain. ab tho tum khush ho gi jo geet ish duniya mein hi nahi rahi. Aur haan yeh jo aap sab ne dukhi aur afssos ke chehre bana rakhe hain na uska koi fayda nahi. Annie se bade gunegaar tho aap sab hain. kabhi sachayi jaane ki koshish ki . kabhi geet se poochne ki koshisk ki. Kabhi ushe apni safai de ne ka waqt diya. aur aap Maan, aap tho Geet ko open book ke tarah padhne ka dava karthe the, phir aapka vishwas kaise utha. Prem ki baatein kaise Maan li aapne. Kabhi thande dhimang se socha ki kya Geet aisa kar sakthi hain. Annie ne tho sirf geet ko fasya hain par uske khatil hum sab hain.
Maan: please geet wapas aa jao.. please geet.
Dadima: nahi Maan geet ab kabhi wapas nahi aayegi. aur ek baat jo aap sab nahi janthe. Geet ne kabhi abortion kiya hi nahi tha. Haan Geet aur Maan ka bacha Geet ke liye zindagi ka sahara tha, par uski zindagi aap sab ne cheen li. Itne bade khandaan ki beti aur bahu hoke dhar dhar tokre khathi rahi ho. Ush bache ko zindagi dene ke liye ladhthi rahi jo uske maut ka dhrawaza tha. Apke ish bache ne uski maut likh di Maan. Aur geet samjhati rahi ki yeh bacha uske Maan ki nishaani hain. pati ne zindagi se dur kar diya aur bache ne uski zindagi hi cheen li. Yah tak who jaan hi nahi payi ki uski yeh pregnancy ushe maut ke taraf kichthi rahi. Paise na hone se apna ilaaz tak nahi kar payi. Apne bache ke liye zindagi se ladhti aur akhir tak ushe bachate bachate apni ssase hi gava di geet ne.
Rano: yeh mujhse kya hua. Apne haatho se apni bachi ko maut ke taraf bheja. Kaisa gunaah kar baithe hum.
Dadima: bas karo rano yeh jhoote aasu deekhane ki jarrurat nahi hain. aur kis bachi ke liye ro rahi ho, aap sab ke liye tho geet mar juki hain phir yeh natak karne ki kya jarrurat hain.
With this she left to go but before tat she turned to Maan and gave him something.
Maan: yeh lijiye Maan Geet ka mangalsutra. Marthe samay kethi rahi ki Maan main sirf aur sirf aapse pyar karthi hoon. Kethi rahi ki agar Maan ko sachayi ke baaremein pata chala tho Maan jeethe je mar jayenge. Aur yeh bhi kaha ki yeh mangalsutra aapko ushe badhe har rishte se azzad kiya. Ish mangalsutra ke wajah se aapke naam se jhodi rehti thi par aap ab azaad ho. Maan main Annie ko dhosh nahi deti par aap sabse bade dhoshi hain. aapne ushe zindagi dene ke bawajood uski zindagi khatam kar di. Uski khushi dene ka wada karke uski khushiya jhinn li. Ek aisi maut mili ushi jaha woh apne parivaar ke hote hue bhi tadpadti rahi. Ek aisi maut jaha uska pati hoke bhi uski chiitha ko woh aag anhi de paya. Aap janthe hain Maan bhagwan ne aapki galathi ki sazza apki Geet aur aapke bache ko di. Kya kaha tha apne ki geet ne aapke bache ko maar dala par yah tho aapke bache ne hi geet ko maar dala. Khatil hain aap Maan khatil hain aap Geet ke. Geet ko hamesha se yeh darr laga rehta ki aapka yeh gussa aur bina soche koi faisla lene ki aadat usko aapse dur na lejaye aur dekho Maan uska darr sach sabit hua. Le gaya geet ko aapse bahut dur. Itna dur ki agar aap chahe tho bhi ushe wapas nahi laa sakthe. Chahkar bhi aap ushe maafi nahi mang sakthe.
Hum bahut khush the Maan ki Geet ne apke bandh dil ke drawaze khol diye the par aapke ushe dil ne ushe zinda lash bana ke rakha tha aur ab uski zindagi khatam kar di. Kya kuch nahi saha ushne par pata uski sabse badi galati thi ki ushe aap jaise insan se pyar kiya. Hamesha pahelio mein baat karti thi mujhse aur main uska dard samjh hi nahi payi. Aakhir aapke ish gusse ne ushe maar hi dala Maan. Ab aap kya sazza doge aapne aap ko. Kya sazza doge aap apni behan ko. Sazza dene ka bahut shauk haina app sabi ko ab main dekthi hoon ki aap sab aapne aap ko kya sazza dege. Kya geet ko wapas la sakthe ho. Tho phir yeh aap aansu bhane ki jarrurat nahi hain.. Geet ko iski jarrurat nahi. Apne aasu baha ke uski atma ko aur takleef mat do. Jee the jee tho ushe koi khushi na de paye ab uski aatma ko tho shanti se rehne do. Aur haan yeh jo mangalsutra ushne aapko wapas diya hain na Maan ushe apni dusri biwi ko jarrur pehna dena. Shayad aapko ishe dekhkar apni galati ka eshaas hoga.
Mohinder: maaji geet ki aastiya'
Dadima: Aastiyo ki kya jarrurat hain aapko Mohinder. Aapke liye tho geet pehle hi mar juki hain. aur yeh ab aap sab apna dekhava bandh kijiye. Geet mar juki hai, aapki sabse badi pareshani jaa chuki hai. chalo ab aap sab Maan ki shaadi ki tayarriyaa karo, party karo, dhol bajao, poore sehar mein mithayee baatho. Meri geet ke liye mein akeli kaafi hoon dukh manane ke liye. Aur haan ek baat yaad rakhna agar kisi ne bhi geet ke liye dukh bayan kiya tho mujhse bura koi nahi hoga. Main nahi chahthi ki meri geet ki atma ko takleef poochuche. Nahi chahthi ki aap jaise insano ke haath meri geet ki atma roti rahe.
She walked through all of them only mumering this'.
Khatil hain hum geet aur uske bache ke. Khatil hain hum geet aur uske bache ke. Ish ghar ke rishte andhure jhod gayi geet. ish khuranna khandaan ne barbaad kar di ek masoom ki hasti khelti zindagi. Maar dale ek masoom ko. Khoon ke ansu de diye ek ladki ko. Barbaad kar diya humne apne haatho se apne hi rishto ko. Khud tho chali gayi par khuranna khandaan ki barbaadi ki shuruvaat kar ke chali gayi. Zindagi ke haseen sapne dekha karti thi meri bachi par ushi ke pyar ne uske sapne thod diye. Na hum ish barbadi ko rokh sakthe hain an khud bhagwan ishe rokh saktha hain. ek aisi barbaadi jo ek masoom ki chike bayan karegi. Ek aisi barbaad jo ek bache ki jeene ki aas bayan karegi. Ek aisi barbaadi jo ish ghar ki beti ne ish ghar ke kismat mein likhi hain. ek aisi barbaadi jo hum sabko barbaad kar degi. Ek aisi barabaadi jaha har ek rishta hokar bhi adhure risthe bayan kardegi. Ek aisi barbaadi jaha sabse jyada barbaad woh hoga jisne ushe barbaad kar diya. ek aisi barbaadi jaha hume maut tho milegi par hum mar nahi sakthe.
Precap: the truth revealed, wat will the consequences now.
My thanks for all those who loved, liked and commented on the thread one.. hope you will all now comment more for me and increase the updates.
So this was the update. I had to deliberately make it long as I wanted dadima to take out her frustration on each and everyone and so this was one. Now as far as maan's state is concerned tat you will get for next update. This was to just bring the truth about annie. The remaining part of the update will follow later'
Hope you all loved and yes I think Annie has got almost ten slaps. Her remaining punishment will follow.
Love you all
1.2k