I am new to this forum, but a die-hard fan of Maaneet for a while! 😊
Just wanted to post my prediction on how MSK will react on the pregnancy news.
The scene is in the outhouse.
-------
(After probably an intense scene!) Maan is walking towards Geet slowly and she can guess what he is going to say. She can't delay the revealation of truth any more. So, she makes up her mind, while he is still at some distance from her.
Geet: Mujhe aapse kuchh kahna hai!
Maan (with his dreamy eyes, expecting her to confess): Bolo Geet.
Geet: Ye mere ateet ka ek sach hai. Jo shayad aapko bahut kadwa lage. Lekin mere liye aapko batana zaroori hai.
Maan's expression turn serious and concerned: Geet. Mujhpar thoda to bharosa karo. Batao kya baat hai?
Geet: Aapne kabhi mujhse poochha nahin ki mere apne ghar waale mujhe kyon maarna chahte the. Lekin main batana chahti hoon. Mere ghar waalon ne meri shaadi karwai thi.
Geet turns away from Maan. Maan's body tenses.
Geet continues: Woh family Canada se thi. Mere Daar ji aur Brij Veer ji ko meri shaadi ki itni jaldi thi ki unhone chhaan been bhi nahin karwai. Shaadi ke teesre din woh log mujhe airport par chhod kar chale gaye. Mere saare jewar aur saara samaan unke paas tha. Unhone sirf paison ke liye ye shaadi ki thi. Unhone VISA ke naam par blank paper par mere signs le liye the. Aapko unhi papers ke saath meri zameen bechi gai thi. Lekin itna hi nahin, woh insaan jaane se pahle mera istemaal bhi karta gaya. Aur uski wajah se main ...
Geet turns back to face Maan. By now, his body is no longer tense, but he is even more concerned and looks pained.
Geet continues: ... pregnant hoon.
Maan is shocked and speechless.
Geet: Shayad ye sunne ke baad aap mujhse nafrat karenge. Main bas itna hi aur kahna chahti hoon ki maine is bachche ko duniya mein laane ka decision khud liya hai. Aur meri kissi se koi ummeed nahin hai. Main abortion ke liye taiyaar nahin hui. Is liye mere ghar waale mujhe maarna chahte the apni shaan aur izzat bachane ke liye. Lekin mujhe koi sharmindagi nahin hai. Jo hua usmein meri ya mere bachche ki koi galti nahin thi. To use main kaise janm lene se pahle marne deti.
Maan is shocked and speechless. She start going towards her room. The way they are standing she has to walk towards Maan to reach her room. In the classic Geet way, she trips and Maan saves her.
He is upset and yells: Geet! Dekh kar nahin chal sakti. Ye bachchon ki tarah uchhalna koodna band karo. Isse bachche ko khatra ho sakta hai.
She is surprised and looks at him.
He calms down and then asks her with concern (continues to hold her at her shoulders): Mujhe poori baat batao Geet. Kya tumhare parivaar waalon ne use dhoondhne ki koshish nahin ki?
Geet lowers her eyes and speaks: Nahin. Unhone bas mujhe order de diya ki main bhool jaun ki meri kabhi shaadi hui hai. Pahle mujhe yakeen nahin aaya ki woh log sach mein dhokhebaaz hain. Maine unse contact karne ki koshish ki. Par jab maine aapke paas zameen ke papers dekhe - tab mujhe samajh mein aa gaya. Baad mein jab mujhe pata chala ki main pregnant hoon to mere liye bachche ko bachana sabse zaroori tha. Isliye main dubara unhein contact kiya aur iske baare mein bataya. Unhone maafi maangi aur Amritsar mein milne ka waada kiya. Isliye...
Maan: ... tum mere saath Amritsar gayi thi.
Geet: Haan. Lekin wahan woh nahin, uski bhabhi mujhe mili. Aur usne bataya ki woh asal mein uski pahli patni hain. Unka mujhe chhod kar chale jaana hi dhokha nahin tha. Poori shaadi illegal thi - ek dhokha. Woh mujhe abortion ke liye manwana chahti thi.
Maan is shocked even further.
Geet looks up: Main toot gayi thi. Lekin sirf apne bachche ki khaatir khud ko sambhala.
She looks down again: Par jab mere ghar waalon ko pata chala to unhone mera abortion karwana chaha. Aur mere mana karne par meri jaan ke peechhe pad gaye. Aapne sirf mujhe hi nahin bachaya hai. Ye ajanmi jaan bhi aapki shukraguzaar hai.
Maan stops her: Geet!
Then continues: I am proud of you Geet. I am really proud of you.
She looks up - clearly surprised.
He confirms what he said with his nod and appreciative smile.
Maan: Geet! Jisne tumhare saath ye sab kiya hai, hum use zaroor dhoondh nikalenge aur uski sazaa use milegi. Lekin abhi tum aur stress mat lo. Chalo aur aaraam karo.
He takes her upstairs holding her hands. Once they are in the room, he tells her that he is going to get her food. She is silent and does not resist.
As he come downstairs, all the related incidents flash in her eyes.
* Her disoriented state in Amritsar
* Scenes of her being almost murdered by Brij and her Goons
* Her saying "mujhe koi haq nahin hai ki main aapke liye kuchh mahsoos karoon", "mere paas aapke sawalon ke jawaab nahin hai", "main nahin chahti ki meri zindagi ke bojh tale aap dab jayen"
* (possibly) the night he met her in the hotel (when she was with Dev)
He thinks to hiself: To isliye Geet mujhse, apni feelings se hamesha door bhagti rahi. Lekin ab iski koi zaroorat nahin hogi.
------
Hope you like it. Let's see what is in store for us this week. I don't expect it to happen on Monday. Although what would I not give to see it happen at the earliest. Sigh!
Sharmishtha
449