Originally posted by: le_me_star
great update!!!!!!!!!!!!! π π π
thanks a lot dear! π
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 17th Oct 2025
GREENE FLAG β³
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 17, 2025 EDT
What will Yuvraj do?
This is concerning.
KUJILI STARTED 18.10
i support farhana
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 18, 2025 EDT
Kyunki Detailed Written episode Oct 16. Pics attached (Hindi captions)
Mental health club - Only Positivity allowed 🌟
Debate between Kareena-Ranbir fans about who's better?
Alia and Ranbir to move to their new house - Krishna Raj
Anupamaa 17 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Story- Tortoise to Rabbit😜
Alia channeling Gangubai in this scene from RRKPK!!!
Acha wala gunda
Deja vu ? Do you get Deja vu ?
Mera Armaan toh Green Flag Hai😌β
Wanna see post leap trp ?????? Geetu vs Abhimaan romance who won??
Buddhiya Ka Naya Roop
Originally posted by: le_me_star
great update!!!!!!!!!!!!! π π π
thanks a lot dear! π
Originally posted by: togepe30
π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π π awesome part farhu dear......it was really nice..........continue soon....
luv,
vandu π
comments n claps ke liye bahot shukriya vandu π π, will update soon...
Thanks for your comments frnds. It helps me improving by each part.
Will try to post the next part very soon.
Luv,
farheen π
Originally posted by: **-**Guriya**-*
lovely part... π
Thank you so much.. π
Part-13
Recap-
Dev aur Aarti ki shaadi ho jaati hai.., Rhea kunal ke behalf pe Rahul se milit hai aur ab wo dono saath kaam kar rahe hote haiβ¦.
Ab aageβ¦.
It's a new day, Rhea apne kamre mein baithi kahi khoyi hui rehti hai, use aisa khamosh se dekh Hiten waha aata hai..
Hiten: Rheaβ¦.
{Rhea is still lost in her thoughts}
Hiten: Rheaaaβ¦. {shakes her}
Rhea: ha, kya hua?
Hiten: tumhe kya hua hai? Kaha khoyi hui ho?
Rhea: kuch bhi nahi bhaiya, bas u hi
Hiten: to ab mujhe bhi nahi bataogi ha?
Rhea: oh ho, kaha na aisi koi baat nahi, main to bas u hi Rahul ke bare mein soch rahi thi
Hiten: Rahul ke bare mein? Kya hua use?
Rhea: pata nahi kyun per use samajhna bahot mushkil hai, wo har kaam puri mehnat se karta to hai per usse khush nahi hota hai, jaise ki koi use wo kaam karne ke liye force kar raha ho..
Hiten: main kuch samjha nahi
Rhea: kal bas uhi Rahul mujhse baat kar raha tha, wo kaafi stressed ho chuka tha, to maine kaha ki chalo kuch der ke liye kahi bahar ho aate hai, kahi drive pe ya kahi bhi to usne mana kar diya yeh kehkar ki Rahul Raichand ko in sabki ijazat nahi hai, phir kehne laga ki wo Rahul nahi balki ek normal insaan ki tarha jeena chahta hai. Pata nahi kyun per mujhe lagta hai ki kuch to hai jiski wajah se wo itna upset sa rehta hai
Hiten: well, ab aisa to hota hai, Dev ke naa rehne se usi per kaam ka sara pressure aa gaya hoga, aur use iski adaat nahi hui na bas isiliye use aisa lag raha hoga. But I'm sure dheere dheere use insab ki adapt ho jayegi.
Rhea: I hope so
Hiten: acha ab yeh sab chodo aur kaho ki office chalna hai ya nahi?
Rhea: ha chalna to hai, bas yeh file dekhte dekhte Rahul ka khyaal aaya, aur yeh Kunal bhi to ab tak nahi aa raha hai na.
Hiten: are kal meri usse baat hui thi, keh raha tha ki isi hafte aa raha hai
Rhea: sach, acha hoga agar wo aa jaye
Hiten: ha, acha tum saath chal rahi ho ya main chalu?
Rhea: bas 2 minutes bhaiya, bas yeh sab files rakh lu, phir saath hi chalte hai..
{kuch der baad Rhea aur Hiten office chale jaate hai}
Raichand Empireβ¦β¦.
Rahul's cabinβ¦
{Rahul kuch files ke saath busy hai, aur kisi se phone per bhi baat kar raha hota hai tabhi Rhea uske cabin mein aati hai}
Rahul: acha phir aapka intezar karunga, aaj hum hotel ke zameen finalise karne wale hai⦠ok , ok bye.. {hangs down}
Rhea: acha Rahul yeh details check kar liye na
Rahul: ha baba, acha suno Kunal ka phone tha, wo parso aa raha hai
Rhea: lo, ab tumhe bhi pata hai, bas ek main hi hu jise uske bare mein kuch nahi pata
Rahul: {smiles} jab aaye to khud hi puch lenaβ¦
Rhea: aane to do useβ¦
Rahul: to chale?
Rhea: ha chaloβ¦
{Rahul aur Rhea Delhi se thodi duri per plots dekhne jaate hai, kuch do teen plots dekhne ke baad unhe akhri wala pasand aata hai, aur wo use finalise karte hai,per in sab mein shaam ho jaati hai, aur wo ghar lautte hai}
Rhea: Rahul mujhe office hi chod dena, tum ghar chale jana
Rahul: koi baat nahi hai, main tumhe ghar chod dunga,
{tabhi Rhea ka cell bajta hai and it's Kunal}
Rhea: hello..
Kunal: kaha ho tumlog?
Rhea: hum to ghar hi aa rahe hai per tum, I mean kaha se bol rahe ho?
Kunal: kaha se matlab? Mera ghar hai yaha, jaha meri Dadi, mere Yash uncle, mera dost hiten aur ek bahot hi pagli si ladki Rhea rehti hai
Rhea: {shouts aloud} what???
{Rahul bas Rhea ki taraf dekhta hai, wondering what's wrong with her}
Rhea: tum yaha India mein ho?
Kunal: ha bas abhi kuch hi der hui
Rhea: acha hum bas abhi ghar pohoch rahe hai
Kunal: main intezar kar raha hu
Rhea: ok ok⦠{hangs down}
Rahul: kunal?
Rhea: ha, u know what? Wo India aa chuka hai
Rahul: acha hi hai, ab aur bhi jaldi kaam shuru hoga
Rhea: {smiles} ha
{rahul bas Rhea ki taraf dekhta hai, aur Rhea ke chehre per khushi saaf saaf dikhti hai. Kuch der baad wo dono Saran house pochte hai, aur Rahul Rhea ko bahar se hi chodkar chala jata hai, Rhea daudi daudi ander aati hai, aur Kunal ko pukarne lagti hai}
Rhea: Kunalβ¦. Kunal.., kaha ho tum?
Yash: zara aaram se beta
Rhea: papa, kunal kaha hai?
Kunal: yehi to hu
Rhea: sab ko pata hota hai ki tum kab aa rahe ho, ek main hu jise tumhare bare mein kuch nahi pata, aur mujhe apna best friend kehte ho huh!
Kunal: I'm sorry.., dekho ab naraz mat hona, waha ka kaam itna nahi tha, to socha ki 2 din jaldi hi yaha aa jau, aur waise bhi iss baar mujhe ek bahot bada kaam pura karna hai
Rhea: kaisa kaam? Koi nayi deal final karni hai kya?
Kunal: well, kuch aisa hi samjhoβ¦
Rhea: uff ho, tum aur tumhari baatein..tum ruko main bas abhi aati hu..
{Rhea goes to her room}
Kunal: {mummers} ab tumse kaise kahu Rhea ki yeh deal office ki nahi balki mere dil ki hai..
Hiten: oh to yeh kaam hai ha?
Kunal: ah, nahi to , wo main bas⦠I mean..
Hiten: itna ghabra kyun rahe ho?
Kunal: nahi to..
Hiten: ha dikh raha hai, sach kahu to mujhe pehle shak tha ab yakeen ho gaya hai
Kunal: {giving a surprised look} kya?
Hiten: tumhe kya laga mujhe kuch pata nahi hai?
Kunal: mm.., well ab , main kya kahu
Hiten: deal achi hai, final kar hi do.
{saying this Hiten goes away, while kunal stands there smiling}
Nandini: khana tayyar hai
Yash: yeh Rhea kaha reh gayi?
Rhea: yehi to hai papa
Yash: {smiles} aao beta khana tayyar hai
{all of them have dinner and then go their rooms.
Rhea ko neend nahi aati to wo ek novel lekar baithti hai, per tabhi hi kunal waha aata hai}
Kunal: kya baat hai neend nahi aa rahi?
Rhea: nahi, tum bhi nahi soye
Kunal: ha bas neend nahi aa rahi thi, tumhare room ki light on dekhi to socha tumse kuch baate karlu
Rhea: acha kiya, waise bhi aaj kal hum bas kaam ki baatein karte hai
Kunal: ha, acha yeh batao aage kya socha hai?
Rhea: kya matlab?
Kunal: mere matlab hai ki shaadi ke bare mein socha hai ya nahi?
Rhea: kya baat hai, aaj achanak u shaadi ki baat? Kunallll..
Kunal: are bas u hi puch raha tha
Rhea: well, maine to ab tak iss bare mein kuch nahi socha hai. Yeh faisla maine Dadi, Papa aur bhaiya pe chod diya hai
Kunal: so u mean arrange marriage?
Rhea: mmm, yeah! And what about you?
Kunal: maine kuch kuch socha hai, may be I'll go for an arranged love marriage
Rhea: what? U mean tumhe koi ladki pasand hai?
Kunal: mera matlab wo nahi tha, I mean shaadi arranged ho ya love kya farak padta hai, mera manna bas yehi hai ki dosti mein pyar ho na ho mager pyar mein dosti honi chahiye.
Rhea: ha, aisa ho to phir ek dusre ko samajhna asaan hota hai
Kunal: ha aur shaadi ke liye aapsi samajh aur pyar ke alawa aur kya chahiye
Rhea: haa.., hmm aapne to bahot kuch soch rakha hai.
Kunal: {smiles} socha nahi hai, bas yeh mera manna hai, baaki hona to wahi hai jo uperwale ne likha hai
Rhea: hmmm, are ha Kunal main to batana hi bhool gayi , maine aur Rahul ne hotel keliye plot finalise kar liya hai, infact kal bas papers sign karne hai aur phir construction work start ho jayega
Kunal: that's good. Mujhe pura yakeen tha ki tumhare hote hue mujhe yaha ki fikr karne ki zaroorat nahi hai
Rhea: ha, acha yeh batao ki uncle aunty kaise hai?
Kunal: dono bhi thik hai, imfact mom to hamesha tumhe yaad karte hai. Mujhse kehte hai ki kuch dino ke liye Rhea ko apne saath le aao
Rhea: {smiles} main bhi unhe miss karti hu, ek baar yaha ka kaam start ho jaye phir main kuch dino ke liye tumhare saath chalungi
Kunal; {to himself} main to hamesha ke liye tumhe le jaane aaya hu Rhea
Rhea: ayeβ¦, kaha kho gaye?
Kunal: nahi to, acha raat bahot ho gayi hai , ab so jao
Rhea: ha, phir kal office jaldi jana hai
Kunal: ok, goodnite
Rhea: goodniteβ¦
Next Day, morning
Rhea aur Kunal Raichand office jate hai
Kunal: you know mujhe Rahul ka attitude bahot acha lagta hai
Rhea: ha {smiles}
{wo Rahul ke cabin mien jaate hai}
Rhea: hi Rahul, aaj jaldi?
Rahul: ha, bas, are kunal, kaise ho
Kunal: thik hu, tum kaise ho
Rahul: bas thik hu, waise acha hua tum yehi ho, yeh dekho plot ke papers aa gaye hai, ek baar tum dono check karke sign kar dena
Kunal: tumne check kar diye hai?
Rahul: ha, mere hisaab se to sab thik hai, tum bhi dekhlo
{Kunal bina padhe hi un papers pe sign kar deta hai}
Rahul: per kunal ek bare padh to lete na
Kunal: mujhe tum dono per pura bharosa hai. Aur agar main yaha nahi hota to tum dono hi ise sign kar dete na? to bas aise hi samajh lo
Rhea: ise rehne do Rahul, he's impossible
Rahul: {smiles} acha to ek kaam karte hai, tum bhi yehi ho to chalo wo plot dekh aate hai.
Rhea: ha Kunal, Rahul thik keh raha hai, phir pata nahi tumhara kab aana hoga
Kunal: thik hai, chalte hai
Rahul: bas zara do minute rukna main yeh file papa ko dekar aata hu
{aur Rahul chala jata hai}
Kunal: Rahul bahot acha insaan hai
Rhea: ha, per kabhi kabhi use samajhna bahot mushkil ho jata hai
Kunal: kya matlab?
{tabhi Rahul aa jata hai}
Rahul: chale?
Kunal: ya chalo
{teeno bhi nikalte hai. Rahul drive karta hai}
Kunal: you know kabhi mujhe lagta hai ki acha hi hota agar hum yehi India mien hi hote. Waha Australia mein to sab kuch hokar bhi ek akelapan sa lagta hai
Rahul: ha aakhir apna desh apna desh hota hai
Kunal: bilkul sach kaha tumne. Waise ek baat to batao ki tum Australia kab aa rahe ho?
Rahul: ab yaha se fursat mile to aa jayenge
Kunal: aisa nahi chalega, ab to hum dost bhi hai, to kya tum apne dost se milne bhi nahi aaoge?
Rahul; {smiles} are main to bas mazaak kar raha tha, main zaroor aunga
Kunal: acha to tum aur Rhea saath hi aa jana.
Rahul: thik hai, per filhaal yaha ka to kaam dekhle?
Rhea: tum dono ko kaam ke alawa kuch aur nahi sujhta kya? Jab dekho kaam ki hi baatein lekar baith jaate ho
Kunal: acha to tum hi batao ki kya baat kare? Waise Rhea aaj tum itni khamosh kaise baithi ho? I'm surprised
Rhea: ha, maine socha jab do dost baat kar rahe ho tu kyun unhe disturb karna
{isper Rahul aur Kunal has padte hai}
Rahul: lijiye pohoch gaye. Are yeh Mr. Ahuja yaha kya kar rahe hai?
Rhea: kya hua? Tum jaante ho inhe?
Rahul: bahot achi tarha se, apne competitors ko bhi koi bhool sakta hai bhala. Per yeh yaha kar kya rahe hai
{rahul jaise hi car se utarta hai, Mr.Ahuja use dekhte hai, aur uske paas aate hai}
Mr.Ahuja: hello Mr. Raichand, main aap hi ka intezar kar raha tha
Rahul: mera intezar? Aaj aisi kya baat ho gayi ki aapko mera intezar karna pada?
{Kunal aur Rhea bas chup wahi khade hote hai}
Mr.Ahuja: {smiling sarcastically} ha, ab aap itne bade aadmi hai to aapse milne ke liye intezar to karna hi padta hai.
Rahul: kaam ki baat kare?
Mr.Ahuja: mujhe aapki yehi aadat bahot pasand hai. Anyways main seedhe kaam ki baat karta hu. Maine suna hai ki aap yeh plot kharid rahe hai
Rahul: kharid chuke hai
Mr.Ahuja: main aapko isske double keemat dene ko tayyar hu, yeh plot aap mujhe de dijiye
Rahul: I'm sorry Mr.Ahuja, yeh nahi ho sakta. Hum already yeh kharid chuke hai
Mr.Ahuja: per is mein aaphi ka fayda hai
Rahul: main ek chotese fayde ke liye apko yeh plot dekar bada nuksaan nahi karna chahta.
Mr.Ahuja: plot to hum lekar rahenge,socha tha ki pehle aapse baat karle, perβ¦
Rahul: per? Dikhaye aap khamakha mera, aur apna waqt zayaa kar rahe hai
Mr.Ahuja: well, thank you so muchβ¦
{yeh kehkar Mr.Ahuja waha se chale jaate hai}
Kunal: Rahul yeh?
Rahul: are don't worry kunal, yeh kuch nahi kar sakta. Kuch logo ki aadat hi kuch aisi hoti hai.
Kunal: dekho Rahul main nahi chahta ki bas iss zammen ki wajah se tumhe koi problem face karni pade
Rahul: oh come on kunal, aisa kuch bhi nahi hai. Ab to hamare pehla hotel yehi banega, chahe jo ho jaye. Tum bas plot dekhlo, aur baaki sab mujhpe chod doβ¦
Kunal: thik hai, jaise tum kaho.
Rhea: so guys chale ab?
{wo teeno plot dekhkar kuch der baad laut jaate hai}
Rahul: tumhe office hi drop kardu?
Kunal: waise Rahul kya tum abhi kuch der ke liye free ho?
Rahul: abhi toβ¦, ha kuch der ke liye,per kyun?
Kunal: then why don't we have lunch together? Kyun Rhea?
Rhea: ha Rahul, chalo na
Rahul: per Rhea, mujhe office jana hai, lunch ke baad ek meeting hai
Kunal: ha to lunch ke baad hai na? Ab chalo, hume kuch nahi sunna, Yaar hum business partners ke saath dost bhi hai, so don't be so formal now
Rhea: Rahul tum aa rahe ho
Rahul: ok ok, I give up, to chaliye aaj main aap logo apne favourate restaurant le chalta hu
Rhea: ok
{Rahul unhe apne favourate restaurant le jaate hai}
Kunal: hey, this is a real cool place
Rhea: ha, hum pehle kabhi yaha nahi aaye
Rahul: to chaliye aaj chalte hai, yaha ka khana bhi acha haiβ¦
{they sit, have food. In all spend a great time together}
Kunal: sach Rahul, yaha ka interiors, yaha ka mahol, yaha ka khana, everything's just really good.
Rahul: actually main aur Sur aksar yaha aate hai, phir chahe wo friends ke liye party ho ya phir hum dono ki
Rhea: how sweet!
Rahul: chalo ab mujhe chalna hoga, waise agar tum logo ka aaj shaam ka koi programme na ho to let me know
Kunal: are we are always free for you. Per ha mujhe mama papa ke liye kuch gifts lene hai. Aksar yaha aata hu per unke liye kuch le nahi pata
Rhea: to Rahul, aaj shaam shopping chale? Sur ko bhi lana
Rahul: sochlo Kunal, agar yeh dono ladkiya shopping karne lagagyi to hamare kya hoga
Kunal: are ha
{both laugh}
Rhea: how rude!
Rahul: ok ok I'm sorry, main shaam mein Sur ko lekar aaunga, phir saath hi challenge
Kunal: ok, that'll do
Rahul: acha, ab chale?
Rhea: ha ha chalo
{aur wo teeno waha se nikalte hai}
β¦β¦β¦β¦.. End Of Part-13β¦β¦β¦β¦..
Comments awaited!!!
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
35