AR FF Dard E Dil By Anika
EPISODE 26
(armaan ke munh se yeh sunkar riddhima armaan se kehti hai..)
Riddhima- dena chahti hu armaan...tumhe mauka dena chahti hu..ek baar nhi hazaar baar tumhe mauka de sakti hu..par kya faida...tum mera dil jeetna chahte ho...par ab to mere paas dil hi nhi hai...kaise dungi...tut chuka hai mera dil armaan aur toota hua dil kabhi kisi ko mauka nhi de sakta hai...
Armaan- jaanta hu riddhima...jaanta hu...me kaise nhi jaanunga...mene hi to toda hai tumhara dil...par riddhima me yeh bhi jaanta hu...ki meri riddhima ek aisi ladki hai..jo apne apno ki liye kya gairo ki khushi ke liye bhi apni khushiyaan ko kurbaan kar sakti hai...jaanta hu riddhima mene tod diya hai tumhara dil par kya sirf ek baar mere baare me na sochkar..kisi aur kr baare me na sochkar sirf antara ki khushiyo ke baare me sochkar tum mujhe mauka nhi de sakti ho...sirf antara ke liye...kya ek baar koshish nhi kar sakti mujhe maaf karne ki...sirf ek baar
(riddhima armaan ko dekhti rehti hai...phir vo bistar par soyi antara ko dekhti hai..uske ankh se ansoo girta hai...vo armaan se kehti hai.)
Riddhima- thik hai armaan...sirf antara ke liye...boht mushkil hai..tumhe maaf kar paana..par me koshish karungi..koshish karungi vo sab bhoolne ki...sirf isliye armaan kyuki jo hua...usme tumhe bhi khi na khi use kiya gya hai...jaanti hu tum bhi tumhari mom ke bichaye jaal me phase ho...sirf islye mauka dena chahti hu..armaan...par armaan yeh zarur yaad rakhna.. tumhara mujhpar vishwaas na kar paana...mere dil ko yeh yakeen dila chuka hai...ki hamara pyaar kitna jhoota tha..
(riddhima ke yeh bolte hi armaan jaldi se bolta hai)
Armaan- nhi riddhima..jhootha nhi tha hamara pyaar...bas.. bas ek pal ne use kamzor kar diya tha...jo sirf aur sirf meri galti thi...par jhootha... jhootha nhi ho sakta hai..hamara pyaar...meri ek galati ki vajah se humne apne adi ko khoya haina. riddhima adi aaj jha bhi hoga...nafarat kar rha hoga mujhse...jo mene uski maa ke saath kiya uske saath kiya...par riddhima ab me sab thik karkar rahunga..yeh mere tumse vaada hai..me apne adi jha bhi vo ho... me uske dil se apne liye nafrat nikalkar pyaar bhar kar rahunga...aur tumhare dil se bhi tumhare dil se bhi apne liye nafrat aur dard nikalunga..riddhima me...yeh mera tumse vaada hai bas ek mauka..riddhima
Riddhima- me to kabse is nafrat aur is dard ko khud se alag karna chahti hu armaan par yeh mujhse alag nhi ho rha hai..boht koshish ki mene...par thik hai ab tumhari baari hai..ab me tumse vaada karti hu armaan jis din tum is.dard ko mere dil se nikalakar bahar phek.doge na..usi pal me tumhari har ek galti bhula dungi...aur hamesha ke liye tumhari ho jaungi..
(yeh sunkar armaan ke face lar smike aa jaati hai aur vo riddhima se kehta hai..)
Armaan- apna vaada yaad rakhna riddhima kyuki ab aisa zarur hoga...yeh mera tumse vaada hai..aur is baar...SACCHA VAADA HAI.
(armaan yeh kehkar room se chala jaata hai..aur riddhima use jaate huye dekhti rehti hai..aur kehti hai..)
Riddhima- is baar sach me chahti hu armaan...ki tum jo koshish karne jaa rhe ho..usme successful ho...
AFTER 1 HOUR
(riddhima bed par bethkr soch rhi hoti hai...tabhi antara ki ankh khulti hai aur vo uthkar bed par beth jaati hai..aur riddhima se kehti hai..)
Antara- mumma ...
(riddhima antara ko uthte dekhkar kehti hai...)
Riddhima- are...antara uth gyi...
Antara- ha mumma...mumma...hum papa ke ghar aa gye...
Riddhima- ha antara hum papa ke ghar aa gye hai...
(antara room jo dekhkar excited hokar kehti hai..)
Antara- wow.. Mumma its soo big..and soo beautifull...yeh antara ka room hai kya..?
Riddhima- ha..yeh mumma ki antara ka hi room hai...
(tabhi gate par se armaan ki awaaz aati hai..)
Armaan- nhi yeh antara ka room nhi hai..
(awaaz sunkar riddhima aur antara piche mudkar dekhte hai..to armaan ki baat sunkar dono confuse ho jaate hai..)
Riddhima- kya matlab armaan..
(armaan andar aakr antara ko apni god me bithate huye kehta hai..)
Armaan- matlab yeh.. Ki yeh antara ka room nhi hai..papa ne apni princess ka doosra room decorate kiya hai..bilkul princess ki tarha beautiful..
Antara- sach papa...
Riddhima- armaan uski kya zarurat thi...antara hamare saath is room me reh leti... Itna bada hai yeh
(armaan flirty way me kehta hai..)
Armaan- bada hai...par antara ke mumma papa ko bhi to thodi privacy chaiye na...haina riddhima
(yeh baat.sunkar riddhima shockingly armaan ko dekhti hai..phir vo shock way me.hi armaan se kehti hai..)
Riddhima- what??
Armaan- ha...hume bhi to privacy chahiye na..aur vaise bhi yeh room bhi princess ka hai..yeh room kyu ab to yeh pura ghar meri princess ka hai... Vo jab chahe yha aa sakti hai...haina princess... ?
Antara- yes papa...antara ka khud ka room hoga...wow..papa you.are worlds bestest papa I love you..
Armaan- I love you 2 princess..ab chale princess ka room dekhna hai..
Antara- ha chaliye..mumma aap bhi chaliye na..antara ka room dekhne..
Armaan(flirty.way me) ha riddhima..chlo na...
(riddhima armaan ko confuse hokar dekhti hai..phir antara ko dekhkar vo fake smile karkar kehti hai..)
Riddhima- ha chlo...
(armaan antara ko god me lekar antara ke room ki taraf chalne lagta hai...riddhima bhi unke saath chalte huye sochti hai..)
Riddhima- yeh armaan ko hua kya hai..itna cool kyu behave kar rha hai...karne kya wala hai yeh...
(armaan bhi man me sochta hai..)
Armaan- mujhe pta hai riddhima tum kya soch rhi ho...par ab tumhe aisa hi armaan milega jisse tumne pehli baar pyaar kiya..tha...me dobara tumhe khud se pyaar karne par majboor kar dunga...tumhe yeh yakeen dila.dunga riddhima ki me tumse kitna pyaar karta hu...aur vo three magical words is baar tum mujhe khogi..khud meri.bahoo me dodkar aogi tum riddhima...
(yeh sochte huye armaan antara aur riddhima ek room ke bahar poch jaate hai..armaan antara ko god se utarkar kehta hai..)
Armaan- lo aa gya princess ka room...
Antara- andar chale papa..
Armaan - ha..
(antara room open karti hai..aur room ko dekhkar uske face par ek badi si smile aa jaati hai...room ko dekhkar aur vo excited hokar armaan ko hug karte huye kehti hai...)
Antara- wow papa..its soo beautiful... I love you papa...
Armaan- I love you 2 princess...
Riddhima- jab se papa mile hai..antara to mumma ko bhool hi gyi hai...
(antara yeh sunkar riddhima ko bhaagkar hug kar leti hai..)
Antara- no mumma aisa nhi hai...sorry papa..but antara ke liye mumma always come first..
Armaan- I know beta...papa ke liye bhi mumma and princess always come first..
(yeh sunkar riddhima armaan ko dekhti rehti hai...aur armaan bhi...dono ek dusre ki ankhon me kho jaate hai...par antara kia.waaz sunkar dono real world me aa jaate hai...)
Antara- aapko pta hai..papa antara hamesha se aisi hi happy family.chahti thi...aapko pta hai jab aisha mujhe btati thi na...ki uske papa mummy saath ghoomne jaate hai...aur dinner karte hai aur dance bhi karte hai to mujhe jealousy hoti thi...mumma papa...aap dono bhi dance karoge na..??.
(dance sunkar armaan aur riddhima ko unke purane din yaad aate hai...orphanage ke..AUR DONO SAATH FALSHBACK ME CHAKE JAATE HAI...)
FLASHBACK
(armaan betha hota hai..tabhi riddhima saadi pehenkar aati hai...armaan riddhima ko feel karta hai..aur piche riddhima ko dekhkar khada ho kar use dekhta rehta hai..riddhima uske paas akar khadi ho jaati hai...armaan use kehta hai..)
Armaan- achi lag rhi ho vo pehli baar dekha na tumhe..saadi me..
Riddhima-ha..vo bas mumma ke kuch students the to unye dance sikhane ke chakkar me dress khrab ho gyi mumma ki saadi mili to vhi pehenli..
Armaan- hmm..suits you...vaise tum dance bhi jaanti ho...
Riddhima- ha...bachpan se karti ayi hu..
Armaan- ok...so if u.. I mean if u dont mine..if u dont mind...
Riddhima- bolo...
Armaan - dance..?
Riddhima- yha...?
Armaan- ha yha..
Riddhima- music..?
(armaan apna haath hawa me lejakar piano play karne ka action karta hai..aur music start ho jaata hai..)
Armaan- ab..?
(riddhima smike karti hai..aur apna haath armaan ke haath ne de deti hai...aur dono dance karne lagte hai..ek dusre ki ankhin me khokar sab kuch bhulakar..)
AR FF Dard E Dil By Anika
EPISPODE 27
( Armaan riddhima ek doosre ki ankhon me khoye huye dance kar rhe hote hai...ki armaan riddhima se kehta hai..)
Armaan- riddhima... Tumse kuch.. Kehna chahta hu...
Riddhima- kho na...
Armaan- tum jaanti ho me tumse kya kehna chahta hu..bas yeh janna chahta hu kya tum vo sunna chahti ho...
Riddhima- agar sunna nhi chahti hoti to itni raat ko sab se chupkar .. Tumhare saath yha dance nhi kar rhi hoti...
Armaan- sach...?
(riddhima armaan ki ankhon me dekhkar kehti hai...)
Riddhima- keh do na armaan...aaj bas keh do..
(armaan thodi der ujta hai phir vo kehta hai..)
Armaan- I love you riddhima...me armaan malik tumhare saath apni puri zindagi bitaana chahta hu...
(armaan apni knees par jaata hai aur kehta hai..)kya tum mere saath apni puri zindagi bitana chahogi...
(yeh sunkar riddhima ki ankh bheeg jaati hai...armaan riddhima ki ankh me ansoo dekhkar dar jaata hai..aur khada khokar kehta hai. )
Armaan- tum ro kyu rhi ho...abhi to keh rhi thi sunna chahti ho ab ro rhi ho...acha sorry...ab nhi khunga...sorry ro mat ab...please
Riddhima- stupid me isliye nhi ro rhi hu...yeh to khushi ke ansoo hai...
Armaan- khushi ke ansoo?
Riddhima-ha...and I love you 2 ..
(yeh kehkar riddhima armaan ko hug kar leti hai...)
FLASHBACK END
(armaan aur riddhima antara ki awaaz sunkar apne khyalo se bahar aate hai...)
Antara- mumma papa..kha kho gye ho aap...
Armaan- khi nhi...
Antara- don't lie papa...aap dono kuch soch rhe the na..
Riddhima- kuch nhi soch rhe the hum...
Armaan(smirk karte huye kehta hai..)- jhoot kyu bol rhi ho riddhima me btata hu antara hum kya soch rhe the...btadu na riddhima?
Riddhima- armaan...
Armaab- ha riddhima bolo..btadu antara ko ki hum dono kya soch rhe the..?
Riddhima(dheemi awaaz me kehti hai..)- tumhara dimag khrab hi gya hai kya armaan aaj..
Armaan- no.. Aaj nhi hua...i guess bachpan se aisa hi hai..mera dimaag...
Riddhima- tum na...tum tum sach me pagal ho gye ho...
Armaan- ha hua hu na..tumhare pyaar me...
Riddhima- what?? Tum na..you are you are impossible...aaah..
(riddhima zor se leg zameen par markar vha se chali haati hai..uske jaane ke baad armaan ek naughty si smile deta hai..aur kehta hai..)
Armaan- asar to ho rha hai...puraane din vapas aa rhe hai..riddhima gupt...aahaaa...mrs. armaan malik...
Antara(confusingly)- papa..kya ho rha hai..mumma aapse gussa hai kya...
Armaan- ha ... But no need to worry anatra ke papa antara ki mumma ko boht jaldi mana lenge...
Antara- I know.. Papa..you are best..like superhero...
Armaan- I am...chlo..ab aap apne room ko dekho me apne room aur aapki mumma ko dekhkar aata hu...enjoy...
Antara- ok.. papa
(yeh kehkar armaan antara ke room se nikalta hai..tabhi use raaste me trishna milti hai..trishna ko dekhkar armaan ke face se smile chali jaati hai..vo bina kuch bole vha se jaa rha hota hain ki trishna uska haath pakadkar kehti hai..)
Trishna- itna naraaz hai apni mom se ki ab baat bhi nhi karega...
Armaan- mom please...its better ki me aapse baat na karu...kyuki agar me aapse baat karunga na...to me aapko kuch bura bol dunga..jo I am sure aap nhi sunna chahengi..so please...stay away from me..
Trishna- armaan please..please mujhse aise behave mat kro..i realise jo mene kiya vo shi nhi tha...please forgive me...tum chaho to me riddhima se maafi mangne ko bhi tayyar hu...par please tum mujhse naraaz mat ho armaan.. Tumhare siwa mera is duniya me koi nhi hai...tumhare bina me kaise rahungi...
(yeh kehte waqt trishna ki ankh me ansoo hote hai...armaan bhi use aise nhi dekh paata hai..aur kehta hai..)
Armaan- kaash mom...kaash aap yeh sab pehle smajh gyi hoti... To mujhe aur riddhima ko yu alag na hona padta... Kaash aapne tab yeh socha hota ki riddhima ka bhi mere siwa koi nhi tha...vo kha jaati...
Trishna- i am sorry armaan me maanti hu mene tab kuch nhi socha samjha..par me ab smajh gyi hu...please armaan tum mere ek laute bete ho me tumhe nhi kho sakti hu..please mujhse baat karna mat chodo..
Armaan- thik hai mom...aap chahte ho na..hamare beech sab normal ho jaaye...to thik hai..me aapse normally hi baat karunga par ek condition par..
Trishna- mujhe sab manzoor hai armaan...
Armaan- to thik hai mom...me chahta hu ki aap US me shift ho jaaye..hamesha ke liye..hamare beech sab normal hoga..aapko khi kisi chiz ki kami nhi hogi...apka jab man kare aap yha aa jaya kariyega...
Trishna (shocked)- armaan...tum mujhe...
Armaan- ha mom..agar aap chahti hai..ki sab normal ho to aapki meri yeh condition manni hogi...
Trishna- thik hai..armaan shayad meri galti ki yhi saza hai...manzoor hai mujhe sab...aaj hi chali jaungi me...
Armaan- me aapke tickets kara dunga...
(yeh sunkar trishna chali jaati hai..aur armaan vhi khada hokar kehta hai..)
Armaan- I know mom aap boht hurt hui hai...in baato se..par yeh zaruri tha..me aapko apno se door rehne ke dard ka ehsaas karana chahta hu...aur jab aapko yeh ehsaas ho jayega...to me aapki apne paas vapas le aunga...
IN NIGHT
(riddhima room me hoti hai..aur soch rhi hoti hai...)
Riddhima- yeh armaan ab tak kyu nhi aaya..dinner karkar gya hai..uske baad se dekha hi nhi hai ise...pta nhi kha gya hai..kitni raat ho gyi hai..12 bajne wale hai..aur iska kuch pta hi nhi hai...check karti hu shayad study room me ho..?
(riddhima armaan ko dhoondne niche study room me jaati hai...vo study room me enter hoti hai to vha koi nhi hota hai..vo niche ke rooms bhi check karti hai..use vha bhi armaan nhi milta hai..vo servant se kehti hai..)
Riddhima- suno...tumne armaan ko khi dekha hai..
Servant- ha vo..humne unhe..2 nd floor wale room me jaate dekha tha..?
(servant yeh kehkar chala jaata hai..)
Riddhima- 2 nd floor wale room par vha to koi nhi rehta hai..phir vha kyu..? Dekhti hu..
(riddhima 2 nd floor par pohchti hai..aur room open karti hai..to roon bilkul dark hota hai...vo dar kar jaane ke liye mudne hi waali.hoti hai ki...tabhi armaan riddhima ke ears ke paas aakar usse kehta hai..)
Armaan- kya hua riddhima dar lag rha hai...
Riddhima- nhi to...me.. me kyu darungi...?
Armaan- par tumhara face to kuch aur hi keh rha hai..tumhe dar lag rha hai na..kyuki is room me ab sirf tum aur main hai..aur light bhi nhi hai...agar me tumhare saath..
Riddhima(darte huye)- mmmere saath...
Armaan- ha tumhare saath...
Riddhima- kkkya karoge tum..mmmere saath...
Armaan- me tumhare saath...tumhara..
Riddhima- mera..
Armaan- tumhara...BIRTHDAY CLEBRATE KARUNGA..
(yeh sunkar riddhima shock ho jaati hai..riddhima piche mudkar armaan se kehti hai..)
Riddhima- what??
Armaan- ha..kyu ??tum chahti ho me tumhare saath kuch aur karu..
Riddhima- nhiii...mera matlab nhi me aisa nhi chahti hu..me to bas..
Armaan- rehne do..kal bahaana sochkar bta dena..aaj to birthday celebrate hi karlo..
Riddhima- birthdya mera..? Mera birthday to..8th august ko aata hai..aur aaj to...
Armaan- aur aaj to 8th august hi hai madam...tum apna birthday.hi bhool gyi thi..
Riddhima-ha..aaj to mera birthday hai...aur me bhool gyi..?
Armaan- dont worry me hu na...mujhe tumhara har special din yaad hai..aaj ka din kaise bhool sakta hu..tumhari life ka sabse special day jo hai yeh..ruko me light on karta hu..
(armaan jakar light on karta hai..aur saara room light up ho jaata hai...riddhima room dekhkar surprise ho jaati hai..room boht beautifully decorate hua hota hai..vo room dekhkar armaan se kehti hai...)
Riddhima- yeh yeh..sab tumne kiya...
Armaan- ha...apne haatho se...me nhi chahta tha..ki is pal ka koi aur ek bhi pal churaaye to yeh sab kuch mene khud apne hatho se kiya hai..sirf tumhare liye...kaisa laga...?
Riddhima- boht khoobsurat hai..
Armaan- tumse zyada nhi...
(riddhima armaan ko dekhti hai..aur blush karti hai...phir vo kehti hai..)
Riddhima- cake kha hai..? Birthday party me cake to haina..?
Armaan- ha haina...abhi lata hu..
(armaan choclate cake laata hai..aur riddhima knife uthati hai..aur cake kaatne lagti hai...par armaan dheere se akar uska haath pakadleta hai..jisse riddhima surprised ho jaati hai..vo armaan ko dekhti hai..par armaan smile karte huye uska haath pakddte huye cake kaatne lagta hai..dono saath me cake cut karte hai..riddhima armaan ko pyaar se dekhti rehti hai)
AR FF Dard E Dil By Anika
EPISODE 28(Last part)
(armaan riddhima ko dekhti rehti hai...armaan use khud ko itne pyaar se dekhte huye kehta hai...)
Armaan- Happy Birthday Riddhima...
Riddhima- thank you...(riddhima use pyaar se dekhte huye bolti hai..armaan use aise dekhkar smile karta hai..aur kehta hai...)
Armaan- ab itne pyaar se bhi mat dekho...
(yeh sunkar riddhima nervous ho jaati hai...aur niche dekhne lagti hai...armaan yeh dekhkar smile karta hai aur usse husky voice me kehta hai)
Armaan- vaise agar tum dekhna chahti ho to dekh sakti ho...me bhi dekhna chahta hu...tumhe.. Zindagi bhar...
(riddhima blush karti hai..aur sharmaate huye vha se jaa rhi hoti hai ki armaan uska hath pakadkar use rok leta hai..aur kehta hai..)
Armaan- kya tum chahti ho..?
Riddhima(confusingly)- kya?
Armaan- yhi ki Kya tumhe zindagi bhar dekh sakta hu...?
(Riddhima sharmate huye haath chudakar bhaag jaati hai...armaan kehta hai)
Armaan- jawab to deti jaati riddhima...koi baat nhi Abhi nhi to phir shi jawaab to me sunkar rahunga...
(idhar riddhima sharmakar bhaagte huye room me aati hai..aur bed par bethkar smile karte huye sochti hai..)
Riddhima- kya tha yeh pal... yeh lamha...itni khushi Ek hi pal me..dil kar rha tha..vo lamha vhi tham jaata...aur kabhi waqt aage na badta...itni khushi mujhe itne saalo me kabhi mehsoos nhi hui...jo armaan ke saath bitaye ek lamhe ne dedi...kya me abhi bhi armaan se utna hi pyaar karti hu...ha karti hu tabhi to...tabhi to aaj armaan ke saath bitaye sirf kuch pal me me..bhool hi gyi thi..ki past me mere saath kya hua...armaan ne ek pal khushi ka dekar mere 6 saalo ki saari kadvi yaadein bhuladi thi...kya yhi shi hai...ha..yhi shi hai...aur ab kuch galat nhi hai...ab shi hoga...i trust you armaan mujhe pta hai..ab tum sab shi kar doge...i tust you..and I love you...aur me tumhe yeh btaana chahti hu..abhi...
(riddhima khushi khushi armaan ko dhoondne jaati hai 2nd floor wale room me...par vo gate kholti hai to armaan vha nhi hota hai..riddhima andar jaakar sochti hai..)
Riddhima- yeh armaan kha chala gya...abhi to yhi tha...usse me itna sab kehna chahti hu aur vo hai ki... Pta nhi kha chala gya...
(riddhima yeh soch hi rhi hoti hai ki ek servant ghabrata hua bhaagkar aata hai...aur ghabraate huye kehta hai...)
Servant -madam.. Madam vo...
Riddhima- kya hua aap itna ghabra kyu rhe hai...kya hua...
Servant- madam vo..vo outhouse...outhouse par...
Riddhima- kya hua..kya hua..hai outhouse par...aap mujhe dara rahe hai...btaiye...
Servant- madam vo..outhouse.. Outhouse ME AAG LAG GYI HAI...AUR ARMAAN SAAB
(riddhima ARMAAN ka naam sunkar shock ho jaati hai aur bina kuch sune bhaagti huyi outhouse ki taraf jaati hai...aur vha pohchkar vo dekhti hai..ki armaan outhouse me jaane ke liye apni jacket utaar rha hota hai...vo yeh dekhkar shock ho jaati hai aur bhaagkar armaan ko rokne jaati hai..armaan outhouse ki taraf bhaag rha hota hai..ki riddhima uska haath pakadleti hai..aur darte huye kehti hai..)
Riddhima- tum pagal ho gye armaan...kha jaa rhe ho tum...
Armaan- riddhima please mujhe mat roko...mujhe jaane do..please..
Riddhima- tumhara dimaag khrab ho gya hai kya...aag lagi hai vha agar tumhe kuch ho gya to...
Armaan- to koi baat nhi par...mera vha jaana zaruri hai...meri boht important chiz vha hai..use me kuch nhi hone de sakta...
Riddhima- armaan me tumhe nhi jaane dungi...tum pagal ho gye..koi bhi cheez tumhari life se important nhi hai...me tumhe nhi jaane dungi...
Armaan- important hai riddhima..
Vo cheez meri life se bhi important hai..me use kuch nhi hone de sakta..
(yeh kehkar armaan apna haath chudaakar outhouse ki taraf bhaag jaata hai..rain start ho jaati hai...)
Riddhima( shout karti hai..)- Armaaannn...
(par armaan nhi rukta hai..aur bina kuch sune outhouse ki taraf bhaag jaata hai...riddhima vhi rote huye chillati rehti hai..)
Riddhima- armaaan...please vapas aa jao..armaan...Please...
(par armaan nhi rukta hai...vo aag lage outhouse me chala jaata hai...riddhima rote huye vhi beth jaati hai..aur aasmaan ki taraf dekhkar kehti hai..)
Riddhima-kyu..mere saath hi kyu..agar armaan ko kuch bhi hua na..me aapko kabhi maaf nhi karungi...kabhi nhi...me me..tumhe kuch nhi hone dungi armaan...
(yeh kehkar riddhima bhi outhouse ki taraf bhaag rhi hoti hai...ki piche se antara ki awaaz sunkar vo ruk jaati hai...antara bhaagtivi...aakar riddhima se chipak jaati hai...riddhima antara ko dekhti hai..aur phir outhouse ko jalte huye dekhti hai...vo servant ko bulakar kehti hai..)
Servant- antara ko sambhalo...iska dhyaan rakhna...me andar jaa rhi hu...
Servant- par madam vha aag lagi hai...
Riddhima-mujhe jaana hoga..mujhe armaan ko bachaana hoga...aap iska dhyaan rakhna agar mujhe kuch ho jaaye to..please...
Antara- no mumma...aap mujhe chodkar mat jaao..
Riddhima- I am sorry antara...par mujhe jaana hoga...
(riddhima yeh kehkar jaane ke liye mudti hai..ki vo dekhti hai ki outhouse ki chat aag ki vajah se gir jaati hai jis ki vajah se pura outhouse girne lagta hai...vo yeh dekhkar shock ho jaati hai...aur uske aankhon se ansoo girne lagte hai...vo yeh dekhkar khud ko sambhal nhi paati hai..aur niche gir jaati hai...antara use hug kar leti hai..vo bhi rote huye hi kaskar antara ko hug karkar zor se rone lagti hai...)
Antara(innocently puchti hai..)- mumma yeh kya ho rha hai..aur papa papa kha..hai..aap ro kyu rhe ho mumma...
(riddhima armaan ka naam sunkar aur zor se rone lagti hai...aur outhouse ki taraf dekhkar rote huye kehti hai..)
Riddhima- vapas aa jao armaan...vapas aa jao...
(riddhima outhouse ki taraf yeh dekhkar keh hi rhi hoti hai..ki achanak vo dekhti hai..ki outhouse ke piche se armaan haath me ek box liye nikalta hua aata hai..armaan ko dekhkar rote rote riddhima ke face par smile aa jaati hai...vo antara ko chodkar bhaagti hui...armaan ke paas jaati hai..aur usko hug kar leti hai...aur kehti hai..)
Riddhima- armaan tum aa gye...thank god armaan tum thik ho..pta hai me kitna dar gyi thi...mujhe laga..mujhe laga...tum..par tum... Tum thik ho..haina..tum thik ho armaan...
(armaan riddhima ko aise dekhkar use kehta hai..)
Armaan- me thik hu riddhima kuch nhi hua hai..mujhe...
(armaan ki awaaz sunkar riddhima ko gussa aa jaata hai...aur vo door hokar armaan ko marna start kar deti hai..)
Armaan- are..maar kyu rhi ho...riddhima...kya hua..
Riddhima- kya hua..kya hua..yeh mujhse puch rhe ho tum...mana kiya tha na.. Vha jaane se kitna roka...par tum aisi kya chiz thi jiske liye...tumne apni jaan ki bhi parwah nhi ki...
(armaan riddhima ko vo box dikhata hai...aur kehta hai..)
Armaan- yeh hai vo cheez...
Riddhima- kya..?..is..is..box ke liye kiya tumne yeh sab...tum pagal ho kya..is box ke liye us aag me gye the tum...itna kya special hai is box me ha..?
Armaan- special is box me nhi hai..special cheez is box ke andar hai..
(armaan box kholta hai...aur box se payal aur kangan nikalta hai...riddhima payal aur kangan dekhkar emotional ho jaati hai.. Aur armaan se kehti hai..)
Riddhima- tum us aag me..in kangan aur payal ke liye gye the.. ? Kyu armaan?
Armaan- kyuki yeh kangan aur payal hanari pyaar ki nishaani hai is kangan ne is payal me kabhi tumhe chua tha...aise hi apni pyaar ki nishaani ko me aag me nhi jalne de sakta tha...
Riddhima- ek baar bhi nhi socha tumhe kuch hi jaata to..?
Armaan- par hamara pyaar to zinda rehta na..
(yeh sunkar riddhima ki ankh se khushi ka ansoo gir jaata hai aur vo armaan se kehti hai..)
Riddhima- I LOVE YOU ARMAAN...I LOVE YOU...ab nhi jee sakti tumhare bina...
(aur armaan ko hug kar leti hai...yeh sunkar armaan ke face par shock ke saath smile aa jaati hai...vo khushi se kehta hai..)
Armaan-.yeh achanak...tumhe Tum thik to ho na...?
Riddhima-dar gyi thi me...mujhe laga..tum tum..us aag me...boht dar gyi thi armaan...aur tab ehsaas hua..ki me to mar jaungi tumhare bina nhi jee sakti hu me tumhare bina.. I love you...
Armaan- me bhi tumhare bina nhi jee sakta hu...i love you 2..
(armaan aur riddhima hug kar lete hai..tabhi unhe antara ki awaaz aati hai..)
Antara- mumma papa..aap dono antara ke bina jee sakte hai..kya..? Me bhi yha hi hu...
(armaan aur riddhima antara ki baat sunkar smile karte hai..armaan antara ko god me lekar kehta hai )
Armaan- ji nhi mumma aur papa princess ke bina kaise jee sakte hai..
Riddhima- ha..antara sabse important hai...thats why..mumma love antara soo much..
Armaan- and papa 2...
Antara- antara also love you both
(armaan riddhima dono antara ko hug kar lete hai like a happy family...armaan antara se chupkar riddhima ke ears me whisper karta hai...)
Armaan- I love you mrs malik...
Riddhima(bhi whisper karkar kehti hai..)- I love you 2 mr malik...
THE END
14