ARFF Dard E Dil part25-28 uptd (COMPLETED) - Page 15

Created

Last reply

Replies

219

Views

27.5k

Users

35

Likes

489

Frequent Posters

desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: rads73937

Nice part.

Thanx for the pm. Take care.
Sorry for the late comment.


Thanku so much..!!
keep reading..!
take care
polishedtechie thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
when are you gonna post next??
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: polishedtechie

when are you gonna post next??


in few mins..!! actually i combine all my ff's in one message and then pm..!! u can see a tale of strangers and pyaar toh hona hee tha..they are updated..!!
desire_nikki thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
photo 10419065_862620460431958_3785590817448191034_n_zps477ae625.jpg

AR FF Dard E Dil By Anika
Part 13

(riddhima yeh sunkar shock ho jaati hai...)
Riddhima- aapko takleef lene ki koo.zarurat nhi hai...me khud apna dhyaan rakh sakti hu...
Armaan- ha..vo mene dekha thodi der pehle..
Riddhima- dekhiye..vo to aap aa gye..varna me un ladko se khud nipat leti..
Armaan- kaise nipatti bhaagkar...aur tumhe aata bhi kya hai..sirf bhaagna hi to aata hai...
(riddhima yeh sunkar confuse ho jaati hai..par vo phir.is.baat ko ignore karkar. Man sochti hai..)
Riddhima- I think mujhe armaan ke saath bus stop pohchna chahiye..antara wait kar rahi hogi aur uske saath koi hoga bhi nhi akeli hogi...par armaan ko agar antara ke baare me pta chal gya to...abhi yeh sab mat soch abhi antara ke baare me soch..vo vha mera wait kar rhi hogi...mujhe armaan ke saath bike par chale jaana chahiye...
Armaan- kya.soch rhi ho..betho..
(armaan apni bike par bethkar kehta hai...riddhima bike par bethne aa hi rhi hoti hai..ki paas ke plant me riddhima ka dupatta atak jaata hai...vo use zor se nikalne ki koshish karti hai..par zor.se nikalte waqt uska dupatta hi phat jaata hai...riddhima yeh dekhkar embarass ho jaati hai..aur use bina dupatte ke armaan ke saamne sharm bhi aati hai..armaan bike se utarkar apni jacket riddhima ko uda deta hai..aur vapas bike par jaakar beth jaata hai...riddhima bhi uske piche beth jaati hai...armaan usse puchta hai)
Armaan- ab to btado..jaana kha hai...
Riddhima- bus stop...
Armaan- bus stop kyu...
Riddhima- aapse matlab..chaliye.
(armaan apni bike start karkar bus stop ki aur chalata hai...)

BUS STOP

(riddhima bike.se utarkar kehti hai..)
Riddhima- me farmhouse pohchte hi aapki jacket de dungi..
Armaan- hmmm...vese tum chaho to me yha wait kar sakta hu..
Riddhima- nhi...(riddhima zor se kehti hai) I mean uski koi zarurat nhi hai...me khud aa jaungi..aapko pareshaan hone ki zarurat nhi hai
Armaan- isme pareshaan hone ki baat nhi..hai..me wait kar sakta hu..
Riddhima- mene kha na.. Please aap jaiyye me khud aa jaungi...
(armaan yeh sunkar gussa ho jaata hai..aur bike start karkar vha se chla jaata hai..aur riddhima vhi khadi rehti hai...aur sochti hai)
Riddhima- yeh kya lamha tha armaan jo hokar bhi nhi tha...ek pal ke liye laga me apni purani zindagi jee rhi hu...par meri kismat aksar mere sapne tod.hi.deti hai..aur yeh sapna to mene khuli ankhon se dekha tha..tumhare saath hamesha rehne ka...jo kabhi pura nhi ho sakta hai...jab hume door hi jaana hain to phir kyu kismat aise khel khel rhi hai hamare saath ...kyu...hume baar baar ek hi raaste se guzarna pad rha hai...jabki hamari to manzile ek dusre se bilkul alag hai..tumne to kabhi mujhse pyaar hi nhi kiya..kiya to sirf shaq tha...aur me..me tumpar ek ke baad ek..apni zindagi ka har pehlu har hissa..nichawar karti chali gyi...mene tumse khud se zyada pyaar kiya tha armaan...abhi bhi karti hu...vo pyaar to mere marne ke baad bhi kam nhi hoga..par jo tumne mere dil par chot di hai na...vo is pyaar ko zarur dhundhla kar chuki hai...dar hai. Khi vo chot is pyaar par haavi na ho jaaye...par ab in sab baton ka koi faida nhi...kyuki agar hume milna hota to hum kabhi juda hi nhi hote...
(riddhima khud se yeh bol hi rhi.hoti hai..ki piche se antara use awaaz deti hai..antara uske paas aakar niche se use hug kar leti hai... Riddhima bhi use hug karkar kehti hai..)
Riddhima- aa gya mera baccha...
(phir vo niche antara ke paas veth jaati hai..)
Antara- mumma antara missed you...
Riddhima- mumma also missed antara...but now no missing...ab mumma antara saath hai..aur piya maasi ka reception bhi...
Antara- aur mumma aur anatara boht enjoy karenge...(antara riddhima ko jacket pehne dekhkar kehti hai...)mumma...aapne yeh kiski jacket pehni hai...
(riddhima yeh sawaal sunkar nervous ho jaati hai..)
Riddhima- vo.mm...chodo na yeh sab...ab mumma antara saath hai..to ab...
Antara- to ab mumma aur antara saath...icecream khayenge...
Riddhima-yes... strawberry...?
Antara-eww...strawberry again mumma...antara sirf choclate khayegi...u know na I hate strawberry...
(yeh sunkar riddhima ki smile chali jaati hai..aur vo apne aur armaan ke flashback me chali jaati hai..)
FLASHBACK

(riddhima aur armaan raat ko car me road par se guzar rahe hote hai. Ki riddhima window se icecream stall ko khada dekh chikti hai..)
Riddhima- stooppp...
(armaan dar kar car rokta hai..aur ghabra kar riddhima ko dekhkar kehta hai..)
Armaan- kya hua riddhima...tum thk ho..?
Riddhima - Ha me..to bilkul thik hu...
Armaan- to car kyu rukwayi...
Riddhima-..car to isliye rukwayi...kyuki mujhe icecream khani hai..vo dekho icecream waala...
Armaan- what?? Icecream?..pta hai tumne mujhe dara diya tha...
Riddhima- armaan.. Please no gussa...chlo na ice cream khayenge. Plzzz...
(riddhima yeh kehkar car se utarkar ice cream wale ke paas chali jaati hai...armaan use rokne ki koshish marta hai..par vo bhaag jaati hai...to armaan smile karkar uske piche chala jaata hai..
Aur ice cream wale ke paas jakar uske saath khada ho jaata hai...riddhima armaam se kehti hai..)
Riddhima..(phir armaan se puchti hai.)- tum kounsi loge...
Armaan- choclate...
Riddhima- ok..(vo ice cream bhaiyya se kehti hai..)bhaiyya ek choclate aur ek strawberry..
(strawberry sunkar armaan riddhima se munh banakar kehta hai...)
Armaan- riddhima tum strawberry kaise kha sakti ho..vo to kitni gandi hoti hai..
Riddhima- vo tumhe lagta hai...mujhe strawberry flavour boht pasand hai...
Armaan- ya right..mrs riddhima malik ko hamesha ajeeb chize hi pasand hoti hai...
Riddhima- vo to hai...jaise tum mujhe pasand ho tum bhi to ajeeb hi ho...(yeh kehkar riddhuma hasne lagti hai...)
Armaan- very funny...lo ice cream khao..
(armaan ice cram wale se ice cream lekar riddhima ko dete huye kehta hai..armaan aur riddhima car se lagkar khade hokar baate karne lagte hai..)
Riddhima- vese armaan.. Jab hamare bacche hoge..unhe kya pasand hoga..strawberry ya..choclate...
Armaan- offcourse choclate..strawberry..tumhare alwa koi nhi kha sakta hai..
Riddhima- par mere bacche khayenge..dekhna mere bacche mujhpar hi jayenge..aur strawberry hi khayenge...
Armaan- bilkul nhi...mere bacche meri tarha hoge...intellegent aur intellegent log..strawberry flavour nhi khate hai...
Riddhima- hawww...u mean me intellegent nhi hu..u think ki me idiot hu...
Armaan- ha thodi si...
Riddhima- armaaan...
Armaan- acha acha sorry...par mere bacche strawberry bikul nhi khayenge...kyuki.vo mujhpar jayenge..vo choclate khayenge. Because mujhe choclate pasand hai..
Riddhima- ji nhi mere bacche mujhpar jayenge..aur vo sirf strawberry khayenge...samjhe.
Armaan- only choclate.
Riddhima- strawberry
Armaan- chocolate
Riddhima- strawberry
(dono cutely ladte rehte hai...idhar riddhima yeh sochkar hasne lagti hai..antara riddhima ko hasta dekhkar kehti hai..)
Antara- kya hua mumma aap hans kyu rhe ho..
(riddhima antara ki awaaz sunkar apne thoughts se bahar aati hai...aur antara ko dekhkar kehti hai...)
Riddhima- kuch nhi beta vo..jao..vo dekho ice cream wale.uncle khade hai...jao...apni choclate flavour lelo...me abhi aati hu..
Antara- ok mumma..(antara choclate wale ki taraf bhaag jaati hai..aur riddhima vhi khade hokar kehti hai..)
Riddhima- tum shi kehte the armaan. .antara tum par hi gayi hai...she loves choclate bilkul tumhari tarah aur strawberry to use bilkul nhi pasand...bilkul tumhari tarha...kaash tum aaj hamare saath hote to antara ki bhi ek happy family.hoti...kaash armaan kaash tum mujhpar bharosa kar paate...Kaash...
(riddhima ke ansoo girte hai..vo unhe jaldi se saaf kar leti hai...)

AR FF Dard E Dil By Anika

Part14
(riddhima antara ko auto me lekar aa rhi.hoti hai...aur man me soch rhi hoti hai...)
Riddhima- kya karu..antara yha aa to gyi hai...par me use armaan ke saamne nhi leja sakti hu...agar armaan ko pta chala ki uski ek beti hai..to pta nhi vo kya karega...par me antara khi aur bhi to nhi chod sakti hun..mujhe yeh risk lena hoga. . Bas antara ko armaan se jitna hi sake door rakhna hoga...abhay ke ghar me itne log hai...me antara ko armaan se chupa lungi...me antara aur armaan ko kabhi ni milne dungi..kabhi nhi...
(antara phir riddhima ko khoya hua dekhkar kehti hai..)
Antara- mumma aap phir antara ko bhool gye. Me aapke paas bethi hu..aap kha khoye ho.
(Riddhima apne thoughts se bahar aati hai...)
Riddhima- khi nhi...aap btao..do din mumma ke bina kya kiya...
Antara - mumma aapko pta hai..school me avantika is not a nice girl...
Riddhima- kyu? Kya kiya avantika ne..
Antara - avantika hamesha antara ko pareshaan karti hai..and this time..aapko pta hai...avantika ne mujuse kha ki mere koi bhi papa nhi hai...but meme bhi usse boht ladayi ki...ki mere papa hai..vi abhi kaam se bahar gye. Par vo ayenge. Haina mumma..?papa ayenge na...
(yeh sunkar riddhima ki ankh me ansoo aa jaate hai...aur vo dusri side face karkar apne ansoo saaf karleti hai..)
Antara- mumma bolo na...antara ke papa kha hai..vo antara se milne kyu nhi aate hai...krrishi ke papa bhi door rehte hai..but vo krishi se har sunday milne aate hai...par antara ke papa kyu nhi aate...
(Riddhima gusse me antara ko daanti hai..)
Riddhima- antara boht ho gye sawaal... Ab aap chup chap bethengi..kitna bolti hai..aap..
(antara dar kar chup hokar beth jaati hai..par riddhima jab antara ko dara dekhti hai to apne kaan pakadkar kehti hai. )
Riddhima- I am sorry mumma ne antara ko daata...mumma gandi hai na. ...
Antara- no.. Antara ki mumma boht acchi hai...antara feeling sorry..mene voht sawaal kiye na..i am sorry mumma..
(riddhima antara ko hug kar leti hai..aur man me sochti hai. )
Riddhima- kaise btau antara ki tumhe ki kyu nhi aate hai...tumhare papa ko to tumhare baare me kuch pta hi nhi hai...
(vo dono farm house pohchte hai)

Riddhima's Room
Riddhima- chlo antara..ab thodi der so jao...thak gyi hogi na...raat ho gyi hai..
Antara- but mumma
Riddhima- But kuch nhi aap thak gye hoge na..aur kal piya maasi ka reception hai..to aap ko jaagna hoga..so abhi so jao ok...
Antara- ok...
(riddhima antara ko sula deti hai.aur khud bhi so jaati hai..)

ARMAAN'S ROOM

(armaan apne almirah ki drawer open karta hai...aur vha se alni aur riddhima ki photo aur kada nikalta hai..aur bed lar ajar beth jaata hai..)
Armaan- aaj tak sabse chupaakar tumhari aur meri yeh yaad bacha rakhi...sabse jhoot bolta hu..ki me tumhe bhool gya hu...par khud se jaise jhoot bolu...abhi bhi..meri yadon me mere dil me koi hai to vo tum ho...
(armaan yeh kehkar riddhima aur apni photo bed par rakhkar aur kade ko apne haath me lekar so jaata hai...)

NEXT MORNING
.(riddhima bahar garden me jaati hai...vha armaan pehle se ho hota hai dono ek dusre ko dekhte hai...riddhima vha se jaane lagti hai..ki piche se armaan use kehta hai..)
Armaan- kise lene gyi thi bus stop tum kal..?
(riddhima yeh sunkar dar jaati hai ki armaan ko antara ke baare me pta to nhi chal gya...aur piche mudkar kehti hai..)
Riddhima- tum...kyu..janna chahte ho..
Armaan- aise hi...vo tum gyi na aur akele aa gyi isliye puch rha tha...
(Riddhima yeh sunkar relax feel karti hai..aur kehti hai..)
Riddhima- ha..kisi se milne gyi thi bas...
(riddhima yeh kehkar piche mudkar jaane lagti hai..par armaan ki awaaz sunkar vo ruk jaati hai..)
Armaan-kisse milne? Rohan se?
(armaan gusse me puchta hai..yeh sunkar riddhima ki ankh me ansoo hote hai..aur gussa bhi...vo gusse me piche mudkar kehti hai)
Riddhima-isse aapko koi matlab nhi hona chahiye mr malik...
Armaan- to kise matlab hona chahiye. ..us rohan ko..kaise kar diya tumne yeh sab riddhima tum kabhi khud kehti thi na..ki tum mujhse boht pyaar karti ho...puri duniya se lad sakti ho mere liye. Phir kaise mujhe dhokha de diya...mujhe to khud par sharm aati hai..jo mene tum jaisi ladki se pyaar kiya..tum kitna gir gyi ho..kitna badal gyi ho...
Riddhima- ha shi kha aapne..badal gyi hu me...waqt aur halaat sab ko badal dete hai...
Armaan- nhi me galat hu...tum nhi badli ho..abhi bhi vhi besharam characterless aurat ho tum ...jise apni galti ka koi pachtawa nhi hai...agar tumne galti ki thi na riddhima to ek baar mujhse baat karti...shayad us waqt me tumhe maaf kar deta kyuki boht pyaar karta hu tumse. Par tum.. tum bina kuch kahe..vha se us rohan ke saath bhaag gyi..bhaag gyi tum uske saath...
(armaan vha par pade table ko phekkar aur riddhima ko shock me daalkar vha se chala jaata hai..riddhima vhi shock me khada rehta hai...aur thodi der baad kehti hai..)
Riddhima- ek aur jhoot ek aur jhoot par yakeen kar liya tumne...aur kehte ho tum mujhse pyaar karte ho...mujhe nhi pta sach kab saamne ayega..saamne ayega bhi ya nhi kuch nhi..pta..par itna zarur pta hai..mujhe...ki ab mere dil ko tumhari zaroorat nhi hai..armaan me mar jaungi...par tumhe maaf nhi karungi me...kabhi maaf nhi karungi tumhe main...
(riddhima vhi rote huye gusse me yeh kehti hai..aur andar chali jaati hai..)

After 2 hours

(armaan garden me khada hokar riddhima aur uski thodi der pehle huyi baato ko yaad kar raha hota hai ki...piche se usko koi ball marta hai...vo piche mudta hai to dekhta hai...ki ek choti si ladki jo ki antara hoti hai.. bench ke piche chup rhi hoti hai..vo yeh dekhkar smile karta hai.. Aur ball lekar us bacchi ke paas akar beth jaata ...hai..)
Armaan- aapne maara yeh mujhe?
Antara- nhi nhi..uncle antara aapko maarna nhi chahti thi vo gallti se antara se aapko lag gyi I am sorry...
Armaan- ohh...to aapka naam antara hai...?
Antara- aapko kaise pta..?
(armaan antara ki cuteness par hasta hai..aur kehta hai..)
Armaan- bas mujhe sab pta chal jaata hai..me to yeh bhi bta sakta hu...ki aap yha apne. Mumma papa ke saath abhay aur piya ke reception me ayi hai...
Antara- ha. But ek chiz apne wrong khi uncle..me yha sirf apni mumma ke saath ayi hu. .papa ke saath nhi...
Armaam- accha papa ke saath kyu nhi...
Antara- yeh to antara ko bhi nhi pta...mumma kehti hai..papa humse door rehte hai..vo humse milne nhi aate hai...
Armaan- ohh..sorry
(armaan aur antara bench par beth jaate hai...)
Armaan- to aap yha akeli khel rhi thi...
Antara- ha..antara ka yha koi dost nhi hai..aur mumma bhi buzy hai na...
Armaan- to antara ka koi dost nhi...chlo thik yeh problem main solve kar deta hu...(apna haath aage karte huye kehta hai..) friends?
Antara- aap antara ke friend bnoge...?sach..
Armaan-much..
(antara armaan se haath milakar kehti hai...)
Antara- friends...vese friend uncle ab aap mere dost ho to aapko mere saath khelna bhi hoga...
Armaan- accha khelna bhi hoga. Chlo thik h to khelte hai.
(armaan aur antara ball se khelne lagte hai..)

AR FF Dard E Dil By Anika

PART15

(armaan aur antara ek dusre ke saath khel rhe hote hai...ki armaan ka phone ring hota hai...aur vo antara ko ball dekar baat karte lagta hain...)

Armaan- ha mom...
Trishna- kaise ho beta. ?
Armaan- me thik hu aap thik ho na...
Trishna- me thik hu...maine tumhe yeh btaane ke liye phone kiya tha...ki me aur sia... Ek hafte me vapas aa rhe hai...
Armaan- ek hafta par aap dono to ek mahine me vapas aane wale the na...
Trishna- ha..par vo sia ka kaam ho gya to hum aa rhe hai...aur me tumse jawaab sunna chahti hu..tumhare aur sia ki shaadi ke baare...me..
Armaan- mom...aap...
Trishna- armaan please...mene keh diya na...kab tak akele jiyoge..vo ladki to apni life me aage bad chuki hogi...tum kab tak akele rhoge...us ek ladki ke liye..jisne tumhe itna bada dhoka diya...tum uske liye apni life barbaad karoge...please armaan apne mom ki yeh baat. Maanlo...
Armaan- mom...aap ghar aao bethkar baat karte hai..
(armaan yeh kehkar phone cut kar deta hai...aur trishna ki baate sochna lagta hai..par jab vo piche antara ko vapas bench par betha dekhta hai...to vo saari problems bhool jaata hai...aur vapas antara ke paad akar bench par beth jaata hai..)
Armaan- kya hua antara thak gyi kya...?
Antara- ha..actually na..antara kabhi itna nhi kheli. But aap boht acche ho..mujhe boht mze aye aapke saath khelne me...agar mumma ko pta chala na..to vo antara ko boht daategi...
Armaan- aise kaise daategi mumma antara ko... me hu na...ab antara meri friend hai...to dont worry...me mumma se antara ko bacha lunga...
Antara- hehehe...aap bachaoge antara ko mumma se. Aap nhi jaante ho meri mumma ka gussa..
Armaan- acha...mumma boht gussa karti hai...
Antara- ha...par jitni jaldi mumma ko gussa aata hai na. Utni hi jaldi mumma ka gussa bhaag bhi jaata hai...aur phir mumma antara ko mna leti hai..thats why antara mumma se boht pyaar karti hai...
Armaan- acha...me bhi kisi se pyaar karta hu..uska gussa bhi aapki mumma jaisa hai..jitni jaldi aata hai...utni hi jaldi chala bhi jaata hai...
Antara- acha phir vo aapko icecream khilati hai..
Armaan- icecream...?
Antara- ha mumma antara ko gussa jaane ke baad icecream khilati hai...vo bhi antara ki favourite.
Armaan- acha...to kya hai..antara ki favourite.
Antara- choclate...
Armaan- Are wah...Choclate to meri bhi favourite hai...
Antara- sach..same same...
Armaan- same same. Aur aapko pta hai..jisse me pyaara
Karta hu use kya pasand hai...strawberry and I hate strawberry...
Antara- again same same...mumma also loves strawberry and antara hates strawberry...
Armaan- really...strange...
(armaan anatara se baate karne lagta hai. Aur idhar riddhima antara ko dhundhte huye bahar aati hai...aur antara ko kisi se baat karte huye dekhti hai.)
Riddhima- yeh ladki bhi na kisi se bhi baat karti hai...antara antara..
(vo antara ko awaaz deti hai..antara piche bina mude hi kehti hai...)
Antara- ooopss..mumma I am late...
(armaan antara ki mom ko dekhne ke liye piche face karta hai..par piche riddhima ko dekhkar uski smile chali jaati hai...vo khada ho jaata hai...riddhima bhi armaan ko antara ke paas dekhkar shock ho jaati hai..antara is baat se anjaan riddhima ke paas jaakar kehti hai..)
Antara- sorry mumma I know I am late...vo me khelene lagi thi...mene nye friend bhi bnaye...yeh my friend uncle...and uncle..yeh hai meri mumma...
(armaan antara ke munh se riddhima ko mumma kehte huye sunkar shock ho jaata hai...riddhima... Bhi armaan ko dhock hokar dekhti rehti hai..kuch second baad armaan riddhima se shocking way.me hi puchta hai.)
Armaan- yeh...yeh tumhari...tumhari beti hai...?
(riddhima kuch bol nhi paati hai...aur antara ko lekar vha se jaane lagti hai...par armaan jaldi se akar riddhima ka haath pakadkar use apni taraf karta hai..aur gusse me kehta hai..)
Armaan- tumse kuch puch rha hu...yeh tumhari beti hai ya nhi..tum mere sawaal ke jawaab diye bagair nhi jaa sakti ho...btao..kya anatara tumhari beti hai...mujhe jaana hai...btao. Riddhima...
(anatara apne friend ko apni mumma se yuh chikhkar baat karte dekh boht confuse ho jaati hai...aur riddhima armaan ko yuh chikhta dekh apne aap ko aur control nhi kar paati hai...aur vo bhi chillatai hai..)
Riddhima- ha..hai..antara meri hi beti hai...hai vo meri beti...
(riddhima ke munh se yeh sunkar shock ho jaata hai..use kuch samjh nhi aata vo riddhima ko chodkar vha se bina kuch kahe chala jaata hai...aur riddhima vhi khade use jaate dekhti hai..phir.vo antara ko lekar apne room me aa jaati hai...antara aise apni mumma ko pareshaan dekhkar kehti hai..)
Antara- mumma kya hua hai...vo friend uncle aap par kyu chilla rhe the...aur aap dono lad kyu rhe the...
Riddhima- antara...u love mumma na...aap mumma ko kabhi.chodkar nhi jaoge na...
Antara- aap aisa kyo bol rhe ho mumma... Antara loves you. Me aapko kabhi nhi.chodkar jaungi.
(riddhima antara ko gala laga leti hai. Aur antara ko ketakar use sula deti hai...aur khud window ke paas akar beth jaati hai..aur rote huye kehti hai...)
Riddhima- kis mod par le ayi hai mujhe meri kismat...tumse shaadi karne ke baad khud ko boht khushnaseeb samjhti thi me...par jab ankhen khuli to pta chala ki vo sab ek sapna tha...sab kuch ek khwaab hi to tha...aaj bhi jab tumhare saath bitayi yaado ko yaad karti hu...to mere andar daba vo ehsaas phir jaag uthta hai...par vo ehsaas zyada der tak nhi rehta hai...tumhara mujhpar vishwaas na kar paana us ehsaas ko vapas daba deta hai...tumse to bol diya ki nhi karti tumse pyaar par khud se..kaise kahu...kaise jhoot bolu..khud se...kaise..?
(riddhima yeh soch hi rhi hoti hai...ki vo dekhti hai. Ki antara neend me kuch bol rhi hoti hai...vo antara ke paas akar use sehlati hai...par antara kuch neend me bol rhi.hoti hai...)
Antara- mere papa ayenge...vo ayenge..u are a bad girl avantika mere papa zarur ayenge...dekhna tum papa ayenge...
(yeh sunkar riddhima ki ankhon se ansoo girte hai..aur vo khud se kehti hai..)
Riddhima- antara ko tumhari zarurat hai..me hum dono ki is ladai me apni beti ka ek kimti rishta nhi chin sakti hu...mujhe armaan se baat karni hogi...me antara ko aur uske papa se door nhi rakh sakti hu...mujhe tumse baat karni hai armaan abhi...

Thanku so much guys..!
do leave comments..!
tc
nikki..! 😊
polishedtechie thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
hey thats a great update... hope the problems get solved soon...
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
awesome updates loved it
thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon
shonayaa thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Amazing update
armaan came to know that antara is ridZ daughter
hope misunderstanding solves soon
Thanx for pm
araja1234 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
Awesome parts.Thanks for the pm
Roxxy47 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Haye!! Even after all those misunderstandings Armaan ko Riddhima ki self-respect ki fikar toh hai , Gave her his jacket , I liked it 👍🏼..
Antara the same Bubbly girl , her character is very interesting ...
Antara-Riddhima's bond is really Sweet , even after all the tragic in Riddhima's life she didn't let anything happen to Antara or made her suffer...
Same goes for Antara , bachi hone k bavajood she knows what hurts her Mommy 👍🏼...

The Flashback , Chalo ek cheez toh pat chali Baap-Beti dono ko stawberry ice-cream nai psand 😆...

Unknow to the truth Armaan-Antara dost ban gaye , kitna simple sa relation bana liya dono ne...
Truth ziyada complicate hai ...

Trisha & Sia ne abhi bhi Armaan na peecha ni chorda 🤔...

Armaan se sach jan-ne k baad yeh toh expected tha but he toh still is unknow to the real truth 😳...

Chapter after chapter the story is getting very interesting 😃...
N i'm loving it ❤️...
Thank u for the PM 😊

Fimmy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
Wow! Amazing part!!! I wonder ab armaan kya karega! Eagerly waiting...cont soon! :)

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 13 days ago

A "What-If" Rumya Continuation Story — imagining what could’ve happened if Soumya never left Ishqbaaz and her relationship with Rudra was...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 2 months ago

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 2 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".