Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 13th Sep 2025 - WKV
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
PARAYI AURAT 13.9
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Tanya was fab today👏🏻
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
Anupamaa 13 - 14 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Who is this actor?
Katrina won't announce her pregnancy, is she?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai, 14th September '25 EDT.
KIARA THROWN 14.9
Prayansh Aransh Anpi FF: Swapnakoodu
Bb top 5 - guess
When a lie is repeated hundred times…
Cocktail 2 begins shooting with Shahid ,Kriti and Rashmika!
🏏T20 Asia Cup 2025 India vs Pakistan, 6th Match, Group A, Dubai🏏
heyi buddies.. thnks a million for all ur comments..!! i'll be updating in a while..
luv,
ruksaar
Part-25
Recap-
Dadima ki death ho jaati hai jisse Saima kaafi shock mien rehti hai..... Saima ko
koi anjaan insaan phone karke kehta hai ki Rayan use cheat kar raha hai....Kanaka mein RM companies ka lawyer
aakar kehta hai ki use takeover kar liya hai, aur Rayan bata deta hai ki usne kanaka ko takeover kiya hai...
jiske baad saima ko rayan pe shak hone lagta hai............
Story further.........
Rayan ki baatein sunkar Saima hairaan rehti hai.... Wo wahi khadi rehti hai.. tabhi use dubara se uss aadmi ka phone
aata hai...
Saima: he.....helloo....
Person: dekh liya..,maine kaha tha na, tumhara pati tumhe dhoka de raha hai.... Aur tumhari dadima uski sachchayi jaanti thi... aur wo ye bardasht nahi kar saki aur.......... Khair, main to tumhe ek well wisher hone ke haq se keh raha hu.., Rayan jitna seedha dikhta hai utna seedha hai nahi..... Aage tum khud samajh daar ho...... {he disconnects the call}
Saima: helloo...., kaun hai aap? hellooo...... {to herself} kahi ye insaan sach to nahi keh raha tha... Dadima Rayan ki wajah se........
{tabhi rayan waha aata hai}
Rayan: chale Saima?
{saima palatkar rayan ki taraf dekhti hai, aur bas waha se chali jaati hai aur car mien baith jaati hai....}
Rayan: {to himself} yeh Saima ko kya hua? lagta hai abhi tak pareshan hai..... ya shayad upset hai....
{just than sahil enter there}
Sahil: any problem sir?
Rayan: ah.., nahi kuch nahi, main saima ko lekar ghar jaa raha hu, kuch kaam hua to phone karna
Sahil: its ok sir, i'll manage... Waise bhi iss waqt aapko bhabhi ke saath rehna jyada zaroori hai, infact mein to kehta hu
aap kuch din office nahi aaye to bhi thik hoga.....
Rayan: hmm..., thik hai abhi main chalta hu....
Sahil: fine sir, and take care....
{rayan leaves.....
waha bahar saima car mien baithi rayan ka intezar kar rahi thi..,per ab tak usi soch mein thi..... Wo Rayan per bharosa karti thi, per jo kuch bhi uske saamne ho raha tha uss sabse uska bharosa kahi na kahi dagmaga raha tha... Reh rehkar bas use uss admi ki baat yaad rahi thi....}
Saima: {to herself} kahi sach mein to Rayan.... nahi nahi per wo aisa kyun karenge..... Per phir wo insaan kaun tha, aur usne jo kaha wo kuch hadh
tak sach bhi to hua hai.... Aur phir Rayan ne Kanaka ko takeover kyun kiya..
{tabhi rayan aata hai, aur wo garewal mansion chale jaate hai....
Saima kisi se kuch baat nahi karti,seedhe apne kamre mein chale jaati hai... Koi usse kuch kehta nahi, kyunki sabko lagta hai ki Saima ka akela rehna hi thik hoga...
Wo kamre mein baithi usi baat ke bare mein soch rahi thi...,Rayan uski taraf dekhta hai per kuch kehta nahi.... per woSaima ko aise pareshan
sa dekh nahi paata}
Rayan: Saima..., koi pareshaani hai kya?
{saima ko uss admi ki baat aati hai.....}
Rayan: kya hua?
Saima: nahi, kuch nahi....
Rayan: main samajh sakta hu ki iss waqt tum kis daur se guzar rahi ho..., per dont worry, waqt ke saath sab kuch pehle jaisa ho jayega...
{tabhi Rayan ko sahil ka phone aata hai}
Rayan: nahi sahil abi kuch mat karo...., waise bhi ab hume koi darr nahi hai..... sab kaam to ho chuka hai.....
{saima rayan ki har baat galat samjhti hai....}
Sahil: thik hai sir, main kuch din yaha aata rahunga taake yaha koi problem naa ho.... per hume ab Kanaka ke baare mien officially announce karna chahiye..
Rayan: ha, per abhi nahi... {he looks at saima} wo ek hi kaam hai, aur mujhe nahi lagta koi problem hogi.... jo problem thi, wo to solve ho gayi...
{ab saima aur sun nahi paati...,uska shak yakeen mein badalta jaa raha tha... wo bas gusse se waha se uthkar uper terrace pe chali jaati hai....
raat ka waqt tha aur tez barish ho rahi thi.... Rayan saima ka behaviour samajh nahi paata... so wo phone rakhta hai aur uske peeche
jaata hai... wo dekhta hai ki saima waha khadi barish mien bheeg rahi ro rahi hai}
Rayan: saima....
{saima was facing the other way}
Rayan: neeche chalo...., dekho bahot tez barish ho rahi hai...
{per saima uski taraf nahi dekhti.... Rayan uske kareeb aata hai aur uske shoulder pe haath rakhta hai}
Rayan: sambhalo apne aapko...., agar Adi aise dekhega to kya kahega.... please uski khatir hi sahi.... neeche chalo
Saima: Dadima ko kya hua tha Rayan? Unki maut kaise hui?
{rayan samajh nahi paata ki saima usse aisa kyun puch rahi hai}
Rayan: kya matlab?
{turns towards him}
Saima: matlab hi to janna chahte hai hum.... Achanak aisa kya hua ki Dadima ko itni takleef hui? Kuch din pehle tak to woh bilkul thik the na... phir aisa kya hua?
{rayan ko lagta hai ki kahi saima ko pata to nahi chala ki dadima hospital mein admit the}
Rayan: emmmm.....,wo darhesal dadima ko uss din mild asthama attack aaya tha,isiliye unhe hospital le gaye the.... per..
Saima: aur yeh baat hume batani aapne zaroori nahi samjhe?
Rayan: ha...wo uss din tumhara wrat tha, to maine socha ki tum pareshan ho jaogi...
Saima: oh..., to aapko hamari itni parvah hai ha? Phir bhi..... phir bhi aapne aisa kiye? Kyun Rayan.... kyun? Aap achi tarha se jaante hai ki Kanaka Dadima ke liye kya mayane rakhti hai....., aur hamare liye dadima hi sab kuch hai... Hamari duniya hai wo... aur aapne unhi ko..... kyun?
Rayan: yeh tum kya keh rahi ho? Aare maine to tumhara saath dena chahta tha...
Saima: hume aapki iss jhooti hamdardi ki koi zaroorat nahi hai.... Ab hume aapse koi sawaal nahi karna..... shayad bhagwaan samajhne lage the aapko...,per bhool gaye the ki aap bhi insaan hai.... ek aise insaan jo kuch bhi kar sakta hai...
{cries bitterly} per nahi....., aapne hamari dadima ko humse dur kiya hai......
{rayan was shocked to hear this}
Saima: per ab Kanaka ko aap humse dur nahi kar payenge.... Thik hi kaha tha apne abse hume hi sab dekhna hai....,
Hum jaa rahe hai..... Apne ghar, wo ghar jo hamare aapna hai jaha koi chalawa koi dhoka nahi hai..... Iss puri duniya mien Dadima ke baad agar hum kisi per aankhein bandh karke bharosa karte hai wo to bas ek aap hai.... aur aapne uss bharoso ko tod diya....
Kya haasil kar liya aapne yeh sab karke?
{rayan kuch samajh nahi pata ki saima kya keh rahi hai per wo khamosh rehta hai...., use lagta hai ki iss waqt saima se kuch bhi kehna thik nahi hoga}
Saima: aaj ke baad shayad hi hum kisiper bharosa kar payenge.....
{saying this she just walks downstairs and than goes to Khanna house without letting anyone know about it....
Rayan came to his room..., he didnt knew what to do..... tears roll down his eyes...
they both were going through the same pain.. Rayan saima ke bina nahi reh sakta tha aur saima rayan ke saath nahi rehna chahti thi...}
Song in the background
Pyar hai ya sazaa..... aye mere dil bata...
Tutta kyun nahi dard ka silsila......
Is pyar mien hi kaise kaise imtihaan
yeh pyar likhe kaisi kaise dastaaan
yeh rabba de de koi jaan bhi agar,
dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar.......
song in the background
Next day......
Saima ko ghar mein naa dekh Raina, Dadi aur Adi Rayan se uske bare mein puchte hai.... Rayan kehta hai ki wo savere hi Khanna house
chali gayi.... wo phir bina kuch kahe office chala jata hai... Wo behad pareshan tha...., use lag raha tha ki kahi ek baar phir
uska ateet douhra raha hai.... Pehla Shikha use chodkar chali gayi thi aur ab Saima......
Rayan apne cabin mein baitha tha... phir uski nazar saamne rakhe unke photo per padti hai..... use haath mein lekar rayan rone lagta hai......
tabhi sahil ander aata hai...
Sahil: Sirrr....... yeh kya?
{rayan quickly wipes off his rears}
Rayan: kuch nahi....
Sahil: aur aap yaha? aapko to.... kya baat hai sir, aap bahot pareshan lag rahe ho....
Rayan: kuch nahi....
Sahil: nahi sir, please batayiye kya baat hai....
Rayan: saima ghar chodkar chali gayi hai.... use lagta hai...... ki maine dhoke se kanaka usse li hai aur dadima ke maut ka zimmedar bhi wo mujhe
maanti hi.......
Sahil:what? per wo to kuch jaanti hi nahi hai.... Aapne usne kuch kaha kyun nahi?
Rayan:kya kehta.... wo kuch sunna nahi chahti....., main jaanta hu... Dadima ke aage uske liye koi mayane nahi rakhta....
Sahil: main baat karunga unse.... sab sach bata dunga...
Rayan: nahi sahil..., tum aisa kuch nahi karoge......
Sahil: per sir, iss tarah se to unki galat fehmiya badhti jayegi... aur pata hai kal jo lawyer aaya tha, wo galati se nahi balki jaanbujhkar aaya tha....
aur yeh sab planned tha...
Rayan: what?
Sahil: yes sir..., jab wo lawyer bahar phone pe kisi se tabhi peon ne use sun liya tha....
Rayan: iska matlab kisine jaan bujhkar yeh sab kiya hai.....
Sahil: ha sir....,isse pehle ki baat aur badh jaye aap please bhabhi ko sab kuch bata dijiye......
Rayan: tum thik keh rahe ho.....
{and rayan immediately rusher towards Khanna house..... as he was entering in he saw a car passing out....}
Rayan: { to himself} yeh to Rishabh Malhotra ki car thi....,per yeh yaha.....
{he than quickly gets in..... Saima was sitting there with some papers in her hand..... She had tears in her eyes..... Rayan steps in}
Rayan: saima.....
Saima: aap.... ab kya lene aaye hai aap? kuch aur bhi baaki reh gaya hai ab batane ko?
Rayan: Saima, main tumhe sab kuch sach batane aaya hu... tum ek baar meri baat to sunlo...
Saima: sach kehne aaye hai ya apne jhooth per parda daalne aaye hai? Hume aapse koi baat nahi karni hai.....
jis insaan ki wajah se humne apni dadima ko khoya hai uss insaan ki shakal tak nahi dekhna chahte hai hum....
Rayan: per saima..... ek baar
Saima: humne kaha na..., hum aapse koi baat nahi karna chahte.....
{and she turns the other way}
song in background....
Koi naa sune sisakti aaho ko......
Koi naa dhare tadapti baaho ko.....
Aadhi aadhi puri khwaishein.....
tuti phuti sab farmaishein....
Kahi shak hai kahi nafrat ki deewar hai....
Kahi jeet mein bhi shaamil pal pal haar hai...
Ya rabba de de koi jaan bhi agar....
dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar.......
Pyar hai ya sazaa..... aye mere dil bata...
Tutta kyun nahi dard ka silsila......
song in background.....
{rayan waha se chala jata hai aur saima wahi baithi roti hai.... uske liye to ab kuch khatm sa ho chuka tha... apni
zindagi ke sabse kareeb logo ko usne kho diya tha....
waha rayan bhi ab tut chuka tha... namm aakho se wo waha se chala jata hai}
.........end of part 25..........
Do comment! 😛
luv,
ruksaar
Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...
Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
63