Kuchh Rang Pyar ke Aise bhii - RaiNa ff thread 1 - Page 49

Created

Last reply

Replies

951

Views

82k

Users

52

Likes

1.4k

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: saiaarti

Very nice update... Just superb...

Naina loves Raj immensely...
The song sab ko baaratein, Naina's dance, her pain all made me feel like crying and I even cried too...
Hope after seeing Naina in dat condition Rajveer realise Naina's true love for him and he too start feeling something for her.
Superb update...
U did a very good job...
Amazing...



thanku so much dear...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: agm1998

Awesome update

Continue soo



thanks a lot dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanks alot to all... for d lovely comments... and liking my work...
here is part 14... enjoyyy
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
*** Kuchh Rang Pyar Ke Aise bhi...***
Part 14

rajveer (screamed):- Nainaaa...

almost every one ran to her... rajveer was the first... he held her by her head... and tried to wake her up...

rajveer:- koi paani laao... (naveen ritu rishabh all were on the stage... all were panicing...)...

naveen:- naina... naina uth... ( naveen made her naina to lie on his chest... and trying to wake her up... tabhi some one brings water... rajveer splashed some water on naina's face... and then naveen take her to the dressing room...)

doctor aate hai... aur naina ko check karte hai... aur batate hai... weekness aur bleeding ki wajah se behose ho gayi hai... aur injection de dete hai... aur kehte hai ki 2 ghante me theek ho jayeingi...aur tab bhi hose na aaye to unhe inform kiya jaaye...yahan function bhi khatam ho chuka tha... bcz naina's performace was the last one...

huda:- oye yeh naina ko hua kya hai... naveen bhaiya... naina ko ghar le chalte hai...(meanwhile pricipal came)...

pricipal:- i m really sorry mr aluhwalia... naina ne kaha tha ki uski tabiyat theek nahi hai... par maine use force kiya aur... par aapne dekha na... aapki beti ne jaisa perform kiya... sabki aankhon me aanshun the... bhartiya saahitya ke karun roop ko kitna achha pradarshit kiya hai... i m proud of her... again i m sorry...

ritu:- its ok mam... hum naina ko lekar jate hai... (pricipal left... all were there... naveen went to picked her up... rajveer moved to help him but naveen indicates him to stop...)...

naveen:- main apni behen ka khyaal rakh sakta hun...

pooja ( gusse se):- agar uska itna hi khyaal rakhte to uski yeh haalat nahi hoti... kya bhaii hai aap...

rajveer;- pooja.. chup...

pooja:- nahi veer... ek minute... aapko pata hai mr naveen veer mera saga bhai nahi hai... par uski khushi ke liye main apni jaan tak de sakti hun... aur aap apni sagi behen ke sath aisa kar rahe hai... kya galati hai uski... sirf yeh ki wo rajveer se pyar karti hai... us rajveer se jo aapka rival hai... ( dhamaake on huda's and ali's faces)... aapko koi fark nahi padta ki aapki behen ki khushi kisme hai... aap logon ko sirf apni jhuthi shaan pyari hai... mr naveen aap wahi hai na... jo us din bade pyar se veer se baat kar rahe the... uski taarif kar rahe the... aur aaj... aaj kya hua... mujhe nahi pata ki aapko veer se kya problem hai... but apni behen ki taraf dekhiye... dhaai din se usne kuchh nahi khaya... ( dhamaake on rajveer, aalekh's face and huda and ali's too...)... uski jaan ki bhi parwaah nahi hai na aapko... aapki jagah mere ma papa hote na... to veer ke liye ek kya hazaar dusmani bhool jaate... (rajveer se bardast nahi hua... aur wo bahar aa gaya...)...khair aapki behen hai... itna hi kahungi ki usne heere ko apne liye pasand kiya hai... par aap kabhi nahi samjheinge... are apni behen aur beti ki takleefe aapko nahi dikh rahi toh uska pyar kya dikhega... ab chaliye... naina ko ghar le chaliye... ( pooja ki baat sunne ke baad koi kuchh na bola... pooja bhi chali gayi.. inke sath yeh make sure karne ke liye ki naina sahi hai... aur naina ko hose aa jaye to use samjha kar kuchh khila sake...)...

rajveer stage pe aata hai... pura auditorium khali tha... rajveer ke kadamo ki awaaz saaf saaf sunaai de rahi thi... uski aankhien num thi... wo bas stage pe pade kanch ke tukdo... ghunghroo ki bells aur naina ke blood ko dekh raha tha... rajveer jhuk kar ek - ek ghunghroo uthata hai... aur naina ka har move uske expressions aur uske aanshun sab yaad aa rahe the rajveer ko... wo wahi apne knee ke bal baith gaya... saare ghunghroo rajveer ke hath me the... tabhi kisi ka hath rajveer ke soulder pe pada... usne apni bheegi palkon se aalekh ki taraf dekha...

aalekh:- wo tujhse bahut pyar karti hai... bahut veer... (tear flows down to his cheek...) woh pyar jiske sapne tune bhi kabhi dekhe the... aaj wahi pyar tere saamne khada hai veer... aur aapne aapko dekh... mujhe aisa kyun feel ho raha hai ki tu bhi kahin na kahin use...

rajveer:- bas kar aalekh... nafarat hai mujhe pyar se... pyar sirf dard deta hai... mere dil me naina ke liye sirf ek jajbaat hai... nafarat... sirf nafarat... aur kuchh nahi... ( rajveer wahan se chala gaya...)...

aalekh to him self:- tu bhool raha hai veer par nafarat ki buniyaad pe tika rishta sabse jyada majboot hota hai... ab chahe jo ho jaaye... main teri shadi naina se kara kar rahunga... kyuki ab mujhe yakeen hai ki yeh naina hi ab tujhe dubara pyar karna sikhayegi... yeh naina hi mujhe mera purana veer lauta sakti hai... aur aaj jo maine teri aakhon me dekha hai uske baad mujhe yakeen hai... ki ek baar naina teri zindagi me aa gayi to sab theek hoga... bhaad me gayi dusmani... bas di theek ho jaaye... aur naina teri zindagi ko pyar ke rango se bhar de main bas yahi chahta hun... aur ab main aisa karke rahunga... veer tune us din mujhse kaha tha ki kya naina meri behen lagti hai...? to aaj mera dil kehta hai... ki ab naina ki hifazat main uska bhai ban kar hi karunga... mujhe pata hai... mujhe bhi waqt lagega... par main aisa jarur karunga... tune mujhe apni kasam di hai na... to kisi se kuchh kahunga nahi par karunga... mujhe nahi pata ki naveen aur uske baap ka kya hoga... par naina ko kuchh nahi hoga... kyuki agar use kuchh hua to dard tujhe hoga... itna to main jaan gaya hun...

parking area...

aalekh aata hai to dekhta hai ki rajveer car ke pass khada hai... aur rest less ho raha tha... wo jakar uske kandhe me hanth rakhta hai...

aalekh:- chale...?

rajveer:- kahan...?

aalekh:- ghar aur kahan...?

rajveer:- nahi wo... poo...pooja ke pass chal... aluhwalia house...

aalekh:- kya par wahan kyun...?

rajveer:- pooja ko lene...

aalekh:- oh really... ya naina ko dekhne...

rajveer(angry tone):- shut up aalekh.. tu chalta hai ya main jaaun...?

aalekh:- ok - ok lets go...

rajveer and aalekh both went to aluhwalia house... but when they reached... rishabh stoped the...

rishabh:- wahi ruk jaao... tum yahan kyun aaye ho...( rishabh ki awaaz sun pooja bhi baki sab ke sath naina ke room se bahar aati hai... rajveer rishabh ke saamne jata hai...)...

rajveer:- mr aluhwaalia... wo ab naina kaisi hai...

rishabh:- kyun... tum kya karoge jaan kar...

rajveer:- woh actually...

rishabh:- dekho rv ya rajveer tum jo bhi ho.. meri beti se door raho...(aalekh intrupts them...)...

aalekh:- ek minute uncle... you know what mujhe ab tak lagta tha ki ek beti ko sabse jyada pyar uska baap karta hai... beti ka dard baap se bardast nahi hota... par yahan to naina jiye ya mare...aapko kuchh fark nahi padta...

rishabh:- shut up...

aalekh:- excuse me... yehi sach hai... dekh rahe hai aap apni beti ki haalat... sayad jo maine wahan audience me baithe sab dekha... aap me se kisi ne nahi dekha... uska dard... uske aanshun uski tadap... khair leave it,... agar aap logon ko hi uski parwaah nahi toh hum kaun hote hai... vaise dua karunga ki naina ko hose aa jaye... pooja chal yahan se... chal veer...

pooja aalekh aur rajveer ke pass chali jaati hai... kyuki aalekh ka gussa dekh kar wo kuchh aur bawaal nahi khada karna chahti thi... aur rajveer chup tha... aalekh dono ka hanth pakad kar le jata hai... car me bhi we chup the... finally 3no hi shekhawat vila pahunchte hai... ishita aur viren hall me hi the...

ishita:- are aa gaye tum sab... kaisa raha wo function...

pooja:- achha tha ma...( sabhi baith jate hai... koi kuchh nahi bolta...)...

ishita:- kya hua hai tum sabko aise muh latka ke kyun baithe ho...?pooja... aalekh... veer...

aalekh:- kuchh nahi aunty bas aise hi... di so gayi...?

ishita:- ha... aur dr shahni... we abhi kuchh der pehle hi gaye hai...

aalekh:- good... dekhna di jaldi theek ho jayeingi...

ishita:- ha... veer... wo ladki... naina... jisse tu shadi karna chahta hai... usse kab mila raha hai...? (pooja was shocked to heard this...)...

rajveer:- ha mom... wo... woh... jald hi mila dunga...

viren:- are veer... jaldi hi mila do... tumhari yeh ma itani exited hai apni hone wali bahu se milne ko ki bas... yahi baat kar rahi hai subah se... ( rajveer just smiles...)...

ishita:- achha chalo... sab dinner karo... jaa aalekh tu bhi fresh hokar aa... ( all nods and left for fresh n up..)...yeh inhe hua kya hai... chup kyun hai itane...

viren:- are thak gaye honge... chaliye... hum aapki dinner lagane me madad karte hai...

ishita(smiling):- chaliye...

rajveer's room...

pooja:- kya tu bhi naina se pyar karta hai veer...? bol...

aalekh:- pooja...woh...

pooja:- maine veer se poocha hai aalekh...

rajveer:- pooja... naina loves me... aur main use na nahi keh paya... she is frnd to...( pooja hugs him...)...

pooja:- veer tu bahut lucky hai... maine uski aankhon me dekha hai... bahut pyar karti hai wo tujhse... main tere liye bahut khush hun... but yeh rivalary and all... sab theek to hoga na...?

aalekh:- ha poo... sab theek hoga... bas naina theek ho jaaye...

pooja:- ha theek ho jayegi... waise wapas dr ko phone kiya tha kaha tha ki agar do ghante me hose nahi aata... to we fir check kareinge... dhedh ghante to already ho gaye hai... hope so use hose aa jaye... achha chalo dinner ke liye...

rajveer:- hmm tu chal hum aate hai...( pooja left aur thodi der baad rajveer aur aalekh bhi aate hai...)

aluhwalia mansion...

yahan naina ko halka - halka sa hose aa raha tha... par weakness ki wajah se uski haalat kharaab... wo behosi ki haalat me wo raj - raj kar rahi thi... naveen ne dr ko fir bulaya... dr ne fir use check kiya... thodi der baad dr bahar aate hai...

dr:- mr naveen... aap raj ko bula dijiye... i think agar wo naina ke pass rahienge to better hoga... inki haalat sahi nahi hai... she only needs his support right now...

rishabh:- yeh aap... plzz dr raj yahan nahi aa sakta.. aap meri beti koi injection...( itna kaha hi tha rishabh ne ki naveen bahar chala gaya...)

ritu:- naveen...( but he has gone...)...

shekhawat vila...

everyone having thier dinner.. pooja viren ke sath mil kar ishita ko imbarras kar rahi thi.. aur aalekh aag me ghee dal raha tha... but rajveer chup tha... tabhi koi jabardasti ander aata hai... jise dekh ke sab shocked reh jaate hai.. specialy viren aur ishita... aur apna khana chhod kar uth jaate hai...

viren:- tum... tumhari himmat kaise hui mere ghar me kadam rakhne ki... naveen aluhwalia get out... ( naveen ki aankhon me aanshun the... woh halke kadmo se rajveer ke saamne jata hai... aur hath jodkar kehta hai...)...

naveen:- meri behen ko bacha lo... wo tumse bahut pyar karti hai... nahi reh payegi wo tumhare bina...( viren and ishita were shocked...)... plzz rajveer... bas ek baar naina ke pass chalo... use hose nahi aa raha... tumhe pukar rahi hai... plzz... ( wo apna sir jhuka deta hai...)...

viren:- ye... yeh sab kya hai...?

ishita:- veer... yeh kya bol raha hai...

pooja:- veer jaldi chal...naina ko teri jarurat hai...

naveen:- plzz rajveer... plzz...

rajveer apne kadam badhata hi hai ki ishita bolti hai...

ishita:- tu kahin nahi jayega... tu is insaan ke sath jayega... bhool gaya ki isne teri behen ke sath kya kiya tha... dekh veer... tu... ( rajveer cuts her...)...

rajveer:- mom... jis ladki se main shadi karna chahta hun wo koi aur nahi naina hai... naveen ki behen...( dhamaake on ishita's and viren's face...)... plzz mom... jaane do... ( dono itane shocked the ki kisi ne kuchh nahi bola... aur rajveer chala gaya... uske peeche naveen aur aalekh bhi...)...

aluhwalia house...

naina abhi bhi behose thi... aur yeh kaha jaaye... semi consious thi... aur raj ka naam le rahi thi... ki naveen ke sath rajveer naina ke room me aata hai...ritu rajveer ko dekh kar khush hoti hai... to rishabh ko gussa aata hai... par wo kuchh nahi bolta... rajveer naina ke bagal me baith jata hai... aur uska hanth apne hath me leta hai...

rajveer:- naina... main yahi hun... plzz get up... plzz naina... naina...( baki sabhi neeche chale jaate hai... sirf ritu aur rajveer wahan hote hai... rajveer continously naina ke hath me rub kar raha tha... aur uske fore head ko touch kar raha tha... (naina better feel kar rahi thi... thodi der baad wo apni aakhien kholti hai... aur rajveer ko saamne dekh kar smile karti hai...)... ritu ji wo aap juice laa dijiye...( ritu nods aur juice lekar aati hai,... saath me kuchh fruits bhi... rajveer naina ko juice pilane jata hai.. ki naina uska hath pakad leti hai...)..

naina:- mujhe nahi pina... ( ritu sab samajh jati hai... aur gusse se neeche jaati hai...)...

rajveer:- kyun naina... aur yeh sab kya tha haa... koi aisa karta hai kya... main kitna dar gaya tha...

naina:-main... main... ( naina bol bhi nahi pa rahi thi...)... i love u raj... parrr b bhaiya a... aur pa papa...

rajveer:- naina chup... apni haalat dekho... plzz naina aisa mat karo... bade hai wo humare... humari zindagi ke faysle lene ka haq hai unhe... tum par unka haq hai naina...

naina:- raj... (tabhi they heard a voice...)...

naveen:- agar main yeh kahun ki mujhe yeh rishta manzoor hai toh...?( both naina and rajveer were shocked...)... (naina ke dusri side jakar baith jata hai... aur naina ka hath pakad kar... rajveer ke hath me deta hai...)... tu raj se shadi karna chahti hai na... mujhe koi aitraaz nahi hai... main teri shadi raj se karwaunga...

naina(smiling):- sach...

naveen:- ha bachha... tujhse jyada koi important nahi hai mere liye... mere man ki kadwaahat bhi nahi...

naina:- par papa...

naveen:- tu unki chinta mat kar... rajveer... shadi karoge meri behen se...?

rajveer:- ha... karunga... naina ab to kuchh kha lo...( naina smiles lightly... then rajveer naina ko juice pilata hai... aur aur fruits bhi khilata hai... aur medicine deta hai... naveen wahi baithe dono ko dekh raha tha... to ritu aur aalekh door par se... fir aalekh ander ata hai...)...

aalekh:- oye naina... kya dance karti ho yaar tum... awsm... ab jaldi se theek ho jaao... aur meri bhabhi ban jaao... (rajveer stares him... but he ignored...) are naveen... ab toh has do yaar... sab ke sab ek jaise... koi hasta hi nahi hai... (naveen smiles a bit)...

rajveer:- aalekh chale...?

aalekh:- ha... byee naina take care ha... main kal aaunga...

rajveer:- naina take care...(naina smiles aur sabhi neeche jate hai... rajveer rishabh ko dekhta hai... but ignore karke bahar chala jata hai...)...

aalekh:- naveen... veer jyada nahi bolta hai... par rishabh uncle ki manzoori ke bina wo naina se shadi nahi karega... aur aap logon ko viren uncle aur ishita aunty se bhi baat karni hogi...

ritu:- aalekh... aap chinta mat karo ab sab sahi hoga...

aalekh:- mujhe bhi yahi umeed hai ki jo barso pehle hua wo ab na ho... ( aalekh chala gaya... aur baaki sab use dekh rahe the,...)

huda's house...huda's room...

bani:- pagal mat ban huda... dekh wo tujhse pyar nahi karti... aur aaj tune uski haalat dekhi na...

huda:- but i love her... mujhme kya kami hai baani...

ali:- huda bhai aapme koi kami nahi hai... par yeh jo dil hota hai... wo soch samajh kar faysle nahi karta... aur aap hi sochiye... aap bhi to naina ki khushi hi chahte hai na... aur uski khushi rajveer ji me hai...

bani:- ha... samajhne ki kosis kar...( both hugs huda... he was crying...) achha ab rona band kar... hum sab kal jaate hai usse milne... theek hai... ( huda nods... and bani and ali left to their house...)...

shekhawat house...

viren ishita aur pooja... wahi hall me baithe the ki rajveer aur aalekh aate hai... ishita aur viren ki aankhien rajveer se laakhon sawaal kar rahi thi... rajveer sab samajh bhi raha tha... wo ishita ke saamne gaya aur apni knee ke bal baith gaya... aur uska hath apne hath me pakad kar bola...

rajveer:- mom i know maine apko disappoint kiya hai... main us ladki se...

ishita:- kya tu bhi usse pyar karta hai...?

rajveer:- mom...

viren:- veer... pooja ne hume bata diya hai ki aaj function me kya hua tha... ab tum batao...kya tum...

rajveer( bina nazare milaaye...):- ha dad... main naina se pyar karta hun... usi se shadi...

ishita(with tears):- hume manzoor hai...( rajveer looks at her... ishita rajveer ke sir pe hath ferti hai...)... thoda muskil hoga... par mere bete ki khushi ke aage koi cheez mayne nahi rakhti... ha jab - jab us naveen ko dekhungi to shalini ke jakhm yaad aayeinge... jab - jab uske dad ko dekhungi to viren ka jhuka hua sir nazar aayega... jab - jab...

rajveer:- nahi mom... agar aap dono ko takleef hogi to main yeh nahi karunga...

viren:- nahi beta... hum teri shadi usi se karayeinge jise tu chahega... par hum wahan nahi jayienge... unhe aana hoga...

rajveer in his mind:- i promise u dad agar us rishabh aluhwalia ko aapke kadmo me na gira diya to main bhi aapka beta nahi...

rajveer:- thankyou dad... thankyou mom...

pooja:- means... sab kuchh theek ho gaya... matalab ab veer ki shadi hogi... hureee...

aalekh:- abhi nahi poo... abhi rishta to aane de...

rajveer:- wo bhi aayega aalekh...

ishita:- ab naina kaisi hai...?

rajveer:- ji woh hose aa gaya hai... dawaai dekar aaya hun...

ishita:- hmmm... chal ja araam kar... aalekh... raat bahut ho gayi hai... tu bhi yahin ruk jaa...

aalekh:- ji aunty... chal veer...( pooja, aalekh and rajveer left...)...

ishita:- maine sahi to kiya na...?

viren:- bilkul sahi kiya... waise bhi shalu ko toh kuchh samajh me hi nahi aayega... aur in sab ke chakkar me humara ek bachha is haal me hai... veer ke sath hum kuchh bura nahi hone deinge... waise bhi itane saalon ke baad veer ne humse kuchh umeed ki thi...

ishita:- aur jaisa pooja ne bataya... woh ladki... bahut pyar karti hai veer se... mujhe aur kuchh nahi chahiye...

viren:- hmmm...( both hugs...)

rajveer's room...

rajveer apne bed pe baitha kuchh soch raha tha ki aalekh washroom me aata hai aur rajveer ke bagal me late jata hai...

aalekh:- naina ke baare me soch raha hai...?

rajveer:- hmmm...

aalekh:- pasand karne laga hai na use...?

rajveer:- hmm...(aalekh smiles...)

aalekh:-pyar karta hai use...?

rajveer:- hmmm...( now rajveer listen him properly)... what... what rubbis... kya bakwaas kar raha hai... pyar aur main kabhi nahi...

aalekh:- are abhi to tune kaha...

rajveer:- aalekh tu mera past janta hai... tujhe pata hai ki nafarat hai mujhe pyar se... pyar ke ehsaas se... is pyar ne mujhe kahin ka nahi chhoda... i hate her... i hate her...(aalekh baith gaya...)... but naina... wo mujhse pyar karti hai... kyun karti hai wo mujhse itna pyar... main to use dhokha de raha hun... main uske pyar ke layak nahi hun... main... main...( he has tears...)

aalekh:- kyun veer... kyun... ab us ladki ka tujhse koi wasta nahi hai... to kyun uske baare me sochta hai... kyun uski baaton ko yaad karta hai... kyun apne aap ko takleef deta hai... bhool ja apne ateet ko naina tera aaj banne wali hai... aur jahan tak baat hai... ki tu naina ko dhokha de raha hai... bas itna hi kahunga ki nafarat ki aag me tune ek kadam badha to lia tha... par ab tu wo kadam peeche nahi le sakta...

rajveer :- tu sahi keh raha hai... chal so ja...

aalekh:- hmm... tu theek hai na...?( rajveer nods in yes...)... gn...( aalekh so gaya... rajveer bhi late gaya... aur cieling ko dekh raha hai...)...

rajveer in his mind:- pyar... pyar to maine bhi kiya tha... ha naina tumne mujhse poocha tha na ki kya maine kabhi kisi se pyar kiya hai... ha... bahut pyar kiya hai... sabse jyada tha use... tab kitna khubsurat ehsaas tha yeh pyar mere liye...( rajveer remebers some thing...)

Rajveer Remembers...
{sydney...

aalekh:- abey oh veer... kitna time lega re... chal jaldi... warna wo sponser hume jute marega... veer... jaldi nikal... veerrr... (rajveer ander se ready hokar bahar aata hai... aalekh muh khula karke use dekh raha hai...)... abe oh... teri shaadi hai kya... itna kyun ready hua hai...

rajveer:- kyun kahin likha hai ki main sirf apni shadi me hi ready ho sakta hun...saala... (rajveer aage jaane laga...)...

aalekh:- abe ruk... kahin tu... dont tell me ki tu...

rajveer:- aalekh... tu use galat samajh raha hai... wo waisi nahi hai... bas ek mauka de mujhe... main na sab theek kar dunga... aur tu dekh raha hai na... mere pyar ne use kitna badal diya hai... i love her aalekh... plzz dekh chance de... tere dil me uske liye abhi bhi jo kadwaahat hai na... sab nikal jayegi...

aalekh:- kadwaahat nahi hai mere dil me... par veer... pehle jo kuchh bhi hua hai... u both were used to fight each other aur mujhe nahi lagta ki...

rajveer:- ek mauka bhi nahi dega...

aalekh:- theek hai... par agar usne tera dil dukhaya na to will...

rajveer:- aisa kuchh nahi hoga... i know her...

aalekh;- theek hai... agar usne ha kaha na... to main bahut khush hounga...

rajveer:- pata hai... ab chale... warna sponser...

aalekh:- are ha... tu na...

rajveer bahut achha gata aur dance karta tha... isliye wo humesha koi na koi show karta tha taki kuchh paise bhi mil jaaye aur uska shaukh bhi pura ho jaaye...

in car...

aalekh:- waise tune bataya nahi... aakhir karne kya wala hai...

rajveer( driving with widen smile..):- use prapose karne wala hun...

aalekh:- hmm... dekhte hai... ki yeh rajveer aur ragini ki kahani kaha tak jaati hai... waise di ne kya kaha...?

rajveer:- kya kaheingi... wo bahut khush hai... aur unhone hi mujhe kaha hai ki isse pehle ragini ko koi aur pasand aa jaye... main use prapose kar dun... so i m gonna do that...

aalekh:- hmmm... ( rajveer stops the car with a jerk...)... kya hua...

rajveer:- wo dekh... teri item... shiney... kisi aur se chipki hai...

aalekh:- to main kya karu... we broke up...

rajveer:- kya kab...?

aalekh:- aise reaction mat de... dekh tu hoga one woman man... main nahi... waise bhi main usse bore ho gaya tha...

rajveer:- aalekh sudhar ja...

aalekh:- oh hello... yeh aap keh rahe ho veereshwar maharaj... jise pehle har ek ladki se pyar ho jata tha...

rajveer:- ha to pehle na... ab nahi na... ab to sirf main aur meri ragini...

aalekh:- ha to mujhe bhi koi ragini jaisi mil jaye to... main bhi... tab tak ke liye... u know na... ( both laghs...)...

in concert...

rajveer:- abe abhi ragini nahi aayi hai... tune use dekha...

aalekh:- nahi aati hogi... tu ready hai... yeh le guitaar...

rajveer:- ha but... ( tabhi rajveer heard a voice which he loved the most...)...

ragini:- raj...(raj turns and find ragini in the door in black soulderless top... and black jeans... looking very stunning...)

rajveer:- what is this ragini... itna late...?


ragini (played by Tejaswi prakash.. ragini of swaragini)( very cutely):- sorry... ( she went to rajveer and hugs him...) all d very best... i m sure tum bahut achha perform karoge... as usual...

rajveer:- thankyou...

aalekh:- hmm... hmm... veer chale... see u later ragini...

ragini:- ya...(she turns to go...)...

rajveer:- ragini... I Love U... ( ragini stops... aalekh went outside...)...

ragini wahi khadi thi... rajveer uske peeche gaya... aur use soulder se pakad kar use turn kiya...

rajveer:- i know ragini... its... its... its awkward... but agar aaj na keh pata to kabhi na keh pata... wo... wo... ( ragini ne ek smile ke sath apni palken jhuka li...) dekho kuchh to bol do plzz... we are good frnds ragini and... ( ragini hugs him... very tightly... rajveer samajh gaya... uske chehre pe duniyaan ki saari khushi jhalak rahi thi...)...

ragini:- I Love U too raj...(rajveer ne use apne aap se door kiya... and then they have their first kiss...)

aalekh ( from out side):- veerrr... apna romance baad me continue karna... jaldi kar... ( rajveer and ragini brokeoff and rajveer looks at the door... with irritating look...)...

rajveer:- mere pyar ka sabse bada dusman hai...

ragini:- ha wo to hai...

rajveer:- kya...?

ragini:- achha... abhi chalo... aur ha... aaj kuchh mere liye gana...

rajveer ( ragini ko uski waste se pull karke):- aaj tak jo bhi gaaya hai... wo bhi tumhare liye... aage jo bhi gaunga... sirf apne pyar liye... ( ragini smiles...)... chale...?

ragini:- chalo...}

rajveer closes his eyes with pain... and tears flows down to his cheeks...

End of Part 14
press like if u really liked it
do comment
love Chandni
************************************************
************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Wonderful part dii!!
Yeh ragini ka character positive hai ya negative??
eufara_naghm thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Amazing chapter dear...
Loved it...
Continue soon...
Thanks for the pm...
coolhi1988 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
awesome update
continue soon..
thnks 4 d pm..
0913155 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Wooo amazing update superb thanks for PM plz con soon😛😃😃
1069050 thumbnail
Posted: 9 years ago
wonderful part...loved it👏

raj chahe kitna hi mna kre is bat se ki wo naina se pyaar ni krta bt aalekh sb smajhta h😉 aalekh baba ki jai ho😆

ragini hmmm...she's a beautiful girl bt agr usne raj ko dhokha diya h to i hate her😉

chalo ji sb changa ho gya ab to sb shadi k liye b maan gye...waiting for baarat😛

continue soon😊

love
anju


ManVeer8495 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 9 years ago
superb update as always
ye ragini ka kya chakkar hai i mean kya ye negative character hai?
your story is getting intresting day by day
thanks for pm eagerly waiting for next update

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42

8 years ago

Rivanya and Raina ff - Love me like you do

Ritik Mehra : Business Tycoon and Elder brother of Raghav Shivanya Kapoor : Doctor and Elder Sister of Naina and love interest of Ritik

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42

8 years ago

Rivanya,Ishveer,Raina,Ragsan and Vikresha ff - My love is only for u

Let's me introduced the Characters Ritik Raheja (Arjun Bijlani) : A very rich business tycoon and elder brother of Ranveer and Ragini Ranveer

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: LizzieBennet

6 months ago

Love-O-Rama's Pyar ka Trope-fest RESULTS!

Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: FFEditors

7 months ago

Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest : Closed

You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Koeli

5 years ago

Comment Migration Request Thread #1

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".