ARFF Dard E Dil part25-28 uptd (COMPLETED) - Page 16

Created

Last reply

Replies

219

Views

27.5k

Users

35

Likes

489

Frequent Posters

KaSh-Maneet-Fan thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
Hiii...Awesome updates...Loved them...antara is Sooo sweet...loved her n Armaan scene...feel sad 4 ridzy...how will Armaan react 2 know he has a daughter...can't wait 4 more...con soon...thanks 4 da pm
kajenlife thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
amazing parts
armaan comes to know antara is riddhima's daughter
hope armaan not misunderstand
continue soon
mish2427 thumbnail
Explorer Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Finally I got some time to read it...!!!
Welll...
The story is going really awesome...!!!
Curious about the note that went under the cupboard...
The lead Armaan has taken...will he easily accept Antara as her daughter...!!!
Gosh...!!! Its all so interesting...!!!
Update soon...
enthusiastic thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
Oho so nice nikki
I love antara armaan so much
Antara is so cute
Thank u for pm nikki
Update soon
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: smj7

Amazing update
armaan came to know that antara is ridZ daughter
hope misunderstanding solves soon
Thanx for pm

Originally posted by: nilusoni

awesome updates loved it

thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon

Originally posted by: polishedtechie

hey thats a great update... hope the problems get solved soon...

Originally posted by: araja1234

Awesome parts.Thanks for the pm

Originally posted by: Fimmy

Wow! Amazing part!!! I wonder ab armaan kya karega! Eagerly waiting...cont soon! :)


Thanku so much guyss...for ur reviews..!!
lets see what will happen next..!!
will post soon..!!
take care..!!
keep reading,,! 😊
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Roxxy47

Haye!! Even after all those misunderstandings Armaan ko Riddhima ki self-respect ki fikar toh hai , Gave her his jacket , I liked it 👍🏼..
Antara the same Bubbly girl , her character is very interesting ...
Antara-Riddhima's bond is really Sweet , even after all the tragic in Riddhima's life she didn't let anything happen to Antara or made her suffer...
Same goes for Antara , bachi hone k bavajood she knows what hurts her Mommy 👍🏼...

The Flashback , Chalo ek cheez toh pat chali Baap-Beti dono ko stawberry ice-cream nai psand 😆...

Unknow to the truth Armaan-Antara dost ban gaye , kitna simple sa relation bana liya dono ne...
Truth ziyada complicate hai ...

Trisha & Sia ne abhi bhi Armaan na peecha ni chorda 🤔...

Armaan se sach jan-ne k baad yeh toh expected tha but he toh still is unknow to the real truth 😳...

Chapter after chapter the story is getting very interesting 😃...
N i'm loving it ❤️...
Thank u for the PM 😊


Thanku so much for ur wonderful review..!!
i am glad u r liking the story..!!
Will post soon..!
take care..!!
keep reading..! 😊
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: -Xpress-

Awesome..interesting update <3

Originally posted by: kajenlife

amazing parts

armaan comes to know antara is riddhima's daughter
hope armaan not misunderstand
continue soon


Thanku so much guyss...for ur reviews..!!
lets see what will happen next..!!
will post soon..!!
take care..!!
keep reading,,! 😊
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: KaSh-Maneet-Fan

Hiii...Awesome updates...Loved them...antara is Sooo sweet...loved her n Armaan scene...feel sad 4 ridzy...how will Armaan react 2 know he has a daughter...can't wait 4 more...con soon...thanks 4 da pm


Thanku so much for ur review..!!
lets see what happens..!!
keep reading..!
will post soon..!
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: PINky733

Oho so nice nikki
I love antara armaan so much
Antara is so cute
Thank u for pm nikki
Update soon

Originally posted by: mish2427

Finally I got some time to read it...!!!

Welll...
The story is going really awesome...!!!
Curious about the note that went under the cupboard...
The lead Armaan has taken...will he easily accept Antara as her daughter...!!!
Gosh...!!! Its all so interesting...!!!
Update soon...


Thanku so much for ur reviews..!!
I am happy that u all are liking the story..!!
will continue soon..!
take care..!!
keep reading..! 😊
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
photo 10419065_862620460431958_3785590817448191034_n_zps477ae625.jpg

Part16

(riddhima armaan ke room me jaati hai...gate half open hota hai..vo gate pura kholkar andar jaati hai..to dekhti hai...ki room me sab kich bikhra hua hai...har chiz niche zameen par hoti hai...aur armaan apne sar ko pakadkar bed par betha hota hai...vo yeh sab dekhkar shock ho jaati..aur dheere se armaan ko bulati hai..)
Riddhima- armaan...
(armaan apna naam sunkar apna face uppar uthakar riddhima ko dekhkar aur gusse me ho jaata hai...vo khade hokar riddhima se kehta hai..)
Armaan- nikal jao yha..se...abhi...
Riddhima- me yha apne liye nhi ayi hu...me yha antara ke liye ayi hu...
Armaan- kyu...apni najayas beti ke liye ek baap dhundna chahti.ho...
(yeh sunkar riddhima ko vishwaas nhi hota hai...ki armaan kuch aisa bhi bol sakta hai...uski ankhon se khud hi boht se ansoo girne lagte hai...aur armaan gusse me riddhima ke paas akar kehta hai..)
Armaan- koun hai uska baap...vo rohan...ya phir koi aur hai...
(riddhima rote rote hi armaan se kehti hai..)
Riddhima- tum aisa kaise keh sakte ho armaan...
Armaan- kyu nhi keh sakta...tum...tum jaisi ladki kabhi kisi ek insaan ki ho hi nhi sakti ho...mujhe tumhe is room se dhakee maarkar bahar nikalne par majboor mat kro...GET OUT. .
Riddhima- armaan me.
Armaan( chillata huye..)- GET OUT...
(riddhima aur kuch nhi sun paati aur bhaagkar bahar jaane lagti hai..par vo gate par rukti hai..aur apne ansoo saaf karti hai...aur piche mudkar armaan se kehti hai...)
Riddhima- me yha...tumhe tumhara haq dene ayi thi...mr armaan malik...par tum iske qabil hi nhi ho...agar tumne aaj mujhe kuch bhi bura bhala kha hota to shayad me bardaasht kar leti par ab nhi..kyuki is baar me nhi meri beti hai...aur me apni jagah apni beti ko kabhi nhi dungi...aaj me antara ko boht khushnaseeb maanti hu...ki vo bina apne pita ke itni badi huyi...vo hamesha mujhse yahi puchti hai..ki uske papa kab ayenge...par agar use pta chala ki uske khud ke pita ne...use ek najayas ka tag de diya hai...to vo yeh sawaal mujhse kabhi nhi puchegi...mene hamesha uske dil me uske papa ke liye pyaar hi paida kiya hai...par aaj is baat par afsos hota hai...kaash.. Kaash armaan mene uske dil me tumhare liye nafrat daali hoti to shayad aaj yeh najayas ka lafz me bardaasht kar paati...(riddhima armaan ko shock me dekhkar kehti hai...)ha armaan malik bilkul sahi soch rhe ho tum..badnaseebi se vo nanhi si jaan jise boht asaani se tumne najayas keh diya use to shayad is baat ka matlab bhi nhi pta...vo tumhari hi beti hai...boht afsos ke sath kehna pad rha hai..par yhi sach hai...yhi sach hai...par ab aur nhi me yha tumhe aur TUMHARI beti ko milane ayi.thi...par aaj yha se me SIRF AUR SIRF. APNI BETI LE JAA RHI HU...AB TUMHARA US PAR KOI HAQ NHI HAI..
(yeh kehkar riddhima vha se bhaag jaati hai...aur armaan vhi shock me khada rehta hai...)
Armaan-antara meri...meri beti hai..antara.. Meri..?
(armaan yeh sochte huye hi bed par vapas beth jaata hai...aur idhar reception ki.tayyariya chal rhi hoti hai...par riddhima soti hui antara ko apni god me uthaakar taxi me beth jaati hai...aur driver se kehti hai...)
Riddhima- chaliye bhaiyya bus stop...(riddhima man me sochti hai..)afsos hota hai..armaan ya phir yu khu ghin aati hai..tumhari soch par. Ek insaan kaise aisi soch rakh sakta hai...aaj tumne meri beti ke liye jo kha na...uske liye tum tadpoge armaan... Agar tumne mujhe vo sba kha hota to ek pal ke liye...ek pal ke liye armaan me tumhe maaf karne ke baare me soch bhi leti par jo word tumne meri beti ke liye use kiya na...uske baad I hate you armaan malik...nafrat ho gyi hai..mujhe tumse I hate you...
(riddhima rote rote yeh bol hi rhi hoti hai. Ki driver riddhima se kehta hai...)
Driver- madam dekhiyega..poche ek bike hai..badi der se picha kar rahi hai...aap jaanti ho..kya..
(riddhima piche midkar bike par armaan ko dekhkar shock ho jaati hai...aur driver se kehti hai..)
Riddhima- bhaiyyar aap taxi mat rokna jaldi.chaliye...jaldi...
(tabhi signal par taxi ruk jaati hai..riddhima piche dekhti hai to armaan paas aa rha hota hai...vo driver se kehti hai..)
Riddhima - bhaiyya chaliye...
Driver- madam signal hai..
Riddhima - phir bhi chaliye...
Driver- me aapko.double paise dungi please chaliye...
(driver lalach me gaadi chala deta hai...par kich der hi gaadi chal paati hai..kyuki side se ek truck aakar car ko uda deta hai...aur car vhi road par hawa me udkar gir jaati hai...armaan yeh dekhkar shpck hokar vhi apni car rok leta hai...aur chillata hai...)
Armaan- Riddhimaaa...


PART17

Armaan apni bike se utarkar car ki taraf bhaagta hai..par vo dekhta hai. Ki riddhima car se thodi dur behosh padi hoti hai..usko zyada chot nhi aati hai...bas thodi head par aur hands par chot hoti hai..vo ghabrakar riddhima ki taraf bhagta hai...aur use uthane ki koshish karta hai..
Armaan- ankhen kholo riddhima...riddhima please...ankhen kholo..riddhima...
(riddhima halke se ankhen kholti hai...aur boht mushkil se armaan ko kehti hai..)
Riddhima- armaan antara... vo..abhi bhi car me hai..use bachao..armaan.. Use bacchalo...
(armaan yeh sunkar shock ho jaata hai...aur car ki taraf dekhta hai...car puri tarah se jal rhi hoti hai...armaan riddhima ko vhi.chodkar car ki taraf bhaagta hai..par car puri tarah se jal.chuki hoti hai...riddhima bhi uthne ki koshish karti hai aur vo..bas yhi.bol rhi.hoti hai..)
Riddhima- antara...antara...
(idhar armaan car ko jalta hua dekhkar dar jaata hai..)
Armaam- nhi..antara ko kuch nhi.ho sakta hai...vo aise nhi..nhi...kuch nhi hua..hai...antara...antara.
(armaan antara ko zor se pukarta hai..phir vo jalti huyi car ke andar hi jaa rha hota hai...ki uski nazar car se thodi door padti hai...vo dekhta hai...ki antara vha behosh padi.hoti hai...vo antara ke paas bhaagta hai...riddhima bhi vha pohch jaati hai...aur dono antara ki halat dekhkar dar jaate hai...antara puri khoon se bheegi hoti hai..riddhima antara ko aise nhi dekh paati hai...vo niche bethkar antara ko apni god me lita kar rote huye kehti hai...)
Riddhima- antara...utho..dekho mumma yha hai...antara aap jo mangogi mumma aapko degi kabhi mna nhi karegi..please ankhen kholo beta..antara... Armaan dekhona... Yeh ankhen nhi khol rhi hai...antara..armaan isse khona ankhen kholo...
Armaan- riddhima bas...sambhalo khud ko...antara ko hospital lekr jaana hoga. Please chalo...
(armaan antara ko god me uthakar bike tak pohchta hai..phir riddhima piche bethkar antara ko leleti hai..aur armaan bika chalakar hospital pohch jaata hai)

SANJEEVNI HOSPITAL

(antara ko stretcher par litakar saare doctors operation theatre me le jaate hai..riddhima bhi andar jaa rhi hoti hai...par armaan uska haath pakad leta hai...aur doctors OT ka gate band kar dete hai...riddhima armaan se rokar kehti hai...)
Riddhima- armaan meri bacchi vo vha akeli hai..mujhe jaana hai..uske paas vo kabhi akeli nhi rhi hai...please mujhe uske paas jaana hai...armaan...please...
(vo aur kuch bol nhi paati hai...armaan use kaskar apne gale se laga leta hai..armaan ki ankhon me bhi ansoo hote hai...vo riddhima ko sambhalte huye kehta hai...)
Armaan- sambhalo riddhima..antara ko kuch nhi hoga...vo bilkul thik ho jayegi...i promise me apni beti ko kuch nhi hone dunga. I love you riddhima and I love antara also..me tum dono ko kabhi kuch nhi hone dunga I promise...tum khud ko dekho Tumhe kitni.chot ayi hai..please tum bhi doctor ko dikhado...
(armaan riddhima ko yeh bol rha hota hai...is baat se anjaan ki riddhima ne uska ek bhi word nhi suna hai..vo uske gale lagte hi behosh hi gyi hoti hai...vo jab dekhta hai..ki riddhima kuch nhi bol rhi to vo riddhima ko vapas piche hatakar behosh dekhkar aur dar jaata hai...aur riddhima ko god me uthaakar...doctor ke paas le jaata hai...jinka cabin OT Ke paas hi hota hai...)
Doctor- dont worry...yeh bilkul thik hai..ha chot to lagi hai..par koi ghabraane wali baat nhi hai...abhi kuch der me inhe hosh aa jayega..
Armaan- kitni der me doctor...
Doctor.- yhi kich 20 mint me..ya.zyada se zyada adha ghanta...so dont worry...ghabraane ko baat nhi hai...
(armaan yeh sunkar relax feel karta hai..aur phir OT ke paas jaakar Operation over hone ka wait karta hai...aur riddhima.se khi kuch der pehle wali baate sochta hai..)
Armaan- yeh kya kiya...maine...mujhe vo.sab riddhima ko nhi bolna chahiye..tha. Please god meri galti ki.saza meri antara ko mat dena...use bachalo...please...
(armaan ki ankh me ansoo aa jaate hai..vo vhi OT ke bahar intezaar karta rehta hai..)
AFTER 20 MINUTES
(armaan abhi bhi OT ke bahar operation khatam hone ka wait kar rha hota hai...ki riddhima roti huyi bhaagti huyi armaan ki taraf aati hai..armaan riddhima ko dekhkar shock ho jaata hai..riddhima bhaagte bhaagte girne hi wali hoti hai..ki armaan use pakad leta hai...riddhima armaan se rote huye puchti hai..)
Riddhima-armaan antara...
Armaan- operation abhi bhi chal rha hai...riddhima dont worry...
(yeh kehte huye. Armaan riddhima ko chair par bitha deta hai...aur khud bhi uske paas uska haath pakadkar beth jaata hai...riddhima armaan ke kandhe par rote huye hi apna head rakhkar puchti hai..)
Riddhima- Armaan meri antara thik ho jayegi na..vo to abhi bacchi hai...kaise seh rhi hogi itna dard vo...sab thik hoga na..armaan meri antara..ko kuch nhi hoga na..?
Armaan- sab thik hoga riddhima me antara ko kuch nhi hone dunga...me HAMARI beti ko kuch nhi hone dunga..
(armaan ke munh.se Hamari beti sunkar riddhima ko.armaan ki sab batein yaad aa jaati hai..aur vo armaan se door hokar khadi ho jaati hai...riddhima ko aise.achanak aisa karte dekh armaan confuse ho jaata hai...aur riddhima se puchta hai..)
Armaan- kya hua riddhima tum thik ho tum fikr mat kro antara ko kuch nhi hoga..
Riddhima- khabardaar...agar apni gandi.zabaan se meri.beti ka naam bhi liya tumne MR ARMAAN MALIK...sabit kya karna chahte ho...tum..ki me tumhare bina kuch nhi.hu...nhi chahiye mujhe tumhari hamdardi...aur kis haq se ho ab tak yha tum...jab tumhe isi baat ka shak hai Ki antara tumhari beti hai ya nhi...to is baat ka bhi yakeen karlo..ki ab tumhara aur mera koi rishta hi nhi hai...jo.dor.ab tak hamare ehsaas ko sambhali huyi thi us dor ko bhi kaat diya hai..tumne..ab yha tumhara koi nhi...samjhe...
Armaan- antara meri beti hai..riddhima..
Riddhima- kisne kha aapse..ki vo aapki beti hai...aap shi the..koi.baap nhi ha Uska.. Uski maa ko bhi nhi pta hai..ki uska baap koun hai...shi the aap mr malik shi the aap...
Armaan- riddhima abhi yeh waqt in sab bato ka nhi hai...hum baad me baat karenge..
Riddhima- nhi abhi karni hai mujhe baat.. Meri antara..meri beti sirf aur sirf meri hai...samjhe aap..
(riddhima aur kuch bolne hi waali.hoti hai...ki doctor OT Se bahar nikalkar aate hai...doctor ko dekhkar armaan unki taraf bhaagta hai.aur riddhima bhi..)
Armaan- kya hua doctor..antara thik hai..
Riddhima- doctor kaisi hai meri antara..sab thik hai..na...please..btaiye na..aap kuch bolte kyu nhi hai..
Doctor- dekhiye...baby ko khoon boht beh.chuka hai... Use khoon ki zarurat hai. Khi se bhi A+ blood ka arrangement kijiye..time boht kam hai..
( doctor yeh kehkar chale jaate hai..)
Riddhima- A+ . Kha se lau...god please help me...
Armaan- mera blood riddhima..mera blood group A+ hai...me de sakta hu...me antara ko bacha sakta hu..
(armaan ke munh se yeh sunkar riddhima ke face par sadness aa jaati hai..aur vo armaan se kehti hai..)
Riddhima- nhi me tum jaise insaan ka khoon kabhi apni bacchi ke khoon se nhi milne dungi..aur kyu dena chahte ho ek NAJAYAS bacchi ko khoon tum...
Armaan- bas riddhima...maana huyi mujhse galti nhi kehna chahiye tha..mujhe vo sab...par ab me apni beti ke khilaaf yeh.word nhi bardaasht karunga...aur is waqt agar tum chahti ho ki anatara ki jaan bache..to mera khoon dena boht zaruri hai...
(yeh kehkar armaan blood dene doctor ke paas chala jaata hai. .aur riddhima use jaate huye.dekhti rehti hai...)

Part18

(riddhima aur armaan OT ke bahar wait kar rhe hote hai...riddhima boht dari huyi.hoti.hai..aur baar baar pray kar rahi.hoti hai..armaan riddhima ko dekhkar uske paas akar beth jaata hai...aur use dekhkar kehta hai..)

Armaan- antara thik hogi riddhima use kuch nhi hoga...
(riddhima armaan ko dekhti rehti hai..phir vo khud ko control nhi kar paati hain.aur armaan ke gale lagkar kehti..hai.. )
Riddhima- armaan mera antara ke siva is duniya me koi nhi hai...me uske bina mar jaungi...please meri bacchi ko.bachhalo...
(armaan usko sambhalte huye kehta hai..)
Armaan- shhh...riddhima mene kha na..kuch nhi hoga use. Kuch bhi nhi hone dunga..me antara ko ...mene blood de diya hai...ab antara bilkul thik ho jayegi...
Riddhima- promise...
Armaan- promise...me antara ko kuch nhi.hone dunga...i promise you...
(tabhi doctors OT se bahar aate hai..riddhima doctor ko bahar aate dekh unki.taraf bhaagkar puchti hai..)
Riddhima- dr.antara..thik hai na..voh...?
Doctor- hume nhi lagta tha ki aise accident ke baad koi survive kar sakta hai...dont worry aapki beti ab khatre se bahar hai.. Kuch time lagega vapas normal hone me...but ab sab thik hai...darne ki baat nhi hai...hum baby ko ward me shift kar denge thodi der me phir aap usse mil sakte hai..
(doctor chale jaate hai...yeh sunkar armaan aur riddhima ke face par smile aa jaati hai..aur dono khush hokar ek dusre ko dekhte hai...dono itne khush hote hai. Ki vo dono ek dusre ko hug kar lete hai...
(background music)

Tujhse hai hasi...tujhse udaasi..
Kashmakash hai rabba...
Ruthi hu phir bhi raazi...
Tu hi hai maula tu hi hai kaazi...
Tu hi hai maula...tu hi hai kaazi...
Kya karu me bayaan...
Tere ishq me jaan kurbaan...

HUM hai deewane tere deewane ...
HUM hai deewane tere deewane ...
HUM hai deewane tere deewane ...

(phir thodi der baad armaan aur riddhima ko wapas real world me aate hai...aur dono piche hat jaate hai...ek dusre ko dekhte rehte hai...riddhima ki ankh me ansoo aa jaate hai...aur vo vha se bhaag jaati hai...armaan use rokne ki koshish karta hai...par vo bhaag jaati hai...riddhima bhaagkar hospital ke bahar pohchti hai...aur rone lagti hai...aur khud.se kehti hai...)
Riddhima- kaise riddhima kaise...kamzor pad gyi.tu...kya bhool gyi us insaan ki wajah se kitna kuch saha hai..tune...kya bhool gyi ki aaj antara jis halat me hai..khi na khi armaan bhi zimmedaar hai...nhi bhool sakti hu me..vo 6 saal pehle hone wali insult..jisne mujhe almost maar hi diya tha...meri antara..usne bachaya mujhe nyi zindagi di mujhe...aur ab antara ko bhi chinna chahte the mujhse nhi...me nhi bhool sakti hu yeh sab aur kamzor to bilkuk nhi pad sakti hu..yeh pyaar sab bakwaas hai...is duniya me meri sirf antara hai...aur antara ke thik hote hi me use yha se boht door le jaungi..jha mera ateet kabhi hum tak nhi pohch payega...

IN WARD
(antara dheere dheere apni ankhen khol rhi hoti hai aur bas yhi bol rhi hoti hai..)

Antara- mumma.. Mumma.
(antara apni ankhen kholti hai..to armaan vha khada hota hai...vo khush hokar antara se kehta hai..)
Armaan- thank god antara tum hosh me aa gyi...me boht dar gya tha...
Antara- uncle...
Armaan- uncle nhi papa...me me. Tumhara papa..hu antara...i am your father. Aur tum meri beti ho..
Antara- par...mumma..mumma ke paas jaana hai mujhe...
(antara abhi bhi bimaar hoti hai...bas riddhima ko puchti hai...tabhi riddhima ward me enter hoti hai..aur antara ko khud ko puchte huye dekhkar uske paas jakar kehti hai. .)
Riddhima- mumma yhi hai antara ke paas..mumma antara ko kabhi akela nhi chodegi...
Antara- mumma...antara is not feeling good...antara ko ghar jaana hai...
Riddhima-jayenga na...but jab tak dr uncle permission nhi denge to ghar kaise jayenge...aur mumma antara ke saath hai na..yha..to phir kis baat ki tension..hmmm..
Doctor- patient ko rest ki.zarurat.hai...abhi Operation hua hai...itna bolna inke liye accha nhi hai...yha aap dono hi ruk sakta hai..par zyada patient se baat na kare to inke liye accha hai...
( dono chup ho jaate hai..aur ek dusre ko dekhte hai...phir riddhima doctor se kehti hai...)
Riddhima- me ruk jaungi..doctor. Meri beti hai..me iska dhyaan rakh sakti hu...
(armaan bhi gusse me riddhima se kehta hai...)
Armaan- meri bhi beti hai...aur me bhi iska dhyaan rakh sakta hu...
Riddhima- yakeen ho.gya aapko...ki yeh aapki beti hai...
Armaan-riddhima dobara shuru mat kro...
Riddhima- shuru aapne kiya tha mr malik...me to yha sab khatam karna chahti hu...
Doctor- dekhiye...yeh hospital hai..apni personal problems yha discuss na kare... Aur vo bhi patient ke saamne...vo abhi bhi hosh me hai...so please ...
(yeh kehkar doctor chale jaate hai..antara aise armaan aur riddhima ko ladte dekhkar riddhima se kehti hai...)
Antara- mumma...aap.dono lad kyu rhe hai...aur yeh uncle...yeh khud ko mere papa kyu keh rhe hai..
Armaan- kyuki me tunhara papa hu beta...me hi tumhara papa hu..
Antara- aap antara ke papa ho..antara ke papa hai..me avantika se kahungi ki antara ke papa aa gye hai..ab vo mujhe nhi.chida payegi...
Armaan- ab antara ko koi nhi.chidayega...ab antara aur papa hamesha saath rehenge...
Antara- aur mumma bhi...
(armaan aur riddhima yeh sunkar ek dusre ko dekhte hai...)
Riddhima- antara aapko rest ki.zarurat hai...ab aap so jaiyye...kaafi raat ho gyi hai...ok...
Antara- ok mumma...
(antara eyes band karkar so jaati hai...armaan jab antara ko sota huya dekhta hai...to vo khada hokar riddhima ka haath pakadkar use hospital ke terrece par le jaata hai..riddhima usse kehti rehti hai..)
Riddhima- armaan kya kar rhe ho.chodo mere haath...kha le jaa rhe hi. Leave my hand armaan...mujhe dard ho rha hai...
(armaan riddhima ko terrace par laakar uska haath chodkar kehta hai..)
Armaan- mujhe bhi dard hua tha riddhima jab 6 saal pehle mene apni wife ko ek gair mard ki baho me dekha tha to mujhe bhi dard hua tha...aur aaj jab usi biwi ke saath apni.bacchi ko dekha.. Jo pichle 5 saal se is baat se anjaan hai ki uska pita koun hai...to aaj bhi dard hua mujhe...dard hua mujhe jab tumne pichle 6 saalo se mujhe meri beti se door rakha..to mujhe bhi dard hua...meri beti ka pehla kadam mujhe nhi dekhne diya tumne.. Dard hua mujhe is baat.se...meri beti ke munh se pehla lafz nhi sunne diya tumne mujhe..dard hua mujhe is baat se jitna dard tumne mujhe diye hai na. Us dard ke muqable yeh dard to kuch bhi nhi hai...
(riddhima yeh sunkar disgusting face banakar kehti hai..)
Riddhima- dard armaan. Tumhe to pta bhi nhi.hai ki dard hota kya..hai...to please yeh mat kaho..ki tumhe dard hua hai...
Armaan- aur tumhe pta hai. ?tumhe kya pta. Ki dard kya hota hai...itne saalo se araam se to jee rhi ho tum...har pal to yha me mar rha tha...sirf tumhari galti ki wajah se...
Riddhima- armaan..me...me kyu tumse baat karkar apna time waste kar rahi.hu...tumse baat karna bilkul useless hai...
(riddhima yeh kehkar jaane lagti hai..par armaan uska haath pakadkar use vapas vhi lakar kehta hai...)
Armaan- bas riddhima me..sirf itna kehna chahta hu. .ki... Ab hume dobara saath ho jaana chahiye tumhari saari galtiyon ko bhulakar Me tumhe vapas apnane ke liye tayyar hu...


Part19

(riddhima armaan ki baat.sunkar sarcastic smile karkar kehti hai. )

Riddhima- tum mujhe maaf karna chahte ho armaan ..?par mene tumse maafi kab maangi...aur na kabhi mangna chahti hu..
(yeh kehkar riddhima apna haath chudakar vapas piche ho jaati hai)
Armaan- mujhe.pta hai...tum kabhi apni galti nhi manogi...itna to tumhe jaan hi gya hu..ab...par me bhi yeh sab sirf aur sirf antara ke liye kar rha hu..
Riddhima-tum yeh sab antara k liye kar rahe ho ... To ek aur baat sunlo armaan malik..me antara ke thik hote hi use yha se le jaungi...tumse boht door...kyuki me nhi chahti hu..ki antara tum jaise insaan ko papa maane...
(armaan yeh sunkar boht shock ho jaata hai..aur use gussa bhi aata hai..vo gusse me riddhima se kehta hai..)
Armaan- tum samjhti kya ho khud ko antara meri bhi beti hai...
Riddhima- hai nhi thi...antara tumhari beti thi...jab tak tumne us par najayas ka word nhi use kiya tha sirf tab tak...ab vo sirf meri beti hai..sirf meri...
Armaan- riddhima jo mene kha tha uske liye me maafi maang chuka hu..aur kya karu...aur vese bhi yeh to kisi bhi insaan ko shaq ho sakta hai..na..kyuki tumhari reputation hi aisi hai..jo aurat apne pati ko kisi aur mard ke saath dhoka de sakti hai...uske baare me to aisi hi soch hogi na sabki...
(riddhima yeh sunkar boht hurt hoti hai...vo thodi der tak armaan ko dekhti rehti hai...jab uski ankhon se ansoo girta hai...to armaan uski ankhon me ansoo nhi dekh paata hai..vo uske ansoo saaf karne ke liye haath badata hai...par riddhima usse pehle hi vha se bhaag jaati hai..armaan frustration me apni ankhen band kar leta hai...phir vo apni ankhen kholkar riddhima ke ansoo ke baare me sochta hai...aur khud.se kehta hai...)
Armaan- kyu riddhima aaj bhi tumhari ankhon me.. Main sirf sach hi dekh paa rha hu...jabki me acchi tarha jaanta hu...ki yeh.sab jhoot hai...jo mene apni ankhon se dekha kaise jhootla sakta hu use me...par tumhari ankhen.. Kuch aur hi kehti hai..kya sach hai..jo mene dekha ya..vo jo tumhari ankhen mujhe dikha rhi hai..kuch nhi samajh paa rha hu mein...
(doosri taraf riddhima roti hui bhaagkar antara ke ward me aati hai..antara so rhi hoti hai..vo sofe par bethkar apne ansoo saaf karte huye kehti hai...)
Riddhima- kyu armaan kyu...tumhari baate aaj bhi mujhe itni takleef deti hai..har baar sochti hu...ki tumhari baato se mujhe koi farq nhi padta..par farq padta hai...tumhara har alfaaz takleef deta hai mujhe... boht dard hota hai armaan..boht zyaada...par tumhe to mere dard se koi farq padta hi nhi hai...kaise armaan kaise hurt kar skate.ho tum mujhe yakeen nhi hota ki tum vhi insaan ho jo meri ek smile ke liye zameen asmaan ek kar diya karta tha..aur aaj tum.. Tum hi mere in ansuo ki.wajah ho...boht dard diya hai..armaan tumne mujhe..aisa dard jo me kabhi.chahkar bhi nhi bhool paungi..kabhi nhi bhool paungi kabhi bhi nhi...

NEXT MORNING

(riddhima vhi sofe par bethi.so rhi.hoti hai...jab armaan ward me enter hota hai...vo riddhima ko sofe par yu.soya hua dekhkar uske paas aata hai...vo thodi der tak riddhima ko dekhta rehta hai...phir vo riddhima ke face par haath rakne hi wala hota hai..ki riddhima ki ankh khul jaati hai...vo armaan ko apne itna kareeb dekhkar ghabra jaati hai...armaan riddhima ko jaagta hua dekhkar vapas piche ho jaata hai..aur.bahana bnate huye kehta hai..)
Armaan- vo..vo tumhare face par kuch tha. .
(riddhima apna face par haath lagakar dekhti hai...to armaan kehta hai..)
Armaan- nhi ab nhi hai..mera matlab mene hata diya hai...
(riddhima armaan ko aise behave dekhkar confuse ho jaati hai..ki tabhi antara ki ankh khul jaati hai...)
Antara- mumma...
(armaan riddhima antara ki awaaz sunkar uske paas jaate hai..)
Riddhima- uth gya mera baccha...
Armaan- ab kaisa lag rha hai..antara...
Antara- antara is feeling better now...mumma ab hum ghar jaa sakte hai...na...doctor uncle se puchiye na..
Armaan- ha..agar antara ghar jaana chahti hai to hum zaroor jayenge...
Riddhima- par doctor kabhi ha nhi karenge. Itni jaldi antara ke discharge ke liye...
armaan- antara armaan malik ki beti hai..aur antara jaisa chahegi vaisa hi hoga...
Antara- sach papa...
armaan- ha..meri antara jo chahegi vaisa hi hoga...
riddhima- par doctor yeh sab antara ki health ke liye hi kar rhe hai..
armaan- aur me bhi yeh sab antara ki health ke liye hi kar rha hu...mene keh diya na.. Antara jaisa chahegi vaisa hi hoga...
antara- thank u soo much papa..you are worlds best papa...
armaan- and you are worlds best daughter...
(antara aur armaan ka aisa bond dekhkar riddhima ke face par smile aa jaati ...par phir riddhima ko armaan ki kal raat kahi baatein yaad aati hai..aur uski vo smile chali jaati hai...vo antara se kehti hai...)
riddhima- antara...itna bolna abhi aapke liye acha nhi hai..me doctor se bolkar aapka breakfast laati hu...
antara- no mumma..antara vo nhi khayegi..vo boht tasteless hota hai...
riddhima - par aapki health ke liye vhi accha hai..antara...aur apko khana hoga...
antara- no mumma...papa please mumma se khiye na..antara vo nhi khayegi...
armaan- vo to khana padega antara ko varna antara ghar kaise jayegi..jaldi thik hona hai..na..jaldi jaldi se yeh khakar thik ho jao..phir papa antara ke liye..boht saari tasty tasty.chize layenge. Promise
antara- antara promise...
Armaan- ha..antara.promise...par antara ko break fast achi tarah se khakar.finish karna hoga..ok..
Antara- okk...
(riddhima ward se bahar nikalti hai..ward me nurse aa jati hai...armaan bhi riddhima ke piche jaata.hai..vo riddhima ko piche se awaaz deta hai..)
Armaan- riddhima..mujhe tumse baat karni hai...
(riddhima armaan ki awaaz sunkar ruk jaati hai...aur piche mudkar armaan ko dekhti hai..phir riddhima armaan ka haath pakadkar chalne lagti hai..armaan confuse hokar riddhima se puchta hai..)
Armaan- kha le jaa rhi ho mujhe...
(riddhima bina jawaab diye armaan ko doctor ke cabin me lejaati hai...aur doctor.se kehti hai...)
Riddhima- sorry doctor aise aane ke liye...par aapse antara ki health ke baare me kuch puchna tha...
Doctor- its okay puchiye..
Riddhima- doctor me aapse yeh janna chahti thi kya..antara ko abhi discharge mil sakta hai...
Doctor- no bilkul nhi...itne bade operation se guzri hai..vo..itni jaldi hum use discharge nhi de sakte hai...
Riddhima- thank you doctor...(armaan ko dekhkar kehti hai) bas yehi baat me kuch logo ko smajhana chahti thi...thank you..
(yeh kehkar riddhima doctor ke cabin se bahar aa. Jaati hai uske piche armaan bhi aata hai..armaan riddhima ko tokne hi wala hota.hai..ki riddhima niche padi ek bottle se girne wali hoti hai...par armaan jaldi se use sambhal leta hai aur kehta hai...)
Armaan- dekh kar nhi chal sakti abhi gir jaati to..chot lag jaati...
Riddhima- to...lagne dete chot...isse tumhe kya farq padta hai...
Armaan- farq padta hai...
(yeh sunkar riddhima sambahalkar vapas khadi ho jaati hai...aur kehti hai..)
Riddhima- kyu..kyu..padta hai.tumhe farq...tumto nafrat karte ho na mujhse..to tumhe farq nhi padna chahiye..
(yeh sunkar armaan ko gussa aa.jaata hai..aur vo...riddhima se kehta hai..)
Armaan - ha shi kha isiliye farq padta hai...kyuki nafrat karta hu na..tumse...tumhe aur koi.chot de bardaasht nhi hota...me khud tumhe chot dena chahta hu.. Aur haan..tumhe kya lagta hai...doctor kuch bhi kahega aur me maan jaunga...kabhi nhi...antara ki khushi.se badkar ab mere liye kuch nhi hai...me apni beti ko har khushi dunga..aur...jaisi care uski yha hospital me hk.rhi hai..vaise hi mere ghar me hogi..tumhe fikr karne ki koi zarurat nhi hai...kyuki aaj raat hi me doctor se baat kar lunga..aur mujhe pta hai...doctor meri baat nhi talenge...aur antara mere saath uske asli ghar jayegi..yaani mere ghar agar tumhe aana hai..to thik varna tum antara ko mere paas aane se nhi rok sakti ho..yeh yaad rakhna...antara meri bhi beti hai...aur agar tum nhi maani to mujhe majbooran antara ki custody ke liye..court me jaana hoga..aur tum jaanti ho antara ki custody mujhe hi milegi...ab tumhari marzi tumhe jo karna hai karo...me abhi ghar jaa rha hu..raat ko aunga...aur tumhara faisla bhi sunna chahta hu..ab yeh tumhare haath me hai...tum antara ke saath rehna chahti ho ya usse alag...aur agar tumhara faisla antara ke saath rehne ka hoga..to yeh ummeed bilkul mat rakhma..ki me tumhe apnaunga...kyuki us ek chat ke niche rehne ke baad bhi hum ajnabee se zyada aur kuch nhi honge..
(armaan yeh kehkar hurt riddhima ko vha chodkar chala jaata hai...)

MALIK MANSION
(armaan apni bike me MM aa rha hota hai...ki vo dekhta hai..watchman kisi ko andar aane se rok rha hota hai...vo paas jakar apni bike se utarkar use insaan ke shoulder par haath rakhta hai...to vo aadmi piche mudta hai...armaan us aadmi ko dekhkar shock ho jaata hai..vo aadmi koi aur nhi rohan hota hai...)


TO BE CONTINUED.....

Do comment guys..!!
take care..!
Nikki

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

9 days ago

When Love Finally Grew Up ~ A Rumya Three-Shot [Completed]

A "What-If" Rumya Continuation Story — imagining what could’ve happened if Soumya never left Ishqbaaz and her relationship with Rudra was...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Tera Mera Saath Rahe ~ Gosham, Mithila FF [Completed]

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

1 months ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

1 months ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".