Okay guys, me back with my update. Enjoy and please comment. 😃
Chapter 4
Sneha: Yeh tum...mera matlab hai aap....(pauses) kya kar rahe he aap.
Dharam: Voh...Sandhya ne kaha to hum.....
Sneha got out of her bed and looked at Sandhya ferociously.
Sandhya: Voh...kya hai...mujhe laga ki.....
Sandhya snatched an apple from Veer's hand and threw it at Sneha. The apple hit Sneha right in the face, leaving bits of mushed up apple on her forehead.
Sandhya: Um...erm...ha ha?
Sneha's face was rapidly changing colour. She angrily wiped up the apple bits from her forehead, sighed, and then started chasing Sandhya. She chased her all around the tent. Around the tables, circling Dharam Veer and even over the bed.
Sandhya: Arrey Sneha...itna gussa mat karo..me to bas.
Sneha: Aaj hum tumhe nahi chodenge! Jaan se mar denge.
Sandhya: Choti behen se galti to....AAH!!!
And amid all this chaos DharamVeer were just standing there, laughing their heads of.
Dharam: Rajkumari Sandhya tumhe kisiki yaad dilate?
Veer: Kaun?
Dharam: (Sighing) Tumhari! Vo ekdam tumhari tarah hai.
Veer: Vo nakchadi, aur mere tarah...ho hi nahi sakta.
Dharam: Arrey lekin-
Dharam stopped. Sneha had caught Sandhya, and was holding Sandhya's ear.
Sneha: Is badmashi ki vajah.
Sandhya: Mujhe laga ki Dharam ko tumhari seva karni chahiye.
Sneha: Kyon?
Sandhya: Kyonki tum dono ki ek din to shaadi hone hi waali he isiliye-
Sandhya stopped in midsentence. She couldn't believe that she had said it out aloud!
Sneha: KYA KAHA TUMNE?!
Sandhya: Mujhe lagta hai koi mujhe bula raha hai. Mujhe jaana chahiye.
And with that she ran out of the room, not even waiting for a reply.
Dharam: Veer, hume lagta hai ki tumhe rajkumari Sandhya se maafi mang leni chahiye.
Veer goes down on his knees, begging.
Veer: Maaf karo mere bhai, lekin mujhe Rajkumari Sandhya se pyaar nahi hua hai, jaise tumhe Rajkumari Sne-
Dharam: (interrupting, angrily) VEER...
Veer: Kitni garmi hai na? Mein bahar chale jaata hoon. Thodi si hava mil jaegi to accha hoga.
He got up and quickly exited the tent.
Sneha: Hume lagta hai Shanta aapke liye ek accha naam hai...
Dharam: (Blushing) Aap sote waqt badi acchi lagti hai.
Sneha: Matlab ki hum hamesha acche nahi lagte?
Dharam: Nahi, humara matlab yeh nahi tha...hum to bas....
Sneha puts a hand over his mouth.
Sneha: Hum samajh gae. Aap ko kuch kahne ki zaroorat nahi hai.
The two stare into each other's eyes.
Dharam tries to make a move, but Sneha turns away.
............................................................ ............................................................ ............................................
Meanwhile, outside, Rajkumari Sandhya was standing next to her horse, stroking his mane. A few minutes passed in silence. Then Veer appeared out of nowhere. He walked up to Sandhya.
Veer: Bohot sundar ghoda hai. Iska naam kya hai?
Sandhya:Bahadur ko tumse baat nahi karni.
Veer:To accha bahadur, tum yeh batao, tumhe Rajkumari Sandhya pasand hai?
Sandhya: Mein iski malkin hoon, to ye mujhe hi pasand karega na.
Veer: Ssh...meine tumse nahi, bahadur se pucha hai.
Sandhya looked shocked. Veer gave her a smug smile.
Veer: Aur bahadur....kya Rajkumari Sandhya tumhe tez daudati hai?
Sandhya: Bahadur keh raha hai ki-
Veer: Maine tumse nahi pucha.
Veer: Pata hai Bahadur, mere bhai Dharam ne mujhe is nakchadi se maafi mangne ko bola. Tumhe kya lagta hai..kya mujhe maafi maang leni chahiye?
Sandhya: Bahadur ko lagta hai ki tumhe mujhe maafi maang leni chahiye.
Veer: Jab do log baat kar rahe ho, to ek teesro ko beech mein nahi bolna chahiye.
Veer leans closer to Bahadur.
Veer: Haan, mujhe bhi laga, nahi mangni chahiye maafi.
Veer pats Bahadur.
Veer: Shukriya mere dost.
Veer starts walking away.
Sandhya: Arrey Veer, ruko to! Mujhse maafi kyun nahi mangte?
Veer: Voh tum Bahadur se hi puch lo.
……………………………………………………………………………………………………………………………………………………………… ..
The next morning the four re-started their journey to the fair. The journey was quite uneventful, apart from the bickering from Sandhya and Veer.
At the fair:
Sandhya: Accha theekh hai, mela aa gaya. Ab tum tumhare raaste, aur hum humare raaste. Chalo Sneha.
Dharam: Arrey rukiye. Do rajkumariyon ko akele nahi jaana chahiye.
Sandya glanced at Dharam, and then at Sneha.
Sandhya: Accha, yeh baat hai to phir Rajkumar Dharam, aap Sneha ke saath chale jaiye.
Aur mein (looks at Veer and makes a face) akele chale jaoingi.
Veer: Tumhare saath vaise bhi kaun mela dhekhna chahe gaa.
Sandhya held Veer by his arm and dragged him a few metres away.
Sandhya: Tum dekh nahi sakte ki unhe akele waqt bitana chahiye.
Veer: Yeh sab tumhe kese pata?
Sandhya: Vo sab chodo, ab bas un dono ko akela chod do.
Sandhya and Veer walked back to Dharam and Sneha.
Dharam: Theekh hai. To phir Rajkumari Sneha aur hum ek saath. Aur Veer aur Rajkumari Sandhya ek saath.
Before Veer could say anything, Sandhya replied.
Sandhya: Theekh hai. Jaisa tum kaho. Chalo Veer.
Sandhya dragged Veer away.
............................................................ ............................................................ ............................................
Dharam: To aapko pehle kya karna hai?
Sneha: Pata nahi, pehle aap boliye.
Dharam: Aapko jo bhi karna hai, voh mujhe bhi karna hai.
Sneha: Yaha pe gudiyon ki dukaan hai….
Dharam: Chaliye.
Dharam and Sneha started looking for the doll shop. After a while they found it. There was a puppet show going on. Sneha was delighted by the sight and started clapping her hands. Dharam came close to her. He brushed his hand against hers. At the touch, Sneha opened her hand. Dharam held it.
............................................................ ............................................................ ............................................
Sandhya: Hey bhagwaan! Sneha ko khush karne ke liye mujhe iske saath.....
Veer: Theekh hai...pehle tumhari pasand ki cheez karte hai. Voh rahi gudiyon ki dukaan.
Sandhya: Kyon? Kya tumhe gudyon se khelna pasand hai?
Veer: Nahi, lekin tumhe haina?
Sandhya: VEER TUMHE-
Sandhya stopped. She had just seen a swordfighting rink.
Sandhya: Tumhe talwarbazi karni aati hai?
Veer: Haan...
Sandhya: Theekh hai. Phir tum mujhse mukabla karo.
Veer: Mujhe kya milega?
Sandhya: Jo haarega, usse ek gudyi kharidni hogi, aur khulli sadak pe us gudiya ke saath khelna hoga.
Veer: Manzoor hai. Toh chalo, aur tumhari haar ke liye taiyaar ho jao.
Ciao till my next update. 🤗
14