***RN-Humko Tumse Pyar hai***
Part - 12
naina to herself:- bhaiya raj se milne se pehle main pyar par vishwaas tak nahin karti thi... par ab main pyar karne lagi hu rajse...se oh god i m in love with rajveer... no no not rajveer...and not raj for me... he is veer for me...only for me i love u veer...aur ab main tumhari dream girl ban kar dikhaungi... ( naina smiles herself aur jakar so jati hai...)
next day at mess...
sabhi loge baithe hue hai aur kal ki party aur masti k bare me discuss kar rahe hai... shalu naveen ko dekhkar bahut khush hai... but raj apne hi khayalo me khoya hua coffee pee raha tha...tabhi naina aati hai aur unn sab k sath baith kar baatein karne lagti hai...raj ne ek nazar naina ko dekha fir wapas apne khayalo me kho gaya naina ne notice bhi kiya aur sam ko elbow se hit kiya to sam ne puchha...
sam:- hey raj kya hua tum kaha khoye hue ho...
raj:- no sam nothing...
shalu:- kya baat hai raj main subah se notice kar rahi hun tera dhyaan kahin aur hai...
raj:- nahin shalu aisa kuchh nahi hai...i m fine bas apne future ke bare me soch raha hu...
aalekh:- future...?
raj:- ha yar ab bas 6 months ke baad hum sab officers ban jayeinge...sab alag alag ho jayeinge pata nahi kaha posted homge... (naina ka face utar jata hai)
naveen:- ha yar yeh to hai i wish main tu aur aalekh sab sath me hi kahin posted ho...(raj looks at naveen and then turns his face...)...
raj:-aalekh wo main ja raha hun...
aalekh:- kaha?
raj:-wo kuchh din baad main delhi ja raha hun...mom ne bulaya hai kuchh kam hai sayad...
shalu:- oh bc ne permission dedi?
raj:- ha aaj subah hi bat ki thi aur unhone 3 din ki leave di hai...
naveen:- achha tu ja kab raha hai..?
raj( rudely):- 2 din baad...(naveen naina, & aalekh all sence that some thing is wrong with him...)
huda :- achha hai... i mean tu ja raha hai to wapas aate waqt kuchh khane ko lana yar...i mean ghar ka maa kre hanthon ka...
sam:- tujhe khane k siwa kuchh sujhta hai...abhi naveen lekar to aya hai...
huda:- to jyada aa jayega to kya problem hai tujhe...
sam;- mujhe koi peoblem nahi hai par tu kha - kha kar mota ho raha hai huda...
shalu;- are bas karo jab dekho ladte rehte ho...main to chali sone...kal se fir left right left suru ho jayega...
sam:- main bhi...
huda:- main bhi,...
sam:- tu kyun?
huda:- agar tu ja sakti hai to huda kyun nahi aur waise bhi sona to apna janmsidh adhikar hai...main to chala...
aalekh:- nautanki...( all are left there are only raj naina naveen and aalekh... raj bhi uth kar jane lagta hai tabhi naveen held his hand)
naveen:- kya baat hai kya chhipa raha hai...(raj firstly looks at naina then naveen)...
raj:- main kaun hota hun tujhse kuchh chhipane wala...
naveen:- dekh raj natak mat kar... tere chehre pe saaf saaf likha hai ki tujhe kuchh problm hai...
raj( apna hanth jhatakte hue):- ha hain... par tujhe kyun bataun ha...
aalekh;- raj tera dimaag khisak gaya hai kya...
raj:- kuchh aisa hi samajh...( raj wahan se jane lagta hai ki naveen again uska hanth pakad kar rokta hai...)
naveen:- dekh raj... main tujhse sorry to kabhi nahi kahunga agar maine koi galati ki hai to...bcz tu hi kehta hai na jahan pyar ho wahan thankyou aur sorry nahi hota...bata na raj kya baat hai...
raj( with red eyes looking at naveen's ):- agar tu mujhse bate chhipa sakta hai to main kyun nahi...
naveen:- maine tujhse kya chhipaya raj...?main tujhse kabhi kuchh chhipa sakta hun kya...?
raj:- dont do this to me naveen...ha...agar aisi hi bat thi naveen...to tu sabse pehle mujhe batata ki naina teri behen hai...(naveen naina and aalekh were shocked)...
naina:- raj isme bhaiya...
raj:- plzz cadet singh...aap is maamle se door hi rahiye...kahin main kuchh aisa na keh doon ki apke bhai ko bura lag jaye...( tears appears in naian's eyes but she controlled)
aalekh:- raj...plzz aise kyun behave kar raha hai...mana ki naveen ne hume nahin bataya tha par...
raj:- its ok aalekh...main kisi ka lagta hi kya hoon...(to naveen) tune sahi nahin kiya naveen...agar tu mujhe yeh bata deta to aaj wo nahi hota jo...khair..main chalta hun mujhse kuchh kam hai...(raj left)
aalekh:- naveen...
naveen:- dekha aalekh tune... mujhe pata tha aisa kuchh jarur hoga...isliye maine naina tujhse kaha tha mat kar aisa...baki sab tak to theek tha yahan tak ki brig tak bhi mujhe koi problem nahi thi but raj...ab main kya karu aalekh...he hurts...
aalekh:- abe saale janta to hai use...jab use gussa ata hai to wo kisi ki bhi nahi sunta...aur abhi tu usse baat na hi kar to behtar hoga...even abhi kya jab wo apne ghar se wapas aa jaye tab baat karna...uska gussa bahut dangerous hai...isliye...samajh raha hai na...(naveen nods in yes)...aur apun ko pura yakeen hai...ek baar uska gussa utar jaye wo khud tere bina nahi reh payega...sala tere bina shopping to kar nahi sakta...yahan tak ki ladki tak pata nahi sakta...door kya rahega,...(naveen smiles)...aur waise bhi(now looking at naina with naughty smile)uske pyar aur saadi ki gadi teri manzuri ke bina thode na aage badhegi...(naina is muchh shocked with statement of aalekh...)...
naveen:- matalab...
aalekh:- are mere kehne ka matalab yeh hai ki wo humehsa teri hi rai lega...akhir u have a special place in his heart na...to...
naveen:- ha wo to hai...achha main room me ja raha hun...dekhun to sala kar kya raha hai...(and naveen left)
naina:- a ah main bhi ja rahi hun...
aalekh:- ruk...apun ko pata hai... abhi apun ne jo kaha uska matalab tu samajh gayi hai...naina naveen ki tarah tu meri bhi behen hai...aur yakeen maan...tune is duniyaan ke sabse achhe ladke se pyar kiya hai...aur ha agar yeh ullu naveen diya lekar bhi dhundega na,to raj jaisa nahin dhundh payega tere liye...
naina:- thanks aalekh for supporting me...par yeh raj ko kya hua yar...itani chhoti si baat pe aise kyun react kar raha hai...
aalekh thinks:- apun ko sayad pata hai naina ki raj aise kyun react kar raha tha...par abhi apun ko khud raj se clear karna hoga...tab tak apun kuchh nahi kar sakta...
aalekh to naina:- are chhod na hota hai...ab naveen raj ke itana kareeb hai aur usne usse itani badi baat chhipayi to bas chhid gaya hai...dont worry do char din me theek ho jayega...chal ab apun bhi chalta hai..
aur naina aur aalekh bhi chale jaate hai par in dono ko hi nahin pata tha ki koi inaki baat sun raha tha...aur uski ankh me sirf nafarat thi ya yeh kaha jaye jalan ki aag thi...wo koi aur nahi huda tha jo bahut der se in sab ki baat sunn raha tha...
huda thinks:- iska matalab phoolan us raj se pyar...nahi kabhi nahi raj...huda tujhe jeetne nahi dunga...phoolan sirf huda ki hogi...aur ab huda ko uska mohra bhi mil gaya hai jo huda ke bahut kaam aayega...wo koi aur nahi phoolan tera bhai naveen hoga...raj tu to ab gaya...tune huda se dusmani kark bahut galat kiya...ab dekh main kya karta hun tere sath...
aur yahan naveena raj se bat karne ki kosis kar raha tha par raj nahin maan raha tha...thak haar ke naveen bhi chup chap apne kaam me lag gaya...wahan ab aur koi confusion create na ho isliye naina ne sam aur shalu ko khud hi bata diya ki wo naveen ki behen hai jahan sam shocked thi wahi shalu bas mushkura rahi thi...aise hi din beet gaya agle do din bahut hi hectic the...after long 4 days of holidays aur masti ke major nair ne sabhi ki jamk left right left karayi...sab ki drills almost double thi... aur in do dino me raj ki baat na naina se hui aur na hi naveen se... dono ko hi pata tha ki raj ab bhi naraz hai unse...
aaj raj delhi aa gaya hai aur apne ghar me hai...wahi naveen, aalekh aur naina 3no hi raj ke karan udaas hai...raj ki haalat bhi kuchh kam kharab nahi hai yeh baat sabhi ne ghar pe notice ki hai...wo bahut bujha bujha sa tha...aur bina kisi wajah k uska yun ghar aana veena ko kuchh sahi nahi lag raha tha...
rat ka waqt hai aur raj apni window ke pass khada hai...aur chand ko dekh raha hai...
raj thinks:- kyun...kyun main aise behave kar raha hun...kyun main usse door bhag raha hun...bina kisi wajah ghar aa gaya...taki un dono ka samna na karna pade...uss din maine naveen pe itana gussa kiya...jabki asli gunhegaar to main tha...kyun, kyun raj kyun...yeh kya ho raha hai mujhe...kyun bas uska chehra meri aankhon ke saamne ghumta rehta hai...(tabhi ayaan aata hai..)
ayaan:- bhaiya...(but raj is not responding)...bhaiya...bhaiya...(now ayaan shakes him hard)...bahiyaaa...
raj( hadbada kar);- ha kya hua...kya hua...
ayaan;- wahi to main aapse kab se puchh raha hun...ki aapko kya hua hai...
raj;- mujhe kya hona hai ayaan...( aur raj jakar apne bed par baith jata hai...aur phir ayaan bhi...)aja mere sath soja...
ayaan:- wo to main sounga hi...par agar use problem hui to...
raj;- use kise...?
ayaan:- are wahi...
raj:- ayaan...bhala kise problem hogi agar mera bachha mere sath soyega to...( hugs ayaan by 1 side and both are now lying on the bed in sitting position)...
ayaan.:- usi ko jiske baare me aap tab se soch rahe ho jabse yahan aaye ho...
raj;- kya...kya bakwaas kar raha hai...
ayaan:- bhaiya aap mujhe bachha mat samjho...sab samajhta hun main...apko aaye hue 2 din hone ko aaye hai...aur aap parso jaa bhi rahe ho...lekin almost in 2 dino me aapne kisi se bhi pehle jaise baat nahi ki...tai to yeh bhi keh rahi thi ki aap par kisi chudail ka saya bas gaya hai aapki nazar utarni chahiye...( now raj remembers abt naina bcz ek waqt tha jab wo khud naina ko chudail kehta tha...)bhaiya...lo phir kho gaye...
raj:- ha kya hai...aur aisa kuchh nahi hai... main naina k bare me bilkul nahi soch raha.. tu bhi na...
ayaan(smiling):- bhaiya yeh naina kaun hai?(raj bites his lips)...
raj:- are koi nahi...
ayaan:- chalo manoge to nahi...par aapko us chudail se pyar ho gaya hai(dhamake on raj's face )...aur ha chudail ka naam to bahut achha hai...naina...the chudail...
raj;- chup mere baap aisa kuchh nahi hai...mujhe us chudail se pyar kabhi nahi ho sakta...aur sahi kaha tune wo 1 no ki chudail hai...ab soja...aur khabardaar jo kisi ko bhi kaha to uske bare me...
ayaan(with naughty smile):- kiske baare me?(now raj give a deadly look to ayaan)...oh ok main ab chudail ka naam bhi nahi lunga...
raj;- good boy...(and both slept in each other arms)...
veena muskurate hue apne kamre me jati hai tabhi vikash puchhta hai...
vikash:- kya baat hai veena...itana mushkura kyun rahi ho...
veena;- baat hi kuchh aisi hai...
vikash:- are hume bhi to bataiye ki humari itani khubsurat biwi itana mushkura kyun rahi hai...kahin koikhush khabri to nahi...(vikash winks at veena)
veena:- kya aap bhi is umara me kaisi baatein karte hai...aur aap sayad bhul rahe hai ki ab humare dada dadi banne ki umra ho gayi hai...apka beta 24 baras ka ho raha hai...
vikash:- ha wo to hai...par tum itana mushkura kyun rahi ho...
veena;- are wo main na jab raj aur ayaan ko dudh dene gayi na tab...(then veena told him was she heard at the door of raj's room..)
vikash:- yeh to bahut galat baat hai...tum chhip kar apne bete ki love story sunti ho...
veena;- are maine jaan bujhkar thodi na suna...par jo ayaan ne kaha...mere mann mein bhi wo baat aayi thi...but raj ne hadbadi me khud keh diya ki wo kisi naina ke bare me nahi soch raha tha...iska matalab...uski zindagi mein koi naina naam ki ladki hai...jiske baare me wo sochta hai...main to bas yahi dua kar rahi hun...ki wo ladki bhi mere raj ko chahti ho aur mera raj jald se jald use yahan meri bahu bana kar le aaye...
vikash:- ohhh...control veena...abhi waqt hai...abhi sabra karo...mujhe humare bete aur tumhare diye hue sanskaro pe poora yakeen hai ki raj koi bhi galat kaam nahi karega...aur waqt aane pe wo khud hume uss ladki ke bare me batayega...
veena:- par...
vikash:- kya par...
veena:- us chandra mukhi ka kya...raj ne abhi tak uske bare me kuchh nahi bataya...chudail ke bare me na sahi par is chandra mukhi ke bare me main raj se jarur puchhungi...
vikash:- chudail...ab yeh chudail kaun hai...(now she bites her lips)...
veena:- wo raj naina ko chudail keh raha tha...
vikash:- hey bhagwaan is ladke ka kya hoga...jis ladki ko pyar karta hai use chudail kehta hai...kitna pyara naam diya hai...veena kahin yeh naina sach much chudail jaise to nahin dikhti...
veena:- kya aap bhi...mera raj inaa sona hai...wo apne liye koi soni kudi hi dundega...chaliye ab so jaiye...
dusri taraf naina ki restlessness badhti hi jaa rahi hai...use kuchh bhi achha nahi lag raha hai raj ke bina...aur isliye sam use khub tease bhi karti hai par naina hai ki wo bas ab raj se milna chahti hai...ab naina ko do hi dino me ehsaas ho gaya hai ki wo raj ko kitana chahne lagi hai...aur huda uske dimaag me bas raj ko sabak sikhane ka plan chal raha hai...aur naveen yeh soch raha hai ki wo raj ko kaise manaye...
next day...afternoon...
sabhi cadets ki drill chal rahi hai...aur huda ki nazar bas naina par hai...aur dusri taraf aalekh yeh notice bhi kar raha hai...uska mann huda ko 2 4 dene ko kar raha hai...sam ne bhi notice kiya hai ki huda ka behaviour pichhle 3 dino se kuchh azeeb sa ho gaya tha...but she ignored...naina ka mann to nahin lag raha tha par aalekh ne use bata diya hai ki raj kal subah tak aa jayega...isliye naina bahut khush hai...
yahan raj apni family ke sath lunch kar raha tha...aur yunhi kuchh batein chal rahi thi...
santa tai:- le raj puttar yeh palak paneer to le...maine tere liye khas ghee dal kar banai hai...kha na...kitana dubla ho gaya hai... wo khasmanukhaniye...kma wale tujhe khane ko nahi dete kya...
raj;- aisa nahi hai tai...main bilkul fit hun...aur kma me bhi khane ko milta hai...
vikash:- to raj...ab to bas 6 mahine aur ha...then u will be my proud soldier...
raj:- yes dad and its just bcz of u and mom...
vikash:- nahi bete jo kiya hai...apne apni mehnat se kiya hai...aur humein us din bahut garv hoga jab aap bahut bade sipahi baneing...
raj;- ya ofcrs dad...
ayaan;- dad main bhi...kma jaunga bada hokar...aur raj bhaiya jaise uniform pehnunga...
raj;- yeh hui na baat meri jaan...( he kissed on his forhead)...mom aapko kya hua?
veena:- raj us chandramukhi ka kya hua...kahin wo jo keh rahi thi...( raj choks his food) are sambhal ke beta...
santa tai:- ha ha bol kahin tu sachmuch to baap...
raj:- kya tai aap bhi... aur mom maine kaha tha kisi ne mujhse badla lene k liye mazak kiya tha...aur ab aap loge bhul jao yar...koi chandramukhi nahi hai...
ayaan wishpers in raj's ears:- aur chudail?
raj:- chup be...
veena:- kya...
raj:- kuchh nahi mom...ah mom wo main kal early morning 4 baje ki flight se hi chal jaunga...bcz mujhe subah report karna hai...to aap meri packing kar dena...
veena;- ok beta...aur ha maine bahut sara nasta banwaya hai specially aalekh aur naveen ke liye ha...unko achhe se khilanaa...
raj:- ji mom...
now its next day...raj on flight...
raj thinks:- kash - kash naveen ne mujhe naina ke baare mein bata diya hota to...why naveen...ab main kya karu...kaise kahu main naveen ko ki... naveen maine tera bharosha tod diya...apni jis behen ko tu mere sahare chhod kar gaya tha...mujhe usi se pyar ho gaya hai...ha sahi kaha ayaan ne i m in love with naina...bahut pyar karta hun tumse... par kaise aur kyun hua mujhe naina se pyar...kyuki wo bilkul bhi waisi nahin hai jaisi ladki ke sapne maine dekhe the...ha she is beautiful par...par ab kya ho to gaya hai...par kya naina bhi...nahin kya fark padta hai...main apne aap se wada karta hun kabhi kisi ko pata nahi chalega ki main naina se pyar karta hu...main tera bharosha kabhi nahi todunga naveen...mujhe manf karde yar us din apna gussa maine tujh par nikal diya tha...par now i m sure mujhe kya karna...mujhe bas ab naina se door rehna hai...
raj ki flight land karti hai aur fir wo local bus lekar ambala pahuchta hai...now he is standing on KMA's main gate...
end of part 12
plzzz do comment...
with love chandni...
**********************************************************
**********************************************************
44