@ Shreya, Ann, Berry Hi 🤗
My take for today as updated on page 1
Geet apni hi dhun mein,
Takarayi jaake Maan se,
Sorry nikala phir jubaan se.
Office se sab hain nadarad,
Kahan gayein sab,
Hain Maan ko hairat.
Phoolon ki pankhudiyaan,
Kuch Geet ko yaad dilati,
Maathe pe ek shikan chod jaati,
Phoolon ke jaise tumhara chehra,
Khil uthe yeh rang sunhara,
Maan ke aankhon mein chupi khushi,
Mita degi Geet ki ankahi uljhane sabhi,
Saath Jab hai mera tumhara,
Khil uthega jahan humara.
Bal Brahmachari detein,
Vivah ki badhaiyaan,
Manisha to Adi ke peeche padein,
Adi bechare.. hain ukhade ukhade...
Office mein logon ki badhayi,
Maan ko bhi hai pasand aayi.
Maan ne lagaya is utsaah pe break,
Dhnayavaad keh kar diya ek updesh...
Chalo sab kaam karein,
Aaj hai ek presentation vishesh.
Geet ko di apni salah,
Kaam tumhara ho sabse ujala,
Mehanat karni hogi tumhe khoob,
Mat jaana office se aaj tum uub.
Geet khud hi ko samajhati,
Yahan wahan haath kyun chalati,
Jara kuch kar apna dhyaan,
Mat bhool kar pehle apna kaam,
Musibat hai Geet ki saheli,
Aaj jati hain ban than kahin bhi albeli,
Socha tha Maan ke liye banaongi khana,
Par office ka kaam khatam kareke hi hai jaana.
Maan hain niharate,
Geet ko bahar khade,
Itne mein Adi unse ulajh pade,
Jarorat hain Adi ko jis file ki,
Maan batayein voh hai,
Kabjee main Geet ki.
Adi maange Geet se file,
Geet kahe mil jayegi aapko jald hi,
Adi bechare pareshaan aur hairaan,
File mein kaam ka mita namo nishaan.
Maan bade unjaan bane,
Poochein file ko bigaada kisne??
Maan hain dhust danav bade,
Geet ko chhedate masoomiyat se bade,
Poochein file kaisi gayi bigad,
Kuch bolo....
Kyun khadi ho buth ban kar.
Nakharein dekho Maan ke,
Bolein seena taan ke,
Laparwaah ho tum badi,
Nazarein meri tum par hain gadi.
Geet ko ulajhane ki,
Maan ne lee hai aaj than,
Kaam nahin karne doonga,
Samjho meri jaan....
Geet hai poochti,
Kyon karte ho pareshaan,
Kaam khatam kar,
Jaana hai mujhe ghar.
Ghar jaane ki,
Aisi hai kya tumhe jaldi?
Aap ke liye,
Socha tha ek uphaar,
Chakit kar ke aapko,
Dena chahti thi apna pyaar.
Geet ki rusvaayi,
Maan ko tanik bhi na bhaayi,
Bin bolein hi phir kahan chaldi,
Thehro jara ho gayi mujhse galti...
Dono suljhayen kyun hui yeh an ban,
Kyun samajh na paayein,
Kahan hui hai gadbad....
Tumhare dil ki baat,
Gayi main jaan.
Kisliye mujhe,
Kar rahe the pareshaan.
Mujhe rakhna hai nazaron ke saamne,
Isliye kaam mein ulajhaya tha aapne.
Apni galti ko sudharon mein,
Ab aapko kahan dhoondho mein.
Ek hai maqsad dono ka,
Chodein ladai karein samjhauta,
Chalein phir ek duje ki or,
Takaraye aur gire,
Sofein mein ek or.
Bevakoof hain hum,
Ek duje ki baat samajh na paye,
Bitana tha ek sang samay,
Par apni hi baaton mein ulajh gaye.
Humein karni chahiyein yeh baatein saaf,
Aage phir na ho koi galti,
Bas hoon nazadik mein aur aap.
Geet hai Maan ki god mein,
Apni nazadikiyon se anjaan,
Bole ja rahi bina ruke,
Maan ka khinche saara dhyaan.
Misti si ho tum lagti,
Jab yun bina ruke ho bolati,
Mere ho kareeb tum,
Sun sakti ho mere dil ki dhadkan.
Mujhe diye itne naam,
In sab ka hai kya kaam?
Ek naam pyaar ka chun lo tum,
Vahi pukaaronga subah shaam.
Itne mein baji phone ki ghanti,
Dadi ma pukarein...
Kahan hain Geet....
Aa jao ab jaldi.
Geet hogi door kuch der ke liye,
Karna hoga intezaar un nazadikiyon ke liye,
Par is baar yeh yaad rakhna,
Phone ko apne band jarror karna,
Phir na hoga koi avarodh,
Niharana tum be rok tok.
Dekhen hum aayi hain,
Maan ki behen Anvesha....
Iski jaisi bhi ho vesh bhusha,
Isse tum kam mat samajhna,
Maan ki behen hai,
Isse mat ulajhana.
Tevar iske aasmaan chadein,
Kya udayegi Geet ke hosh khade khade.
255