Sirf Tere Liye Kabeer & Ananya**completed**Last part on page 49 - Page 23

Created

Last reply

Replies

304

Views

48.6k

Users

25

Likes

398

Frequent Posters

jasminerahul thumbnail
Posted: 9 years ago
Kabir is back 2 his native place.still his dad hasnt accepted him.but all others welcomed him.kaya united naman jhanvi.wow.kaya dance n romance so beautiful.hope ronnir kabir become friends again.alekh in luv with suhana.nice.but does she luv him?
Ashstyle thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Loving the plot
And also the poster...
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Do we get an update today...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: golu_1677

Do we get an update today...

No dear I haven't writen yet
Will update tommorow night after 12am
Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanku everyone for liking and commenting on part 15...here is part 16... keep reading...do comment...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago


*** Sirf Tere Liye ***

Part 16

then kabeer drops her...aur khud apne ghar chala gaya...means aalekh ke ghar...aise hi inki zindagi me din beetne lage...kabeer puri tarah se btn ko trap karne ki kosis kar raha hai...ki kahin na kahin se woh vivan aur maanav kamzori tak pahunche...vivan ke drugs aur galat kaamo me rocky ne bhi uski help ki thi...yeh baat ab kabeer ko pata hai...but only one week left...kyuki manav aur malvika agle week tak aa jayeinge...aur kabeer ke liye problems create kar sakte hai,,,par kabeer is baat se assure hai ki 6 mahine tak koi use btn se nahi nikaal payega...

its night time kabeer office se nikalta hai...ki dekhta hai uske gadi ke tyre puncher hai...so wo yahan wahan taxi dekh raha tha ki ronnie aakar uske saamne gadi rokta hai...wo kuchh kehta nahi hai...par horn baja raha hai...taki kabeer aake baith jaaye...

kabeer in his mind:- kabhi nahi sudhrega sala...

ronnie in his mind:- ab kya aarti utaaru...baithta kyun nahi hai...

kabeer bina kuchh kahe jakar baith jata hai...koi kuchh nahi keh raha tha...par man hi man dono baat kar rahe hai...

ronnie in his mind:- ise samajh kyun nahi aata ki mujhe meri galti ka ehsaas hai...bhav kyun dikha raha hai...aur ab mujhe pata chal gaya hai ki kabeer kyun btn aaya hai,...james bond ki aulaad...hnnn...kameena...

kabeer in his mind:- sala kameena...lift deta hai...office me koi shaq karta hai to resque bhi karta hai...par yeh nahi ki ek sorry bol de...bhad me jaa...

ronnie in his mind:- sorry to main nahi bolunga kabhi nahi...kyuki dosti me galti ke baad bhi sorry nahi kehte hai...ha galti thi meri...bol du kya sorry achha mauka hai...waise bhi ghar me richa tandav karti hai...

kabeer in his mind:- mujhe nahi lagta ki is dhakkan ke muh se kabhi sorry niklega...humesha se iski naak 4 inch unchi hi rahi hai...main isse sorry expect hi kyun kar raha hu...aalekh hota to baat alag thi...

ronnie in his mind:- yeh soch kya raha hai...meri taraf dekh bhi nahi raha...ek baar batana jaruri nahi samjha na isne na us ananya ne ki yeh dono ek ho gaye hai...saalo kameeno chun - chun ke badla lunga...

kabeer:- kabeer beta...bol kuchh to baat kar...waise bhi ananya kam torture nahi karti tujhe...jab bhi romance ki baat karta hu...ronnie aur richa ko beech me ghusha deti hai...

ronnie:- tera ghar aa gaya...

kabeer:- ha kya hua...

ronnie:- tera ghar...(aalekh ne window se dono ko dekha aur daud kar baahar aaya...)...

kabeer:- hmm... thanks for the lift...

ronnie in his mind:- ab lift ke liye bhi thanks...bhad me jaa...

kabeer in his mind:- abe kameene kuchh bol na...

kabeer:- to main jaaun...

ronnie:- ja na...(kabeer turns to go...)...sorry...purani baatein bhool ja na...(aalekh is enjoying the scene...ab ball kabeer ki cout me thi...and he is born player...)...

kabeer:- kis baat ke liye sorry mr ronnie singh...kaun si purani baat...( ronnie chid kar car se bahar aaya...)...

ronnie:- dekh naatak mat kar...tujhe sab pata hai ki main kya kehna chah raha hu...

kabeer:- mujhe nahi pata hai...mujhe sirf us ronnie ki baat samajh me aati thi jo mera dost tha...us ronnie ki baat samajh me aati thi jise mujhpe trust tha...aur yeh ronnie...jo mere saamne khada hai...yeh toh gusse me apni jad kaat raha hai...ise hose nahi hai ki kiska sath de raha hai..andho ki bhedchal me chal raha hai...yeh ronnie ab sirf BTN ka producer bankar reh gaya hai...ise koi fark nahi padta ki dusre kya sochte hai...dusre kya chahte hai...( ronnie have tears...)..yeh ronnie to...

ronnie:- janta hu...janta hu ki main galat tha...galati ki hai maine...apne dosto par yakeen na karke...par tum logon ne kya kiya...jab mujhe sabse jyada jarurat thi tu dono ki tab tum dono kaha the ha...jab tum dono ka dost kisi galat rah me chal raha tha...tum dono nahi the use sahara dene ke liye...main gussa tha..par sirf isiliye ki tum mujhe chhod kar chale gaye...mana ki maine galti ki thi...par saalo do jhaapad mar ke samjha nahi sakte the...bhai kehte the na tum dono mujhe...par agar sach me bhai mante to mujhe chhod kar nahi jaate...(Aalekh beech me aata hai...)...

aalekh:- ronnie...kabeer galti kisi ki nahi hai...yeh sab hona tha...to hua...sach kehte hai loge ki jab dosti me pyar aa jata hai to...dosti kamzor pad jaati hai...humaare sath bhi toh yahi hua hai na ronnie...kabeer ananya ke pyar ke liye apne aap se lad raha tha...main nupur ko kho kar apne jajbaato se lad raha tha...aur tu sayad kuchh aur dekh hi nahi paa raha tha...ab main kehta hu kabeer bhool ja yar bahut hua...mujhe mere dono dost chahiye yaar... plzz...(kabeer chup chaap khada tha...)...main ander ja raha hu...ander ghusna hai na toh iske sath aaiyo...ab agar ronnie nahi to mujhe kabeer ki bhi jarurat nahi hai... (Aalekh ander chala gaya..use yakeen tha ki dono jarur aayeinge...)...

ronnie:- manf karde yaar plzz...(both have tears...kabeer hugs him very tightly...both are actually crying their heart out...) sorry...i m sorry...

kabeer:- agar tune dubara aisa kuchh kiya na main tujhe jaan se maar dunga...phir chahe teri waali aur meri waali dono widhwa hi kyun na ho jaaye...(ronnie laughs...)...

ronnie:- tu nahi sudhrega na...

kabeer;- kabhi nahi...(tabhi peeche se wapas aalekh ki awaaj aai...)...

aalekh:- abe ghanchakkaro...jo bhi jhappi - pappi karni hai na...ander aakar karo...warna bahar agar kisi ne dekha liya to tum dono ki aapas me shaadi kara deinge...

kabeer & ronnie:- saaaleee...(dono ander daud kar gaye...they have cute fight with cousins and pillows... aalekh hugs both of them..finally yeh teeno pure ho gaye the...)

kabeer aur aalekh ne ronnie ko apna pura plan samjhaya...now ronnie is also with them...

ronnie:- mujhe nahi pata tha ki jis channel me main kaam kar raha hu wo na jaane kitane maasum logon ki zindagi ki kurbaani dene ke baad khada hua hai...

kabeer:- yahi baat hai ki har ek channel ka business head karan sharma nahi hai...jo apne staff ko apni family maane...

ronnie:- sahi kaha tune...lekin ab jeet humari hogi...chalo ab main chalta hu...richa wait kar rahi hogi...

kabeer:-ja would be father...(ronnie smiles and left...)

aalekh:- thanks...

kabeer:- main bhi yahi chahta tha...waise maine tujhe pata karne ko kaha tha na ki rocky ke baaki dhandho ke baare me...

aalekh:- ha pata kiya hai...chal batata hun...(both left to aalekh's room...)...

next day evening...

naman aur jaanvi ek resturant me baithe the ki they are having good time together...ki tabhi naman ko vivan dikhaai diya...wo jaanvi ko lekar ek corner pe chala gaya aur vivan ki baat sunne laga...

vivan to a man:- dekh mera dimaag kharab mat kar...pehle hi mera consigment pakda gaya hai...jis wajah se mujhe bahut loss hua hai...tujhe tere paise mil jayeinge...abhi mere account seal hai...samajh yaar...mera reti cement ka consignement nahi pakda gaya hai...drugs ka consignement pakda gaya hai...apne boss se bol paise mil jayeinge... aur jahan tak kaam ka sawaal hai wo bhi hoga...samjhe...ab nikal yahan se...(vivan also left...)...

naman:- jaanvi...yeh jarur kuchh panga kar raha hai...kabeer bhai ko batana padega...kkn ko lead bhi mil gayi hai...chalo abhi yahan se chalte hai...

jaanvi:-ok...lets go...( both left...)...

its a day before ananya's birthday...kabeer aur ananya aalekh ki ghar ke tarrace pe jhule pe baithe the...ananya ka sir kabeer ki chest par tha...kabeer ananya ke baalon se khel raha hai toh ananya kabeer ki fingers se...
kabeer naman ki di hui info ke baare me soch raha tha...

ananya:- baby kya soch rahe ho...

kabeer:- drugs ke baare me...

ananya:- kyaa...? kabeer tum yahan mere sath time spend karne baithe ho ya...(ananya muh bana kar kabeer se door baith jati hai...)...

kabeer:- sorry janu woh naman ne bas...

ananya:- stopit kabeer... i m fed up with it...humesha mauka dhundhti hu ki tumhare sath waqt guzaar saku...par tum ho ki...u dont have time for me...

kabeer:- aisa nahi hai...i love ananya...

ananya:- i know u love me...but u are sadu... i mean very unromatic...tum wo kabeer nahi ho jo collegeme hua karte the...jo romatic tha...tum to budhe ho rahe ho...

kabeer:- oh chup ha...mana main thoda badal gaya hu...par agar waisa ban gaya na to tum pachhtaaogi...kyunki then i can cross my all limits...

ananya:- chup raho tum...tumhe to yeh bhi yaad nahi hoga ki tumne last time mujhe kiss kab kiya tha...bade aaye limit cross karne waale...

kabeer:- aur main tumse jaan bujh kar door rehta hu...

ananya:- achha aur wo kyun...?(kabeer pulls her by her waist...)

kabeer:- kyuki jab tum mere bahut kareeb hoti ho to...i m loosing my senses...(kabeer is rubbing his nose her cheek...now she is spellbound...) mera dil karta hai ki saari hade tod du...aur tumhe apna bana lu...

ananya:- to tumhe roka kisne hai...i m all urs humesha se...

kabeer:- really...(ananya hugs him very tight...)waise tumne bataya nahi ki tumhe gift kya chahiye...?(Ananya kabber se alag hui aur uska hanth pakda...)..

ananya:- kabeer u are most special...meri zindagi se jayada...isliye mujhe meri zindagi se ek nahi 2 gifts chahiye...

kabeer:- are 2 nahi 4 mango...mang ke toh dekho...

ananya:- soch lo...

kabeer:- soch liya...

ananya:- ek abhi batati hu aur ek parso...

kabeer:- ok...bolo toh...

ananya:- toh kal ka din mere liye sabse special bana do apne style se...yaad rahe mujhe koi party nahi chahiye... tumhara sath chahiye...baki ab tum par hai ki tum kaise karte ho...

kabeer:- done...bas apne ghar se permission le lena...

ananya:- done...

kabeer:- aur dusra gift...?

ananya:- bola na parso...

kabeer;- ok mam...plzz ab waapas baith jaaye...( both again sit...)...ananya woh tum suhana se baat karo na yaar...actually aalekh likes her very muchh..,main chahta hu ki aalekh bhi aage badhe...plzz...

ananya:- ha suhana ki baaton se mujhe lagata to hai...par ab fanckly pooch ke hi rahungi...

kabeer:- thats like my gppd girl...

ananya:- par bolna toh aalekh ko hi padega na...

kabeer:- ha woh main sambhal lunga...

ananya:- tum...jo khud 4 saal baad bol paaye...

kabeer:- hota hai yaar...but now i m experienced man...

ananya:- awww...(both hugs...and after some time ananya left to her house...and she takes permission for be with kabeer tom)

its ananya's birthday clock clicks at 12:00 in the night...kabeer ka call aya aur ananya ne bahut hi badi wali wali smile ke sath call recive kya...

kabeer:- wish u a very very very happy birthday my baby...muaahhh...

ananya(like a child):- thanku baby...u r the first one to wish me...i m so happyy...muaaahhh... m missing u...

kabeer:- i m missing u too..par sham ko mil rahe hai na...mujhe yeh muahhh real me chahiye...

ananya:- any time...ahhh...

kabeer:-kya huaa..? are u ok jaan...

ananya:-yeh sab ke sab ek sath phone kar rahe hai koi mujhe mere janu se baat bhi nahi karne deta...

kabeer:- are wo bhi tumhare frnds hai...badi muskil se maine unse 5 minute mange hai...chalo unse baat kar lo kal to sath honge na...

ananya:- ok byee gn...

kabeer:- gn...

then ananya baki sabhi se baat karne me busy ho gayi aur aise hi so gayi...after so many years..its her first birthday at home...but ananya celebrate to karna hi nahi chahti thi...so subah hi anita ji ne pooja rakhi...ananya ne pooja ki...din bhar sab apne kaam me busy the...shaam ko ananya sabhi se mili sabhi ne use wish kiya and all khaya piya...phir ananya ghar waapas aa gayi ready hone...kareeb 8 baje kabeer pahuncha aur usne ananya ko recive kiya aur anita ko kaha ki ananya uske sath hi rahegi so dont worry...ab dono ki shaadi toh hone waali thi aur fir jaanvi ke kehne pe anita aur sudheer maan gaye...kabeer ananya ko car me bithata hai...aur khud aakar baith jata hai...and looking at her with intensity...

ananya:- what...

kabeer:-tumne kya soch kar yeh dress pehni hai...mujhe maarne ka irada hai...

ananya:- shut up kabeer mere bday pe bhi tum marne maarne ki baat kar rahe ho...aur bhulo mat yeh mujhe aapne hi laakar di thi..kya kharabi hai isme...

kabeer:- kharabi koi nahi hai...bus bahut hot lag rahi ho...

ananya:- waise is blezer me aap bhi kamayat dha rahe ho...same coloure..mera black gown aur aapka black blezer...

kabeer:- really...

ananya:- really...(both of them hits eachother head...)...

for ananya:-
tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...
rooh se rooh ke darmiyaan...
ishaq ke hai...hazaaro jahaan...

for kabeer:-
ya khuda-- ya khuda...
mujhko dede agar ek jahaan...
to maang lun...tere liye...tere liye...
tere liye...tere liye...
tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...

both are looking at eachother...ki jaanvi aai...

jaanvi:- di...jiju...ab yahi rehne ka irada hai kya jaao bhi isse pehle ma papa apna mood badal de aap dono ke plan me paani fir jayega...

kabeer:- ha ha...thanks jaanvi byee...and call me bhaiya not jiju...( both left...)...

ronnie's house...

richa:- kya...?

aalekh:- ha...saale ne mujhe aaj mere ghar se dhakke maar kar nikal diya kehta hai aaj sirf wo aur ananya koi disturb na kare...

ronnie:- puri raat...

aalekh:- nahi aisa to nahi bola but...ab main 12 baje to wapas jaunga nahi...main aaj yahi rehne wala hun...office bhi yahi se chala jaunga...

ronnie:- par wo dono puri raat kareinge kya...? ( aalekh & richa looked at eachother...and together...)..

aalekh & richa:- shut up...

aalekh:- ab tujhe yeh bhi batana padega ki do pyar me dube loge jab ek dusre ke sath hote hai to kya karte hai...richaa...

ronnie:- ha pata hai...par khair isme buraai kya hai yaar...both love eachother madly...

richa:- but mujhe nahi lagta ki wo dono limit cross kareinge...

aalekh:- god know...mera room bata de bhai...

ronnie:- ha chal...( ronnie aalekh ko room me chhod kar aaya...) waise richa i m happy for kaya...

richa:- kaya..?

ronnie:- kabeer + ananya...

richa:- ronnie chalo na...

ronnie:- mujhe nahi pata tha ki tum bhi...i m ready..chalo...

richa:- shut up i m pregnant..chalo abhi sone...

ronnie:- kya yaar...chalo...

aalekh's house...

ananya:- yahan...tum mujhe ghar kyun lekar aaye...(kabeer ne door lock kiya...) itna andhera kyun hai... aalekh... (kabeer dheere se ananya ke kareeb gaya...aur uske kaan me bola...)...is waqt aalekh ghar me nahi hai...aur kal tak aayega bhi nahi...tumhi ne kaha tha ki main romatic nahi hu...ab dekho...

kabeer halke se ananya ka hanth pakadta hai...aur switch board ke pass lekar jata hai...ananya switch on karti hai...aur amazed reh jati hai...kabeer ne pura hall red aur white curtains se sajaya tha... floor pe sirf red aur white baloons...center me table for two...red wine...and all...it was amazing...ananya has tears of love...tears of happiness...kabeer ne ananya ko turn kiya aur uske tears ko kiss kiya...

kabeer:- nahi ananya...ab nahi...bahut aanshun baha liye humne...bahut ro lia...ab sirf main aur tum humare beech koi dard koi aanshun koi takleef nahi...hogi to sirf beintaha mohabbat...did u liked it...(ananya hugs him...)

ananya:-i love it kabeer...i love it...thanku...for making my day best...i love u...

tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...
tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...

kabeer:- so shall we...(kabeer offers his hand to her...she placed her beautiful hands on his...she take her to the table where a beautiful heart shape cake was placed...written my love ananya...kabeer make her to cut the cake...both feed eachother...both have some red wine too...then kabeer sat down on his knee and remove a daimond platinum beautiful ring from his pocket...) ananya... i love u i love very much...bahut pyar kiya hai tumse roya hun to tumhare liye hasa hu to tumhare liya...ab jeena chahta hu...tumme...tumhare sath...officially i m proposing u... WILL U MARRY ME... WILL U BE MY SOUL MATE...(Sach me this was the bestest gift of her life...usne halke se apne hanth badha diye... aur kabeer ne wo ring use pehna di...)...thanku...(both hugs eachother...) i love u ananya...

ananya:- i love u kabeer this is the best gift..maine socha nahi tha ki tum...

kabeer:- i know ananya mera bas chale to main abhi tumse shadi karlu...aur tumhe humesha ke liye apne pass rakhu bahut pass...

ananya:- toh kar lo na...

kabeer:- kya i m not joking...

ananya:- i m also kabeer...1 sec...(Ananya mandir ki ore gayi aur waha se ek sindoor ki thaani lekar aai...aur use kabeer ke saamne rakha...)..i want to be urs...in all senses...6 saal ke intezaar ke baad paya hai tumhe...par yeh 6 mahine bahut lambe lag rahe hai...make me ur wife...ab yeh doorie bardast nahi hoti...(both are just looking at eachother...)

tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...
tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...

kabeer ne us sindoor thaani se sindoor nikala aur ananya ki mangh bhar di...both have tears and smile...both hugs eachother...

kabeer(still hugging):- so miss...nhh..mrs ananya kabeer sharma...ab khush...

ananya:- bahut...ab koi tumhe mujhse chheen nahi sakta...thankyou kabeer...kabeer...

kabeer;- hmmm...

ananya:- mujhe bhookh lagi hai...

kabeer:- kya...aur tum mujhe unromatic kehti ho...

ananya:- mujhse khaali pet romance nahi hota...plzzz...

kabeer:- today ur all wishes is my command mam...

ananya:- only today...

kabeer:- no in my entire life...

kabeer ananya ko dining table pe le ke jata hai...aur dono bahut pyar se ek dusre ko khana khila rahe hai...kabeer ki nazar ab ananya ke chehre pe thi...

ananya:- kya hua...?

kabeer:- sindoor ke sath tumhara chehra bahut jyada khubsurat lag raha hai...

ananya:- lagega hi...mere pyar ne jo bhara hai...(achanak se bahar se tej baarish ki awaaj aati hai...) wow kabeer baarish...(ananya daud kar bolcony me gayi...)...

kabeer:- ananya no...oh shit...ananya ander aa jaao...

ananya apni baahien fayla kar barish ko mehsoos kar rahi thi...she is getting wet...her clothes are glued to her well toned body...kabeer just stairing him from far...

ang laga de reee... mohe rang laga de reee...
ang laga de reee, mohe rang laga de ree...
main to teri joganiyaan... tu jog laga de re...
(ananya turned and her eyes was full of seduction...her one hand is inviting kabeer...)

jog laga de ree... prem ka rog laga de ree...
main to teri joganiyaan... tu jog laga de reee...
(then ananya again turned and pouring herself in the rain...kabeer cant resist more...he went to her...)

ram ratan dhan...magan magan man...
tan mora chandan ree...
ujali kori prem piya...satrang laga de re...
(now both are completely wet..kabeer placed his hands on his waist pulled her to him...and with full of thirst he placed his on hers...both are kissing echother madly...cold water drops from the sky make them more warm and hot...they were kissing eachother like never before...full of passion and love...)

ang laga de reee, mohe rang laga de ree...
main to teri joganiyaan... tu jog laga de re...
(ananya's hands were rotating on his back...and his hands were making patters on her back...)

raat banjar si hai... kaale khanzar si haii...
raat banjar si hai... kaale khanzar si haii...
(both separates both are looking at eachother...then ananya ran away inside...she is breathing heavily...)

tere sine ki lau... mere ander bhi hai...
tu hawaaa de ise... to mera tan jale...
(kabeer came behind her...and hugged her from behind...)

jala de ree...
sang jala de ree...
mohe ang laga de ree...
main to teri joganiyaan... tu jog laga de re...
(kabeer removes her hair from back and kissing her on her soulder and neck...which is making her wild...)

raash hai raat meinn... teri har baat meinnn...
raash hai raat meinn... teri har baat mein...
(ananya is not able to resist her touch...she instantly hugged him...he too...ananya hands removed his blazer and throw it on the floor...)

bol main kya karunn...aisi haalat mein...
hun main teri malang... tu hi mera nasha...
(ananya kissing him oh his neck...which is loved by kabeer...)

chada de ree...
bhang chada de ree...
prem ki bhang chada de reee...
(kabeer stops her...picks her up and take her to the bedroom...while ananya is seducing him more and more...)

main to teri joganiyaan... tu jog laga de reee...
jog laga de ree... prem ka rog laga de ree...
main to teri joganiyaan... tu jog laga de reee...
(kabeer placed her on bed...and turns..but ananya held his hand and pulled him...he landed on her...both are totally wet and and have want of eachother now no one can stop them to make love...)

ram ratan dhan...magan magan man...
tan mora chandan reee...
(kabeer placed his lips on hers...and kissing her...)

ram ratan dhan...magan magan man...
tan mora chandan reee...
(ananya removed his shirt and throw it on the floor...)

ram ratan dhan...magan magan man...
tan mora chandan reee...
(kabeer's hand went to switched off the light...)

ram ratan dhan...magan magan man...
tan mora chandan reee...
(and today...to painful soul...who are madly in love with eachother...are united in all sense... they dont have fear abt what will aother say...tonight...they only belongs to eachother...)

movie:- Ram - Leela...

kabeer ananya har tarah se ek ho gaye...aur waise bhi ek dusre ke to yeh dono kabke ho hi gaye the...ha kuchh rasme nahi nibhai thi par ananya ki mangh bhar kar wo rasme bhi puri kar di thi kabeer ne...aur waise bhi agar pyar hai to rasme puri ho ya na ho koi fark nahi padta...par agar rasme ho aur pyar na ho to bahut fark padta hai...

next morning...

kabeer is sleeping with soever cute smile on his face...ki tabhi bahar ki raushni ki wajah se kabeer ki neend khuli...usne apne side me dekha ananya wahan nahi thi..usne doosre side turn kiya to dekha...ananya window pane pe khadi thi...usne apne aapko white silk ke bedsheet me cover kiya hua tha...bahar se suraj ki raushni uske chehre ko bheego rahi thi...wo kisi angel se kam nahi lag rahi thi...kabeer smiles...aur wo utha...he is on his shots only...aur jakar usne ananya ko back se hug kiya...a small smile appers on her soft lips...kabeer kissed her on her bare soulder...which make her more red...

kabeer:- so subah kaisi thi...?

ananya:- bahut hi sunahari...?

kabeer:- aur raat...?(rubbing his nose on her neck...)

ananya:- khwaaish ki tarah puri...(she turns and hugged him...) i lve u kabeer i love u so much...thanks for making me complete...

kabeer:- tum to aise bol rahi ho jaise sab kuchh maine kiya...(ananya hits him lightly...)mujhe seduce tumne kiya tha...(she hugs him more tightly...)kya baat hai man nahi bhara...tum kaho to ek baar aur...

ananya:- no...ab jo bhi shaadi ke baad...

kabeer:- madam humari shaadi ho chuki hai..kal raat...remember...

ananya:- ha par sabke saamne jo shaadi hogi na uske baad...

kabeer:- ok...(he pulled her more closed...)waise mrs sharma...badi hi hot lag rahi ho...tumhe dekh kar to kisi ki niyat kharab ho jaaye...

ananya:- kabeerrr...ahha now leave me...mujhe change karna hai...

kabeer:- to karo na...

ananya:- kabeer bahut besharam ho...mujhe wash room jana hai...

kabeer:- main bhi aaun...?

ananya:- no...(ananya collects her cloths from the floor and left to wash room...aur kabeer jumped on bed and slept a bit more...)

after some time ananya kabeer ki shirt me baahar aati hai..aur to dekhti hai ki kabeer wapas so chuka hai...aur use jagaati hai...

ananya:- kabeer get up...baby...utho na...

kabeer apni ek aankh kholta hai ananya ko apni shirt me dekh kar uth ke baith jata hai...

kabeer:- kya baat hai baby looking hot ha...par tumne meri shirt kyun pehni hai...

ananya:- kyuki meri yeh dress abhi bhi geeli hai...sukha do na...

kabeer:- kya jarurat hai aisi hi bahut achhi aur cute lag rahi ho...main nahi karne wala...

ananya:- pakka...(kabeer nods in yes...aur use apne kareeb kheechta hai...jisse ananya uske upar girti hai...)...kya baat hai mr sharma bahut pyar sujh raha hai...kis machchar ne kaat lia...

kabeer:- are puchho mat..ek bahut hi khubsurat hot aur sexy female machchar ne kata hai...jiska zahar zindagi bhar rahega...

ananya:- oh really...(kabeer start kissing her..) kabeer..plzz na...warna...warna main aise hi baahar chali jaungi... (kabeer laughs...) i m serious main aisa kar sakti hu...(ananya uth kar jaane lagti hai ki...kabeer held her hand...)

kabeer:- pagal hai kya...ruko main abhi press karke lata hu...

ananya:-dar gaye...yeh hui na baat...

kabeer:- ji nahi main dara nahi..par kya hai na...aapko is tarah dekhne ka haq sirf mera hai...

kabeer winks aur ananya ke dress lekar bahar gaya...after 10 minutes wo laut kar aaya...aur use bapas dress di...aur khud wash room me gaya...thodi der baad dono hi ready the...ananya kitchen me breakfast bana rahi thi...aur kabeer coffee...dono hi bade romatic tarike se nasta kar rahe the...kabeer ananya ka face gaur se dekh raha tha...

ananya:- aise kya dekh rahe ho...

kabeer:- nothing bas yeh ki kal jab tumhari mangh me sindoor tha...tumhara chehra aur bhi jyada khubsurat lag raha tha...par ab feeka - feeka sa lag raha hai...

ananya:- aisa hota hai...ek ladki jab apni mangh me sindur lagati hai to uske chehere ki raunak aur bhi jyada badh jati hai...waise hum shaadi kab kareinge...

kabeer:- ki toh kal raat ko...

ananya:- are sabke saamne taki main har waqt sindur laga saku...

kabeer:- oh waisi waali...

ananya:- ji waisi waali...

kabeer :- we have to wait na...jab tak...ek minute...what an idea yar...manav aur malvika ek ya do din me wapas aa rahe hai...

ananya:- toh...

kabeer:- toh yeh...ki unke aate hi we rocky ko meri asliyat bata hi deinge...lekin wo kya unka baap bhi abhi mujhe 4 mahine tak BTN se nahi nikaal sakta...i m ready...bolo kab shadi karni hai...chalo abhi jake baat karte hai...

ananya:- kabeer..wait...aaj nahi...abhi meri ek aur wish baki hai bhool gaye...

kabeer:- are ha...bolo kya chahiye...aapke liye humari jaan bhi...( ananya puts her hand on his mouth...)...

ananya:- main chahti hu ki tum vinod uncle se baat karo...(dhamaake on kabeer's face...)... plzz kabeer...dekho tumahre papa hai...agar chhote bado ke saamne jhuk bhi jaaye toh kya buraai hai...i m sure woh bhi tumse bahut pyar karte honge...koi bhi maa baap apne bachho ka bura nahi sochte hai kabeer...plzz mere liye...(ananya have tears...kabeer has stern expression...)...kuchh to bolo kabeer...

kabeer:- unhone mujhpar ek baar vishwaas nahi kiya...kitna kuchh keh diya..unki wajah se chaar saal tak apne pariwaar se door raha main...agar wo mujhse payr karte to ek baar mujhe bula nahi sakte the...kya main nahi aata...2 mahine ho gaye yahan wapas aaye...ek baar wo mujhse milne aaye...nahi na...

ananya:- pehli baat...vishwaas to tumhara kisi ne nahi kiya tha...agar tum sabko manf kar sakte ho to apne papa ko kyun nahi... dusri baat char saal tum kaha the...yeh kisi ko pata nahi tha toh wo tumhe kaha se bulaate... teesri baat..mana ki tum 2 mahine se yahan ho...wo tumse milne nahi aaye...par tum bhi to nahi milne...ek bar bhi na kkn gaye ho na.. ghar... tum dono ki duriyon ki wajah tum bhi ho kabeer...ek baar socho...kisi aur ke liye na sahi mere liye ek kadam badha do kabeer plzz...mera dil kehta hai ki sab theek ho jayega...meri khwaish hai ki meri shadi me mujhe sabka aashirwaad mile...sab shaamil ho...plzz...(ananya hugs him...he also hugs her back...and thinkng about ananya's words...)...

thodi der baad kabeer ne ananya ko uske ghar drop kiya aur BTN chala gaya...uske dimaag me sirf aur sirf ananya ki baatein aa rahi thi...usne dailer uthaya...aur sharma mansion me call kiya...phone kaka ne uthaya...

kaka:- hello...

kabeer:- kya main vinod sharma se baat kar sakta hu...?

kaka:- ji abhi ek minute...(kaka gaye vinod sutdy room me tha...)saab ji wo aapka phone hai...(vinod ne apna dailer uthaya...

vinod:- hello...(kabeer kuchh nahi bol raha tha...uski aankhien num thi...ek arse ke bat apne papa ki awaaj suni thi usne...) hello...hello...are bhai koi...( vinod also stops...he can here his sobbings...both are silent for soe seconds...both have tears...)..kabeer...( kabeer cuts the call...tears flows down to vinod's cheek...he placed the dailer on his heart...and crying...on the other hand kabeer remembers his childhood with his father...a small smile appears on his face..and another side nandini was also held the another dailer listened every thing...she smiles...and wiped out her tears...)...

vinod study room me baitha tha...aur uske hanth me karan kabeer aur naman ki bachapan ki tasveer hai...wo kabeer ke face pe bade hi pyar se hanth ferta hai...aur uska ek aanshun sheedha frame pe gira...

nandini ( from door ):- agar itna hi pyar hai to use wapas kyun nahi bula lete hai...(vinod wipes odd his tears...)...

vinod:- yeh kya bol rahi ho...(nandini vimod ke saamne gayi aur apne knees me baith gayi hai...aur apna hanth vinod ke hath me rakha...)...

nandini:- beti kehte hai na aap mujhe...aaj pehli aur aakhiri baar aapse aapki beti kuchh mang rahi hai...kabeer ko ghar le aaiye...jab tak aap nahi kaheinge wo nahi aayega...papa...aap bhi jante hai ki kabeer galat nahi tha... toh kyun yeh doori bana kar rakhi hui hai...kabeer ke bina yeh ghar adhura hai papa...aap adhure hai...kkn adhura hai...hum sab adhure hai...ek baar plzz papa...mujhe pata hai...aap bhi kabeer se bahut pyar karte hai...koi bhi pita apne bachhe ka bura soch hi nahi sakta hai...plzz papa...

vinod:- kaise beta...kya muh lekar jaaun main uske saamne... apne khoon par...apni parwarish pe vishwaas nahi kiya maine...ab kya muh lekar jaaun...use roz tv me dekh kar hi khush hu main...

nandini:- nahi papa pita hai aap uske...mere khatir papa...ek bar...sirf ek baar kosis kar lijiye...mujhe yakeen hai ki kabeer jarur aayega...galti aap ki thi papa...ek pahal kar lijiye plzz...

vinod:- mujhe kuchh waqt do...

nandini;- theek hai papa...jahan 4 saal intezaar kiya hai...wahan kuchh aur waqt sahi...(nandini uth kar jaane lagi to dekha saamne shadhna khadi hai...wo sir jhuka kar jane lagti hai...)...

shadhna:- nandini... inke liye inki so called reputation inke bete ki zindagi se jayad pyari hai...kyun bol rahi hai tu inhe... koi fark nahi padta ki mera kabeer jiye ya mare...

nandini:-mumma...plzz aap...

shadhna:- bolne de mujhe...itna sab galat karne ke baad yeh kehte hai ki...

nandini:- mumma toh kya hua...haq hai papa ka kabeer pe...woh chahe kuchh kahe...

shadhna:- yahi to baat hai na...koi aur kuchh kehta toh mujhe fark nahi padta par inko...inko tonahi kehna chahiye tha... aur aap meri ek baat sun lijiye...mujhe mera beta is ghar me ab chahiye...woh isi seher me hai...lekin is ghar me nahi hai...mujhe kabeer chahiye...(shadhna rote hue chali gayi...aur nandini bhi...vinod ne apna sir apni chair pe rakha aur apni aakhien band ki unke aanshun unke chehre pe the...

aise hi 2 din beet gaye...kabeer aur ronnie kabeer ke cabin me the...aur kuchh baat kar rahe hai...

ronnie:- par kabeer tu itna sure kaise hai ki vivan manav aur malvika bhi amar ke sath mile the...

kabeer:- tune kabhi manav ke cabin ki talaashi li thi...

ronnie:- nahi aur waise bhi main manav se nahi mila...jab main yaha aaya tha...wo yahan nahi tha apne world tour pe gaya hua tha...

kabeer:- maine li hai...u know what yeh sab ek no ke kameene hai...inhe khud ek dusre pe vishwaas nahi hai...

ronnie:- matalab...

kabeer:- actually hua yeh ki maine aate hi manav ke cabin ki talashi li thi...to wahan mujhe ek secret drawer mila...wo locked tha but trick ke through maine use khola to mujhe usme uske ghar ki chabiyaan aur kuchh tapes mile...sala apni, vivan ,malvika aur amar ki baatien record karke rakhta tha...

ronnie:- kya...

kabeer:- ha...jabse in logon ne college chhoda tha...tab se hi yeh loge galat kaamon me lag gaye the...aur apni safety ke liye manav saari baatein record karke rakhta tha...yahan tak ki malvika ka confession bhi...jisme in sabne mujhe aur nupur ko trap karne ka plan banaya tha...goa me amar ki death ho gayi...uske baad yeh sab rocky se mile...inhone rocky ko sab bataya...rocky isi liye kkn se nafarat karta hai...bina sach jaane vivan ne rocky ko amar ki maut ka zimmedar mujhe thehra diya...aur uske baad ek sal tak nahi mile...phir manav ne malvika se shaadi karli...aur rocky ke sath BTN me shaamil ho gaya...manav ka dream hai BTN ka EIC banne ka...iske liye usne bahut se ghaple bhi kiye hai...tab yeh sab london me the... par tab tak tune BTN join nahi kiya tha to tu kabhi manav se london me mila nahi...aur jaise hi manav aur malvika ko yahan india ki responsibility saupi gayi tune london branch join ki...aur yeh saari baatien mujhe manav ke ghar se pata chali...manav ke study room me usne apne saare kam ki puri detail rakhi hui hai...

ronnie:- lekin woh yeh sab kyun rakhta hai...

kabeer:- kyuki kai had tak manav ka involvement illigal kamo me nahi hai...ha wo inki help karta hai par indirectly... aur mano kabhi rocky ya vivan ander hote hai to manav ne apne liye saare saboot juta ke rakhe hai... kachha khilaadi nahi hai manav gupta...

ronnie:- hmm ab manav ke yahi suboot inhe bahut bhari padeinge...kal manav aur malvika dono hi office aa rahe hai...dekhte hai aage kya - kya hota hai...par wo sala langoor rocky...woh toh gayab hai yar jabse gaya hai wapas nahi aaya...

kabeer:- kaise ayega...singapore ka kanun bahut shakht hai...ek ladki ko pregnant karke use ditch kiya tha isne...aur jab yeh wahan wapas gaya to ise pata chala ki us ladki ne sucide kar li...aur saara ilzaam rocky pe aa gaya hai...wahi ulza hai...

ronnie:- par jab us ladki ne sucide ki tab to yeh yaha raha hoga na...

kabeer:- ha...par kya hai yeh foregners khud to marte hai dusro ko maar ke marte hai...us ladki ne sucide note me rocky agrawal ko mention kar diya to bas proceedings chalu hai...

ronnie:- oh ab samjha...par us vivan ka kya hua...?

kabeer:- aalekh aur naman lage hue hai...waise yeh vivan saxena jayega lambe se...

ronnie:- waise main bhi jaun kuchh kaam karlu...channel ke ratings bahut gir rahe hai...

kabeer:- yahi to hum chahte the...

ronnie:- par maine ek saal ka contract sign kiya hai...i have to work here na...

kabeer:- abe jab channel hi band ho jayega to kya ghanta contract kuchh kar lega...

ronnie:- yeh bhi boss... 2 hafte se tune apna buletin nahi padha toh hona hi tha...

kabeer:- mera mood bhi nahi ha padhne ka...

ronnie:- laga reh...main chalta hun...

thodi der bad meeting hui..kabeer sabko woh hi kaam alot kar raha hai jo unko na aaye...taki kaam me gadbad ho aur ratings down ho...sham ka waqt hai kabeer ananya se bat karke phone rakhta hai...to dekhta hai ki vinod uske cabin ke bahar khada hai...kabeer bhi khada ho jata hai...vinod cabin ke ander aata hai...

kabeer:- aap yahan...?

vinod:- ha kyun nahi aa sakta...

kabeer:- nahi aisa nahi hai...

vinod:- socha mera beta itne bade channel ka EIC hai...uska office dekh lu...

kabeer:- beta...?aap bhul rahe hai ki aapke liye aapka beta kabeer barso pehle mar chuka hai...( ronnie apne cabin se dekh raha hai...aur pray kar raha tha ki inki problem solve ho jaaye...)ab kya lene aaye hai... (both have tears..)

vinod:- apni galti sudhaarne aaya hu...apne bete ko wapas uske apne ghar le jaane aaya hu...

kabeer :- kaun sa ghar...? wo ghar jisme kadam tak rakhne ka adhikaar aapne cheen lia tha...

vinod:- jab bachhe galti karte hai to ma - baap unhe manf kar dete hai...to bachho ko bhi ma- baap ko manf kar dena chahiye...manf karde..bahut badi galti ki thi maine...jab se tu gaya hai,...us ghar ki khusiyaan le gaya hai...teri maa ki hasi lekar chala gaya...mujhe meri ghar ki khusi lauta de kabeer...mujhe meri shadhna lauta de...(kabeer turns his face...) janta hu bahut badi galti ki thi...apni jhuthi shaan ke liye apne bete ki zindagi daav par laga di maine...(hanth jod kar...) main tere aage hanth jod kar bheekh mangta hu kabeer mujhe mera beta...(kabeer turns and placed his hand on his...)...

kabeer:- papa...plzz aap...(kabeer hugs him very tightly...vinod aalso...both are crying...aaj dono ko bahut khushi mil gayi thi...)...

vinod( still hugging):- i m sorry beta plzz mujhe manf karde...

kabeer:- nahi papa aisa mat kaho...i cant see u like this...aap kisi aur ke kya mere saamne bhi jhuko mujhe manzoor nahi ho...aap bade ho...aapka haq hai...

vinod:- ek baar laut kar nahi aaya...itna naraz tha...

kabeer:- aapne bulaya kaha tha...

vinod:- apne ghar me bete ko bulaya jata hai...khabar dar jo aaj ke baad kabhi mujhe chhod kar gaya to..main mar jaunga...

kabeer:- nahi papa aisa mat kaho...aur khabardar jo aaj ke baad kabhi kaha to ki main aapka beta nahi...( both again hugs...( ronnie peeche se aaya...)...

ronnie:- kya baat hai emotional scene ha...mujhe bhi is family hug me shaamil kar lo...( vinod extend his arm ronnie also hugs them...)uncle maine bahut badi galti ki thi...kahin na kahin in sab cheejo ka zimmedar main hu...

kabeer":- shut up ronnie...

vinod:- galti kisi ki nahi thi...waqt aur haalat galti karne pe mazboor kar dete hai...chalo beta tumhara ghar aur tumhara kkn dono hi wait kar raha hai...

kabeer:- ha papa main aaunga...ghar bhi aaunga aur kkn bhi...par abhi sirf ghar kyuki mujhe yehan un sabko sabak sikhana hai...jinhone hum sab ki zindagi ke sath khilwaad kiya tha...

vinod:- theek hai beta kkn tumhara aur ronnie ka intezaar karega...par ghar wahan to chalo...abhi...

kabeer:- abhi..?

vinod:- plzz...(kabeer nods aur both left...ronnie was looking at them and smiles..)...

ronnie:- thanku bhagwaan ji... kahin na kahin meri wajah se yeh alag hue the...aaj kabeer ko uska ghar mil gaya main bahut khush hu...thanku...

sharma mansion...

karan aur naman kkn me the...kewal nandini shadhna aur riya hi ghar pe the...3 hall me baithe the...ki vinod aaya...

vinod:- shadhna...

shadhna:- ji...

vinod:- main tumhare bete ko wapas lekar aaya hu...

shadhna:- kya...

vinod:- kabeer...

kabeer smile ke ander aata hai...shadhna aur nandini use dekh kar bahut khush thi...unki aankhien num ho gayi... riya daud kar gayi kabeer ke pass...kabeer ne use apni god me utha lia...shadhna aur nandini dono ne hi use hug kiya...

la la la la la la la la la...
la la la la la la la la la...

vinod:- yeh kabeer ka ghar hai...woh kahin nahi jayega isi ghar me apne pariwaar ke sath rahega...

nandini:- thanku papa...

vinod:- maine sirf apni galti sudhaari hai...

shadhna:- nandini aarti ki thaal lekar aana...

nandini:- ji mumma...

nandini aarti ki thaal lekar aati hai...aur shadhna kabeer ki aarti utarti hai...aur uske mathe ko chumti hai aur ro rahi hai...

kabeer:- common mumma...ab to rona band karo plzzz...

shadhna:- tu ab mujhe chhod kar nahi jayega na...

kabeer:- i promise u kahin nahi jaunga...bcz mujhe bhi aapki jarurat hai...ab mere pair dukh rahe hai..main baith jaaun...

shadhna:- pagal..chal...

sabhi jakar baith gaye...sadhna aur nandini uski khatir dari me lag gaye...aur use thoosh - thoose kar khila rahe hai... vinod aur riya dekh kar has rahe hai...

kabeer:- bas bhabhi main fat jaunga...(shadhna vinod ke pass aati hai...)...

shadhna:- mujhe maanf kar dijiye maine aapka dil dukhaya...aur thanku...

vinod:- nahi shadhna...tumhari koi galti nahi...aur ha...is ghar ki laut aai hai...(both hugs...)...

kabeer:- riya oldage romance...perfect couple...(riya and kabeer hi five...shadhna & vinod smiles... and nandini laughs...)...

kabeer apne room me gaya...aaj bhi uska room bilkul waisa tha...koi change nahi aaya tha uske room me...balki uski photos aur jayad lagi hui thi...kabeer apne ghar me apni purani yaadien taza kar raha tha ki uska phone baja...naam dekhte hi uske face me smile aa gayi...

kabeer:- ha baby bolo...

ananya:- kaha ho tum...i m missing u main tumhare office aati hun...dinner sath me kareinge...

kabeer:- nahi main office me nahi hun...aur fir main dinner to karunga par kisi aur ke sath...

ananya:- kya tum mere sath nahi...kiske sath dinner karoge...aur ho kaha...

kabeer:- apne ghar me...sharma masion apni family k sath...tumhari yeh wish bhi puri ho gayi jaan...(ananya has tears...)...

ananya:- sach kabeer...oh i loveee uuu..muahhh...

kabeer:- ha thanku...main bahut khush hu aaj...

ananya:- par yeh hua kaise...?

kabeer:- wo papa aaye the office aur fir...

ananya:- thanku kabeer...chalo jaao unke sath time bitaao...

kabeer:- abhi tak neeche hi tha...mumma aur bhabhi ne khila - khila kar haalat kharab kar di...i mean mujhe lag raha tha chaar saal ka kota aaj hi pura kar deingi...( ananya is laughing...)...i m dam sure 2 ya 4 kilo wait mera badh gaya hoga...

ananya:- awww,...koi nahi..tum mote ho jaoge tab bhi main tumse itna hi pyar karungi...

kabeer:- i know jaaogi...kaha...

ananya:- matalab kya hai tumhara...

kabeer:- kuchh nahi jaan...tumhari saasu maa mujhe bula rahi hai...byee...love u...

ananya:- love u too byeee... (kabeer turns and find riya...)...

kabeer:- ji mam...

riya:- kyun chachu chachi se baat kar rahe the...(kabeer nods in yes...) great choice ha...

kabeer:- best choice...chal neeche chale papa aur naman chachu aate hi honge...(kabeer ne riya ko uthaya aur neeche gaya...they all are chating ki naman aur karan aate hai...both are top of the world by seeing kabeer in the house...)

karan:- mujhe yakeen tha tu aayega...thanku papa...(vinods smiles..karan and naman both hugs kabeer...)...

dinner table...

sabhi kha rahe hai but kabeer ko to bhookh hi nahi hai...isliye wo bas sabse baat kar raha hai...

riya:- dadu...aapse ek baat puchhun...

vinod:- ha puchho...

riya:- ab to kabeer chachu yahan raheinge to chachi ko bhi bula lo na...(all looks her...)...

vinod:- kya...chachi...kaun chachi...(nandini ko hasi aa rahi thi...vinod looks at kabeer and naman...)... kya keh rahi hai yeh...

riya:- ananya chachi aur jaanvi chachi...

vinod:- ananya aur jaani sudheer ki betiyaan...(kabeer aur naman bhagna chah rahe the...)...koi mujhe ab batayega...

nandini:- papa kabeer ananya se aur naman jaanvi se pyar karta hai...aur hum sab chahte hai ki inki shaadi ho jaye...ab kabeer aur naman dono hi shaadi laayak hai...even kabeer to late bhi hai...

kabeer;- oh hello...itna late bhi nahi hun...m 28 not 38...

nandini:- ha ha...papa kya aapko...

vinod:- theek hai...hum kal hi jaake sudheer se baat kareinge...

kabeer & naman:- sach...

vinod;- ji ab khana khaao...

all have their dinner and happily retired to their room...aaj na jaane kitane din baad is ghar me sab itane khush the...

end of part 16
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Thanks for this awesome part
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Fantastic continue soon
Thank for pm
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Awsome great part...ronie or kabir ki convo hahahaha bare maze ki thi apne apse hi baten kye jarahe :p finally in dono ki bich bhi sb kuch thik hogaya :) :) awww kabir ka surprise beautifull <3 aadhi shadi to hogai dono ek bhi hogaye ab puri bhi karahi do shadi...yahoo kabir apne ghar wapis aagaya sb set gogaya g m so happy :) :) ab hogi vilkans ki entry or ab bajegi unki band cont soon
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
wow nice
ananya b'day great yr kya kamal ka gift mila h ananya ko loved it
finally sab ek ho gaye
happy family
cont.soon


love naina

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

7 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

24 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

25 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".