PART 18
KIR-(smile karte hue)-avni, tum yahan, what a pleasant surpriseβ¦β¦β¦..
AVNI-(smile karte hue)-pleasant surprise toh mere liye hai, tum yahan par kya kar rahi ho kiran?
KIR-main, toh yahan par mere college ki taraf se, tour par aayi hoonβ¦β¦β¦β¦aur tum?
AVNI-main bhi yahan par apne friends ke saath chill out karne ke liye aayi hoon.
KIR-wow!that's gr8, tum khadi kyun ho, have a seatβ¦β¦β¦β¦.
AVNI-thanxβ¦β¦β¦β¦by the way, who is this handsome guy?
KIR-(smile karte hue)-he is nihalβ¦β¦β¦β¦β¦
NIH-(shaking hands with avni)-hii, aur inka hone waala husband bhiβ¦β¦β¦β¦..
AVNI-(smile karte hue)-halo!nice to meet u nihal, wow kiran toh tu finally shaadi kar rahi hai haan, congratulations.
KIR-haan,lekin shaadi hum log, Mumbai jaakar karenge, philhaal yahan par engagement kar rahein hain.
AVNI-(apni khushi zaahir karte hue)-wow!waise bahut sahi jagah chuni hai, tum dono engaged hone ke liye, I must say thatβ¦β¦β¦toh, kab hai engagement?
AVNI-what?yaani ki valentines day ke din, kya baat hai yaar,isse achchi toh aur koi baat ho hi nahin sakti, aur isse haseen aur khubsoorat din nahin ho sakta hai, do dilon ke Milan kaβ¦β¦β¦β¦β¦hmmmβ¦β¦β¦β¦.toh mujhe invitation milegi ya nahinβ¦β¦β¦β¦
KIR-ofcourse avni, yeh bhi koi poochne waali baat hai,ur most welcome sweetyβ¦β¦β¦β¦β¦.
AVNI-well, agar tum invite nahin bhi karti, toh bhi main zaroor aatiβ¦β¦β¦β¦β¦.hahahahaβ¦β¦β¦β¦β¦..
NIH-are bhai, koi is bande par bhi toh zara sa dhyan doβ¦β¦β¦β¦β¦tum ladkiyon bas ek hi prob. Hai, koi saheli mil gayi toh, phir bas usse hi chattar-pattar karne mein jut jaati hain, aas-paas ki toh koi khair-khabar hi nahin rehti haiβ¦β¦β¦
KIR-ab itne saalo baad mili hai, toh obviously dher saari chattar pattar toh hona lazmi hi hai, kyun avni.
AVNI-(smile karte hue)-haan,bilkul sahi kaha tumne kiran.
NIH-ok baba tum dodo araam se dher saari chattar pattar karo, main toh chalaβ¦β¦β¦β¦..
KIR-chala matlabβ¦β¦β¦β¦β¦?
NIH-chala matlab chala, aur kyaβ¦β¦β¦β¦β¦
KIR-haan mujhe pata hai, magar kahanβ¦β¦β¦β¦.?
NIH-oh God kiran, tum bhi na sawaal bahut karti hoβ¦β¦β¦β¦.
KIR-ab main nahin karungi, toh aur kaun karegi, haanβ¦β¦β¦β¦β¦
AVNI-bilkul sahi kaha tumneβ¦β¦β¦β¦β¦.
NIH-bas isi ki kami baaki reh gayi thiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
KIR & AVNI-(ek saath hanste hue)-hahahahahahaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦..
NIH-are baba, thoda sa bahar jaa raha hoonβ¦β¦β¦β¦β¦β¦aur kahan jayungaβ¦β¦β¦β¦β¦ab jaane ki ijaazat hai?
KIR-(smile karte hue)-haanβ¦β¦β¦β¦β¦β¦.
NIH-(to himself)-kaash yahan par adi hota, toh indono ki bolti bandh kar detaβ¦β¦β¦β¦β¦..
Aur itna sochkar nihal wahan se chala jaata hai
KIR-kya baat hai, avni , kuch hua hai kya?
AVNI-tujhe kaise pata chalaβ¦β¦β¦β¦β¦
KIR-oh!common avni, main teri dost hoon, tere mann ka haal, toh main teri aankhon se hi padh kar samajh sakti hoonβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
AVNI-kuch khaas nahin hua hai yaar, bas aaj subah se hi mera mood thoda sa off hai basβ¦β¦β¦β¦β¦.
KIR-magar kyunβ¦β¦β¦β¦.?
AVNI-sab kuch us ladke ki wajah se hua haiβ¦β¦β¦β¦..
KIR-kaun sa ladkaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..?aur hua kya haiβ¦β¦β¦β¦β¦.?
AVNI-actually mujhe yeh kehna chahyiye ki, mera mood undono ki wajah se kharaab hua haiβ¦β¦β¦
KIR-kaun donoβ¦β¦β¦β¦?abhi toh sirf ek ladka tha naaβ¦β¦β¦β¦..tu mujhe saaf-saaf batayegi ki mamla kya hai?
AVNI-mamla yeh hai kiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Cut to aditya and niharika, jo ki car mein samaan rakhwaakar wapas aa rahein hainβ¦β¦β¦β¦β¦.
ADI-waise main tumhe ek baat ki daad doongaβ¦β¦β¦β¦β¦.
NIHA-kis baat kiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦?
ADI-tumne us nakchadi aur ghamandi ladki ki bahut hi achchi tarah se khabar le hai,ab kam se kam dobara, woh tumhara saamna karne se pehle ek baar toh zaroor sochegiβ¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-ek baar nahin sau baarβ¦β¦β¦β¦β¦
Cut to the restaurantβ¦β¦β¦β¦β¦.
KIR-whatβ¦β¦β¦β¦β¦..?
AVNI-lekin maine bhi kasam khaayi hai, ki main bhi undono ko chodungi nahinβ¦β¦β¦β¦β¦unhe ab tak is baat ka andaaza bhi nahin hai, ki avni shergill, kis bala ka naam haiβ¦β¦β¦β¦β¦.un dono ne mujhse panga liya haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦mujhseβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Cut to aditya and niharikaβ¦β¦β¦β¦.
ADI-waise ab tak toh us nakchadi ki akal thikaane par aa gayi hogi kyunβ¦β¦β¦β¦.?
NIHA-haan, warna hum dono kis liye hainβ¦β¦β¦β¦β¦β¦hahahahaβ¦β¦β¦β¦.
ADI-(smile karte hue)-haan, so toh hai, ab tak toh use is baat ka andaaza ho hi gaya hoga, ki usne hum dono se ulajh lekar kitni badi galti ki haiβ¦β¦β¦β¦β¦kyun?
NIHA-obviously,but I wish ki phir se mujhe us ladki ki shakal na dekhni padeβ¦β¦β¦β¦..aur waise bhi main use bhul chuki hoonβ¦β¦β¦β¦β¦..lekin lagta hai ki tumhe uski bahut yaad sata rahi haiβ¦β¦β¦β¦β¦.kyun?
ADI-(in a flirtatious manner)-hmmmβ¦β¦β¦β¦.zyaada nahin bas thodi-thodi, kyun tumhe jalan ho rahi hai kya?
NIHA-bhala mujhe kyun jalan hogiβ¦β¦β¦β¦.it's ur life tum chahe job hi karo, jiske bare mein bhi socho,mujhe koi farak nahin padta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Yeh kehkar niharika aage ki taraf jaane lagti hai, ki aditya uska haath pakad leta hai,yeh dekhkar niharika gusse se aditya ki taraf turn karti hai,niharika ki ankhon mein jahan gussa aur jalan saaf-saaf nazar aa rahi hai, wahin doosri taraf aditya ki nazrein shararat aur pyaar se bhari hui hain,dono ek doosre ki taraf dekhen jaa rahein hain,aur aditya halke se muskuraate hue niharika ke kareeb aata hai, aur usse dheere se kehta haiβ¦
ADI-(in a whispering sound)-tumhe farak padta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Aur itna kehkar aditya sharat bhare andaz se muskuraate hue,aage ki taraf bhad jaata hai, aur niharika apni palkein niche jhukha leti hai,woh aditya ki taraf turn karke use dekhti hai,aur halke se muskuraati hai, aur phir woh bhi aage bhad jaati haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Cut to the restaurantβ¦β¦β¦β¦β¦..
KIR-ab chal chod bhi undono ko,jaane de, jo ho gaya-so ho gaya, ab bhul bhi jaa us baat ko,apna mood thik kar,aur waise bhi Kashmir in khubsoorat aur haseen vadiyon mein bhi koi udaas ho sakta hai bhalaβ¦β¦β¦β¦β¦
AVNI-thik hai sirf tere liye main apna mood kharaab nahin karungi, unke baare mein sochkar, lekin agar woh dono phir se mere saamne aaye na, toh I promise ki I will not leave them,rather I would kill them, phir chahe is ke liye mujhe phansi hi kyun na ho jaayeβ¦β¦β¦β¦β¦β¦
KIR-achcha meri maa ab bas karβ¦β¦β¦β¦..tu na ekdum nahin badli, bilkul waise ki waise hi haiβ¦β¦β¦β¦β¦.
AVNI-(with arrogance and full of attitude)-haan, aur humesha aisi hi rahungi,kisi ke bhi liye nahin badlungiβ¦β¦β¦β¦β¦
KIR-aur agar teri zindagi mein koi aisa aa jaaye jo ki tujhe poori tarah se badalne mein majboor karde tohβ¦β¦β¦β¦..
AVNI-(muh banate hue)-never, kabhie nahinβ¦β¦β¦β¦
KIR-kyunβ¦β¦β¦β¦β¦?
AVNI-(with attitude)-kyunki aisa koi shaqs hai hi nahin, is poori duniya mein jo ki mujhe badal sakeβ¦β¦β¦β¦..
Cut to aditya and niharikaβ¦β¦β¦..
ADI-(smile karte hue)-main hoon naβ¦β¦β¦β¦β¦..
NIHA-mujhe pata hai, magar phir bhi itni saari tyayaariyan hum ek din mein poori kaise karenge?
ADI-tum itna tension kyun leh rahi ho, sab kuch ek dum sahi waqt par ho jaayega , so just chill yaar, aur tension ko goli maarβ¦β¦β¦aur zyaada socho mat, bas in khubsoorat palon ko jee bhar ke jeeyoβ¦β¦β¦β¦β¦ekdum bindaas hokar, jaise ki main jeer raha hoonβ¦β¦β¦β¦
NIHA-(smile karte hue,aur softly)-ek baat poochon tumse?
ADI-(smile karte hue)-ek kyun, dus poochon, ab itne pyaar se poochogi, toh bhala main inkaar kaise kar sakta hoonβ¦β¦β¦β¦
NIHA-(smile karte hue)-tum zindagi ko bahut khul ke jeete ho na, bilkul be fikar hokar, aur kitni aasaani se apne dil ki baat ko keh dete ho, bina hichkichate hue,tumhe dekhkar aisa lagta hai ki jaise yeh zindagi tumhare liye ek khubsoorat khwab ki tarah hai, jise ki tum jii bhar kar jee lena chahate ho, ek aisa safar jo ki tumhare nazariye se sirf aur sirf khushiyon ki saugat se bhari hui haiβ¦β¦β¦β¦.hain naβ¦β¦β¦β¦β¦
Niharika ki baaton ko sunkar aditya use ek pal ke liye ek tak dekhta hi rehta haiβ¦β¦β¦.aur phir kuch der baad kehta haiβ¦β¦β¦β¦
ADI-(smile karte hue)-mujhe nahin pata tha, ki tum philosopher bhi ho, waise tumne jo bhi kaha, bilkul sahi kaha, main isiliye itna khush rehta hoon, kyunki, maine apni zindagi khud chuni hai, khud ko zindagi ke hawale nahin choda hai,balki mera toh yeh manna hai ki, insaan apni kismet aur apni khushiyon ka faisla khud karta hai, aur yeh uspar hi nirbhar hota hai ki woh kise chunta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦mujhe aisa kyun lag raha hai ki kuch zyaada hi ho gaya haiβ¦β¦β¦β¦β¦niharika tumhare chakkar mein na main bhi ghanchakkar ho jaungaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-tumhari dictionary mein serious naam ka koi word hai bhi ya nahinβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
ADI-(ek minute sochkar)-hmmmβ¦β¦β¦..nahinβ¦β¦β¦β¦β¦.aur nahin kabhie hogaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦.
NIHA-ab chaleinβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-chal hi toh raha hoon,ab kya marathon ki race lagaunβ¦β¦β¦β¦.
Cut to the restaurant
AVNI-ok kiran, now I have to leave, see u soon, at ur engagementβ¦β¦β¦β¦β¦.
KIR-ya, ab agli mulaqaat valentines day ke din hogiβ¦β¦β¦β¦see u tooβ¦β¦β¦β¦β¦β¦bye and take careβ¦β¦β¦β¦β¦β¦.
AVNI-byeβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Aur itna kehkar avni jaise hi bahar nikalti hai, ki doosri taraf se aditya aur niharika restaurant ke andar entry lete hainβ¦β¦..
KIR-heyβ¦β¦β¦..tum dono aa gayeβ¦β¦β¦β¦agar thodi aur jaldi aate, toh aur bhi achcha hotaβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-kyun achcha hotaβ¦β¦β¦β¦β¦..?
KIR-kyunkiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Magar isse pehle ki kiran apni baat ko poori kar paati kiβ¦β¦β¦.sagar, nihal, pooja aur rahilβ¦β¦β¦β¦..wahan par aate hainβ¦β¦β¦β¦β¦β¦.aur phir sab log kuch hi der mein lunch karke wahan se hotel ki taraf ravana ho jaate hainβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦sham ho chuki hai, aur sab log apne-apne room mein araam farma rahein hainβ¦β¦β¦β¦β¦..
In niharika's room, jahan par niharika baithi hui hai, aur ek kitaab padh rahi hai, ki tabhie uska mobile ring hota haiβ¦......aur niharika apna mobile search karne lagti hai,aur use apna mobile uske purse ke andar milta hai,magar isse pehle ki niharika call ko receive kar paati ki phone cut ho jaata hai, aur woh apna mobile apne purse se nikaalne lagti hai ki tabhie use apne purse mein ek chota sa gift milta hai, aur woh us gift ko nikaal kar dekhti hai, aur apne mann mein sochti haiβ¦β¦.
NIHA-(to herself)-yeh kya haiβ¦β¦β¦β¦?yeh toh koi tohfa lag raha hai,magar yeh mere bag mein kaise aayaβ¦β¦β¦β¦..?
Itna sochkar niharika, us gift ke rapper ko dheere-dheere kholti hai, aur use uske andar ek lamba sa box milta hai, woh halke se us box ko open karti hai, aur uske andar use ek sone ki payal milti haiβ¦β¦β¦β¦niharika us payal ko apne haathon mein leti haiβ¦β¦β¦.aur ektak use niharti rehti haiβ¦β¦β¦β¦β¦.
NIHA-payal, woh bhi sirf ek, doosra kahan haiβ¦β¦β¦β¦..?ismein toh nahin haiβ¦β¦β¦β¦.yeh kya haiβ¦β¦β¦β¦β¦?
Niharika dekhti hai ki us box ke cover ke niche ek chit hai, woh use nikaalti haiβ¦β¦β¦β¦..aur kholkar padhne lagti haiβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-(chit ko padhte hue)-yeh aapke liyeβ¦β¦β¦β¦β¦magar iske doosre jode ke liye aapko thoda sa intezaar aur karna padega,β¦β¦β¦..aapka secret admirerβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.yeh kaun haiβ¦β¦β¦?jo bhi hai, bahut ajeeb haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦.aur itna kehkar niharika, us gift ko wapas apne purse mein rakh leti haiβ¦β¦.aur dobara se apni novel mein ghus jaati haiβ¦β¦β¦β¦..magar uska saara dhyan us payal par hi laga rehta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..aur woh baar-baar us payal ko bahar nikaalti hai, aur andar rakhti hai,aur apne mann mein sochti rehti haiβ¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-(payal ke saath-saath us chit ko bhi dekhte hue)-secret admirer, aakhir yeh hai kaun,aur ise kaise pata chala ki mujhe payal bahut pasand hai,kaun ho sakta hai yeh secret admirerβ¦β¦β¦β¦..?kaise pata lagaunβ¦β¦β¦?kaiseβ¦β¦β¦?
Yehi sab sochte-sochte, niharika so jaati haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Cut to aditya, jo ki hotel ke verandah mein kisi se mobile par baat kar raha hota hai, aur kuch der baad, apne room ki taraf ravana ho jaata hai, woh apne room mein enter karta hai, aur light on karta hai, tabhie uska pair ek lifafe ke upar padta hai, woh niche jhukkar us lifafe ko uthata hai, magar uske upar kisi ka bhi naam nahin likha rehta hai, bas upar ki taraf confidential likha hua rehta hai, aditya us lifafe ko dheere-dheere kholta hai, toh uske andar use ek khat milta hai, woh us chitti ko nikaal kar padhne lagta hai , aur jaise-jaise aditya us khat padhta jaata hai, uske chehre ke expressions badalte rehte hain, jahan woh kuch der pehle tak khush rehta hai, achanak uski saari khushi aur chamak uske chehre se dheere-dheere gayab ho jaati hai, aur woh gehri soch mein doob jaata hai, aur apne bed par baith jaata hai, kuch der baad woh us khat ko lifafe mein wapas rakh deta hai, aur us lifafe ko apni kitaab mein rakh deta hai, lekin baar-baar uska dhyan us khat ke likhe hue aksharon par hi jaa raha hota hai,yahi sab sochte-sochte, use neend aa jaati hai, aur woh so jaata haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Next morningβ¦β¦β¦β¦..
sab log nihal aur kiran ki engagement ki tyayaariyon mein jute hue hain,kyunki next din valentines day hai, aur saath hi mein dono ki sagai bhi, doosri taraf hotel ke management ki taraf se bhi valentines day ki dher saari tyayaariyan zoro-shoro se chal rahin hain, hotel ka saara mahoal khushnuma sa ho gaya hai, aur saare hi log kaafi excited hain, charon taraf khushiyan aur dher saari hulchul ho rahi hai, magar aditya aur niharika ke chehre par khushi se zyaada tension aur pareshaani saaf nazar aa rahi hai, halaki dono hi tyayaariyon mein haath bata rahein hain, magar phir bhi, unka dhyan kahin aur hi hai, jahan niharika ke dimaag mein us payal ko lekar tension chal rahi hai, wahin doosri taraf aditya ke dimaag mein us khat ko lekar, dono hi apni-apni soch mein khoye hue hain, aur alag-alag apni pareshaani se jujh rahein hain, upar se dono kisi se kuch keh bhi nahin paa rahein hain, so alag, bas dono andar hi andar apni pareshaaniyon se lad rahein hain, aur isi beech saari tyayaariyan bhi poori ho jaati hain, aur sab log lunch karne ke liye hotel ke restaurant ki taraf ravana hote hainβ¦β¦..
next scene in the restaurantβ¦β¦β¦β¦β¦β¦
jahan par sab log lunch kar rahein hain,ki tabhie pooja bolti haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦.
POO-aaj sab log itne chup-chup, kyun hai, koi kuch bol kyun nahin raha hai, lagta hai ki jaise mano aaj na bolne ki kasam khaayi hai sabne, ya phir kahin aaj maun divas toh nahin celebrate kiya jaa raha hai, ab koi kuch bolega bhi ya nahin, ya phir aaj sirf main hi bolti rahungiβ¦β¦β¦β¦β¦..
RS-jab tum kisi ko bolne ka mauka, dogi, tab na koi kuch bolega, bas tab se boli hi jaa rahi ho, boli hi jaa rahi ho, are yaar kam se kam thoda sa semicolon toh lagau apne sentence meinβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Rahil ki baat sunkar sab log hansne lagte hain, magar aditya aur niharika, unsab ke saath hote hue bhi nahin the, muskuraa toh rahein the, magar khul kar nahin, kuch der baad sab log lunch finish karke bahar tahalne ke liye nikalte hain, kiran aur nihal ek saath, pooja aur rahil ek saath, aur sagar apne room mein rest karne ke liye chala jaata hai, bas aditya aur niharika hi restaurant mein akele baithe hue rehte hain, woh bhi ek dum chup-chap,niharika ki saari soch us payal aur uske bhejne waale secret admirer par lagi hui hai, aur use is baat ka zara sa bhi dhyan nahin hai ki, aditya uski taraf dekh raha hai, uski aankhon mein dher saare sawaal ghoom rahein hain,achanak se aditya wahi safed lifafa apni jeb se nikaalta hai, aur niharika ke saamne rakh deta hai, yeh dekhkar niharika chaunk kar aditya ki taraf dekhti hai, aur aditya use ishaare se us lifafe ko kholkar padhne ko kehta hai, pehle toh niharika kuch samajh nahin paati hai, lekin jab uski nazar us lifafe par padti hai, tab use sab kuch samajh mein aa jaata hai, aur woh fauran us lifafe ko kholti hai, aur usmein rakhi hui chitti ko padhne lagti haiβ¦β¦β¦β¦β¦aur padhte-padhte uski aankhen bhar aati hain, aur woh restaurant se rote-rote bahar nikal jaati hai, yeh dekhkar aditya bhi fauran uthkar niharika ke piche jaata hai,niharika bhaagte-bhaagte hotel ke bahar lawn mein pahunchti hai, aur wahin par niche zameen par apne ghutne tek kar zor-zor se rone lagti hai, tabhie aditya niharika ke shoulder par haath rakhta hai, aur niharika turn hokar uski taraf dekhti hai, aditya use dheere se haath pakad kar uthata hai, aur niharika ke chehre ko apne haathon mein lekar, uske aansoon ko halke haathon se ponchta hai, aur niharika uski taraf dekhne lagti hai, aditya niharika ko le jaakar lawn mein rakhe hue bench par baithata hai, aur uski taraf dekhne lagta hai, aur usse dheere se poochta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
ADI-(in a soft and slow voice)-kya hua?aakhir baat kya hai?shayad ab tum mujhe batana chaho?
NIHA-(in a very emotional tone)-haan,aaj main tumhe sab kuch batadungi,anu, meri choti bahan,jiske liye zindagi zindadili ka naam thi,ek behad khushmijaz ladki, jo zindagi ke har ek pal ko ek khubsoorat khawb ki tarah jeeti thi,ek behad chulbuli aur pyaari si masoom ladki,jise khud bhi khush rehna achcha lagta tha, aur saath hi mein doosro ko bhi khush rakhna,zindagi ki hare k khushi uske kadmon mein thi, uske hare k pal mein shaamil thi, lekinβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.sirf tab tak jab tak use mohabbat nahin hui thiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦is shabd ke ehsaas ne usse uski zindagi ki saari khushiyan cheen liβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦ya phir yun kahun ki uski zindagi hi cheen liβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.is mohabbat ne hi aaj use zindagi aur maut ke beech laakar chod diya haiβ¦β¦β¦β¦β¦nafrat hai mujhe is shabd se, aur usse bhi zyaada iske ehsaas se, aur us shaqs se jiski wajah se aaj anu ki yeh haalat haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
ADI-(in a serious tone)-anu ko hua kya hai?
NIHA-(rote hue)-she is in comaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
ADI-(shocked)-whatβ¦β¦β¦β¦β¦β¦
Aur ek pal ke liye sab kuch shant ho jaata haiβ¦β¦β¦β¦β¦..
ADI-(inquisitively)-aur woh shaqs kaun hai,jiski wajah se anuβ¦β¦β¦
NIHA-(full of hatred in her eyes)-usiko toh dhoond rahin hoonβ¦β¦β¦β¦.
Aur itna kehne ke baad niharika phir se rone lagti hai, aur yeh dekhkar aditya, bhi bahut emotional ho jaata hai,woh niharika ke haathon ke upar apna haath rakhkar use samhaalne ki koshish karta hai,niharika aditya ki taraf dekhti hai, aur usse lipatkar rone lagti hai, aditya niharika ke sir par apna haath rakhkar use chup karane ki koshish karta haiβ¦β¦β¦β¦..aur usse kehta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
ADI-don't worry sab kuch thik ho jaayega, main hoon na tumhare saath,main sab kuch thik kar doongaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦sab kuchβ¦β¦β¦
Aur background mein yeh song play hota haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
bebasi, dard ka aalamβ¦β¦β¦β¦β¦
tum mujhe dedo apne ghamβ¦β¦β¦β¦.
Bebasi, dard ka aalamβ¦β¦β¦β¦β¦
Tum mujhe dedo apne ghamβ¦β¦β¦β¦.
Khamoshiyaan bhi doβ¦β¦β¦β¦..
Tanhaayian bhi doβ¦β¦β¦β¦..
Bechainiyaan bhi dedo, dedo naaβ¦β¦β¦β¦β¦..
Aditya niharika ke aansoon ko halke haathon se ponchta hai, aur niharika aditya ke kandhe par apna sir rakhti haiβ¦β¦β¦β¦
Bheegi palkon se chura lunga namiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Rehne doonga na kahin koi kamiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Tumko daaman na bhigone doongaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦
Ab kabhie tumko na rone doongaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Uljhane, gham ki parchaayiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Dedo mujhe apni tanhaayiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Gumnaamiyaan bhi doβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Naakaamiyan bhi doβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Viraaniyan bhi dedo,dedo naaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Aditya dekhta hai ki niharika uske kandhe par apna sir rakhkar so chuki hai, woh dheere se bina awaaz kiye, niharika ko apni bahon mein uthakar, uske room mein lejaata hai, aur use bed par letakar uske upar blanket udha deta hai,aur phir niharika ke sirhaane baithkar uske maathe par apna haath rakhkar use sehlaane lagta hai, aur bade hi pyaar se uski taraf dekhta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Tere hoton pe saja doonga hansiβ¦β¦β¦β¦..
Teri raahon mein bicha doonga khushiβ¦β¦β¦β¦β¦.
Tum mujhe apna maanti ho agarβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Yun khafa hoke na jhukao nazarβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Mushkilen,apni majbooriβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Dedo mujhe saari benooriβ¦β¦β¦β¦β¦
Pareshaaniyaan bhi doβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Hairaaniyaan bhi doβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
Nigebaaniyaan bhi dedo, dedo naaβ¦β¦β¦β¦β¦
Bebasi, dard ka aalaamβ¦β¦β¦β¦β¦
Tum mujhe dedo apne ghamβ¦β¦β¦β¦..
Khaamoshiyaan bhi doβ¦β¦β¦β¦β¦β¦.
Tanhaayiaan bhi doβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Bechainiyaan bhi dedo,dedo naaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
Aur kuch der baad aditya, uthne lagta hai ki tabhie woh dekhta hai ki,niharika ne uska haath kas ke thaam kar rakha hua hai, yeh dekhkar aditya dobara niharika ke kareeb aata hai, aur dheere-dheere, halke se, apna haath uske haath se chudata hai,aur uske maathe par halke se kiss karke, wahan se chala jaata haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦..
END OF PART 18,PLZZZZZZZ DO COMMENT.
193