ARFF Dard E Dil part25-28 uptd (COMPLETED) - Page 18

Created

Last reply

Replies

219

Views

27.5k

Users

35

Likes

489

Frequent Posters

desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: kajenlife

wonderful parts

continue soon


Originally posted by: -Xpress-

This is interesting <3


Thanku so much..!!
i am glad u liked it..:)
keep reading
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago


Thanku so much..!!
i am glad u liked it..:)
keep reading
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: mish2427

Amazing...!!!

Loved 'em!



Thanku so much..!!
i am glad u liked it..:)
keep reading
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: ZIKRASHAH

Hey nice part dear.
I just hate armaan.
how can he accuse riddhima.
just hope he know the truth soon.
thnx fr d pm.
plzzz cont soon.


Thanku so much..!!
i am glad u liked it..:)
keep reading
yoga123 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Superb chapter...thanks for the PM
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
photo 10419065_862620460431958_3785590817448191034_n_zps477ae625.jpg



Part20

(armaan jab rohan ko apni ankhon ke saamne khada dekhta hai...to use boht gussa aa jaata hai..aur use vo din yaad aata hai..jab usne riddhima aur rohan ko ek saath dekha tha...armaan rohan ka collar pakadkar gusse me usse kehta hai...)
Armaan- teri himmat kaise huyi yha aane ki...
(rohan calmly armaan se kehta hai...)
Rohan- armaan sirf ek baar baat karni hai..tumse please...bas ek baar meri baat sunlo...
Armaan- ek aur lafz nhi...varna tujhe khud pta nhi.chalega...ki tu kab hospital ke bed par pohch gya...yha se jaa...abhi...
(armaan rohan ka collar pakadkar ise dossri taraf phekte huye kehta hai...rohan khud ko sambhalkar piche mudta hai..aur ab bhi calmly armaan se kehta hai...)
Rohan- nhi jaunga...jab tak tumhe sach nhi btadu tab tak nhi jaunga...
Armaan- sach..aur kya sach janna baki reh gya..hai sab jaanta hu me tere aur riddhima ke baare me..
Rohan - jo tum samajh rhe ho vaisa kuch nhi hai..yeh sab ek jhoot hai...
(armaan sarcastic smile karte huye kehta hai...)
Armaan- kya hua..paise khtm ho gaye..jo tu apna natak phir shuru karne aa gya...ya yeh tera aur riddhima ka ek aur plan hai...par is baar me tum dono ka plan kabhi kamyab nhi hone dunga..yha se chala ja...rohan...
Rohan- armaan jaisa tum smajh rhe ho vaisa kuch nhi hai...
(rohan apni baat complete karne hi vala hota hai..ki armaan use ek zor se punch maarkar chillata hai)
Armaan- YHA SE JAAA...
(rohan ke mouth se thodi bleeding hone lagti hai...par phir bhi.vo calmly khada hokar emotionally armaan se kehta hai...)
Rohan- aur maar armaan mujhe jo mene kiya uske liye yeh boht kam hai...me isse bhi bura deserve karta hu..aur shayad isiliye kismat ne mere saath aisa khel khela...hai..kyuki mene ek aisi ladki ke daman me dag lagaya tha..jo bilkul pavitra hai...ek aisi ladki ko badnaam kiya jo mujhpar bharosa karti thi..mene apni bachpan ki dost ke saath vo sab kiya hai...jo koi apne dushman ke saath bhi nhi karta hai...aur maar armaan mujhe isi ke layak hu me...
(armaan rohan ke munh se yeh sab sunkar boht confuse ho jaaga bai... vo confusingly rohan se kehta hai..)
Armaan- yeh kya keh rha hai..tu saaf saaf bta...
Rohan- armaan.. Aaj me yha paiso ke liye nhi aaya hu...aaj me yha ek ladki jo mujhe apna bachpan ka dost maanti thi...us ladki ki izzat par jo meri vajah se daag laga hai..vo mitane aaya hu...aaj me tujhe sach btaane aaya hu...
Armaan- kaisa sach...
Rohan- 6 saal pehle ka sach...6 saal pehle jo tumne dekha tha vo sach nhi tha armaan...mere aur riddhima ke beech na kuch tha na hoga...kyuki us ladki ne sirf ek hi insaan se pyaar kiya hai..aur vo tum ho...vo to kisi aur ke baare me soch bhi nhi sakti hai...us shaam jab tum office se aye the usse pehle...mene riddhima se coffee bnane ke liye kha tha...aur jaan bhoojkar vo coffee mene riddhima ke duppatte par gura di thi...aur uska duppatta apne haath me le liya tha..aur mene hi riddhima ko khud ke upar giraya taaki tumhe puri tarha yakeen ho jaaye...ki riddhima aur mere beech kuch chal rha hai...mene yeh sab kuch paiso ke liye kiya tha...jo ki sab jaante hai..ki me paiso ke liye kuch bhi kar sakta tha...yehi sach hai armaan yeh sab kuch ek plan tha ek socha samjha plan...riddhima ka mere upar girna...usi time tumhara hume yuh dekhna...sab kuch pehle se plan tha armaan sab kuch...aur mujhse yeh kaam karne ko aur kisi ne nhi..tumhari khudki MAA ne kha tha...aur tumhari us bestfriend Sia ne...vo dono hi tumhe riddhima se alag karna chahte the..unhone hi mujhe..yeh sab kuch karne ke paise diye..the...
(armaan yeh sunkar boht zyada shock ho jaata hai..vo kaapti zabaan se rohan se puchta hai..)
Armaan- yeh..yeh...yeh kya bakwaas kar rha hai...aisa.. Aisa kaise...kaise ho skata hai..aisa..maaa...?? Nhi.. Aisa nhi ho sakta tu..jhoot bol rha hai...maan
aisa nhi kar sakti hai...
Rohan- me jhoot nhi bol rha hu armaan...jhoot to vo tha. .jo 6 saal pehle tumhe dikhaya gya tha..aaj jakar to mene sach bola hai..yhi sach hai armaan yhi.sach hai..
Armaan- agar yeh sach hai..to ab kyu..ab kyu btaa rha hai..mujhe..6 saal pehle kyu nhi btaya.. Nhi maa aisa nhi kar sakti hai...meri maa aisa kabhi nhi kar sakti hai..
Rohan- tumhari maa ne aisa kiya hai armaan...aur ha..boht badi galti nhi...gunaah kiya tha 6 saal pehlr mene us masoom ladki ke saath...kya karta jab mujhe kisi se pyaar nhi hua tha...nhi jaanta tha pyaar ko khona kya hota hai...isi gunaah ki saza di hai..mujhe us khuda ne...jis ladki se mene khud se zyada pyaar kiya...use is duniya se bulakar us khuda ne mujhe is gunaah ki saza dedi...jiss ladki se mene pyaar kiya use cancer tha.. Vo ab is duniya me to nhi..hai..par mere andar abhi bhi khi na khi vo hai...aur usi ke pyaar ne mujhe yeh ehsaas dilaya hai...ki mene riddhima ke saath kitna galat kiya...aur usi ka praashchit karne aaya hu me armaan...me riddhima se maafi mangna chahta hu...aur mene use dhoondne ki bhi koshish ki..par vo mujhe kahi nhi mili..isiliye me tunhare paas aaya hu..tumhe sach btaane...vo ladki bilkul pak hai armaan uske andar zara bhi maail nhi hai..use to kuch bhi nhi pta tha..ki uske saath kya hone wala tha...tumhari maa aur tumhari dost ne..yeh sab plan kiya tha. Taaki vo tumhe usse door kar sake aur tum usse nafrat karo...aur mujhe afsos hai..ki me bhi is plan ka hissa tha...me tumse yha sirf itma hi kehne aaya tha.. Ho sake.to mujhe maaf kar dena..i am really very sorry...
(yeh kehte waqt rohan ki ankhon me ansoo hote hai...aur vo bas itna kehkar vha se chala jaata hai...armaan ko shock me chodkar...armaan ko kuch bhi samajh me nhi aa rha hota hai...vo.shock me hi ghar ke andar riddhima aur apni achi yaadein yaad karta hua jaata hai..ki use ek room se kisi ke bolne ki awaaz aati hai...vo us taraf jaata hai..to dekhta hai. Ki room me sia aur trishna...bag unpack kar rhe hote hai...aur riddhima ke baare me baat kar rhe hote hai..vo ruk kar vhi shock me khade hokar unki baatein sunta hai.. )
Sia- .jab se vo riddhima gyi thi na..armaan bilkul chup ho gya tha.mujhe nhi kaga tha armaan mujhse shaadi ke liye maanega. .but aunty..you are too good finally aapne armaan se mere aur uske baare me baat kar hi li...
Trishna- oh please sia...is riddhima ka naam to mere samne mat lo..mujhe uske naam se bhi nafrat hai...aur vese bhi jo haal mene us ladki ka kiya tha na...uske baad to vo...kabhi yha aane ke baare me dobara sochegi bhi nhi...
Sia- aap bilkul shi keh rhe ho aunty...us ladki ki halat dekhne layak thi..bechari armaan se bheek maang rhi thi..ki vo uspar yakeen karle...par hamara plan itna powerfull tha...ki armaan ko us riddhima par bilkul yakeen hua hi nhi...boht pyaar ke bade bade dawe karti thi na...par jisse vo pyaar karti thi..use to uspar yakeen hi nhi tha..hahaha...
Trishna- hahaha...adhakke dekar use is ghar se bahar nikala tha mene...aur iska ilzaam bhi mene us bechari riddhima par hi dal diya...mene armaan se kha..ki.vo us rohan ke saath bhaag gyi hai..and armaan ne believe bhi kar liya...hahaha...vo mere bete ke layak kabhi thi.hi nhi...acha hua...jo iske saath vo sab hua...hahaha
(armaan yeh boht zyada shock ho jaata hai..uski ankh se ek ansoo gir jaata hai..aur vo shock me girne hi wala hota hai...ki vo door pakad leta hai...aur door khul jaata hai..sia aur trishna door ki taraf armaan ko kahda dekhkar shock ho jaate hai...aur armaan bhi bas unhe shock aur hurt face se dekhta rehta hai...)

Part21

(trishna aur sia door par armaan ko dekhkar shock ho jaati hai...par sia ghabrate huye kehti hai..)
Sia- armaan...tum aa gye...vo.. Vo na hum tumhe surprise dena chahte the isliye..jaldi aa gye...aaona...bahar kyu khade ho...
(sia aur kuch bolne hi wali hoti hai...par armaan use gusse bhari ankhon se dekhta hai...to vo chup ho jaati hai...trishna dari hui vhi khadi hoti hai...armaan hurt face se trishna ke paas aakar khada hota hai...aur usse kehta hai...)
Armaan- kyu...?...kyu mom kyu. .?
(trishna darte huye armaan se kehti hai..)
Trishna-k..k...kya hua b... Beta...
(vo uske shoulder par haath rakhne hi waali hoti hai...ki armaan piche ho jaata hai..trishna is baat se aur dar jaati hai...)
Armaan- kyu kiya aapne aisa...aap...aap aisa kaise kar sakti hai.. ..aap to sab jaanti thi na...(phir vo shout karta hai...) sab jaanti thi na.aap..ki me riddhima se kitna pyaar karta hu...phir kyuuu...???
(trishna armaan ko aise chikte huye dekhkar dar jaati hai...sia armaan se kehti hai...)
Sia- armaan jaisa tum samjh rhe ho.vaisa kuch nhi hai..
(armaan sia ki awaaz sunkar bhi trishna ko hi dekhta rehta hai...par vo gusse me sia se kehta hai...)
Armaan- GET OUT...
Sia - armaan me...
(armaan sia ko gusse me dekhte huye.chillata hai...)
Sia- nikal jao yha se...aur agar aaj ke baad tum mujhe is ghar me dikhai di na...to dhakke markar is ghar se bahar nikalwa dunga...NOW GET OUT...
(sia ne armaan ko kabhi itne gusse me nhi dekha hota hai...vo armaan ke gusse se dar kar... Chup chaaap vha se chali jaati hai...trishna armaan se kehti hai..)
Trishna- armaan beta...
(armaan gusse me aur hurt face se trishna ko kehta hai...)
Armaan- BETA... Mat kahiye mujhe...aapke munh se yeh word bhi gaali jaisa lagta hai...
Trishna-.armaan me tumhari maa hu...
Armaan- nhi...aap meri maa nhi ho sakti hai...meri maa aisi nhi ho sakti hai...aap ek aurat hai na...to kaise kar sakti hai..aap doosri aurat ke saath aisa...kyu... Kiya aapne aisa..kya bigada tha riddhima ne aapka...
Trishna( chillakar kehti hai..)- nafrat karti hu me usse...vo cheen rhi thi tumhe mujhse..alag kar rhi thi tumhe mujhse..vo tumhare layak nhi thi armaan mene jo kiya tumhari khushi ke liye kiya...tum koi boht accha deserve karte.ho armaan vo anaath ladki tumhare layak nhi thi...nhi thi vo tumhare layak...tum india ke itne bade buisness tycoon aur vo...ek orphanage me pali badi ladki...nhi hai vo tumhare layak...nafrat karti hu me usse isliye kiya maine yeh sab...cheen liya maine usse uska pyaar...
(armaan trishna ke munh se yeh sab sunkar shock ho jaata hai...aur hurt face se calmly kehta hai.)
Armaan- aap riddhima se nafrat karti thi isliye aapne usse uska pyaar cheen liye? par me mom...me to aapka khud ka beta hu...aapne to khud mujhe janam diya hai...kya aap mujhse bhi nafrat karti thi..??
Trishna- nhi armaan...
(armaan trishna ko bolne nhi deta hai..aur zor se chikhta hai...)
Armaan- To kyu mom...mujhse nafrat nhi karti to.. Kyu cheen liya mujhse mera pyaar...aap jaanti thi na.. Me riddhima se kitna pyaar karta hu.. Pichle 6 saalo se dekh rhi thi na..aap mujhe...pal pal tadapte...riddhima ki yaad..me... Aapko zra bhi nhi laga..zra bhi dard nhi hua...ki aapka beta apne pyaar ke liye tadap rha hai...apni galti sudharkar usko uska pyaar vapas kardu...zra bhi khyal nhi aaya na..mom...aisa kya bigada tha mom riddhima ne aapka...aapne yeh nhi socha...ki mere baad vo kha jayegi...kaise jiyegi..(armaan phir rote huye...bolta hai...rote rote uski awaaz bhi thik se nhi nikal thk hoti hai..).pichle 6 saal pta nhi kin kin halaton se guzri hogi..mom vo...aapko pta hai mom...ek 5 saal ki beti hai meri...boht.choti hai...use smabhala in 6 saalo me riddhima ne...jis waqt use meri sabse zyada zarurat thi...us waqt me uske.saath tha hi nhi...aapne use ghar se nikal diya mom...meri zindagi se bahar phek diya...aapko pta hai..mom jab aapne use ghar se nikala na...us waqt meri antara thi uske pet me...meri beti thi uske pet me...pta nhi kha kaise...yeh 6 saal guzare hai usne...kaise halato se guzri hogi vo mom akele. Bilkul..akele...(armaan se aur kuch bola nhi jaata hai..aur vo rote huye niche zameen par beth jaata hai...trishna ki ankhon me bhi armaan ko aise dekhkar ansoo aa jaate hai...)
Trishna- armaan...mene jo kiya tha tumhare liye kiya tha beta...
(par armaan niche zameen par bethkar rote hi rehta hai...trishma bhi rote rote armaan ke shoulders par haath rakhti hai...par armaan jab trishna ka haath uske shoulder par feel karta hai...to vo.uska haath jhatakte huye...khada ho jaata hai...uski ankhen rone aur gusse se puri red ho gyi.hoti hai...vo gusse me... Uthkar vha se chala jaata hai..aur trishna vhi khadi hui roti rehti hai...idhar armaan rote hua terrace par aata hai...aur zor se rote huye cheekne lagta hai...phir vo khud se rote huye kehta hai...)
Armaan- kaise kar sakta hu me aisa...yeh kya kar diya maine...vo mere saamne gurgirati rhi...roti rhi...kaise nhi vishwas kiya maine...kitna kuch keh gya mai riddhima tumhe aur tum sunti gyi...me kaise keh sakta hu ki me tumse pyaar karta hu...pyaar to tumne kiya...aur me...?kaise itna gir gya ki me...tumpe shaq kar betha...kitna saha hai tumne riddhima...mene tumse tumhara sab kuch chin liya...tumhara pyaar... Tumhara vishwaas... Tumhara ghar tumhari hasi...sab cheen liya maine tumse riddhima I am sorry.. Kis munh se tumhare saamne aau me...ghin aati hai mujhe khud se kaise soch sakta hu tumhare baare me main aisa...kaise...? Me kya karu...kaise maafi mangu tumse. Nhi ho rhi hai himaat tumhare saamne aane ki...kya kya nhi kha maine tumhe..?.kyu nhi btaaya sach.mujhe riddhima kyu nhi boli kuch..?..tum kyu bologi...kyu saafaai deti tum.. Tum to hamesha se sacchi rhi ho.. Tumhara pyaar to hamesha se saccha rha hai..shaqqi to me..tha...jhoota to mera pyaar tha..jo tumpar tumhare pyaar par vishwaas nhi kar paaya...i am sorry riddhima I am sorry...i am really sorry...
(armaan vhi rote huye...beth jaata hai...)
IN EVENING

(riddhima hospital me antara ko soup pila rhi.hoti hai...ki antara usse puchti hai..)
Antara- mumma antara ke papa kha hai...
Riddhima- mujhe nhi pta antara..aap soup piyo...
Antara- but mumma aapko pta hona chahiye...na..saari mummy's ko pta hota hai..ki papa's kha hai..to aapko bhi pta.hona chahiye na...
Riddhima- huh..? Yeh aapko kisne sikhaya ab?
Antara- kisi ne nhi antara ne ek movie me dekha tha...antara ko sab yaad rehta.. U know na...antara is soo intellegent..
Riddhima- ha..ha...i know...aap kuch zyada movies nhi dekhne lagi hai aajkal...aapka tv timing kam karni padegi...
Antara- no way mumma..agar aapne aisa kiya na...to me papa se aapki.shikayat karungi..aur phir.vo aapko daatenge...
Riddhima- to..?? Aapko lagta hai..me aapke papa se darti hu...me unse darti nhi hu..ok..
Antara- ok..ok...vese mumma papa ne mujhse kha.tha...ki vo aaj raat tak mujhe ghar le jayenge..papa ab tak aye kyu nhi...?
Riddhima- aate hoge antara...chlo soup khatam ho gya na...ab aap rest karo..papa ayenge..to me aapko utha.dungi...aur.vese bhi aapko rest ki.zarurat hai..varna doctor uncle kabhi discharge nhi denge..
Antara- dont worry..antara ke papa superhero hai..vo kuch bhi kar sakte hai..i know..vo mujhe.is.boring place se le jayenge...
Riddhima- antara...
Antara- ok mumma kar rhi hu...rest
(Antara bed par letkar apni ankhen band kar leti hai...aur riddhima soch ne lagti hai..)
Riddhima- armaan ab tak aaya kyu nhi...usne to kha.tha...ki vo doctor se baat karkar discharge kara lega...mujhe to tumse kuch expectations hi nhi hai...hope tum antara ka trust na todo armaan use tumse boht expectations hai...tumne jo mujhse kha.uske baad me tumhare saath tumhare us ghar zarur aungi...jis ghar ne mujhe itni saari kadvi yadein di hai..jise me chahkar bhi nhi bhool sakti ...par sirf antara ke liye...kyuki agar antara hi meri life me nhi hogi...to phir me kiske liye jiyungi...tum sab kuch mujhse cheen chuke ho meri khushi...meri zindagi ...mera dil...mere dil ko to tumne todkar uske 100 tukde karkar phek diya hai...par... Par me antara ko tumhe mujhse nhi.cheenne dungi...yeh alag baat hai ki me tumse nafrat karti hu..par antara ke liye mera pyaar tumhare liye us nafrat se kahi zyada hai...sirf antara ke liye me tunhare saath aungi...tums hi.the...hum ek chat ke niche to.rahenge..par sirf ajnabiyo ki.tarah...kyuki.hum usse zyada ab kuch ho bhi nhi sakte hai...ab hamare beech kuch nhi hai..kuch bhi nhi...

AR FF Dard E Dil By Anika

Part22

At Night
(antara bed par so rhi hoti hai...aur riddhima baar baar door ko dekh rhi hoti hai..riddhima khud se kehti hai..)
Riddhima- armaan kyu nhi aaya ab tak...usne to kha tha...ki vo raat ko antara ko discharge kra dega..ab tak to usne doctor se bhi baat nhi ki hai...akhir yeh hai kha..antara bhi wait karte karte so gyi..
(riddhima yeh sochh rhi hoti hai...ki tabhi vo dekhti hai...ki corridor me armaan doctor se baat kar rha hota hai...vo uthkar armaan ki taraf badti hai...armaan doctor se baat kar rha hota hai...doctor armaan se kuch baat kar kar vha se chale jaate hai...armaan mudta hai..to dekhta hai ki riddhima uski taraf bad rhi hai...riddhima ko dekhkar uski ankhen bheeg jaati hai..aur use purani riddhima se khi baate yaad aati hai...)

" kaisa itna gir sakti ho tum..itna sab karne ke baad.bhi..tumme itni si bhi sharam nhi ki jo kiya..uske liye mafi hi maanglu...par tum kyu maafi.mangogi...tum to sirf dhoka dena jaanti ho...tum jaisi ladkiya paiso ke liye kuch bhi kar sakti ho.."

" mujhe to pta hai..ki tumhari koi izzat hi nhi hai..kam se kam duniya walo ko to is dhoke me jeene do...ki tum ek izzatdar ladki ho..."

" mujhe to khud par sharm aati hai..jo mene tum jaisi ladki se pyaar kiya..tum kitna gir gyi ho..kitna badal gyi ho..."

" koun hai uska baap...vo rohan...ya phir koi aur hai..."

" tumhe kya pta. Ki dard kya hota hai...itne saalo se araam se to jee rhi ho tum...har pal to yha me mar rha tha...sirf tumhari galti ki wajah se..."

" vese bhi yeh to kisi bhi insaan ko shaq ho sakta hai..na..kyuki tumhari reputation hi aisi hai..jo aurat apne pati ko kisi aur mard ke saath dhoka de sakti hai...uske baare me to aisi hi soch hogi na sabki..."

" isiliye farq padta hai...kyuki nafrat karta hu na..tumse...tumhe aur koi.chot de bardaasht nhi hota...me khud tumhe chot dena chahta hu.."

" yeh ummeed bilkul mat rakhna..ki me tumhe apnaunga...kyuki us ek chat ke niche rehne ke baad bhi hum ajnabee se zyada aur kuch nhi honge.."

(yeh sab sochte hi armaan ki ankh se ansoo nikal jaate hai...aur riddhima armaan ki ankh se ansoo nikalte huye dekhkar chalte chalte vhi ruk jaati hai...dono ek dusre ko dekhte rehte hai...thodi der baad riddhima aage badkar armaan se awkwardly kehti hai..)
Riddhima- tum... Mm..tum thik ho..?
(armaan apna sir niche karkar ansoo saaf karkar riddhima se guilty way me kehta hai..)
Armaan- ha..thik hu...kyaa tum thik ho..?
(riddhima armaan ki apni taraf concern dekhkar shock ho jaati hai...aur kehti hai..)
Riddhima- ha.. Me me..bhi thik hu...vo..mm...vo doctor se kya baat.hui..tumhari vo discharge..?
Armaan-.ho jayega...par kal subha..kal subha le jaa sakte hai..hum antara ko...(armaan apna face upar karkar riddhima ki ankhon me dekhkar kehta hai..)HAMARE ghar...
(riddhima yeh sunkar aur shock ho jaati hai par phir vo himmat kehkar kehti hai..)
Riddhima- U mean...TUMHARE ghar..
(armaan yeh sunkar apni ankhen kuch second ke liye band kar leta hai..phir vo apni ankhen kholkar kehta hai..)
Armaan- hmm...tum chalogi na...hamare saath...?
Riddhima- tumne aur kuch raasta chod hi kha hai mere liye...chalna nhi chahti hu..par phir bhi chalna padega...
(yeh kehkar riddhima piche mud jaati hai...aur jaane lagti hai...par armaan uska haath pakadleta hai..riddhima shock ho jaati hai...aur piche mudti hai...armaan usse kehta hai..)
Armaan- Tumse kuch Baat karni hai...Mujhe...
Riddhima- haath choro...
(riddhima Ke kehte hai..armaan uska haath.chor deta hai...)
Armaan- sorry...vo baat karni hai...
Riddhima- Antara se related baat hai...??
Armaan- mm..nhi..vo..
Riddhima- to zarur kuch kadvi baate sunani.hogi tumhe mujhe..mere character ke baare me kuch bura bhala kehna hoga...dekho armaan...ab kuch din hum saath hi hai..jitni marzi galiya deni hai..de dena..aaj raat thodi sukoon ke saath bitane do mujhe...please.
(yeh sunkar armaan ki ankh phir bheeg jaati hai...aur vo sir niche karkar kehta hai...)
Armaan- kuch bura nhi kehna chahta hu tumse riddhima...kuch.. Kuch aur baat karni hai...
(riddhima armaan ko itna calmly behave karte huye dekhkar confuse ho jaati hai...armaan usse kuch kehne aage bad hi rha hota hai..ki nurse doosre room se nikalkar hatho me samaan liye undono ke beech me aa jaati hai...aur armaan se takra jaati hai...nurse ke haath me jo...samaan hota hai..jisme scissors hoti hai..(i dont know doctors kya kya use karte ho so sorry..for this..)vo riddhima ke haath par lag jaati hai..aur riddhima ke haath se thoda sa khoon nikalne lagta hai...)
Nurse- sorry...aap andar chale jaaye cotton hai..choti si chot hai thik ho jayegi...vo emergency hai mujhe jaana hoga...
(nurse yeh bolkar vha se saaman uthakar chali jaati hai...armaan riddhima ke haath se khoon nikalta dekhakr panic ho jaata hai.aur uska haath pakadkar kehta hai...)
Armaan- riddhima kitna khoon beh rha hai...
Riddhima( riddhima armaan ko aise ghabrate huye dekhkar confusingly kehti hai..)- me thik hu armaam itni badi chot nhi hai..thik ho jayegi...
(riddhima apna haath chutakar andar room me chali jaati hai..aur.cotton uthakar apna blood saaf karne lagti hai..par blood uske hand me piche hota hai..isliye use thodi problem ho rhi.hoti hai...vo koshish kar rhi.hoti hai..ki armaan akar cotton ball usse leleta hai..riddhima piche mudkar armaan ko dekhkar usse kehti hai..)
Riddhima- me kar lungi armaan...vapas do mujhe...
Armaan- me kar deta hu riddhima...meri vajah se tumhe yeh chot lagi hai..me.. Me kar deta hu..
(riddhima aarmaan ke behviour se confuse ho jaati hai...aur use blood saaf karne deti hai..aur man me.sochti hai...)
Riddhima- yeh ise kya hua hai subha tak kuch aur hi tha aur ab aaya hai to kuch aur hi hai..mere saath itna accha behave kyu kar rha hai yeh...
(blood saaf karna band kar deta hai...aur riddhima ko dekhta rehta hai..riddhima armaan ko khud ko dekhte huye dekhakr vo bhi use dekhne lagti hai..aur dono ek dusre me kho jaate hai...)
BACKGROUND MUSIC

DIL KHI RUKTAA...NHI...
Dil khi jhukta... Nhi...
Chalta hi jaaye teri ore...
Dil meri sunta nhi...
Hooo...
Saari hawao me hai...
Mehki fizaon me hai...
Tera aur mera fasaana...
Hooo...
Jaanu me bhi yeh ...
Jaane hai tu bhi yeh...
Jaane yeh saara zamaana...
Hooo...
Kabhi kam na hogi yeh chahte..
Pal pal badi yeh hai mohabbatein...(2)
(riddhima phir dream world se bahar aati hai aur armaan se door ho jaati hai..armaan bhi riddhima ko door jaata dekh dream world se bahar aa jaata hai...riddhima boht awkward feel kar rhi hoti hai..vo bina kuch kahe...room se bahar jaane lagti hai..par riddhima ko bahar jaata dekh armaan use piche se kehta hai..)
Armaan- riddhima...
(riddhima ruk jaati hai..par piche nhi mudti hai..armaan usse kehta hai..)
Armaan- riddhima tumse kuch bat karni.thi...
(riddhima piche mudne wali hoti hai...armaan use mudta dekhkar kehta hai..)
Armaan- meri taraf mat dekho riddhima khi...me kuch bol hi na pau..kyuki yeh baat me tumhari ankhon me dekhkar nhi keh sakta hu...
(riddhima yeh sunkar nhi mudti hai..aur confuse hokar bina mude hi kehti hai..)
Riddhima- armaan jo kehna hai jaldi kho..antara vha akeli hai...
Armaan- riddhima.. Me tumse...me tumse yeh kehna.chahta.hu...bas..bas tumse yeh yeh kehna chahta hu...ki...I AM SORRY RIDDHIMA
(riddhima armaan ke munh.se apne liye sorry sunkar shock ho jaati hai..aur piche mud jaati hai..)


EPISODE 23

(Riddhima armaan ke munh se sorry sunkar piche mudti hai...aur armaan ke guilt face ko dekhti rehti hai...vo smajh jaati hai. Ki armaan ko sach pta chal gya hai.. Uski ankh se ek ansoo gir jaata hai...vo vapas mudkar jaane lagti hai..par armaan jaldi se akar piche se uska haath pakad leta hai... riddhima armaan se kehti hai)
Riddhima- please armaan..kuch mat kaho...
Armaan - kehno do..riddhima.. Agar aaj nhi bola to shayad phir kabhi nhi bol pau...aaj mujhe kehne do...
(Riddhima dheere se apna haath chutakar armaan ki taraf mudkar kehti hai...)
Riddhima- kya khoge..armaan tum.?..thik hai kho... Ab me sunna chahti hu...
Armaan- me... Me tumse. ..me tumse maafi mangna chahta hu riddhima...i am sorry...me jaan gya hu ki tum ab tak jaan chuki ho ki me sorry kyu bol rha hu...
Riddhima- shi samjh rhe ho tum.. Me jaan chuki hu..ab tak ki tum sorry kyu bol.rhe ho..aur itni der se mere saath itna accha kyu behave kar rhe the...isiliye na..kyuki tumhe sach pta chal gya hai..tumhari ankhon me saaf dikh rha hai..yeh...
Armaan- I am sorry riddhima...me jaanta hu me maafi ke layak nhi hu...mene tumhara saath us waqt choda jis waqt tumhe meri.sabse zyada zarurat thi...par phir bhi riddhima... Please mujhe maaf kardo..riddhima. Please bas ek akhri baar...(armaan aage badkar riddhima ka haath pakadkar kehta hai..).me tumse promise karta hu...me sab thik kar dunga...sab thik kar dunga me..bas ek akhri mauka dedo mujhe riddhima just one last chance...
(yeh kehte waqt armaan ki ankhon me ansoo hote hai..aur riddhima ki bhi...riddhima armaan ki saari kadvi batein yaad karti hai..aur phir vo din yaad karti hai...jab armaan uspar vishwaas kiye bina uthkar chala jaata hai...uski ankhon me gussa aajata hai..vo armaan ka haath jhatak kar piche kar deti hai... Aur piche hokar shout karti hai...)
Riddhima- kya thik kar doge tum ha...lauta skate ho voh 9 mahine jo maine is intezaar me guzare hai..ki tum aoge...mere liye na sahi to apne hone wale bacche ke liye tum zarur aoge... lauta sakte ho..vo pal jab me tumhara delivery room me intezaar kar rhi thi...mere bacchi aur meri jaan khatre me hone ke bawjood me tumhara intezaar kar rhi thi..Lauta sakte ho vo 6 saal jiska har ek pal mene sirf ansuo me guzara hai..(phir vo chikna band karkar armaan ka araam se collar pakadkar kehti hai..).tum chahte hona me tumhe maaf kardu...to mera dard kam kardo armaan... Us dard ko kam kar do...jo pichle 6 saal se me apne andar leke ghoom rhi hu...us dard ko kam kardo...jo har pal mujhe yeh ehsaas dilata hai...ki mera pyaar kitna kamzor tha...meri bacchi ko meri antara ko vo 6 saal lauta do..jo usne apne papa ke aane ke intezaar me guzare hai. Lauta do. Mera sab kuch mujhe armaan... lauta do...(yeh kehte kehte riddhima armaan ki shirt pakadte huye rote rote huye niche zameen par beth jaati hai...riddhima ko aisa dkehkar armaan ki ankhon se bhi ansoo girne lagta hai..aur vo vhi khada hokar rota rehta hai..vo riddhima ko yu rota hua dekhkar kehta hai..)
Armaan- yeh kya kar diya hai maine Riddhima...yeh kya kar diya..tumhe khud hi apne aap se door kar diya... Mene tumhe itne dard diye hai...ki uske aage me chahe kitni bhi maafi maang lu..kam hi hogi...tum 6 saal sirf dard me rhi hai...tumhare dil ko mene sirf aur sirf dard hi diya hai...par me ab tumhe khud se door nhi jaane de sakta hu riddhima... ab meri zindagi ka sirf ek maksad hoga..tumhari khushi tumhari muskurahat tumhe vapas lautana... ..me tumhe vapas jeetkar rahunga...me tumhari zindagi me itni khushiyan bhar dena chahta hu ki tum...vo 6 saal ke dard ko bhool jao..jaanta hu mushkil hai..boht mushkil hai...par namumkin nhi...me tumse tab tak maaafi maangta rahunga...jab tak tum mujhe maaf nhi kar deti...chahe us maafi ke liye...mujhe kitna bhi kyu na..intezaar karna pade riddhima...me apni ankhri saas tak...tumhari maafi ka intezaar karunga...aur us din ka bhi intezaar karunga jab tum apna dil mujhe dobara khud dogi...apni marzi se...
(armaan ki yeh baat sunkar shock hokar apna face upar karkar armaan ko dekhti hai thodi der tak vo use dekhti rehti hai.par phir uske face par gussa aa jaata hai...aur vo khadi hokar.. shout karti hai.)
Riddhima- kyu..armaan ab kyu...kyu .?...mere dil ke hazaar tukde karne ke baad mujhse mera dil maang rhe ho...kaise dedu me tumhe apna dil...tod chuke ho tum use...ab is seene me koi dil nhi hai...kisi ko maafi nhi de sakta hai..yeh...sab tumhari vajah se ho rha hai..armaan yeh sab tumhari vajah se ho rha...kaash armaan kaash...tum mujhpar vishwaas kar paate...to aaj meri zindagi..hamari zindagi kuch aur hi hoti kaash...armaan kaash...tum mere paas aajaate...kaash bas ek baar puch lete ki vo sab kyu hua...me tumhe btati armaan sab btati...par tum...tum nhi aye armaan...me intezaar karti rhi...par tum nhi aye armaan...tumhe pta hai...haamari beti...hamari beti paida hone wali thi...aur mujhe delivery room me jaana tha...lar us waqt..us waqt bhi armaan us waqt bhi me sirf tumhara naam le rhi thi...kyuki us waqt tak bhi mujhe khud se zyada kisi aur se zyada.. Sirf tumpar bharosa tha...yakeen tha armaan ki tum aoge..mere liya na shi par apne bacche ke liye hamare bacche ke liye zaroor aoge...par..par tum nhi aye armaan nhi ayeee...tum..
(yeh kehte huye bhi riddhima roti rehti hai..aur riddhima ka dard sunkar armaan shock ho jaata hai...vo apni ankhen band kar leta hain..aur uski ankhon se ansoo gir jaate hai...kuch hi seconds baad armaan apni ankhen kholta hai...to dekhta hai ki riddhima room me nhi hoti hai...vo idhar udhar dekhta hai...to vo dekhta hai..ki riddhima apne ansoo pochte huye bhaagtivi..jaa rhi hoti hai...vo vhi khade hokar bas apna haath badakar riddhima ko bina kuch bole apne mann me hi awaaz deta hai...)
Armaan- riddhima...
(riddhima bhaag rhi hoti hai...par use aisa mehsoos hota hai..jaise use armaan ne pukara hai...vo ruk jaati hai...aur piche mudkar armaan ko dekhti hai...armaan aur riddhima ankhon me ansoo liye ek doosre ko dekhte rehte hai...par riddhima khud ko aur control nhi kar paati aur vha se bhaag jaati hai..armaan bas use vhi jaate huye dekhta reh jaata hai...
armaan bhi vha se apne ansoo saaf karkar chala jaata hai..)

IN ANTARA'S WARD
(armaan ward me enter hota hai..to dekhta hai.. Ki nurse antara ko bed se niche utaar rhi hoti hai... Armaan jaldi se bhaagkar akar antara ko god me leleta hai..to nurse vha se chali jaati hai. Antara armaan ko dekhkar khush ho jaati hai...aur kehti hai..)
Antara- thank god papa aap aa gye...kha the aap antara aapka kabse wait kar rhi thi...
(armaan ward me idhar udhar dekhkar antara se kehta hai..)
Armaan- vo mujhe kuch kaam aa gya tha...mm...antara aapki mumma... Mumma kha hai.
Antara- mumma? Pta nhi papa...kabse mumma ayi hi nhi hai...antara sokar uthi to mumma nhi thi aur abhi tak ayi bhi nhi.. Pta nhi kha hai..?
Armaan- acha..aati hogi..vo kuch kaam hoga(armaan antara ko yeh jawab dekar khud man me sochta hai...)kha gyi riddhima..kitni der ho gyi hai...hum dono ki baat huye..ab tak nhi aayi...kha hai..vo.
Antara- papa chaliye na ab ghar chalte hai...
Armaan- ha..chalte hai..aapki mumma aa jaaye..
Antara- kha gyi hai..mumma...?
Armaan - aati hogi...chlo itne car me chalkar bethte hai..ok...
Antara- ok..
(armaan antara ko hospital ke bahar le jaata hai...aur use car me bithakar...khud dusri side khada hokar...riddhima ke hospital se bahar nikalne ka wait karta hai...adha ghanta ho jaata hai..par riddhima bahar nhi aati hai...armaan car ke andar dekhta hai..antara so gyi hoti hai...vo car lock karkar...hospital ke andar jaata hai..riddhima ko dhundne...vo har jagah dekhta hai..terrace, fireescape,wards par riddhima use khi nhi milti hai..vo ghabrakar idhar udhar riddhima ko dhundta hai...)
Armaan- kha ho tum riddhima..?
(armaan yeh sochte huye...bhaagta hua riddhima ko dhoondh rha hota hai...ki...vo doctor se takra jaata hai...doctor armaan ko pareshaan dekhkar usse puchte hai..)
Doctor- kya hua..mr malik..aap itna pareshaan kyu hai? Kise dhoond rhe hai..?
Armaan-doctor..vo..riddhima...riddhima.my wife..
Doctor- ohh..vo unhe to mene hospital se bahar jaate huye dekha tha...kaafi upset lag rhi thi...shayad ro rhi thi...
Armaan- kya? Hospital se bahar...kab doctor..
Doctor- kariban ek ghante pehle...
(yeh kehkar doctor chale jaate hai..aur armaam vhi pareshaan khada hokar khud se kehta hai..)
Armaan- I hope riddhima tum thik ho...khi gusse me tum kuch galat kadam na uthalo...

Episode24

(armaan bhaagkar car ke paas aata hai...pehle vo idhar udhar riddhima ko dhoondta hai..par jab riddhima use nhi milti hai..to vo.car me bethkar car start kar leta hai..aur dusre haath se riddhima ko baar baar phone try karta hai...par riddhima phone nhi uthaati hai..armaam gusse me phone phek deta hai...aur kehta hai..)
Armaan- damn...kha ho tum riddhima...please vapas aa jao...kha dhundu me tumhe...kha hogi tum...
(armaan car chalate huye...khud se hi baate karte huye kabristaan ke paas se guzar rha hota hai ...ki tabhi.vo dekhta hai...ki road par kisi ka dupatta pada hota hai..vo car se bahar nikalkar aata hai..aur is duppatte ko haath me lekar shock ho jaata hai..)
Armaan- yeh..yeh to riddhima ka hai...yeh..yeh yha aise...riddhima thik hai na...? Riddhima..
(armaan duppatta yu sadak par pada dekhkar dar jaata hai...aur ghabrate huye vo dupaate ko lekar car ki taraf jaa hi rha hota hai ki.vo dekhta hai...ki koi ladki kabristaan ke andar bethi hai...vo riddhima hoti hai...vo vha kisi kabr ke paas bethkar ro rhi.hoti hai...armaan yeh dekhkar boht shock ho jaata hai...vo car lock karkar...bhaagta hua riddhima ke paas jaata hai...riddhima us kabr se lipat kar ro rhi hoti hai...armaan riddhima ko aise dekhkar shock ho jaata hai...par vo is baat ko ignore karkar...gusse aur worried way me...riddhima ka haath pakadkar use uthakar apni taraf karkar use gusse me bolta hai..)
Armaan- dimaag khrab hai.tumhara...kya kar rhi ho yha..is.jagah par...pta hai me kitna dar gya tha..yu bina btaye..bina kuch bole chali ayi...tumhe kuch ho jaata to...kabhi socha hai..kya.halat ho rhi thi meri...kitna dar gya tha me...pure hospital me tumhe.dhoonda par tum khi nhi thi..phir pta chala ki tum to hospital se pehle hi nikal chuki ho...jaan nikal gyi.thi meri...aur tum yha...yha kya kar rhi ho tum riddhima aisi jagah par..
(armaan bolte huye chup ho jaata hai...jab armaan dekhta hai...ki.riddhima kuch bhi nhi bol rhi hai..aur.chup.chaap bina expression ke vhi khadi hai..vo calmly kehta hai..)
Armaan- I am sorry riddhima.. Vo me dar gya tha..isliye itna kuch keh diya...sorry...par tum tum yha kya kar rhi ho...
(Riddhima bina kuch bole mud jaati hai..aur vapas us qabr ko dekhne lagti hai...armaan riddhima ko qabr ko dekhte huye dekhkar vo bhi us qabr ko dekhta hai...aur us qabr par naam padkar armaan shock ho jaata hai...aur kuch purani yadon me kho jaata hai..)

FLASHBACK
(armaan aur riddhima ek garden me tree ke niche bethe hote hai...armaan riddhima ki god me leta hota hai..aur riddhima uske balo ko sehla rhi hoti hai..tabhi armaan ek bacche ko ball se khelta dekhta hai...aur riddhima ka haath pakadkar kehta hai..)
Armaan- dekhona riddhima kitna cute baby hai..
Riddhima- ha...shoo cute...
Armaan- mujhe bhi aisa hi chahiye..
Riddhima- kya?
Armaan- are.. baby aur kya..?
(riddhima blush karte huye kehti hai..)
Riddhima- armaaan...
Armaan- are.. isme sharmaane ki kya baat hai...wife ho meri ab tum...
Riddhima- sirf 2 din purani wife hu mr malik..aur shaadi ke 2 din baad bacche nhi plan kiye jaate hai..
Armaan- usse koi fark nhi padta...bacche to kabhi bhi khi par bhi plan ho sakte hai..btau..kya..?
Riddhima- armaaan...
Armaan- acha chlo...abhi nhi btata...par btaunga zarur...vaise shaadi ke 2 din baad nahin par hum bacche plan karenge na..
Riddhima- ha.. Bilkul tumhe pta haina..mujhe bacche kitne pasand hai...
Armaan- vo to.sabko pta hai...tum bhi kha bdi hui ho...abhi bhi choti bacchi jaisi hi harkatein karti ho..
Riddhima- armaan..tum mujhe chida rhe ho...me tumse baat nhi karungi..
Armaan- accha baba sorry...lekin me pehle hi bta rha hu..mujhe ladki chahiye...
Riddhima- noo...mujhe pehle ladka chahiye...
Armaan- kyu...pehle ladki honi chahiye..
Riddhima- ji nhi pehle..ladka hoga...cute sa baby boy...jo bilkul meri tarha hoga...
Armaan- ohh please...pehle ladki hogi...jo bilkul apne papa par jayegi...smart and cool..
Riddhima- cool nhi fool...tum dekhna pehle ladka hoga...samjhe..
Armaan- acha chlo ladte nhi hai..twins kaise rahenge...hmm?
Riddhima- hmmm...ek ladka...
Armaan- aur ek ladki...mene to dono ke naam bhi soch liye hai...
Riddhima- acha..kya socha..
Armaan- ladki huyi to uska naam hoga antara...
Riddhima- antara..nice name...aur ladka hua toh..?
Armaan- ladka hua to...mm...ha..
Aditya
Riddhima-aditya...wow nice name...to phir baccho ki planning to complete hui..
Armaan- hmm..ho gyi complete..
(yeh kehkar armaan aur riddhima hasne lagte hai..)
Flashback ends
(armaan jab yadon se bahar ata hai...to vo shockingly hi qabr par likhe naam ko dekhta rehta hai...uspar aditya likha hota hai...riddhima armaan ko yu shock dekhkar uski taraf dekhkar kehti hai...)
Riddhima- kho diya mene use armaan...kho.diya..sirf tumhari vajah se...sirf aur sirf tumhari vajah..se...
(yeh sunkar armaan shockingly hi riddhima ko dekhta hai...uske munh se kuch nhi nikalpaata...aur use aisa dekhkar riddhima calmly hi rote huye kehti hai..)
Riddhima- ha..armaan twins huye..the...mene socha bhi nhi tha ki hamari vo baat khuda aise hi sunlega..aur pura bhi kar dega...par par. Meri zindagi ne hamesha mere saath aisa hi kiya hai..mere haath me khushiyaan dekar kuvh hi palo me vo mujhse vapas bhi leleti hai...aur usne mujhse mera aditya vapas cheen liya...chala gya mera baccha is duniya se hum sab ko.chodkar...chala gya vo...
(yeh sunkar armaan ki anhkho se ansoo gir jaate hai..vo boht mushkil se bas yhi bol paata hai..)
Armaan- k..kkkaise...?
Riddhima(rote huye...thoda zor se bolti hai..) tumhari vajah se...sirf aur sirf tumhari vajah se...kaash me us waqt tumhara intezaar na karti... To shayad mera aditya zinda hota... Kyu armaan...kyu hua mere saath aisa..kya bigada hai mene kisi ka...me to bas yehi chahti thi...ki mere baccho ko paida hote hi unke pita ki god mile..bas yhi chahti thi...ki hamare bacho ko unke pita ka.saaya mile...isliye kar rhi thi me tumhara intezaar...par mujhe nhi pta tha. Ki us intezaar ka mujhe yeh fal milega...delivery me der hone ki wajah se mera aditya mar gya armaan...mar gya vo...nhi..nhi..vo mara nhi...TUMNE MAARA USE...MAAR DAALA TUMNE USE ARMAAN...
(yeh sunkar armaam chikne.lagta hai..)
Armaan- NHIII...aisa nhi ho sakta...nhi hi skata aisa...( vo riddhima ke paas jaakar use uske shoulder.se pakadkar kehta hai...) kehdo riddhima yeh sab jhoot hai...kehdo..please kehdo...
Riddhima(calmly)- kaise kehdu..armaan..kaise...yhisach hai..chala gya...hai vo...hume chodkar chala gya...vo mara hua paida hua tha armaan...hamara beta mar gya hai..hamara aditya.mar chuka hai..
(armaan riddhima ko shock me chod deta hai...aur khud ko smabhal nhi paata aur...niche zameen par gir jaata hai...riddhima armaan ko girte huye dekhkar rone lagti hai...aur kehti hai..)
Riddhima- kyu ro rhe ho tum ha...kyu...dard ho rha haina armaan...boht dard ho rha haina.. tumhe to yeh sach ab pta chala hai..to tumhe itna dard ho rha hai..zara socho armaan...pichle 5 saal se yeh.dard yeh raaz me apne andar lekar ghoom rhi hu...har pal.. Armaan har pal..yeh dard mujhe yeh ehsaas dilata hai..ki me kitni buri maa hu...jo apne bacche ko na bacha paayi...har pal yeh ehsaas mujhe andar Se khokla kare jaa rha hai...mar rhi hu har roz armaan...mar rhi hu main...bachalo armaan baantlo mera dard...varna yeh dard meri jaan lelega...
(yeh kehte huye riddhima bhi armaan ke paas rote rote beth jaati hai..aur uske shoulder par rote rote apna head rakhkar kehti rehti hai..)
Riddhima- bachalo armaan..bachalo mujhe


nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Superb and very emotional loved it
shonayaa thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Very emotional part
glad finally armaan came to know the truth
ridz was pregnant wit twins and lost a baby
hope they resolve matters soon
Edited by smj7 - 11 years ago
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: yoga123

Superb chapter...thanks for the PM

Thanku so much..!!
i am glad u liked it..:)
keep reading

desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: nilusoni

Superb and very emotional loved it


Thanku so much..!!
i am glad u liked it..:)
keep reading

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

8 days ago

When Love Finally Grew Up ~ A Rumya Three-Shot [Completed]

A "What-If" Rumya Continuation Story — imagining what could’ve happened if Soumya never left Ishqbaaz and her relationship with Rudra was...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Tera Mera Saath Rahe ~ Gosham, Mithila FF [Completed]

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

a month ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

1 months ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".