Kuchh Rang Pyar ke Aise bhii - RaiNa ff thread 1 - Page 15

Created

Last reply

Replies

951

Views

82k

Users

52

Likes

1.4k

Frequent Posters

gargy4u thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 9 years ago
Awsm dear;) frst meet to gyi aur gadi bhi thk ho gyi bas I hope abhi pyaar ki gadi chal bhi pare;)
yoginisahakari thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 9 years ago
Hi Chandni

Nice story lot of suspense hidden though

Cont soon

Love and prayer
Yogini
0913155 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Aweome amazing update plz con soon thanks for pm😃😳
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: 0913155

Aweome amazing update plz con soon thanks for pm😃😳


Thanks
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanks every one for liking part 3...
here is part 4 keep reading keep commenting...😉
keep smiling always...


love

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago



***Kuchh Rang Pyar Ke Aise bhi...***

Part 4

Naina:- (laudly) oh hello black shirt... (but rajveer didnt heard, naina to her self)kaisa insaan hai... main use thanks bhi nahi bol paayi...(naina apna chhata ander rakhti hai aur car me baith kar car start karti hai... aur wapas rajveer ki ore dekhti hai... par rajveer kahin gayab ho gaya use nazar hi nahi aaya...) oh no!! yeh kahan gayab ho gaya...( looking at sky)... kya bhagwaan ji pehli baar koi dhang ka ladka dekha wo bhi aisa... koi nahi naina lets go... ( naina car start karke apne ghar chali jati hai...)

yahan rajveer bhi apne hi khayaalo me khoya sa ghar pahunchta hai... to dekhta hai ki ishita aur pooja dono hi living room me uska wait kar rahi hai... ishita kafi gusse me thi...

ishita:- what is this veer ha... kya hai yeh... yeh koi tareeka hota hai... tum bahut jyada care less ho... time dekha hai.. aur kya poora bheeg gaye ho...

rajveer:- mom... common... i m not a kid... aur koi itani raat bhi nahi hui hai...

ishita:- oh yaa right... u r no more a kid... bahut bade ho gaye ho na tum... good... ab tumhe meri jarurat kaha hai... pooja ise agar mann ho to dinner de dena... ( ishita apne room me chali jati hai... aur pooja rajveer ke pass aati hai aur uske sir pe halke se marti hai...)...

pooja:- veer... dekh ma ko naraaz kar diya na tune... waqt dekha hai... wo tere liye concerned thi aur tu hai ki...

rajveer:- sorry pooja... wo bas... chal achha mera dinner laga main abhi mom ko mana kar aata hun...

pooja:- yeh acchha hai... pehle gussa dilaao fir manao... waise she is hurt... nahi manengi...

rajveer:- wo meri mom hai... mujhse naraz nahi reh sakti hai... main unhe manana janta hun... abhi aaya tu ja na... ( rajveer left to ishita's room)...

ishita's room...

viren:- ho gaya na ishita... ab gussaa chhodo na...

ishita:- nahi... ab humara beta itna bada ho gaya hai ki humein uski care karne ki bhi jarurat nahi hai... wo apna khayal khud rakh sakta hai...

rajveer:- aur yeh aapse kisne kaha mom...( ishita looks at rajveer then turns her face... rajveer makes a puppy face to his father... but viren is like... its ur call son... rajveer gose to ishita and kneel down in front of her and takes her hands on his...) mom... bachhe chahe jitne bade ho jaaye... ma baap ke liye humesha bachhe hi rehte hai... ha but yeh baat bachhe kabhi - kabhi bhool jate hai... ab kya kare bachhe hote hi ullu hai... aur main to is duniyaan ka sabse bada ullu hun... hai na mom... mom i m sorry... i didnt want to hurt u but... mom main aapka wahi veer hu... jo bachpan me aapke bina reh nahi pata tha... har jagah sirf aapko dhundhta tha... ( ishita smiles )...

ishita:- ha... tu har waqt mere peeche - peeche... meri saree ya mere dupptte ko pakad kar chalta tha... jab main shalu ko marne ke liye daudti thi... tu tab bhi mere peeche - peeche mera aanchal pakad kar daudta tha... aur shalu tujhe mumma ka chamcha bolti thi...

viren:- bilkul aur shahab jaade... aapne apne initial school days me meri biwi ko kitna tang kiya hai... bechari meri biwi aapke karan pura din aapki class ke bahar khadi rehti thi... taki aap class me baith paao... aur agar yeh hil jaye wahan se... aur aapko na dikhe to aapka rona suru...( all smiles...)...

ishita:- ha par tab sirf 3 saal ka tha yeh...

viren:- ha par aapka aanchal chhoda to shalu ka aanchal pakad lia... uske sath uski class me baithne ki zidd...

rajveer:- dad ab kya karun... i m so lucky na... mere pass ek nahi balki do - do mom jo thi... ek mom aur ek di...

ishita:- ha pehle shalu tujhse gussa hoti... par fir tere bina usko bhi chain nahi padta tha...

rajveer ( in serious tone):- par ab unhe mere hone ya na hone se koi fark nahi padta...

ishita ( also in serious tone):- waqt de use doctor ne kaha hai... ki wo bahut jald theek ho jayegi...

rajveer:- ha mujhe pata hai... aur unhe theek hona hoga... yahan meri behen mar - mar kar ji rahi hai... aur wahan uski wajah apni zindagi chain aur sukun se bita rahe hai... mera aap dono se wada hai mom... ki jab tak main apni di ke gunehgaaro ko saza nahi de - deta... main chain se nahi jiunga...

ishita;- nahi beta... hume kisi se kuchh badla nahi lena... jo hona tha ho gaya... bas ab wo theek ho jaaye... aur tum sab apni zindagi me khush raho main bas yahin chahti hu... veer meri ek bachhi aise jee rahi hai... main nahi chahti ki tujhe kuchh ho... agar tujhe kuchh hua to main mar jaungi...( rajveer puts his hand on her mouth)...

rajveer:- mom... kuchh nahi hoga mujhe... u dont worry... plzz dont say like that...

ishita:- theek hai... veer sun... humari ek baat manega...

rajveer:- ha mom boliye...

ishita:- tu shadi kar le...

rajveer:- what... shadi aur main... no way...

ishita:- par kyun...?

viren:- dekho veer... tumhari umra bahut sahi umra hai... kisi naye rishtey me badhne ke liye... jo teri umra hai na yeh wo umra hai... jab kisi ko apna bana lena... aur kisi ka ho jana bahut asaan hota hai... teri umra me ishita meri life me aa chuki thi... samajh raha hai na main kya kehna chahta hun... aur agar tumhe koi ladki pasand ho to humein bata do hum...

rajveer(thinking some thing ):- nahi dad aisi koi baat nahi hai... but i am not ready...

ishita:- are to hum yeh thodi na keh rahe hai ki abhi shadi kar... abhi hum achhi ladkiyaan dekhte hai... tu unse mil... pasand kar fir bata dena...

rajveer( rajveer apne mom dad ki ankhon me dekhta hai fir):- ok mom... aap dono jo kahoge, main shadi karunga... ab mujhe bahut bhookh lagi hai main jaau...( neeche se pooja ki awaaz aai...)...

pooja:- veer dinner karle...

ishita:- ja... par pehle change karle warna tujhe shardi lag jayegi...

rajveer:- ok mom good night... good night dad...

viren & ishita:- good night beta...

at dining table...

rajveer ke dimaag me viren ki hi baatein chal rahi hai... wo stairs se neeche aa raha hai... uska dhyaan stairs pe nahi hai... pooja yeh notice karti hai... rajveer ka pair twist karta hai aur wo girne hi wala hota hai ki pooja jaldi se aakar rajveer ki elbow se use hold kar leti hai...

pooja:- kya hua tujhe... kaha khoya hai... abhi gir jata...

rajveer:- nahi kahin nahin... thanks... main bas change karke aaya... ( rajveer wapas stairs se upar apne kamre me chala jata hai...)...

pooja to her self:- are ise kya hua... jab upar hi jana tha to neeche aaya hi kyun...? yeh ladka ek din mujhe pagal kar dega...

cut to aluhwalia mansion...

naina apne kapde change karke dining table pe aati hai... aur sabke sath dinner ke baith jati hai...

rishabh:- so naina... how was your day..?

naina:- great papa... as always... un bachho ke sath bahut maza aaya...

naveen;- ha kuchh din ruk jaa fir apne bachho ke sath roz khelna...

naina:- what...? kya bakwaas kar rahe ho bhaiya...

naveen:- kyun tujhe shadi nahi karni... achha hai... ek tension khatam...

naina;- are maine aisa kab kaha... ( all laughs...)..

rishabh:- dekh naina.. agar aaj mamta hoti to wo tujhse yeh sab batein karti.. par ab wo nahi hai... par main chahta hu ki mamta ne jitne bhi khwaab teri shadi ke liye dekhe hai... sab pure ho... beta hum ab chahte hai ki tu shadi karle... agar teri nazar me koi hai... to humein bata... hum usi se...

naina:- nahin papa... aisa kuchh nahi hai par...

rishabh:- par kya...?

naina:- papa yeh sach hai ki abhi meri life me koi nahi hai... par mujhe arrange marriage nahi karni... ( all smiles... but naina is making puppy faces..)...

naveen:- are to hum tere liye ladka dhundhte hai... jo tere kaabil ho...sirf engagement kareinge fir tum dono ek dusre ke sath waqt bitaao... i m sure fir tujhe usse pyar ho jayega... to teri ichha bhi puri... ab mere aur ritu ke sath bhi to aisa hi hua na...

naina:- par...

rishabh;- naveen bilkul sahi keh raha hai... ya to jald se jald khud ladka bata de... ya fir jise hum chune usse tujhe shadi karni hogi...

naveen:- aur nahin to kya... ab madam ko zindagi bhar koi ladka pasand na aaya... to hum wait thode na karte raheinge...

rishabh:- correct... so naina beta... think about it ok... ( naina nods in yes...)... ok mera ho gaya... good night all...

all:- good night papa... ( rishabh left to his room...)...

naveen;- ok mera bhi done... good night naina...

naina:- hmm... good night...( naveen also left... ritu placed her hand on naina's)...

ritu:- naina tension kyun le rahi hai... abhi we sirf soch rahe hai... kal ke kal teri shadi thode na karwa rahe hai... aur waise bhi ek dhang ka jeevan shathi dhundhne me kabhi - kabhi saalon lag jate hai... kya pata... tab tak tujhe tera prince charming mil jaye... hai na... ( naina smiles widen)... so tu apne kam me lagi reh,... naveen aur papa ko jo karna hai karne de...

naina:- ha bhabhi... you are right... achha good night bhabhi...

ritu:- good night...( naina left to her room & ritu got busy in her stuff)...

cut to shekhawat vila...

dining table...

pooja:- what...?

rajveer:- hmm... ab main kya karun...?

pooja:- shadi.. aur kya... ( rajveer stares her)... ok... baba... but ma papa ka kehna bhi sahi hai na... dekh veer... ab unki jo bhi aash hai... wo sab tujhse hi judi hai... aur kabhi na kabhi to tu shadi karega hi... hai na... aur jahan tak love marriage ka sawaal hai... to its not ur cup of tea...( rajveer looks at her very seriously... like some thing is broken in his heart) tere bas ka bhi nahi hai... aur tujhe pasand bhi nahi hai... let it be na... ma papa ko unki pasand ki bahu dhundhne de... aur kaun sa achhi ladki turant mil jani hai... saalon lag jate hai... shadi ke liye achha ladka ya ladki dhundhne me... mana ki RV ke liye ladkiya pagal hai... par hum sab ko wo ladki tere liye nahi chahiye... jo RV ke liye pagal hai... chahe wo uski daulat ke liye ho... ya uske looks ke liye... hume to tere liye wo ladki chahiye... jo is veer se pyar kare... wo veer jo RV ke naqaab ke peeche chhipa hai... jise sirf humne dekha hai... humara veer... pyar sharto pe nahi kiya jata... even pyar to kiya hi nahi jata... pyar to bas ho jata hai... bina kisi aash ke... bina kisi shart ke... bina kisi shaude ke... hai na... ( rajveer nods in yes...)... yeh hui na baat... waise bhi kehte hai na... (singing tone ) ghe ghe ghe ghe... ghe re shahibaa... pyar me shauda nahi...

rajveer:- tu bhi pagal hai...

pooja:- aaj pata chala...?( both smiles... but dono ko hi nahi pata ki ishita inhe upar se dekh rahi hai... jiske honthon me muskaan hai aur aakhon me nami...)

ishita in her mind :- hey bhagwaan... mere yeh bachhe ek dusre ki taaqat hai... inhe humesha khush rakhna,... ( she left to her room)

cut to alhuwalia mansion...

naina's room...
naina apne bed par leti hai... aur ceiling ko dekh rahi hai... apne hi khayaalo me khoyi hui si hai... use aaj subah se lekar ab tak ki saari baatien yaad si aa rahi hai... ki kaise aaj din bhar bas uski, uske pyar aur shadi... inhi sab ki baatien hi chal rahi thi... kyun aaj pura din inhi sab me beet gaya... naina ne apni aakhien band ki, aur use rajveer ka chehra dikha... rajveer aur naina baarish me... naina ki car ke pass... naina ne apni aakhien kholi...

naina in her mind:- kaun tha wo... par bahut azeeb tha... help ki aur ruka bhi nahi... aisa kyun lag raha hai ki maine use kahin dekha hai... par kaha... yaad kyun nahi aa raha... uski aankhien... kuchh to tha... pata nahi kya tha... par... woh... ( tabhi her phone rang... she picked it up and loudly)... ha bol...

bani:- kya bol... tu bata... mere jane ke baad achhe se ghar pahunch gayi na... naveen bhaiya ki gudiya...

naina:- stop it baani... main ab bachhi nahi hun... tu dekhna ek din business world me naina sigh aluhwalia ka bahut bada naam hoga...

bani:- ok meri ma... par tu theek to hai na... teri awaaz...

naina:- are kuchh nahi... barish me bheeg gayi thi to...

bani:- kya... par kaise bheeg gayi...

naina:- are woh hua yeh ki...( then she told her every thing how she met rajveer...)...

bani:- oh... par kitna sadu raha hoga na wo black shirt wala aadmi... jo ruka tak nahi...

naina:- nahi - nahi... aisa mat bol... first of all... he was not aadmi ok... wo 25 ya 26 saal se jyada ka nahi tha... aur usne to kuchh kaha hi nahi... how can u say him sadu ha...??

bani;- oye tujhe kya hua... main ek stranger ko kuchh keh rahi hu... tere hero ko nahi...

naina:- are par...

bani:- wait - wait... uski umra tak tune 5 minute me notice kar li... kya baat hai... wo tujhe atitude dikha kar chala gaya aur tu hai ki... aye chhori kahin pasand to nahi aa gaya thaare ko wo chhora...

naina:- stop it bani... nothing like that... but ha... uski ek cheez mujhe achhi lagi... ki sunsaan jagah par... ek akeli ladki khadi thi... usne help ki meri... par sath - sath dusre ladko ki tarah mere sath flirting nahi ki... na hi koi batameezi ki... aaj kal ke ladke jahan sirf aisa ek mauka dundhte hai ki, kisi bhi ladki ka fayda utha sake... wahi.. he didn't say a word to me, and helped me out...

bani:- point to hai... isse ek baat to saabit ho gayi... ki ladka cheap nahi hai... aur shareef ghar ka hai... waise handsome bhi tha kya...?( naina thinks about rajveer) naina.. tu sun rahi hai na...?

naina:- ha - ha... sun rahi hu...

bani:- are bata na... handsome bhi tha kya...?

naina:- ha very handsome...

bani:- are waah kya baat hai... oye naina... tu intrested hai kya usme...?

naina:- kya... nahi nahi... aisa kuchh nahi...

bani:- to theek hai... kash wo mujhe mil jaaye... waise bhi aajkal shareef handsome ladko ki bhayankar shortage hai market me...

naina:- bani... tu bhi na... chal ab rakh... i m sleepy...

bani;- ha- ha... ab to tu sleepy hogi hi... waise so jana... apne us shareef handsome black shirt ke bare me mat sochna...

naina:- good night...

bani:- good night...( both hangs down)...

naina phone bed pe hi fek deti hai... bani ki baaton me khoyi hui si hai... wahi rajveer ke baare me bhi soch rahi hai...

naina:- hey bhagwaan main yeh sab kyun soch rahi hu... yeh baani bhi na... khud to pagal hai... mujhe bhi pagal kar hi degi... kuchh bhi bolti hai... kaun sa main us black shirt wale se phir se milne wali hun... naina tu bhi soja... kal office jana hai... ( she slept.. with a cute smile on her face...)...


End of Part 4
press like if u really liked it
do comment
love Chandni
************************************************
************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
coolhi1988 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
awesome update..
continue soon..
thnks 4 d pm...
eufara_naghm thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Nice
Continue soon...
Thanks for the pm...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: coolhi1988

awesome update..
continue soon..
thnks 4 d pm...



thanks dear
N u r welcm


rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: siramani

Nice

Continue soon...
Thanks for the pm...



thanks sahira
& u r mst wlcm

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42

8 years ago

Rivanya and Raina ff - Love me like you do

Ritik Mehra : Business Tycoon and Elder brother of Raghav Shivanya Kapoor : Doctor and Elder Sister of Naina and love interest of Ritik

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42

8 years ago

Rivanya,Ishveer,Raina,Ragsan and Vikresha ff - My love is only for u

Let's me introduced the Characters Ritik Raheja (Arjun Bijlani) : A very rich business tycoon and elder brother of Ranveer and Ragini Ranveer

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: LizzieBennet

5 months ago

Love-O-Rama's Pyar ka Trope-fest RESULTS!

Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: FFEditors

7 months ago

Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest : Closed

You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Koeli

5 years ago

Comment Migration Request Thread #1

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".